Aug 6, 2015

Chalo aisa karain mil ky sitaray baant letay hain


Chalo aisa karain mil ky sitaray baant letay hain
Zaroorat kay mutabiq sab saharay baant letay hain 

Mohabbat karnay walon ki tijaarat bhi anokhi hai 
Munaafa choor detay hain , khasara baant letay hain 

Agar milna nahin mumkin to lehron pe qadam rakh kar 
Abhi dariya-e-ulfat kay kinaaray baant letay hain 

Meri jholi main jitnay bhi wafa kay phool hain un ko 
Ikhatay baith kar ik roz saray baant letay hain 

Mohabbat kay ilawa paas apnay kuch nahin Faraz 
Isi doulat ko hum qismat kay maray baant letay hain

Shaam bhi shayed doob chuki hai


Shaam bhi shayed doob chuki hai 

Tumhein maloom hai jana 
Abhi kuch dair pehlay hi 
Udaas shaam ufaq ki dehleez pe baithi 
Qurbaton ki aarzoo
Mehakti , muskuraati , un kahi si guftagoo
Sur'mai se aanchalon ki aabru 
Abhi pur'namo par khawaab aankhon main sajaey 
Muntazir thi 
Abhi kuch dair pehlay hi 
Be'tuki si khawaish'ein 
Pur umeedi Aahatein 
Siskati , Aah bharti
Dam torti kawishein 
Be'rang muskurahatein 
Apnay dil-e-be'qaraar main liye 
Bari shiddat se tumhein takti rahi 
Keh ab woh aaye ga 
Pukaray ga 
sajaey ga 
Shabnami honton pe mera naam 
Magar jaana  ... !
Mujhay shak hai keh bhout dair ho chuki hai 
Din bhar jaltay jaltay suraj doob chuka hai 
Shaam bhi shayed doob chuki hai 
 

Yeh zindagi kabhi kabhi ajnabi si lagti hai



Yeh zindagi kabhi kabhi ajnabi si lagti hai
Jidher jidher uthay nazar , kami si lagti hai
Bujhi bujhi si hai keh'kishaan
Dhuwan dhuwan lagay jahan
Hawaein bhi agar choo'ein , jalaein hum ko khushboo'ein
Chragh ki roshni bhi sanwali si lagti hai
Lahu lahu hai Aarzoo , ghubaar hai chaar su
Kabhi gumaan, kabhi yaqeen , qadam kahin nazar kahin
Jo hosh main bhi rahein , be'khudi si lagti hai
YEh zindagi kabhi kabhi ajnabi si lagti hai

Mil kar juda huwey to na soya karain gy hum


Mil kar juda huye to na soya karein gay hum 
Ik doosray ki yaad main roya karein gay hum 

Aansoo chalak chalak kay staein gay raat bhar 
Moti palak palak main piroya karein gay hum 

Jab dooriyon ki aag dilon ko jalaey gi 
Jismon ko chandani main bhigoya karein gay hum 

Gar de gaya dagha hamein toofan bhi qateel 
Saahil pe kashtiyon ko daboya karein gay hum

Main jo roti hoon , behlaati hai teri tasveer


Main jo roti hoon , behlaati hai teri tasveer
Shab bhar meray dil ko behkaati hai teri tasveer
Chunti hai meri palkon se tairtay moti 
Main jo muskaaon , khil'khilaati hai teri tasveer

Kabhi jo bhoolnay lagti hoon baharon kay rang 
Rang woh aankhon main barsaati hai teri tasveer
Tum se mumkin hua gar le jayo meri aankhon se 
Meri putliyon main jag'magati hai teri tasveer
Door dais kay baasi teri meharbaani hai bari 
Meri tanhaiyon main gun'gunaati hai teri tasveer

Youn naqsh hai loh-e-dil pe is ki lakeerain 
Sitaron ki tarah tim'timaati hai teri tasveer

Yeh kis khalish ne phir is dil main ashiyana kiya


Yeh kis khalish ne phir is dil main Ashiyaani kiya 
Phir aaj kis ne sukhan hum se ghaibaana kiya 

Gham jahan ho , rukh-e-yaar ho keh dast-e-adu
Salook jis se kiya hum ne Aashqana kiya 

Thay khaak raah bhi , hum log qehar-e-toofan bhi 
Saha to kya na saha , kiya to kya na kiya 

Khosha keh aaj her ik mud'dai kay lab par hai 
Woh raaz jis ne hamein randa-e-zamana kiya 

Woh heela gar jo waga ju bhi hai , jafa khu bhi 
Kiya to Faiz kis butt se distana kiya

Aqal se andhi , Raat kay soonay sanaaton main


Aqal se andhi 

Raat kay soonay sanaaton main 
Ghar se bhaagnay wali larki 
Apnay peechay ghar walon ko 
Jaisay murda kar jaati hai 
Yehni un ko sharm se ghaarat 
Aur sharminda kar jaati hai 
Wada karnay walay sajna 
Station par bhi na aayein 
Rail to phir bhi chal parti hai 
Rail ki seeti baj jaati hai 

Aur phir be'bas tanha larki 
Duniya kay show case main aik 
Shoq piece ki tarah saj jaati hai 

Gar halaat ki zad main aa kar 
Pair main ghangroo bandh jayein to 
Qismat waqat kay haathon bajnay 
Wala tabla ban jaati hai 
Pehan kay gajron ki hath'kariyan 
Raqs ki sooli charh jaati hai 

Ab agar sajna mil bhi jayein 
Ab woh un ko kab bhaati hai 
Ab woh achay ghar ki beti
Sirf tawaif kehlaati hai 
Sirf tawaif kehlaati hai 
JAb woh boorhi ho jaati hai 
Mehfil sooni ho jaati hai 
Jab woh dar-pan dekhti hai to 
Chehray pe jhuriyaan paati hai 
Maazi ko uriyaan paati hai 
Cheekhti hai aur chilaati hai 

Sheeshay se sar takraati hai 
Khud ko khud yeh samjhati hai 
Ghar se woh hi bhaagti hai jo 

Aqal se andhi ho jaati hai 
Aqal se andhi ho jaati hai 
 

Chalo hum bhi teray sath chalay


Chalo hum bhi teray saath chaly

Koi suraj jagay dharti par 
Kuch aisa ho yeh raat dhalay 
Koi haath main thamay haath mera 
Koi le kar mujh ko saath chalay 
Koi baithay meray pehlu main 
Meray haath pe apna haath dharay 
Aur poonjh kay aansoo aankhon se 
Woh dheeray se yeh baat kahay 
Youn tanha safar ab kat'ta nahin 
Chalo hum bhi teray saath chalay

Woh jo meray dil ka qaraar tha


Woh jo meray dil ka qaraar tha 
Woh jo meri rooh ka saroor tha
Jis ky jisam ki kushboo mera libaas thi
Jis ky lamas ki nabaz meray hath thi
Jo saans saans main rawaan raha
Mera wajood is se jawaan raha 
Meri kush'gumaani ki asaas tha
Meri baat baat main ayaan raha
Woh jo meray dil ka qaraar tha 
Woh jo haal tha ab maazi hua
Woh janay kis haal main kahan raha
Woh na janay, main be'chain hoon 
Main janu woh be'qaraar raha

Aug 3, 2015

Daam-e-khushboo main griftaar saba hai kab se




Daam-e-khushboo main griftaar saba hai kab se 
Lafaz-e-izhaar ki uljhan main para hai kab se 

Ae karri chup kar dar-o-baam sajanay walay 
Muntazir koi ku-e-nida hai kab se 

Chaand bhi meri tarah husan shanasa nikla 
US ki dewaar pe hairaan kharra hai kab se 

Baat karta hoon to lafzon se mehak aati hai 
Koi anfaas kay parday main chuppa hai kab se

Shobada baazi-e-aaina-e-ehsaas na pooch 
HAirat-e-chasham wohi shokh-e-kaba hai kab se 

Dekhiye khoon ki barsaat kahan se hoti hai 
Shaher pe chaai hui surkh ghatta hai kab se 

Kor chashmon kay liye Aaina khana maloom 
Warna her zarah tera aks numa hai kab se 

Khoj main kis ki bharra shaher laga hai Amjid
Dhoondti kis ko sar-e-dasht hawa hai kab se 

Chahat bhari kitaab se aagay nikal gaya


Chahat bharri kitaab se aagay nikal gaya 
Woh shakhs intisaab se aagay nikal gaya 

Urtay huye bagolon se us ka pata na pooch 
LAgta hai woh saraab se aagay nikal gaya 

Sab wapisi kay raastay masdood ho gay 
Woh aaj is hisaab se aagay nikal gaya 

Itna sakoot, dharkanein tham to nahin gayein 
Dil aaj iztraab se aagay nikal gaya 

Aankein khuli to saamnay tabeer thi kharri 
Woh aaj apnay khawaab se aagay nikal gaya 

Aagay naye azaab kay asaar mil gaye
JAb ishq , ik azaab se aagay nikal gaya 

Gum wasal ki kitaab main aisa hua Batool
Woh furqaton kay baab se aagay nikal gaya

Rastay main thikana parta hai


Raastay main thikana parta hai 
Is liye jana aana parta hai 

Aag dil main bharak rahi ho agar 
Aanso'on se bujhana parta hai 

Khawaab kitna hi dil'faraib sahi 
Khawaab ko bhool jana parta hai 

Hum bhi to gulistaan kay baasi hain 
Baaghbaan ko bataana parta hai 

Tum se milnay ka shouq apni jaga 
Darmiyaan ik zamana parta hai 

Dard keh day jo meray saath chalo 
Door tak saath jana parta hai 

Haath jal jayein gay , jalay daman 
Apnay ghar ko bachaana parta hai 

Jin ko kaabay se bair ho un ko 
Butt'kaday ko sajana parta hai 

Hijar se jaan kis tarah chootay ?
Bojh apna uthana parta hai 

Kaam ranjhay se jab nahin hota 
Heer ko ghar basaana parta hai 

Woh Khuda hai to us ki chokhat par 
Apnay sar ko jhukana parta hai 

Kon khota hai aur kon kharra 
Aakrish aazmana parta hai 

YEh jahan ho keh woh jahan ho Batool
Saath sab ka nibhana parta hai 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...