Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Feb 28, 2014
Apni Her aik shaam , her aik raat baich kar
Zamana dost ho jaye to bhout mohtat ho jana
Zamana dost ho jaye to
Bhout mohtat ho jana
keh is ke rang badalney main
Zara se dair lagti hai
koi jo khwab dekho to ussay
foran bhula dena
Keh neendain toot janay main
Zara se der lagti hai
Kisi ko dukh dena to
Itn asoch kar dena
Kisi ke Aah lagney main
Zara se dair lagti hai
Bhout he Mohtabar hain jin ko
Mohabbat raas ati hai
Kisi ko raah badalney main
Zara se dair lagti hai
Kabhi youn bhe Aa meri aankh main keh meri nazar ko khaber na ho
Kabhi youn bhe Aa meri aankh main keh meri nazar ko khaber na ho
Mujhay aik raat nawaz de magar us ke baad sehar na ho
woh bara raheem-o-kareem hai mujhay yeh sift bhe ata karay
Tujhay bhoolney ke main dua karoon to dua main meri asar na ho
Meray bazoaon main thaki thaki abhi mehav-e-khawab hai chandani
Na uthay sitaron ki palki abhi Aahton ka guzar na ho
Jaisay yeh ghazal keh hiran ki Aankh main pichali raat ki chandani
Na bujhay khrabay ke roshni kabhi yeh chiragh be ghar na ho
kabhi din ki dhoop main jhoom ke kabhi shab ke phoolon ko choom ke
youn hi sath sath chalain sadaa kabhi khatam apna safar na ho
Woh aik Khwab Jo mila tha kabhi
Woh aik Khwab
Jo mila tha kabhi
Samander ke sabz lehron per
Main ne na pehchahana ussay
Wohi to mera hasil tha
Duniya ke sunehri mojon ko takta raha
Anjaan Bany
Aur apni jholi main
Moti samajh ke
Bharta raha pathar
Aur khazana mera
Khud dhoondta phir raha tha mujhy
Samander ke sabz Lehron per
Jo khwab ban kar
Mujh se kabhi mila tha
Kaisay zinda hain hum sazashon ke mousam main
Kaisay zinda hain hum sazashon ke mousam main
Ab koi khwaish bhe nahin khwaishon ke mousam main
Usay mujh se mohabbat the kuch is tarah
Jaisay halki dhoop ho barshon ke mousam main
Ajnabi raah tanha nagar de gaya mujhay
Ajnabi raah tanha nagar de gaya mujhay
pathar ka shehar sheeshay ka ghar de gaya mujhay
Woh bhe mujh ko sochta rehta hai raat bhar
us ke nagar ka chaand khaber de gaya mujhay
us shaks ke mohabtain kitni shadeed thein
Khud mit gaya aur apni nazar de gaya mujhay
Woh qaflay ko chor kar tanha he chal diya
Aur jatay huay rakht-e-safar de gaya mujhay
janay woh be-wafa tha ya majboor tha wasi
Zindagi guzarney ka hunar de gaya mujhy
Akelay pan se darta hoon
Akelay pan se darta hoon
main juda honey se darta hoon
meri aankhain batati hain keh
main ab soney se darta hoon
meri ungli pakar lena
mujhay tanha na karna
yeh duniya aik mela hai
tumhain ab khoney se darta hoon
main hansta hoon to
aankhon ke goshay bheeg jatay hain
tumhain maloom hai main istrah
Ab roney se darta hoon
jab se khwab dekha hai
mujhay tum chor jayo ge
main darta hoon khwabon se
main ab soney se darta hoon
Subscribe to:
Posts (Atom)