Oct 3, 2014

Ishq jab ek taraf ho to saza deta hai





Ishq jab ek taraf ho to saza deta hai
ishq jab ek taraf ho to saza deta hai
ishq jab dono taraf ho to maza deta hai
ishq jab ek taraf ho to saza deta hai
ishq jab dono taraf ho to maza deta hai


aankh milti hai jaha pal mein tadap jata hai
dil to deewan hai yeh dhak se dhadak jata hai
ishq karte hai sabhi fark sirf itna hai
koi khamosh rahe koi bata deta hai
koi khamosh rahe koi bata deta hai
ishq jab dono taraf ho to maza deta hai
ishq jab ek taraf ho to saza deta hai
ishq jab dono taraf ho to maza deta hai


ishq ke roop kai ishq ke hai raang baray
teer nazron se chale aake kaleje mein garray
ishq hai khel yahan yaar bas naseebon ka
koi karta hai wafa koi daga deta hai
koi karta hai wafa koi daga deta hai
ishq jab dono taraf ho to maza deta hai
ishq jab ek taraf ho to saza deta hai
ishq jab dono taraf ho to maza deta hai


Kai chaand dhund main kho gaye




Kai chaand dhund main kho gaye

Kai jaag jaag kay so gaye

Magar is sitaara-e-meharbaan

Jo gawaah tha

Sar-e-shaam se dam-e-subha tak

Kisi wisaal-e-rang si raat ka

Kisi be'khumaar se lutf ka

Kisi mushkbaar si baat ka

Meray saath tha

Meray saath tha 

YEh baarish khoobsurat hai


YEh baarish khoobsurat hai

Ek arsay baad

Meri rooh main

Sairaab honay ki tamana jaag uthi hai

MAgar baadal kay rastay main

Bhout se pairr aatay hain

Main pa bhar kay liye shaadaab hoon

Aur apni baaqi umar

Phir sehraa main kaatoon

Main apni pyaas par raazi rahoon gi

Meray aansoo meray dil ki khilaafat kay liye kaafi rahain gay 

Jab koi zikar ho judai ka ya kisi ki be'wafai ka



Jab koi zikar ho judai ka

Ya kisi ki be'wafai ka

Ya mousam aik dam badlay

Koi awaara baadal achanak barsay

Koi mile ya phir bichray

Jab koi ajnabi hans kay bolay

Pyaar jataaye jhoot bolay

Tab yaad bhout tum aatay ho

Jab saans ki dor kahin tootay

Jab koi kisi ko tanha chooray

Dil kisi ka tootay

koi beech manjdhaar tanha jab kisi ko chooray

Jab naao kisi ki doobay

Jab bhe aas kisi ki tootay

Haan sach

Tab yaad bhout tum aatay ho

Tab yaad bhout tum aatay ho

Meri jaan sochti hoon main agar tum mil na paye to


Meri jaan sochti hoon main

Agar tum mil na paye to

Tumhari yaad ko dil se

bhala kaisay bhoolon gi

Jo mousam sang teray beetay

Un ko kaisay bhulaaon gi

Andheri raat main jugnoo

Bhala kaisay jalaaon gi

Meri jaan sochti hoon main

Tumhain kaisay bhulaaon gi

Likha jo naam hai dil pe

Ussay kaisay mitaaon gi

Jo aadhi umar jeeni hai

Woh main kaisay bitaaon gi

Meri jaan sochti hoon main

Tumhain kaisay bhulaaon gi

Teri yaadain jo ayein gi

Mujhay pal pal rulaaein gi

Meray aanchl ko khainchain  gi

Mujhay kuch gud'gudaain gi

Meri jaan sochti hoon main

Tumhain kaisay bhulaaon gi

Jo baatain tum se karti hoon

Bhala kis ko bataon gi

Naya jab shair likhon gi

To main kis ko sunaaon gi

Meri jaan sochti hoon main

Tumhain kaisay bhulaaon gi

Meri jaan , jaan to tum bhi

Tumhain na bhool paaon gi

Jo main na rahoon , Aankhon main aansoo na bharna tum


Jo main na rahoon , Aankhon main aansoo na bharna tum

Is dil pe hai bas naam tumhara , yeh yaqeen rakhna tum

Main hoon teray saath tu ham'raah hai meray her qadam

Door ho kar bhi kahaan aik doosray se hain door hum

Guzarta her pal , her lamha  teray aur qareeb kar deta hai

Saanson ki yeh dor , saanson kay sang jor det ahai

Meray ham'dam meray hum'nawa pyaar tera meri zindagi

Khuda kay baad main karoon dil se bas teri hi bandagi

Tumhain maloom hai hum ne kisi kay hijar main yeh zindagi kaisay guzaari hai


Tumhain maloom hai hum ne

Kisi kay hijar main yeh zindagi kaisay guzaari hai

Her ik khushboo ki aahat par

Gumaan us ka guzarta tha

Her aik sa'at yeh dil aankhon main aa kay baith jaata tha

Kai pehlu badalti sa'atain haathon ko phailaye

Dua main maangtay aur haamptay dil se guzarti thein

Magar jo hijar laa'haq hai

Woh jism-o-jaan ki dewaarain giraata hai

Umeed-o-baam ki aankhon se beenai kay saaray

Manzaron ko

Khaak karta aur mitaata hai

So hum bhi khaak hain

Aur khaak ki taqdeer main likha gaya hai be'amaan rehna 

Ab na aansoo hain , na aaina kahin meray qareeb


Ab na aansoo hain , na aaina kahin meray qareeb

Na woh mehfil hai mohabbat ki

Na woh manzar hai kahin

Dil-e-be'taab ko jo wajah-e-tassali ban jaye

Saaye ki tarah larazta hai , magar milta nahin

Dil khizaan ka hai koi phool keh jo khilta nahin

Ik safar-e-manzil-e-be'naam ki khaatar kar kay

Jaanay kis mor pe hum aaj rukay hain phir se

Ik safar manzil-e-be'naam ki khaatar kar kay

Jaanay kis mor pe hum ayein , keh murr kay dekhain

To koi raah , na dildaar , na khushboo koi

Aik snaatay ki awaaz musal'sal goonjay

Uthti hai meray dil se lau dhuwaan ki tarah

Ik dhundlakay main chuppa leti hai manzar saaray

Kaash kisi roz shaam kay waqat sooraj kay araam kay waqat


Kaash kisi roz shaam kay waqat

Sooraj kay araam kay waqat

Mil jaye saath tera

Haath main le kay haath tera

Door kahin tanhai main

Duniya se judai main

Apnay sang bitha'on tujhay

Dil ka haal sunaa'on tujhay

Teri izzat ehtraam karoon

Teray haath ki lakeeron main

Talaash apna naam karoon

Isi waqat iraada karain

Phir milnay ka wada karain

Kisi roz shaam kay waqat

Sooraj kay araam kay waqat

Mehsoor-e-talatum aaj bhi ho go tum ne kinaaray dhoond liye


Mehsoor-e-talatum aaj bhi ho

go tum ne kinaaray dhoond liye

Toofaan se sambhlay hum bhi nahin

Kehnay ko sahaaray dhoond liye

Khamosh se hum tum , mohr-e-ba'lab

Jug beet gaye , tak baat kiye

Sunn ! khail adhoora chortay hain

Bina chaal chalay , bina maat ginnay

Jo bhaagtay bhaagtay thak jayein

Woh saye ruk bhi saktay hain

Chalo toro qasam , iqraar krain

Hum dono jhuk bhi saktay hain 

Chal chaltay hain us paar sanam


Chal chaltay hain us paar sanam

Jahaan lehron ki khamoshi ho

Jahaan saanson ki madhoshi ho

Jahaan jazboon ki be'hoshi ho

Jahaan aankhon se sargoshi ho

Chal chaltay hain us paar sanam

Ik naei aag lagaanay ko

Is dil ki pyaas bujhaanay ko

Ik doojay main kho jaanay ko

Aur ik pal kay naam ho jaanay ko

Chal chaltay hain us paar sanam

Jahaan asaan saari raahain hon

Jahaan labon pe sard se aahain hon

Jahaan apni aagosh ki panaahain hon

Chal chaltay hain us paar sanam

Tum ne murjhaye huye phool kabhi dekhye hain


Tum ne murjhaye huye phool kabhi dekhye hain

Dil ki qabron pe paray

Hijar ki laash ki aankhon pe dharray

Tum ne uktaaye huye khwaab kabhi dekhye hain

Dard ki palkon se liptay huye

Ghabraaye huye

Tum ne be'chain dua'ein kabhi dekhi hain

Mohabbat kay kinaaron pe bhat'takti phirti

Tum ne dekha hai mujhay

Kiya kabhi dekha hai mujhay

Toot kar bikhar na jaye , yeh dil mera


 Toot kar bikhar na jaye , yeh dil mera

Kahin is kay tukray na ho jayein

Aur kitna zulam is pe barpe ga , yeh dil mera

Kahin matti na ho jaye

Aur kitni intiha ho gi

De dy koi zehar aik hi baar is ko

Aur nahin shaamil himmat

De dy koi thandi chaanv hi mujh ko

Kaisay kahoon keh kitna

Dard is ko hua hai

Khaali hain lafz saaray

Itna in main dam kahaan hai

Zaar zaar ho kay bhi jiya hai

Kitna is ne gham piya hai



Aur kitna qehar barpay ga , yeh mera dil

Kahin pathar na ho jaye

Phir jo mile bhi is ko , naazuk chaanv

Shayed kabhi samjh na paye

Tum ne mujh se mohabbat ki thi



Tum ne mujh se mohabbat ki thi

Tumharay jhoot main tumhari safaai thi

Her jhoot main teri sachai thi

Koi bhi dewaana aisa na tha

Jis ki mohabbat is se buland thi

Aisa lagta tha tumhari mohabbat

Waqat se bhi buland thi

Ab tum juda ho rahay ho

Ek dam mera dil tor rahay ho

Khuda hafiz khuda hafiz keh rahay ho

Sachai yeh thi

Tum ko mujh se mohabbat nahin thi

Ussay kehna keh saansain ab bhi teray naam se chalti hain


Ussay kehna keh

Saansain ab bhi teray naam se chalti hain

Dil ab bhi teray naam se dharakta hai

Aankhin ab bhi teri muntazir hain

Sawan ab bhi barasta hai

Magar

Ussay kehna

Ab raat guzarti nahin

Prinday ab geet gaatay nahin

Bahaar ab aati nahin

Magar

Intizaar tab bhi tha

Intizaar ab bhi hai

Kiyon pyaar karnay ki haddain hoti hain


Kiyon pyaar karnay ki haddain hoti hain

Kiyon dil danay ki waja hotein hain

Kiyon jazbaaton ko dabaana parta hai

Kiyon is dil ko samjhana parta hai

Kiyon her dil ko yeh mehsoos nahin hota

Kiyon sab ko yeh manzoor nahin hota

Kiyon dil se dil nahin milta

Kiyon pyaar ka phool nahin khilta

Kiyon dil kay naghmay dil nahin gaata

Dil main kiya hai yeh keh nahin paata

Kiyon dil denay ki yeh saza hai

Kiya pyaar karnay main yahi maza hai

Mujhay us se yeh kehna tha


Mujhay us se yeh kehna tha

Keh mujh ko yaad na karna

Tarap kar tum judai main

Yeh dil barbaad mat karna

Tum honton pe hansi koi

Kahin se qaid kar laina

Jo mujh se door bhi ho jaao

Issay azaad mat karna

Kisi bhi tor jee layein gay

Magar tum zindagi se ab

Koi fariyaad mat karna

Magar yeh sab jo kehna tha

Yeh us se kab kaha main ne

Tumharay bin nahin jeena

Bas itna keh diya main ne 

Yeh hussan yeh ada yeh nazakat yeh aankhain


Yeh hussan yeh ada yeh nazakat yeh aankhain

Sab khoobiyaan hain magar be'wafa hai tu

Pichlay baras tha khouf tujhay kho na doon

Ab kay baras yeh hai tera samna na ho

Woh hai salaamat to adaabat ka maza hai

Dushman ko kabhi jaan se maara nahin kartay

Guzray hain hum ishq kay aisay maqaam se

Keh nafrat si ho gayi hai mohabbat kay naam se

Naseeb ki mehfil main be'wafai ka darwaza khul gaya

Qaraar de kay kabhi be'qaraar kartay ho


Qaraar de kay kabhi be'qaraar kartay ho

Galay laga kay kaho kitna pyaar kartay ho

Nazar nazar se milay aur khumaar aa jaye

LAbon se kuch na kaho aaitabaar aa jaye

Yeh dil to bharta nahin chand mulaqaaton main

Kitnay tarastay rahay bheegi bheegi raaton main

Taveel raasta kiyon ikhtayaar kartay ho

GAlay laga kay kaho kitna pyaar kartay ho 

Bisaat-e-jaan pe azaab utartay hain kis tarah


Bisaat-e-jaan pe azaab utartay hain kis tarah

Shab-o-roz dil pe azaab guzartay hain kis tarah

Kabhi ishq ho to pata chalay

Yeh jo log se chuppay huye hain pas-e-dostaan

To yeh kon hain ?

Yeh jo rog se chuppay huye hain pas-e-jisam-o-jaan

To yeh kis liye ?

Yeh jo kaan hain meray aahaton pe lagay huye

To yeh kiyon bhala

Yeh jo log peechay paray huye hain fazool main

Inhain kiya pata , inhain kiya khabar

Kisi raah kay kisi mor pe jo inhain zara

Kabhi ishq ho to pata chalay

Kahan us ne shaakon se Juda phoolon ko karnay k



 Kahan us ne shaakon se

Juda phoolon ko karnay ki

Hawaon ki jo saazish hai

Ussay achi nahin lagti

Faqat ik pal ko jee chaha

Ussay itna to ekh doon aaj

Mohabbat in phoolon ki

Patiyon se barh kay nazuk thi

Jissay qadmon talay us ne

Kabhi ka roond daala hai

Ek pal main sab hua khatam


Ek pal main sab hua khatam

Kaisay hua yeh

Kal khushi aur aaj gham

Kaisay hua yeh



Jo chahat ki tasveer

Buni thi main ne aankhon main

Ek un'chahi taqdeer

Jurri thi meri raahon se

Kal tak thi jis ki chaha

Dil ki chupi panaahon main

Ek shouq sa ubhar kay aya

Us ki sachi wafaon main



Na woh rahi waisay na hum

Kaisay hua yeh

Kal khushi aur aaj gham

Kaisay hua yeh

Khirkiyon kay sheehson par reengtay huye qatray


Khirkiyon kay sheehson par

Reengtay huye qatray

Youn phisaltay hain jaisay

Meray aur baadal kay

Darmiyaan koi hai jo

Meray aur baadal kay

Raaz ko samjhta hai

Jab ghattaein chayein to

Sirf woh nahin rotein

Aankhain bhi barasti hain

Khirkiyaan bhi roti hain

Sar-e-shaam se dam-e-subha tak


Kai chaand dhund main kho gaye 

Kai jaag jaag kay so gaye

Magar is sitaara-e-meharbaan 

Jo gawaah tha

Sar-e-shaam se dam-e-subha tak 

Kisi wisaal-e-rang si raat ka 

Kisi be'khumaar se lutf ka 

Kisi mushkbaar si baat ka 

Meray saath tha 

Meray saath tha 

Ek arsay baad meri rooh main


YEh baarish khoobsurat hai 

Ek arsay baad 

Meri rooh main 

Sairaab honay ki tamana jaag uthi hai 

MAgar baadal kay rastay main 

Bhout se pairr aatay hain 

Main pa bhar kay liye shaadaab hoon 

Aur apni baaqi umar 

Phir sehraa main kaatoon 

Main apni pyaas par raazi rahoon gi

Meray aansoo meray dil ki khilaafat kay liye kaafi rahain gay 

Tab yaad bhout tum aatay ho


Jab koi zikar ho judai ka 

Ya kisi ki be'wafai ka 

Ya mousam aik dam badlay 

Koi awaara baadal achanak barsay 

Koi mile ya phir bichray 

Jab koi ajnabi hans kay bolay 

Pyaar jataaye jhoot bolay 

Tab yaad bhout tum aatay ho 

Jab saans ki dor kahin tootay 

Jab koi kisi ko tanha chooray 

Dil kisi ka tootay 

koi beech manjdhaar tanha jab kisi ko chooray 

Jab naao kisi ki doobay 

Jab bhe aas kisi ki tootay 

Haan sach 

Tab yaad bhout tum aatay ho 

Tab yaad bhout tum aatay ho

Agar tum mil na paye to


Meri jaan sochti hoon main 

Agar tum mil na paye to 

Tumhari yaad ko dil se 

bhala kaisay bhoolon gi 

Jo mousam sang teray beetay 

Un ko kaisay bhulaaon gi 

Andheri raat main jugnoo 

Bhala kaisay jalaaon gi 

Meri jaan sochti hoon main 

Tumhain kaisay bhulaaon gi 

Likha jo naam hai dil pe

Ussay kaisay mitaaon gi 

Jo aadhi umar jeeni hai 

Woh main kaisay bitaaon gi 

Meri jaan sochti hoon main 

Tumhain kaisay bhulaaon gi 

Teri yaadain jo ayein gi 

Mujhay pal pal rulaaein gi 

Meray aanchl ko khainchain  gi

Mujhay kuch gud'gudaain gi 

Meri jaan sochti hoon main 

Tumhain kaisay bhulaaon gi 

Jo baatain tum se karti hoon 

Bhala kis ko bataon gi 

Naya jab shair likhon gi 

To main kis ko sunaaon gi 

Meri jaan sochti hoon main 

Tumhain kaisay bhulaaon gi 

Meri jaan , jaan to tum bhi 

Tumhain na bhool paaon gi


Is dil pe hai bas naam tumhara


Jo main na rahoon , Aankhon main aansoo na bharna tum 

Is dil pe hai bas naam tumhara , yeh yaqeen rakhna tum 

Main hoon teray saath tu ham'raah hai meray her qadam 

Door ho kar bhi kahaan aik doosray se hain door hum 

Guzarta her pal , her lamha  teray aur qareeb kar deta hai 

Saanson ki yeh dor , saanson kay sang jor det ahai 

Meray ham'dam meray hum'nawa pyaar tera meri zindagi 

Khuda kay baad main karoon dil se bas teri hi bandagi 


Kisi kay hijar main yeh zindagi kaisay guzaari hai


Tumhain maloom hai hum ne 

Kisi kay hijar main yeh zindagi kaisay guzaari hai 

Her ik khushboo ki aahat par 

Gumaan us ka guzarta tha 

Her aik sa'at yeh dil aankhon main aa kay baith jaata tha 

Kai pehlu badalti sa'atain haathon ko phailaye

Dua main maangtay aur haamptay dil se guzarti thein 

Magar jo hijar laa'haq hai

Woh jism-o-jaan ki dewaarain giraata hai 

Umeed-o-baam ki aankhon se beenai kay saaray 

Manzaron ko 

Khaak karta aur mitaata hai 

So hum bhi khaak hain 

Aur khaak ki taqdeer main likha gaya hai be'amaan rehna 

Ik safar manzil-e-be'naam ki khaatar kar kay



Ab na aansoo hain , na aaina kahin meray qareeb 

Na woh mehfil hai mohabbat ki 

Na woh manzar hai kahin 

Dil-e-be'taab ko jo wajah-e-tassali ban jaye

Saaye ki tarah larazta hai , magar milta nahin 

Dil khizaan ka hai koi phool keh jo khilta nahin

Ik safar-e-manzil-e-be'naam ki khaatar kar kay 

Jaanay kis mor pe hum aaj rukay hain phir se


Ik safar manzil-e-be'naam ki khaatar kar kay 

Jaanay kis mor pe hum ayein , keh murr kay dekhain 

To koi raah , na dildaar , na khushboo koi 

Aik snaatay ki awaaz musal'sal goonjay 

Uthti hai meray dil se lau dhuwaan ki tarah 

Ik dhundlakay main chuppa leti hai manzar saaray

Dil khizaan ka hai koi phool keh jo khilta nahin


Ab na aansoo hain , na aaina kahin meray qareeb 

Na woh mehfil hai mohabbat ki 

Na woh manzar hai kahin 

Dil-e-be'taab ko jo wajah-e-tassali ban jaye

Saaye ki tarah larazta hai , magar milta nahin 

Dil khizaan ka hai koi phool keh jo khilta nahin

Ik safar-e-manzil-e-be'naam ki khaatar kar kay 

Jaanay kis mor pe hum aaj rukay hain phir se


Ik safar manzil-e-be'naam ki khaatar kar kay 

Jaanay kis mor pe hum ayein , keh murr kay dekhain 

To koi raah , na dildaar , na khushboo koi 

Aik snaatay ki awaaz musal'sal goonjay 

Uthti hai meray dil se lau dhuwaan ki tarah 

Ik dhundlakay main chuppa leti hai manzar saaray

Phir milnay ka wada karain


Kaash kisi roz shaam kay waqat 

Sooraj kay araam kay waqat 

Mil jaye saath tera 

Haath main le kay haath tera 

Door kahin tanhai main 

Duniya se judai main 

Apnay sang bitha'on tujhay 

Dil ka haal sunaa'on tujhay 

Teri izzat ehtraam karoon 

Teray haath ki lakeeron main 

Talaash apna naam karoon 

Isi waqat iraada karain 

Phir milnay ka wada karain 

Kisi roz shaam kay waqat 

Sooraj kay araam kay waqat

Hum dono jhuk bhi saktay hain

Mehsoor-e-talatum aaj bhi ho 

go tum ne kinaaray dhoond liye 

Toofaan se sambhlay hum bhi nahin 

Kehnay ko sahaaray dhoond liye 

Khamosh se hum tum , mohr-e-ba'lab 

Jug beet gaye , tak baat kiye

Sunn ! khail adhoora chortay hain 

Bina chaal chalay , bina maat ginnay 

Jo bhaagtay bhaagtay thak jayein 

Woh saye ruk bhi saktay hain 

Chalo toro qasam , iqraar krain 

Hum dono jhuk bhi saktay hain 

Ik pal kay naam ho jaanay ko


Chal chaltay hain us paar sanam 

Jahaan lehron ki khamoshi ho 

Jahaan saanson ki madhoshi ho 

Jahaan jazboon ki be'hoshi ho 

Jahaan aankhon se sargoshi ho 

Chal chaltay hain us paar sanam 

Ik naei aag lagaanay ko 

Is dil ki pyaas bujhaanay ko 

Ik doojay main kho jaanay ko 

Aur ik pal kay naam ho jaanay ko 

Chal chaltay hain us paar sanam 

Jahaan asaan saari raahain hon 

Jahaan labon pe sard se aahain hon 

Jahaan apni aagosh ki panaahain hon 

Chal chaltay hain us paar sanam

Tum ne uktaaye huye khwaab kabhi dekhye hain


Tum ne murjhaye huye phool kabhi dekhye hain 

Dil ki qabron pe paray 

Hijar ki laash ki aankhon pe dharray

Tum ne uktaaye huye khwaab kabhi dekhye hain 

Dard ki palkon se liptay huye 

Ghabraaye huye

Tum ne be'chain dua'ein kabhi dekhi hain 

Mohabbat kay kinaaron pe bhat'takti phirti 

Tum ne dekha hai mujhay 

Kiya kabhi dekha hai mujhay

Tum ne be'chain dua'ein kabhi dekhi hain


Tum ne murjhaye huye phool kabhi dekhye hain 

Dil ki qabron pe paray 

Hijar ki laash ki aankhon pe dharray

Tum ne uktaaye huye khwaab kabhi dekhye hain 

Dard ki palkon se liptay huye 

Ghabraaye huye

Tum ne be'chain dua'ein kabhi dekhi hain 

Mohabbat kay kinaaron pe bhat'takti phirti 

Tum ne dekha hai mujhay 

Kiya kabhi dekha hai mujhay 


Mohabbat aik shajjar hai


Mohabbat aik shajjar hai 

Aur shajjar ko is se kiya matlab 

Keh is ki chaayon main koi 

Thaka haara musaafir aa kay baitha hai 

Ab is ka rang kiya hai 

Nassal kaisi hai 

Kahan se aya hai 

Issay kis simat jaana hai 

Shajar ka kaam to bas 

Chaaon dena aur dhoop sehna hai

Khaali hain lafz saaray


Toot kar bikhar na jaye , yeh dil mera 

Kahin is kay tukray na ho jayein 

Aur kitna zulam is pe barpe ga , yeh dil mera 

Kahin matti na ho jaye


Aur kitni intiha ho gi 

De dy koi zehar aik hi baar is ko 

Aur nahin shaamil himmat 

De dy koi thandi chaanv hi mujh ko 


Kaisay kahoon keh kitna 

Dard is ko hua hai 

Khaali hain lafz saaray 

Itna in main dam kahaan hai 

Zaar zaar ho kay bhi jiya hai 

Kitna is ne gham piya hai 

 

Aur kitna qehar barpay ga , yeh mera dil 

Kahin pathar na ho jaye

Phir jo mile bhi is ko , naazuk chaanv

Shayed kabhi samjh na paye

Yeh mera dil


Toot kar bikhar na jaye , yeh dil mera 

Kahin is kay tukray na ho jayein 

Aur kitna zulam is pe barpe ga , yeh dil mera 

Kahin matti na ho jaye


Aur kitni intiha ho gi 

De dy koi zehar aik hi baar is ko 

Aur nahin shaamil himmat 

De dy koi thandi chaanv hi mujh ko 


Kaisay kahoon keh kitna 

Dard is ko hua hai 

Khaali hain lafz saaray 

Itna in main dam kahaan hai 

Zaar zaar ho kay bhi jiya hai 

Kitna is ne gham piya hai 

 

Aur kitna qehar barpay ga , yeh mera dil 

Kahin pathar na ho jaye

Phir jo mile bhi is ko , naazuk chaanv

Shayed kabhi samjh na paye

Koi bhi dewaana aisa na tha


Tum ne mujh se mohabbat ki thi 

Tumharay jhoot main tumhari safaai thi

Her jhoot main teri sachai thi 

Koi bhi dewaana aisa na tha 

Jis ki mohabbat is se buland thi 

Aisa lagta tha tumhari mohabbat 

Waqat se bhi buland thi 

Ab tum juda ho rahay ho 

Ek dam mera dil tor rahay ho 

Khuda hafiz khuda hafiz keh rahay ho

Sachai yeh thi 

Tum ko mujh se mohabbat nahin thi 

Tum ko mujh se mohabbat nahin thi


Tum ne mujh se mohabbat ki thi 

Tumharay jhoot main tumhari safaai thi

Her jhoot main teri sachai thi 

Koi bhi dewaana aisa na tha 

Jis ki mohabbat is se buland thi 

Aisa lagta tha tumhari mohabbat 

Waqat se bhi buland thi 

Ab tum juda ho rahay ho 

Ek dam mera dil tor rahay ho 

Khuda hafiz khuda hafiz keh rahay ho

Sachai yeh thi 

Tum ko mujh se mohabbat nahin thi 


Dil ab bhi teray naam se dharakta hai


Ussay kehna keh 

Saansain ab bhi teray naam se chalti hain 

Dil ab bhi teray naam se dharakta hai 

Aankhin ab bhi teri muntazir hain 

Sawan ab bhi barasta hai 

Magar 

Ussay kehna 

Ab raat guzarti nahin 

Prinday ab geet gaatay nahin 

Bahaar ab aati nahin 

Magar 

Intizaar tab bhi tha 

Intizaar ab bhi hai

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...