Jun 24, 2014

Yeh jo silsala chal nikla hai jahan main rishton ka


Yeh jo salsala chal nikla hai jahan main rishwaton ka 

Tum bhi much lay dy kay meray kiyon nahin ho jaatay

Shaam honey se pehlay loat ana


Shaam honey se pehlay loat ana 
Kisi ky naam honey se pehlay loat ana 

Hum teray intizaar main hain 
Anjaan honey se pehlay loat ana

Subh-o-shaam rehti hai teray deedaar ki umeed 
Din khatam honey se pehlay loat ana 

Agar na loat pao to bas itna kar dena 
Meri saans rukny se pehlay loat ana

Lafaz kehnay walon ka kuch nahin jata


Lafaz kehnay walon ka kuch nahin jata 

Lafaz sehnay wale kamaal kartay hain

Aik muddat ky baad hum ne yeh jana Ae khuda


Aik muddat ky baad hum ne yeh jana Ae khuda 

Aik teri zaat se ishq sacha , baaqi sab afsaney hain

Rakha hai hum ne dil main baray ehtaraam se


Rakha hai hum ne dil main baray ehtaraam se 

Jo gham dia hai tum ne mohabbat ky naam se

Karta to hai woh yaad mujhay chahat se magar


Karta to hai woh yaad mujhay chahat se magar 

Hota hai yeh kamaal bari muddaton ky baad

Baat tehri jo Addl pe waaez


Baat tehri jo Addl pe waaez

Phir yeh minat , yeh iltija kiya hai 

"Chaand sa " jab kaha to kehnay lagay 

Chaand kehye na "chaand sa " kiya hai ?

Misaal-e-sheesha hain hamain thaam ky rakhna


Misaal-e-sheesha hain hamain thaam ky rakhna 

Hum teray hath se chooty to bikhar jayein gy

Kitni mushkalon se falak pe nazar ata hai


Kitni mushkalon se falak par nazar aata hai 

Eid kay chaand ne andaaz tumharay seekhaye

Waqat tezi se badal gaya aur tum


Waqat tezi se badal gaya aur tum

Waqat se bhi tez niklay

Hum dua likhty rahay woh dagha parhty rahay


Hum dua likhty rahay woh dagha parhty rahay 

Aik nuqty ne mehram se mujram bana dia 

Aik agar tum ko chura loon to


Aik agar tum ko chura loon to 

Zamana ghreeb ho jaye

Tujh ko nahin ehsaas , keh ae dil teri khatar


Tujh ko nahin ehsaas , keh ae dil teri khatar 

Ik shakhs baray kaam ka , be'kaar hua hai

Laakh koshish ki magar nikal hi gaye


Laakh koshish ki magar nikal hi gaye

Mohsin 

Ghar se yousaf 

Janat adam

Aur teray dil se hum

Khaak muthi main liye qabar ki main sochta hoon


Khaak muthi main liye qabar ki main sochta hoon 

Hum jo martay hain to khwaab kidhar jatay hain

Aik hi shakhs pe luta detay hain jo zindagi apni


Aik hi shakhs pe luta detay hain jo zindagi apni

Aisay log ab kitabon main mila kartay hain 

Goya andaaz-e-tazeem hai ameeron jaisa


Goya andaaz-e-tazeem hai ameeron jaisa
Meray andar ka hai insaan faqeeron jaisa

Hum ne chaheray pe saja rakhi hai shaher ki ronaq
Dil ka aalam hai veeraan jazeeron jaisa

Us ky osaaf-o-khazail ne mujhay jeet liya 
Meray mureedon main tha shakhs woh peeron jaisa

Is se pehlay thi aseeri bhi rihai jaisi 
Ab keh azadi main hai haal aseeron jaisa

Us ko ganwa keh hain khsaray ab tak mohsin 
Woh jo ik shakhs meray sath tha heeron jaisa

Baaqi dino ka hisaab rehnay do


Baaqi dino ka hisaab rehnay do 

Yeh btayo eid pe mujhay yaad kiya

Na janey us ky dil main kitni mehfalein abaad hon


Na janey us ky dil main kitni mehfalein abaad hon 

Jo akela baitha ho ussay tanha nahin kehtay

Gham-e-hayat ka jhagra mita raha hai koi


Gham-e-hayat ka jhagra mita raha hai koi 
Chalay ayo keh duniya se ja raha hai koi

Azal se keh do keh ruk jaye do gharri 
Suna hai anay ka wada nibha raha hai koi 

Woh is naaz se baithay hain laash ky paas
Jaisay roothay huwey ko mnna raha hai koi 

Plat kar na a jaye phir saans nabzon main 
Itnay haseen hathon se miyat saja raha hai koi

Tumhain bhi to khabar ho gi


Judai

Tumhain bhi to khabar ho gi keh 
Dariya paas behtay hon to paani acha lagta hai 
Kinaaron se jurri matti se poocho 
Rog chahat ka 
Keh is paani chahat main 
Kinaaron se ukhar kar 
Ajnabi daison main jaana kitna mushkil hota hai 
Kinaara phir nahin milta 
Tumhain bas itna likhna hai 
Yahaan jo bichar jaye 
Dobaara phir nahin milta ...!

Tum jis khawab main aankhain kholo


Tum 

Tum jis khawab main aankhain kholo 
Us ka her roop amar ....
Tum jis rang ka kapra pehno 
Woh mousam ka rang ....
Tum jis phool ko hans kar dekho 
Kabhi na woh murjhaye .....
Tum jis harf pe ungli rakh do 
Woh roshan ho jaye ....

Amjas islam amjad

Khud ko is dil main basaney ki ijazat de do


Khud ko is dil main basaney ki ijazat de do
Mujh ko tum apna bananay ki ijazat de do

Tum meri zindagi ka ik haseen lamha ho 
Phoolon se khud ko sjanay ki ijazat de do 

Main kitna chahata hoon kis tarah baton tumhain 
Mujhay yeh bataney ki ijazat de do

Tumhari raat si zulfon main chaand sa chehra 
Yeh jaan tum phir lutaney ki ijazat de do

Nahin shouq rashid ko bhool ka magar 
Mujhay yeh duniya bhoolney ki ijazat de do

Her shab meri taza azaab main guzri


Her shab meri taza azaab main guzri 

Tumharay baad tumharay hi khwaab main guzri 

Main aik phool hon woh mujh ko rakh ky bhool gaya 

Tamaam umar usi ki kitaab main guzri

Jo chalay to jaan se guzar gaye


Jo chalay to jaan se guzar gaye

Tujhay kiya khabar meray haal ki 
Meray dard meray malaal ki
Yeh meray khyal ka silsala 
Kisi yaad se hai mila hua 
Ussay dekhna ussay sochna 
meri zindagi ka hai faisla
Yeh us ki palkon ky saye hain 
Meri rooh main jo utar aye hain 
Yeh janoon-e-manzal-e-ishq hai 

Jo chalay to jaan se guzar gaye

Mujhay us maqaam pe chorna 
Hai yeh be'wafai ki intiha
Yeh qafas ho jaisay khuli fiza
Yahin sukh ka saans main loon sadaa
Jinhain teri deed ki pyaas thi
Woh ktoray nainon se bhar gaye
Yeh junoon-e-manzal-e-ishq hai

Jo chalay to jaan se guzar gaye

Tu ne dekhi hai woh paishaani woh rukhsaar woh hont


Tu ne dekhi hai woh paishaani woh rukhsaar woh hont 

Zindagi jin kay tasawur main lutta di hum ne ..!!

Yeh zaroori nahin keh aag se jal jaye bashar


Yeh zaroori nahin keh aag se jal jaye bashar 

Kuch logon ko muqadar bhi jala detay hain

Tujh se bichra to kisi dar ka na raha


Tujh se bichra to kisi dar ka na raha 

Kushak ptay ki tarah aaj bhi safar main hoon

Na koi gham khizaan ka hai , na khwaish hai baharon ki


Na koi gham khizzan ka hai , na khwaish hai bahaaron ki 

Hamaray saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam 

Amjad Islam Amjad

Zakham-e-dil chupatay hain ansoo'on ki basti main


Zakham-e-dil chupatay hain ansoo'on ki basti main 
Tab hi muskuratay hain ansoo'on ki basti main 

Un ko bhoolney ki hum justagoo nahin karty 
Bas nikal hi atay hain ansoo'on ki basti main 

Hum se baat karney ko rang sari duniya kay liye
Raat din bulaty hain ansoo'on ki basti main 

Gar yahi muqadar hai to isi andehry main 
Hum bhi ghar basatay hain ansoo'on ki basti main 

Deep jalty rehtay hain sari raat aankhon main 
Un ko le ky jatay hain ansoo'on ki basti main 

Zindagi stati hai umar bhar khlash us ko 
Doob ky jo atay hain ansoo'on ki basti main

Chaand dilkash hai manta hoon main


Chaand dil'kash hai maanta hoon main 

Husan-e-jaanan se haar jaye ga

Woh meray paas tha tu yeh ehsaas tha


Woh meray paas tha 

Tu yeh ehsaas tha 

Woh hai to sahi par kuch khaas nahin 

Woh chala gaya to yeh dard hua 

Wohi sab kuch tha jo meray paas nahin

Woh aks ban ky meri chashm-e-tar main rehta hai


Woh aks ban ky meri chashm-e-tar main rehta hai 
Ajeeb shakhs hai pani ky ghar main rehta hai 

Wohi to meri sahb-e-gham ka aik payambar hai 
Woh ail sitara jo chashm-e-sehar main rehta hai 

Jo meray honton pe aye to gun'gunaon ussay 
Woh shair ban ky biyaaz-e-nazar main rehta hai 

Guzarta waqat mera gham gusaar kiya ho ga 
Woh khud ta'aqub shaam-o-sehar main rehta hai 

Mera hi roop hai tu ghour se agar dekhy 
Bagoola sa jo teri raah guzar main rehta hai 

Na janay kon hai jis ki talaash main bismal 
Her ik saans mera ab safar main rehta hai 

Woh bari diplomatic thi


Woh bari diplomatic thi 
Woh hamesha mujhay 
Sach ki talqeen karti thi 
Phir kiyon , na jaanay kiyon 
Mujh se 
Nazrain churaati thi

Us ki chahat ka sila yaad nahin


Us ki chahat ka sila yaad nahin 

Yaad hai jurm , saza yaad nahin 

Tor kar hamsafri ka rishta 

Woh kahan chor gaye yaad nahin 

Apnay girnay ka sabab yaad to hai 

Kis bulandi se gira yaad nahin 

Yaad hai us ka bicharna hum ko 

Phir hamain jo bhi mila yaad nahin

Emaan jaaniye keh issay kufar janiye


Emaan jaaniye keh issay kufar jaaniye 

Main sar jhuka rahi thi keh tum yaad aa gaye

Phir aaj aanso'on main nahai hui hai raat



Phir aaj aanso'on main nahai hui hai raat 

Shayed hamari tarah staei hui hai raat

Tum se ulfat ky taqazay na nibhaye jaty


Tum se ulfat ky taqazay na nibhaye jaty 
Warna hum ko bhi tamana thi chahye jaty

Dil ky maron ka na kar gham keh yeh andho naseeb 
Zakham bhi dil main na hota to krahay jaty

Kam nighai ki hamain khud bhi kahan thi tofeeq
Kam nighai ky liye azar na chahye jaty

Kaash ae abr-e-bahari , teray behky se qadam 
Meri umeed ky sehra main bhi lagaye jaty 

Hum bhi kiyon dehar ki raftaar se hoty pa'maal
Hum bhi her laghzas-e-masto ko srahay jaty

Lazat-e-dard se asooda kahan dil wale
Hain faqat dard ki hasrat main krahay jaty

Di na mohlat hamain hasti ne wafa ki warna 
Aur kuch din gham-e-hasti se nibahay jaty

Tum se hi bas ki hai her pal mohabbat main ne


Tum se hi bas ki hai her pal mohabbat main ne 

Her gharri meri wafaon main sirf tum ho

Titliyon ki khwaish to titliyon se nazuk hai



Titliyon ki khwaish 

Titliyon ki khwaish to 
Titliyon se nazuk hai 
Is tarah ki khwaish ka Rang roop dhalnay main 
Dair kitni lagti hai !
Titliyon kay dil'awaiz 
Narm narm pankhon se 
Dil'kashi utarnay main 
Dair jitni lagti hai !

Suno ! ab kuch dino se haal aisa hai


Suno ! ab kuch dino se haal aisa hai 

Koi kitni bhi zilat de 

Koi jitni raoonat se hamain ronday

Bura bilkul nahin lagta 

Gila koi nahin hota 

Sukoon mehsoos hota hai 

Dua lab se nikalti hai

Suna hai us ky badan ki traash aisi hai


Suna hai us ky badan ki traash aisi hai
Keh phool apni qbaein qtar ky dekhtay hain 

Woh saroo qad hai magar be'gul-e-muraad nahin 
Keh is shajar pe shagoofy samar ky dekhty hain 

Bas ik nigha se luta hai qafla dil ka 
So raah-e-rawaan tamana bhi dar ky dekhty hain 

Suna hai is ky shabistaan se mutasil hai behshat 
Makeen idhar ky bhi jalwey udhar dekhty hain 

Ruky to gardashein is ka twaaf karti hain 
Chlay to is ko zamany tehar ky dekhty hain 

Kissy naseeb hai  be'pehrahan issay dekhay 
Kabhi kabhi dar-o-dewaar ghar ky dekhty hain 

Kahaniyaan hi sahi sab mubalghay hi sahi 
Agar woh khwaab hai to tabeer kar ky dekhty hain 

Ab is ky shaher main tehrein keh kooch kar jayein 
Faraz ayo sitaray safar ky dekhty hain

Sandal se mehkti hui pur kaif hawa ka


Sandal se mehakti hui pur'kaif hawa ka 

Jhonka koi takraye to lagta hai keh tum ho

Yeh meri zaat ki sab se bari tamana thi


Yeh meri zaat ki sab se bari tamana thi 

Kaash keh woh mera hota meray naam ki tarah

Tu ne dekhi hai woh paishani woh ruksaar woh hont


Tu ne dekhi hai woh paishani woh ruksaar woh hont

Zindagi jin ky tasawar main luta di hum ne 

Tujh pe uthi hain woh khoyi hui saher aankahin 

Tujh ko maloom hai kiyon umar ganwa di hum ne

Aaj barson ky baad dekha hai


Purani kitaab main rakhi tasveer se baatein

Aaj barson ky baad dekha hai
Ab bhi aankhon ka rang gehra hai 

Aur maathay ki sanwali silakeer 
Dil main kitney diye jalati hai

Teri qamat ky saye ki kushboo
Gutagoo main bahaar ka mousam 

Kiyon mujhay saray dhang yaad rahay 
Kitni hairaan ho gayi khud par 

Main tujhay aaj tak nahin bhooli
Pichlay mousam ki yaad baaqi hai

Mohabbat zaat hoti hai


Mohabbat zaat hoti hai 

Mohabbat zaat hoti hai 
Mohabbat zaat ki takmeel hoti hai 
Koi jungle main jaa tehray , kisi basti main bas jaye 
Mohabbat saath hoti hai 
Mohabbat khushbo'on kay liye
Mohabbat mousamon ka dhun 
Mohabbat aabshaaron kay nikhartay paaniyon ka mann
Mohabbat junglon main raqs karti morni ka tan 
Mohabbat chilchalaatay garam sehraaon main thandi chayon ki maanind 
Mohabbat ajnabi duniya main apnay gaaon ki maanind
Mohabbat dil 
Mohabbat jaan 
Mohabbat rooh ka darmaan 
Mohabbat moorti hai 
Aur kabhi jo dil kay mandir main kahin par toot jaye to 
Mohabbat kaanch ki guriya 
Fizaon main kisi kay haath se gar choot jaye to 
Mohabbat aabla hai karb ka 
Aur phoot jaye to
Mohabbat rog hoti hai 
Mohabbat sog hoti hai 
Mohabbat shaam hoti hai 
Mohabbat raat hoti hai 
Mohabbat jhil'milaati aankh main barsaat hoti hai 
Mohabbat neend ki rut main haseen khwaabon kay raaston par 
Sulagtay 
Jaan ko aatay rat'jagon ki ghaat hoti hai 
Mohabbat jeet hoti hai 
Mohabbat maat hoti hai 
Mohabbat zaat hoti hai 

Bhout hi toot ky tum yaad mujh ko aye ho


Bhout hi toot ky tum yaad mujh ko aye ho

Agarcha sardiyon ki pehli pehli baarish hai

Kitni dil'kash hai us ki khamoshi


Kitni dil'kash hai us ki khamoshi 

Sari batein fazool hon jaisay

Paas reh kar juda si lagti hai


Paas reh kar juda si lagti hai 

Zindagi be'wafa si lagti hai

Main tumharay baghair bhi jee loon 

Yeh dua bad'dua si lagti hai

Naam us ka likha hai aankhon par 

Aansoo'on ki khata si lagti hai

Woh abhi is taraf se guzra hai 

Zameen asmaan si lagti hai

Meri jaan thek kehti ho


Meri jaan thek kehti ho 
Hamari is mohabbat ka 
bhala kiya faida ho ga
Hamaray darmiyaan jo dooriyan hain 
Kam nahin hon gi 
Kabhi baarish ky mousam main 
Hamesha saath rehnay ki 
Jo khwaish dil main jaagi thi
Jo sapnay hum ne dekhy thay 
Woh sapny toot jayein gy 

Meri jaan thek kehti ho 
Muqadar ky likhay ko hi agar tasleem karna hai 
To phir aisi mohabbat ka 
Koi bhi faida kaisa 
Magar is ko agar chaho
To meri be'basi keh lo
Mujhay tum se mohabbat hai 

Aankhon main koi khwaab utarney nahin deta


Aankhon main koi khwaab utarney nahin deta 
Yeh dil keh mujhay chain se marney nahin deta 

Bichray to ajab pyaar jatata hai khaton main 
Mil jaye to phir had se guzarney nahin deta 

Woh shakhs khizaan rut main bhi mohtaat rahay kitna
Sookhay huwey phoolon ko bikharny nahin deta 

Ik roz teri pyaas khreeday ga woh ghabroo
Paani tujhay panghat se jo bharne nahi deta 

Woh dil main tabasam ki kiran gholney wala 
Roothay to ruton ko bhi sanwarny nahin deta 

Main us ko mnayon keh gham-e-deher se uljhon 
Mohsin woh koi kaam bhi karney nahin deta

Mohabbat se . inayat se , wafa se chot lagti hai


Mohabbat se . inayat se , wafa se chot lagti hai 
Bikharta phool hoon mujh ko hawa se chot lagti hai 

MAin shabnam ki zubaan se phool ki awaaz sunta hoon 
Ajab ehsaas hai , apni sdaa se chot lagti hai 

Tujhay khud apni majboori ka andaza nahin shayed 
Na kar ehad-e-wafa , ehad-e-wafa se chot lagti hai

Meri aankhon main ansoo ki tarah ik baar aa jao 
Takaluf se , bnawat se , ada se chot lagti hai

Mohabbat ky sagar chal'lakny lagein hain


Mohabbat ky sagar chal'lakny lagein hain 
Woh dil ban ky dil main dharakny lagein hain

Yeh kaisi wafaon ki raat aa gayi hai 
Khyalon main ik be'khudi chaa gayi hai 
Qadam zindagi ky behakny lagaein hain 

Umangon ky phoolon se daman bhara hai 
Mera khwaab kaisay haqeeqat bana hai 
Nighaon main jugnoo chamkney lagein hain 

Sitaron se alag hai duniya wafa ki 
Magar hum ne ki hai tamana wafa ki 
Jahan aaj hairat se takney lagein hain
 
 

Mohabbat ky anokhy thay sabhi andaaz, kiya karty


Mohabbat kay anokhay thay sabhi andaaz , kiya kartay 
Rahay hum bhi guraizaan , aap bhi na'raaz , kiya kartay 

Sanam tujh se mohabbat ka bhala aaghaaz kiya kartay 
Labon ne kehna chaha, par na thi awaaz , kiya kartay 

Habib dil bhi kiya kartay , meray dam'saaz kiya kartay 
Mujhay jab dard hi tha raas, chaara saaz kiya kartay 

Hajoom-e-shaher main kho jaatay hain hum chain paanay ko 
Akelay main staati thi teri awaaz , kiya kartay 

Meray nazuk se dil ko us ne pal main tor daala tha 
Ussay bhaati thi tootay kaanch ki awaaz , kiya kartay ?

Saja kar woh tabasum kitnay gham tum se chupaati thi 
Magar anmol kay tum jaan kar woh raaz kiya kartay ?

Mohabbat to baarish hai


Mohabbat to baarish hai 

Jissay choonay ki khwaish main 

Hathelian geeli ho jati hain 

Magar hath 

Hamesha khaali hi rehty hain

Milein gi hum ko bhi apny naseeb ki kushiyaan


Milein gi hum ko bhi apny naseeb ki kushiyaan 

Bas intizaar hai kab yeh kamaal hona hai

Labon pe muskurahat aankhon main khumaar aa hi jata hai


Labon pe muskurahat aankhon main khumaar aa hi jata hai 
Kisi ky dil se ho jao to phir piyaar aa hi jata hai 

Keh jis ki zindagi saari ghamon ko sehty guzri ho 
Woh kaanton pe bhi soye to qaraar aa hi jata hai 

Her aik ko chahatein de kar silay main gham uthaye hon 
To phir yeh chahatein karna shumaar aa hi jata hai 

Kisi bhi raaz ko dil main chupanay ki sa'ai kar lo 
Woh aakhir aik na ik din zubaan par aa hi jata hai 

Keh jis ka dil wafa ky aabgeeno se muzian ho
Ussy phir be'wafa pe aitabaar aa hi jata hai

Kiyon tum se mohabbat hai


Kiyon tum se mohabbat hai 

JAnay kiya baat hai 
Kiyon mujhay tum se mohabbat hai 
Chaand sitaron se haseen lagty ho 
Zindgaani ki baharon se haseen lagty ho 
Aisa kiya hai keh hazaron se haseen lagty ho 
Janay kiya baat hai 
Kiyon tum se mohabbat hai mujhay 
Meri dharkan ho , meri saans ho , awaaz ho tum 
Sab se jo chupaya woh ik raaz ho tum 
Sach to yeh hai meri jaan , hum raaz ho tum

Dil dehal jaye ga gar sheesha-e-dil par meray


Dil dehal jaye ga gar sheesha-e-dil par meray 

Dekh lo dard ka pathrao kabhi shaam dhlay

Khud'darion main had se guzar jana chaiye


Khud'darion main had se guzar jana chaiye
Izzat se jee na payein  to mar jana chaiye

MAin us se milna chahti thi sadgi ky sath 
Aainay keh rahay hain sanwar jana chaiye

Us ne meri shanakht ky dar band kar diye
Kiya ab bhi loat ky mujhay ghar jana chaiye

Doraahay pe khari hui yeh sochti hoon main 
Raahay amaan kidhar hai kidhar jana chaiye

Bas aik khwaab ka soda hai zindagi 
Baaqi haqeeqaton se mukar jana chiye

Kaash yeh lamhay tehar jayein , tehar jayein zara


Sabaz madham roshni main surakh aanchal ki dhanak 

Sard kamray main machalti garam sanson ki mehak

Bazo'on ky halqy main koi nazak badan 

Salwatein malboos par , Anchal bhi kuch dhalka hua 

Garmei-e-rukhsaar se dehki hui thandi hawa

Naram zulfon se mulaem ungliyon ki chair chaarr

Surakh honton pe shrarat ky kisi lamhay ka aks

Reshmein baanhon main churi ki kabhi madham khanak

Sarmageen lehjon main dheeray se kabhi chahat ki baat 

Do dilon ki dharkan main goonjti thi ik sada 

Kaampty honton pe thi Khuda se sirf ik dua 

Kaash yeh lamhay  tehar jayein , tehaar jayein zara

Kabhi mujh ko sath le kar , Kabhi meray sath chal kar


Kabhi mujh ko saath lay kar , kabhi meray saath chal kay 
Woh badal gaya achanak , meri zindagi badal kay 

Huye jis pe meharbaan tum koi khush'naseeb ho ga 
Meri hasratain to niklein , meray aanso'on main dhal kay 

Teri zulf-o-rukh kay qurbaan dil-e-zaar dhoondta hai 
Wohi cham'pai ujaalay , wohi surmai dhundlakay 

Koi phool ban gaya hai , koi chaand , koi taara 
Jo chragh bujh gaye hain , teri anjuman main jal kay 

Meray dosto khudaara meray saath tum bhi dhoondo 
Woh yahin kahin chuppay hain meray gahm ka rukh badal kay 

Teri be'jih'jhak hansi se na kisi ka dil ho maila 
YEh nagar hai aainon ka , yahan saans lay sambhal kay

MAin ne yeh soch ky boye nahin khwabon ky darakhat


MAin ne yeh soch ky boye nahin khwabon ky darakhat 

Kon sehra main lagay pairr ko paani de ga

Phir aaj aanso'on main nahai hai raat


Phir aaj aanso'on main nahai hai raat 

Shayed hamari tarah stai hui hai raat

Mehfil si saja deti hain aksar teri yaadein


Tu jaisay meray paas hai aur mehav-e-sukhan hai 

Mehfil si saja deti hain aksar teri yaadein

Rehtay ho aaj bhi sanson ky beech tum


Rehtay ho aaj bhi 

Sanson ky beech tum 

Yaadon ky beech tum 

Kitabon ky beech tum 

Jab bhi qalam uthatey hain 

Likhney ky waasty 

Ban ky ghazal aa jate ho 

Lafzon ky beech tum

Qurbaton main bhi judai ky zamanay mangay


Qurbaton main bhi judai ky zamanay mangay 

Dil woh be'mehar keh rony ky bahanay maangy

Hisaab-e-umar ka itna sa goshwara hai


Hisaab-e-umar ka itna sa goshwara hai 

Tumhain nikaal ky dekha to sab khasara hai

Aik naam kiya likha tera sahil ki rait par


Aik naam kiya likha tera sahil ki rait par 

Phir umar bhar hawa se meri dushmani rahi

Teri chaah se chahat aur tujh se bhout mohabbat


Teri chaah se chahat 
Aur tujh se bhout mohabbat 
Karty rahay teri 
Din raat ibadat 
Phir rut si badli 
Phir ho gayi furqat 
Hum tum ko kiya detay
Bhout ziada thi ghurbat 
Hum maangty tum se tum ko 
Itni bhi na thi jurrat 
Log martay hain jin par 
Kab hoti hain un main ulfat 
Waqat badal jata hai 
Dil bhi badalty hain 
Das baras baad tum se hum poochain 
Hum se ab bhi mohabbat hai 
Jawaab us ka yeh aya 
Nahin ho saky gi tum se nafrat 
Tum aaj bhi ho 
Kal bhi thein 
Meri mohabbat 

Fasalay qurb ki pehchaan hua kartay hain


Faaslay qurb ki pehchaan hua kartay hain 
Be'sabab log parishaan hua kartay hain 

Yeh haqeeqat hai jahaan toot kay chaha jaye 
Wahan bicharnay kay bhi imkaan hua kartay hain 

Meray phailay huye haathon ko haqarat se na dekho 
Maangnay walay bhi insaan hua kartay hain 

Hum be'sabar thay magar hum se bicharnay walay 
Hum teri zabt pe hairaan hua kartayhain 

Gham ki hiddat se kohsaar pighaltay dekhye 
Inssan to phir insaan hua kartayhain 

Zindagi jin kay liye jurm-o-saza ho "Natiq"
Ghar bhi un kay liye zindaan hua kartay hain

Kahan ho tum chlay ayo mohabbat ka taqaza hai


Kahan ho tum chlay ayo mohabbat ka taqaza hai
Gham-e-duniya se ghabra kar tumhain dil ne pukara hai

Tumhari be'rukhi ik din hamari jaan le le gi
Qasam tum ko zara socho keh dastoor-e-wafa kiya hai

Na janay kis liyeduniya ki nazrain phir gayein hum se
Tumhain dekha tumhain chaha qasoor is ky siwa kiya hai 

Na hai fariyaad honton par na aankhon main koi ansoo
Zamanay se mila jo gham is ne dil ko mitaya hai 


Kahan ho tum chlay ayo mohabbat ka taqaza hai
Gham-e-duniya se ghabra kar tumhain dil ne pukara hai



Usi jaga pe khara hoon jahan woh bichra tha


Usi jaga pe khara hoon jahan woh bichra tha 

Suna hai jab se keh mousam palat ky atay hain

Mousam ki pehli baarish thi


Mousam ki pehli baarish thi 

Tan pani main , mann yadon main 

Kab kitna bheega yaad nahin 

Yaad hai to bas itna hai 

Keh !

Is se pichli baarish main 

Hum dono sang sang bheegay thay

Jab raat ki tanhai dil ban ky dharakti hai


Jab raat ki tanhai dil ban ky dharakti hai 
Yaadon ky dareechon main chilman si sarakti hain 

Lobaan main chingari jiasay koi rakh de 
Youn yaad teri shab bhar seenay main sulagti hai

Youn piyaar nahin chupta , palkon ky jhukanay se 
Aankhon ky lifafon main tehreer chamkati hai

Kush rang prindon ky loat anay ky din aye
Bichray huwey milty hain , jab barf pighalti hai 

Sohrat ki bulandi bhi , pal bhar ka tamasha hai
Jis daal pe baithay ho , woh toot bhi sakti hai

Hasrat hai tumhari deed karain


Hasrat hai tumhari deed karain 

Tum ayo to hum bhi eid krain

Chahon to ik nigha main us ko khreed loon


Chahon to ik nigha main us ko khreed loon 

Jis ko bhout hai naaz keh bikta nahin hoon main

Boondein girein to aankh main ansoo bhi aa gaye


Boondein girein to aankh main ansoo bhi aa gaye

Baarish ka us ki yaad se rishta zaroor hai

Bhool janay ka tujhay kaisay tasawar kar loon


Bhool janay ka tujhay kaisay tasawar kar loon 

Meri her saans se wabasta hain yaadain teri

Khwaab aur kushboo


Khwaab aur khushboo

Dono hi Aazada ro hain 
Dono qaid nahin ho saktay 
Meray khwaab 
Tumhari kushboo

Wasi Shah
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...