Sab pe ehsaan hai saaqi teray meh'khaanay ka 
Nasha her rind ko hai ek hi paimaanay ka 
Lut kar , zulm se kabo main nahin aanay ka 
Log dekhein na tamasha teray dewaanay ka 
Mudda kis pe ayaan ho meray afsaanay ka 
Raaz hoon main na samjhnay ka samjhaanay ka 
Chashm-e-saaqi hai udaar aur mera dil hai idher 
Aaj takraao hai paimaanay se paimaanay ka 
Apni hi aag main jalnay ka maza hai kuch aur 
Hosla shamma se barh kar nahin parwaanay ka 
Baat-be-baat utha deta hai ek chair nayi
Par gaya hai ussay chaska mujhay tarpaanay ka 
Baat kehta hai kuch aisi keh na samjhay koi 
Yeh bhi ek ghour talab rang hai dewaanay ka 
Woh bahaar aayi Naseer aur woh uthay baadil 
Baat sagar ki chalay zikar ho meh'khanay ka