Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa
Umar guzri tujay dekhaye huye , behlaye huye
Yaad hai ?
Hum tujhay dil maantay thay
Teray her nakhray ki farmaeish par
Aik jeevan ki tamana'on ki beenai se hum dekhtay thaktay hi na thay
Sochtay thay
Aik chota sa naya ghar
Mohabbat ki fizza
Hum dono
Aur kisi baat pe takiyon se larai apni
Phir larai main kabhi hanstay huye ro parna
Aur kabhi rotay huye hans parna
Aur thak haar kay gir parnay ka masoom khush baksh khyal
Yaad hai ?
Hum tujhay sukh jaantay thay
Raat hans parti thi be'saakhta darshan se teray
Din teri doori se ro parta tha
Yaad hai ?
Hum tujhay jaan kehtay thay
Teri khamoshi se hum mar jaate thay
Teri awaaz se jee uth'tay thay
Tujh ko choo lenay se ik zindagi aa jaati thi shariyaano main
Thaam lenay se koi shaher sa bas jata tha veerano main
Yaad hai ?
Hum tujhay milnay kay liye
Waqat se pehlay ponch jaatay thay
Aur mulaqaat kay baad
Hum bhout dair se ghar aatay to kehtay keh hamain kuch na kaho
Hum bhout door se aye hain
Is qadar dooe se aye hain keh shayed hi koi aa paye
Yaad hai ?
Hum tujhay bhagwaan samjhtay thay , magar kufar se dar jatay thay
Teray chin jaanay ka dar theek se rakhta tha muslmaan hamain
Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa
Teray bhoolay huye rastay pe liye phirta tha emaan hamain
Aur kehta tha keh pehchaan hamain
Yaad hai ?
Hum tujhay emaan kaha kartay thay
Poet : Farhat Abaas Shah
I had never seen befor , very nice
ReplyDelete