Meri zaat zarah-e-be'nishaan
Main woh kis tarah se karoon biyaan
Jo kiye gaye hain sitam yahan
Sunay kon meri yeh daastaan
Koi hamnasheen hai na raaz'daan
Jo tha jhoot woh bana sach yahan
Nahin kholi magar main ne zubaan
Yeh akela pan yeh udasiyaan
Meri zindagi ki hain tarjumaan
Meri zaat zarah-e-be'nishaan
Kabhi sooni subha main dhoondna
Kabhi ujri shaam ko dekhna
Kabhi bheegi palkon se jaagna
KAbhi beetay lamhon ko sochna
MAgar ik pal hai umeed ka
Hai mujhe khuda ka jo asaraa
Nahin main ne koi gila kiya
Na hi main ne di hain dohaiyaan
Meri zaat zarah-e-be'nishaan
Main batayon kiya mujhe kiya milay
Mujhe sabar hi ka sila milay
Kisi yaad hi ki rida milay
Kisi dard hi ka sila milay
Kisi gham ki dil main jaga milay
Jo mera hai woh mujhe aa milay
Rahay shaad youn hi mera jahan
Keh yaqeen main badlay mera gumaan
Meri zaat zarah-e-be'nishaan