Jun 26, 2014

Mohabbat rait jaisi hai


Mohabbat rait jaisi hai 

Mujhay yeh ghalt'fehmi thi 

Keh mohabbat dhair sari thi 

Dono hathon main bhar kar 

Tamaam umar sambhaalon ga 

Kabhi khoney nahin doon ga 

Mohabbat khoney ky dar se 

Muthiyaan bheench lein main ne 

Magar jab muthiyaan kholein 

To dono hath khaali thay 

Kiyon keh 

Mohabbat rait jaisi hai
 

Main ne tumhain apni moahbbat kay shaher


Main ne tumhain 

Apni mohabaton ke shaher 

Wafaon ki jageer 

Aur 

Wadon ki zangeer se

Azaad kiya 

Khudaara....

Yeh mat poochna keh 

Main ne khud ko 

Tumhari qaid se 

Azaad kiya ya nahin 

Yaqeen jano 

Main 

In qaidiyon main se hoon 

Jo khulay darwaze dekh kar 

Faraar nahin hoty

Kuch dair pehlay neend se


Kal raat janey kiya hua 

Kuch dair pehlay neend se 

Kuch ashk milney aa gaye 

Kuch khwaab bhi tootay huwey

Kuch log bhi bhoolay huwey

Kuch raasta bhatky huwey

Kuch gard main liptay huwey 

Be'rabat si sochain kahin 

Bhooli hui baatein kahin 

Ek shakhs ki yaadain kahin 

Phir dair tak jaga raha 

Soch  main gum baitha raha 

Ungli se thanday farash par 

Ek naam bas likhta raha 

Kal raat bhi woh raat thi

Kuch dair pehlay neend se

Main dair tak rota raha ..!!

Kaho to loat jate hain abhi to baat lamhon ki hai


Kaho to loat jate hain 

Abhi to baat lamhon tak hai , sadiyon tak nahi ayi

Abhu muskaan ki nobat bhi , honton tak nahin ayi 

Abhi tak koi majboori khyalon tak nahi ayi 

Abhi to gard pairon tak hai , baalon tak nahin ayi

Kaho to loat jatay hain 

Tumhara sath gar mil jaye

To zamaney se olajhna , baat hi kiya hai 

Agar tum chor do mujh ko, meri oaqaat hi kiya hai 

Meray baaray main na socho 

Tum apni baat batlao

Kaho to chalty rehtay hain 

Kaho to loat jatay hain 


La'ilmi woh kehta tha


La'ilmi

Woh kehta tha 

Suno!

Mohabbaton main dooriyan 

Mohabbaton ko aur mazboot bana dati hain 

Lakin 

Ussay shayed yeh khabar nahin hai 

Keh faaslay 

Dilon par banay naqoosh bhi to dhundla datey hain 

Saans lena aik adat hai


Saans lena aik adat hai 

Warna zindagi to ab be'jaan si ho gai

Aankhon main na'umeedi ki roshna 

Na hi maazi main kuch tatolney ki justagoo

Yeh qadam na'hamwaar raahon ky itnay aadi huwey 

Keh ham'waar rah'guzar par bhi aik jhatka laga 

Saans lena bhi aik aadat hai 

Aur youn kuch Aadatein mar kar bho choot'ti nahin

Muddat ky baad hath ki lakeer dekh kar


Muddat ky baad hath ki lakeer dekh kar
Dil jal utha hai khwaab ki tabeer dekh kar

Hum ne dil main is liye pathar basa liye
Taj mahal ki dil'kash tameer daikh kar

Meri hi muntazir hain yahan bhi gardashein
Ya asmaan se utarti hain taqdeer daikh kar

Muddat baad dil pe rakha hai hum ne hath
Kaghaz pe taray hath ki tehreer daikh kar

Ahl-e-karam na apnay khazaney luta diya
Waqat ka mara dil ka ameer daikh kar

Qismat ky maray janay kiyon chal diye udhar
Manzil bhi door ho gayi raah geer daikh kar

Logon ne apnay paaon main zanjeer daal li
Teri zulf ka hua aseer daikh kar

Dil ab bhi chahta hai tum hi par nisaar ho
Takhiyal sa kahin haseen teri tasveer dekh kar 

Gee chahta hai ghar se kahin door nikal parein
Ishtiaq itnay saray masail ghambeer daikh kar 
 
 

Dekhtay hain yeh aziat gawara kar ky


Dekhtay hain yeh aziat gawara kar ky 

Baaton baaton main bicharney ka ishara kar ke
Khud bhi roya woh bhout hum se kinara kar ke

Sochta rehta hoon tanhai main anjaam-e-khaloos
Phir usi juram-e-mohabbat ko dobara kar ke

JAgmaga di hain teray shaher ki galiyaan main ne
Apnay her askh ko palkon pe sitara kar ke

Daikh letay hain chalo hosla apne dil ka 
Aur kuch roz teray sath guzara kar ke

Aik hi shaher main rehna magar milna nahin 
Dekhtay hain yeh aziat gawara kar ky

Suno tum loat aao na


Suno tum loat aao na 
Woh dekho chaand nikla hai 
Hamari muntazir aankhain 
Duaein maangti aankhain 
Tumhain sochti aankhain
Tumhain dhoondti aankhain 
Tumhain wapis bulati hain
Yeh dil jab bhi dharakta hai 
Tumhara naam leta hai 
Yeh aansoo jab bhi behtay hain 
Tumharay dukh main behtay hain 
Keh baarish jab bhi hoti hai 
Tumhain yaad kartay hain 
Khushi koi jo aye bhi 
Tumharay bin adhoori hai
Suno tum loat aao na 
Woh dekho chaand nikla hai

Aankhin khwaab dekhti hain kisi se mil janay ka


Aankhin khwaab dekhti hain 
Kisi se mil janey ka 
Ya khud ko kho denay ka 
Tanha reh janay ka 
Khud ko aur dekhnay ka 
Chahat haar denay ka 

Aankhin khwaab dekhti hain 

Bichray huwey lamhon ka 
Kisi raasty pe mil janey ka 
Zakhmon ky sil janey ka 
Zamaney ky guzar janey ka 
Khwaab ky hasil ki haqeeqat ka 
Haqeeqat ka khwaab main tehleel honey ka 
Bikhray khwabon ki takmeel ka 
Tum to khud ik khwaab ho 
Husan ka , jawani ka 
Ik dard bhari kahani ka

Be'naam musafir hoon be'naam safar mera


Be'naam musafir hoon 
Be'naam safar mera
Kis raah nikal jaon 
Kuch keh nahin sakta 
Be'naam meri manzil hai 
Be'naam thikana hai 
Kis dar pe main ruk jaon 
Kuch keh nahin sakta 
Is paar to roshan hai sara mera raasta 
Us paar andhera ho
Kuch keh nahin sakta 
Tinkay ki tarah main bhi beh jaon samandar main 
Mil jaye ga kinara 
Kuch keh nahin sakta 
Mil jaye gi tabeer meray khawabon ki aik din
Yeh khwaab bikhar jayein 
Kuch keh nahin sakta

Un'kahi ky lehjay main kiya nahin kaha hum ne

Un'kahi ky lehjay main 

Kiya nahin kaha hum ne 

Un'suni ky parday main 

Kiya nahin suna tum ne 

Raaz jo nahin khulta 

Dooriyon se darna kiya 

Aah sard bharna kiya 

Aisi rut bhi aye gi 

Jab ky shaakh-e-farda par 

Misl-e-gul khilain gy hum 

Aik din milain gy hum

Chal chalty hain us paar sanam jahan lehron ki khamoshi ho


Chal chalty hain us paar sanam 

Jahan lehron ki khamoshi ho 

Jahan sansoon ki madhoshi ho

Jahan jazbon ki behoshi ho 

Jahan aankhon se sargoshi ho 

Chal chalty hain us paar sanam 

Ik naye aas lagany ko 

ik doojay main kho janay ko 

Ik pal ky naam ho janey ko 

Chal chalty hain us paar sanam

Jahan asaan sari raahain hon 

Jahan ik doojay ki baahain hon 

Jahan lab pe sard si aahain hon 

Jahan pyar ki kuch panaehin hon 

Chal chalty hain us paar sanam



Badnaam zamane main mohabbat nahin karty


Badnaam zamane main mohabbat nahin karty 
Dil wale to dushman se bhi nafrat nahin karty

Ek baar jissay chaha sada us ky rahay phir 
Hum log amanat main khiyanat nahin karty

Tanhai main kar letay hain yaad ansoo baha kar 
Zahir kabhi hum apni ibaadat nahin karty 

Waqat anay par maloom yeh ho jaye ga tum ko 
Hum sirf dikhwey ki mohabbat nahin karty

Likhty hain ik faqat tumharay liye ghazlein 
Her shakhs pe hum aisi enayat nahin karty

Mere ishq ko na nidhaal kar


Mere ishq ko na nidhaal kar 
Kabhi be'hijaab wasal kar

Meri aankh ko beenai de
Meray qalab ko ujaal jar

Mujhay dars de fanaa ka 
Meray ishq main bura haal kar 

Mujhay de saza koi sakhat si 
Mujhay is jahan main misaal kar 

Meri asal surat bigaar de
Kisi ishq bhati main daal kar

Mujhay bhi pla koi aisi shy
Kabhi meri aankhain bhi laal kar 

Woh jo is jahan main halaal hai 
Kabhi us jahan main halaal kar 

Teri talab main hoon dar badar 
Kabhi is simat bhi khyal kar 

Ansoo hain meray sathi kuch khwaab puranay hain

Ansoo hain meray sathi 
Kuch khwaab puranay hain 
Kuch paas nahi baaqi
Teray paas chala ayon 
Teri need chura loon 
Mere dil se na janay kiyon 
Yeh khwaish nahin jati 
Din raat tumhain dekhon 
Aur
Pyaar kiye jayon 
Meri aankhon se
Mere dil se
Teri pyaas nahin jati 
Ik doojy se dono ko 
Yeh kaisi adawat hai
Teri yaad jo aa jaye
phir
Neend nahin ati

Tanha tanha si raat aur tanha tanha se hum


Tanha tanha si raat aur tanha tanha se hum 

Afsurda afsurda yaadain 

Bheega bheega mousam 

Sookhy paton ka shor 

Andheray ki sargoshi 

Dharkan ki aahat 

Qismat se apne shikwey

Teray ehsaas ka atoot bandhan 

Teray sath guzray pal 

Teray loat anay ki umeedain 

Teray rastay pe nazar 

Lamha lamha raat ka dhalna 

Pal pal apni aas ka tootna 

Dil ke zakhmon ka gehra hona 

Phir 

Tanha tanha si raat aur tanha tanha se hum

Hum nazuk hain bilkul kisi ehsaas ki tarah


Hum nazuk hain bilkul kisi ehsaas ki tarah 

Tum na socho gy to mar jayein ge

Paas raho ya door bas itn akhyal rakhna

Tum na dekho gy to mar jayein gy 

Titliyon main aur hum main yeh baat hai mushtarik

Pakar ky jab choro gy hamain to mar jayein gy 

Apne dil ki tehni pe hi khila rehnay do 

JAb bhi tehni se toro ge to mar jayein gy

Kabhi na milna hum se moj-e-dariya ban kar 

Mil ky jab bichro gy hum se to mar jayein gy

Yeh chahaton ky silsaly ajeeb thay ajeeb hain


Yeh chahaton ky silsaly ajeeb thay ajeeb hain
KAbhi woh hum se door hain kabhi bhout qareeb hain 

Jo chaha woh na pa saky jo paa liya ussay na chah sake
Gila karain to kiya karain sab ky apne apne naseeb hain 

Na koi apna hai yahan jissay haal-e-dil suna sakein 
Jo dost hain woh door hain jo paas hain woh raqeeb hain 

Gila karain to kiya karain sab apne apne naseeb hain 
Yeh chahaton ky silsaly ajeeb thay ajeeb hain 
 

Tumhain ik baat kehni hai


Tumhain ik baat kehni hai 

Magar naraaz mat hona 
Keh tum jo her gharri mujh ko 

Youn itna yaad ati ho
Hamain itna satati ho

Keh hum tum door hain dono
Bhout majboor hain dono 

Na itn yaad aao tum 
na youn itna stayo tum 

Keh itna yaad aa kar youn 
Hamain pagal bana kar tum 

Faqat itna bat do keh 
Hamari jaan lo gi kiya 

Magar yeh bhi haqeeqat hai 
Tumhari yaad hi to hai 

Her khushi main bhi
Her gham main bhi 

Udasi ky palon main bhi 
Tumhari yaad ati hai 

Jo her pal yeh batati hai 
Mujhay ehsaas dilati hai

Hum tum bin adhore hain 
Hum tum bin adhore hain

Jhoota nikla iqraar tera


Jhoota nikla iqraar tera
Ab kis ko hai aitabaar tera

Dam naak main aa raha tha apna
Tha raat yeh intizaar tera

Kar jabar jahan talak tu chahye
Mera kiya , ikhtiyaar tera

Lipta hoon gale se aap apne
Samjha hoon keh hai kinara tera

'Insha ' se mat rooth mat khafa ho
Hai banda jaan'nisaar tera

Hansty hain youn hans kar rula jatay hain log


Hansty hain youn hans kar rula jatay hain log 
Milte hain youn hi mil kar juda ho jate hain log 

Pal do pal ki mohabbat ko umar ka sath samjhna 
Mohabbat bhi kartay hain aur khafa bhi ho jate hain log 

Naseeb main pyaar na tha jo mujhay mila hi nahin 
Kar ky izhaar-e-mohabbat bhi be'parwah ho jate hain log 

Ab kis se shikwa karain apni mohabbat ka ae naaz
Kar ky wafa ky wade be'wafa ho jatay hain log

Khwaab kho jatay hain


Woh ajeeb mousam tha 
Hum ne koray kaaghaz par 
Apne khwaab likhay thay 
Hum ne khwaab dekhay thay 
Ankahi kahani ky 
Haroof sab dua se thay 
Dard ku bulawey thay 
Dil ki hukam'rani thi 
Door ufaq kinaron tak
Raah guizaar hamari thi 
Anginat zamano main 
Saans le rahay thay hum 
Ajnabi jazeeron main 
Naqsh paa hamaray thay 
Aankh main thein tehreerain 
Be'pannah jalwon ki 
Chandani ky lehjay ne 
Hum se guftagoo ki thi 
Zindagi ka her manzar 
Lamha lamha jaga tha 
Pehli baar hi hum ne 
Zindagi ko dekha tha 
Roz-o-shab ky meley main 
Khwaab hi to sacha tha 
Fasalon ky jungle main 
Khwaab kho bhi jatay hain

Kal shab poocha chaand se


Kal shab poocha chaand se 

Suno 

Chandani in raaton main 
Kho kar kahin woh baaton main 
Kiya naam woh mera leti hai 

Jab tujh ko takti ho gi woh 
Kuch baatain karti ho gi woh 
Kiya paighaam woh tujhe dati hai

Kuch dair youn khamosh thay 
Phir chaand ne ik baat kahin 

Woh khoi khoi rehti hai 
Hansti hai na hi roti hai 
Sochon main gum hoti hai 
Mujh se kuch na kehti hai 
Naam tera na leti hai 
Na paighaam bhi koi deti hai 

Yeh sun kar dil ko thaam liya 
Main ne ro kar tera naam liya 
Zehar ka ik jaam piya 

Aur chaand ko yeh paighaam dia 
Main yaad ussay bhout karta hoon 
Itna ussay tum keh dena

Phir 

Naam mera woh lati hai 
ya 
Paighaam woh koi deti hai

Be'qasoor nahin tu be'wafa hai

Be'qasoor nahin tu be'wafa hai 

Dil main teray bad dagha hai

Tujhay kiya ehsaas hai kis ka 

Dil to apna hi jala hai 

Be'qasoor nahin tu be'wafa hai 

Teri jafa se anjaan tha main 

Ki thi mohabbat na'daan tha mian 

Sirf dard hi tum ne diya hai 

Be'qasoor nahin tu be'wafa hai

Koi qissa koi afsana sunaty jatay


Koi qissa koi afsana sunaty jatay
Meray maazi se mujhay milate jaty 

Dil ka murjhaya hua phool khilaty jatay
Yaad guzray huwey mousam ki dilaty jatay 

Aap ki raah main , main bhi to para rehta hoon 
Ek nazar dekh liya kejiye  atay  jatay

Mujh se yeh daagh-e-judai na gawara ho ga 
Ho sake to mujhay pathar ka banatay jatay 

Un se keh do bahaar aa gayi woh bhi aa keh 
Khaak gulzaar ki gulshan main urratay jatay


Meri baat abhi khatam hi kahan hui thi


Meri baat abhi khatam hi kahan hui thi 

Meri to zaat bhi jahan badnaam hui thi 

MAin ne to tum se bhout kuch kehna tha 

Meri aankhon ko bhi sawan ki tarah behna tha 

Tum ne mujhay kuch na kehnay ky qabil samjha 

Faqat raahon main paray pathron ky muqabal samjha 

Ab aye ho meray paas kiya kehnay ko ?

Ab to aankhon main ik aansoo bhi nahin behnay ko 

Mera to ik hi khwaab tha woh to toot gaya 

Waqat mutthi se rait ki tarah choot gaya 


Mujhay maaf kar meray hamsafar


Mujhay maaf kar meray hamsafar
Tujhay chahna meri bhool thi 

Kisi raah par jo uthay nazar 
Tujhay dekhna meri bhool thi 

Koi nazam ho ya koi ghazal 
Kahin raat ho ya khain sehar 

Woh gali gali woh shaher shaher 
Tujhay dhoondna meri bhool thi 

Meray gham ki koi dawa nahin 
Mujhay tujh sa koi mila nahin 

Mera koi teray siwa nahin 
Yeh sochna meri bhool thi 

Yeh yaad nahin kab pyaar hua

Yeh yaad nahin kab pyaar hua 
Bas yaad raha hamin pyaar tera

Jab pyaar hua sab bhool gaye 
Ek yaad raha bas naam tera 

Hum apni baatein bhool gaye 
Hamain yaad raha bas sath tera 

Kuch saalon baad woh hum se mile 
Hum ne poocha kiya hai haal tera 

Woh hans kar bola Ae pagal 
Tu yeh to bata kiya naam tera

Aao kisi shab mujhay toot kar bikharty dekho


Aao kisi shab mujhay toot kar bikharty dekho 
Meri ragon main zehar-e-judai utar'ta dekho 

Kis kis ada se tujhay maanga hai rab se 
Aao kabhi mujhay sajdon main siskata dekho 

Teri talaash main hum ne khud ko kho diya 
Mat aao samney magar kahin chup ky hamain trapta de

Main khyal hon kisi aur ka mujhay sochta koi hai


Main khyal hon kisi aur ka 
Mujhay sochta koi hai 
Sar-e-aaina mear aks hai 
Pas-e-aaina koi aur hai 

Main kisi ky dast-e-talab main hoon 
Tu kisi ky harf-e-dua main hai 
Main naseeb hon kisi aur ka 
Mujhay maangta koi aur hai 

Ajab aaitabaar-o-be'aitabari 
Ky darmiyaan hai zindagi 
Main qareeb hon kisi aur ky 
Mujhay janta koi aur hai 

Mujhay doston ka pata nahin 
Mujhay dushmano ki khabar nahin 
Meri dastaan koi aur hai 
Mera waqiya koi aur hai 

Jo milein kabhi  unhain poochna 
Dekhna unhain ghour se 
Jinhain rastay main khabar thi 
Keh yeh raasta koi aur hai 

Jo meri riayzat-e-neem shab 
Ko saleem subha na mil saki 
To is ky ma'anay to yeh huwa 
Keh yahan khuda koi hai 

Us ne mujhay chaha hi nahin main chahat samjh baitha


Us ne mujhay chaha hi nahin main chahat samjh baitha 

Us ki pal bhar ki muskurahat ko pyaar samjh baitha 

Woh to her baat pe haan karti thi main hi iqraar samjh baitha 

Us ne mujh se ziada ehmiyat di apne doston ko 

Main us ki yeh ada mazaak samjh baitha 

Us ne kaha bhi tha koi aur hai meri zindagi main 

MAin hi khud ko us ki zindagi main samjh baitha

Bari udaas raat hai


Badan thakan se choor hai 
Par neend hum se door hai 
Tera khyaal sath hai 
Bari udaas raat hai

Hawa-e-gham ka zor hai 
Samandron ka shor hai 
Judaion ki baat hai 
Bari udaas raat hai 

Her nazar sraab  hai 
Teray milne ka khwaab hai 
Yeh kon sa azaab hai 
Bari udaas raat hai 

GAye dino ki yaad hai 
Thaka thaka sa chaand hai 
Dukhi dukhi si baat hai 
Bari udaas raat hai 

Woh nahin mera magar us se mohabbat hai , to hai


Woh nahin mera magar us se mohabbat hai , to hai
Yeh agar rasmon riwajon se baghawat hai , to hai 

Sach ko main ne sach kaha, jab keh diya to keh diya 
Ab zamaney ki nazar main yeh himaqat hai , to hai 

Dost ban kar dushmano ki tarah woh satata hai mujhay 
Phir bhi us pathar dil pe marna apni fitrat hai , to hai 

KAb kaha main ne keh woh mil jaye mujh ko 
Us ki baanhon main dam nikle itni hasrat hai , to hai

Woh kisi aur ka hoga to qayamat ho gi


Woh kisi aur ka hoga to qayamat ho gi 
Phir kisi ko bhi kisi se na mohabbat ho gi

Ussay dekhey koi acha nahin lagta mujh ko 
Is se barh kar bhi koi aur mohabbat ho gi 

Raat kal chaand ko dekha to yeh ehsaas hua 
Woh akela hai ussay meri zaroorat ho gi 

Ae khuda us ko kisi aur ka hone na dena 
Zindagi bhar mujhay phir tujh se shikayat ho gi

Youn akelay main ussay ehd-e-wafa yaad aaye


Youn akelay main ussay ehd-e-wafa yaad aaye
Jisay bande ko museebat main khuda yaad  aaye

Jaisay bhatky huwey panchi nasheman apna 
Jaisay apno ky bichrney pe dua yaad aaye

Jaisay dhalti hui shamon ko sawera koi 
Jaisay pinjray main prinday ko fiza yaad aaye

Jisay boorhay ko khayalaat main bachpan apna 
Jaisay bachay ko shirarat pe saza yaad aaye 

Jaisay ujrri hui basti ko zamana apna 
Jaisay toofan ky theharney pe dia yaad aye

Hum jugnoo pakra karty thay


Yaadein
Hum jugnoo pakra karty thay 
In chote chote taron se
Ghar aangan mehka karty thay 
Kuch sapnay dekha kartay thay 
Kuch apne chaha karty thay 
Sawan ki mast hawaon main 
Hum jhoole jhoola karty thay 
Pehron chat pe baithay hum 
naghma gaya karty thay 
Kuch log staya karty thay 
Hum shor machaya karty thay 
Kiya din aur kiya raatein thein 
Ab yaadain hi bas rehti hain 
Hum un ko bhulaya karty thay 
Dil apna jalaya karty thay

Kushiyon ki baraat adhoori chor gaye ho


Kushiyon ki baraat adhoori chor gaye ho
Sajan dil ki baat adhoori chor gaye ho

Tum to khud thay pyaas bujhaney wale badal
Tum kiyon kar barsaat adhoori chor gaye ho

Aadhay aadhay kar ky meri neendain ,khwaab 
Meri ik ik raat adhoori chor gaye ho

Logon ki takmeel ka ba'ais bananay wale
Kiyon kar meri zaar adhoori chor gaye ho

Sadiyon ki sangat ky baray bol rahay thay 
Aur achanak baat adhoori chor gaye ho

Kaash hum bata paatay Kitna chaha hai tum ko


Kaash hum bata paatay
Kitna chaha hai tum ko
Kitna pooja hai tum ko 
Kis qadar mohabbat hai 
Kis qadar zaroorat hai 
Kaah hum bata paate
Jaan yeh tumhari hai 
Her kushi tumhari hai
Dil lagi tumhi se hai
Zindagi tumhi se hai 
Kaash hum bata paate
Rooh ki zaroorat ho 
Dil ki ibaddat ho 
Meri tum mohabbat ho
Kaash hum bata paate
Sirf tum mohabbat ho 
Sirf tum ko chaha hai 
Sirf tum hi chahat ho
Kaash hum bata patay

Udaas aankhain mujh ko achi lagti hain


Udaas aankhain 
Mujh ko achi lagti hain 
Han aisi aankhain 
Jin ko dekh kar 
Youn lagy 
Keh jaisay bhout kuch 
Chuppa rakha ho 
In aankhon ne apne andar 
Jin ko dekh kar youn lgy
Keh jaisay 
Woh kuch kehna chahati hain 
jin ko dekh kar youn lgy 
Keh jaisay 
In main kitne raaz chuppay hon 
Jin ko dekh kar youn lgy 
Keh jaisay 
Woh kisi ki talaash main hon
Jin ko dekh kar youn lgy
Keh jaisay 
Woh kuch thak si gayi hon 
Jin ko dekh kar youn lgy 
jaisay woh kisi soch main doobi hon 

Woh titli thi ussay urr jana tha


Woh titli thi ussay urr jana tha
Us ne meray hath main kab ana tha

Main dhoondta raha ussay dewano ki tarah
Us ki koi manzil na koi thikana tha

Is gharz se us ne mera hath nahin thama
Kiyon keh rastay main us ne chor jana tha

Us ne ansoo bhi bhout bahaye lakin
Baad main pata chala yeh sab bahana tha

Meri deewangi to had se guzar gayi magar
Us ky liye to mehaz yeh dil lagana tha

Qasoor us ka nahin is main koi anjum 
Khata to apni thi main hi zara deewana tha

Mohabbaton main kuch aisay bhi haal hote hain


Mohabbaton main kuch aisay bhi haal hote hain 
Khafa hon jin se unhi ky khyal hote hain 

Machalty rehtay hain zehno main was'wason ki tarah 
Haseen log bhi jaan ka wabaal hote hain

MAin dil ky zakham chupaon teri tarah kaisay 
Keh teray paas to lafzon ky jaal bhout hain 

Bas aik tu hi to sabab nahin udaasi ka 
Tarah tarah ky dilon ko malaal hote hain 

Siyaah raat main jalte hain juno'on ki tarah 
Dilon ky zakham bhi kitnay kamaal hote hain

Ik jaisi lagti hain churiyan aur larkiyan



Ik jaisi lagti hain churiyan aur larkiyan 
Hansti hain , khanakti hain ,churiyan aur larkiyaan 

Nazuk intiha ki ik zara si thais se 
Toot kar bikharti hain churiyan aur larkiyaan 

Un ky tornay wale ko ehsaas tak nahin hota 
Bikhar ky kab sambhlti hain churiyan aur larkiyaan 

Zindagi ki dharkano ko ik ridham sa deti hain 
Zeest ko sajati hain churiyan aur larkiyaan 

Apnay dukh ko apnay andar rakh ky bhool jati hain 
Bahir se chamakti hain churiyan aur larkiyaan 

Bhool gaye hum ko rishta to purana tha


Bhool gaye hum ko rishta to purana tha 
Ik yah bhi zamana hai ik woh bhi zamana tha 

Rangeen fizaein thein skhokh adaein thein 
Jazbon ki jawani thi mousam bhi sohana tha

Seenay se lagaya tha aankhon pe bethaya tha 
Maloom na tha tum ne youn chor ky jana tha 

Kiyon hum se khafa ho tum kiyon hum se juda ho tum 
Kiya juram hua hum se itna to batana tha 

Nafrat se bhari nazrain ik jaan hi le baithi 
Tukray bhi kiye dil ky kiya khoob nishana tha 

Phool sa kuch kalaam aur sahi


Phool sa kuch kalaam aur sahi
Ik ghazal us ky naam aur sahi 

Is ki zulfain bhout ghanairi hain 
Ik shak ka qayaam aur sahi

Zindagi ky udaas qissay hain 
Ik laki ka naam aur sahi 

Haseeno ko sunaein ghazlein 
Qatal ki ik shaam aur sahi 

Kap'kapati hai raat seenay main 
Zehar ka ik jaam aur sahi

Us ne pyaar ka khail bhi nafrat se khela


Us ne pyaar ka khail bhi nafrat se khela
Her baar woh zaalim meri hasrat se khela

Meri jaan-o-dil pe sara haq tha ussay
Dukh itna hai keh woh meri ghurbat se khela

Dil tora to bikharney bhi na dia us ne
Meray dil ky sath kitni ulfat se khela

Kaisay us ky hathon main barbaad na hota"faraz"
Pehli baar zindagi main koi itni mohabbat se khela

Main dil se baatein karta tha Dil mujh se baatein karta tha


Main dil se baatein karta tha 

Dil mujh se baatein karta tha 

MAin us ki sunta rehta tha 

Woh meri sunta rehta tha 

Hum dono apni baatein kartay thay 

Aur ik doojay ki baaton par

Hum dheeray se hanstay rehtay thay 

MAin dil ka dost hi acha tha 

Dil mear dost hi acha tha 

Woh meray dard ko sehta tha 

MAin us ky dard ko sehta tha 

Phir dil ne ik chaal chali 

Woh tumhari raah pe chal nikla 

Ab main bhi tanha rehta hoon 

Aur dil bhi tanha rehta hai

Ik bheegi hui si raat mily us raat main tera hath mile


Ik bheegi hui si raat mily 

Us raat main tera hath mile 

Teray lab se tapkain jo boondain 

Unhain meray labon ka sath milay 

Kuch tum bhi behkay behkay se 

Kuch mujh pe nasha sa taari ho 

Her pal main jaan madhoshi ho 

Ik aisi raat hamari ho 

Phir tum ayo meri baanhon main 

MAin pyaar karoon tumhain jee bhar ky 

Tum mujh se thora sharmao 

Sharma ky gale se lag jao 

Main jitna tum ko pyaar karoon 

Tum utnay hi be'taab ho jao

Hamain pyaar ky kuch lamhaat milain 

 Ik bheegi hui si raat mile

Na janay kiya ho ga na mil sakey agar tum


Na janay kiya ho ga na mil sakey agar tum
Saans to chalay gi par zinda na hon gy hum 
Dil main gilay to hon gy bhout 

Magar khamosh rahein gy asmaan ki tarah 
MAin rait se ulajti sehraon ki hawa hoon 
 
Woh sahilon pe chalta baad-e-saba ka jhonka 
Haan farq to bhout hai 
Par baat yeh faqat hai 
MAin laakh toot jayon 
khud hi se rooth jayon 
MAr hi kiyon na jayon 
Par yeh na ho ga mujh se
Keh main ussay Bhool jayon
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...