Dec 30, 2014

Mujhay woh itna pyaar karta tha


Apna hissa shumaar karta tha 
Mujhay woh itna pyaar karta tha 

Woh banata tha meri tasveeren
Un se baatein hazaar karta tha 

Mera dukh bhi khulos-e-niyat se
Apnay dukh main shumaar karta tha 

Sach samjhta tha jhoot bhi mera
Youn mera aaitabaar karta tha 

Pehlay rakhta tha phool meray raastay main 
Phir mera intizaar karta tha 

Aaj pehlu main woh nahin dost
Jaan jo mujh pe nisaar karta tha

Teray sabhi ghamon ko samit loon main tujhay itna pyaar doon




Teray sabhi ghamon ko samit loon main tujhay itna pyaar doon 

Teri udasiyon ko mita kay teri her shaam nikhaar doon

Teri aankhon main chupi khizaan meray dil main utaar loon 

Teray wajood ko jo mehka day tujhay woh bahaar doon 

Teri ik muskurahat ka badal kuch ho nahin sakta magar 

Jo milay tujhay khushi to main apni jaan bhi waar doon 

Aa gaya hai hijar ka jo dour teray meray darmiyaan

Jo milay mujhay fursat to mohabbat ka qarz utaar doon 

Teray dil ki ronaqein jo murjha gayi hain is tarah 

Laga kay apnay seenay se teri dharkan ko qaraar doon 

Tanhaiyon kay toofan se jo bikhar gayi hain sabhi

Jo kahay to aa kar teri her zulf sanwaar doon 

Na dhan se , na doulat se , na duniya se koi mera waasta

Milay jo tu agar to bas teray sang zindagi guzaar doon 



Tanhai meray kaan main kuch kehnay lagi hai


Tanhai meray kaan main kuch kehnay lagi hai 
Ek zaat meri zaat main gum rehnay lagi hai 

Jis aankh ko kisi ne bhi rotay nahin dekha 
Woh aankh kisi ki yaad main ronay lagi hai

Apnay ghamon ki youn numaish na kar


Apnay ghamon ki youn numaish na kar 
Apnay naseeb ki youn azmaish na kar 

Jo tera hai teray dar pe khud aaye ga 
Roz ussay paanay ki khwaish na kar

Mujhay matti kay ghar bananay ka shouq tha


Mujhay matti kay ghar bananay ka shouq tha 
Ussay aashiyaan giranay ka shouq tha 

Main khud se rooth jaata hoon aksar is liye 
Mujhay roothay huye log mananay ka shouq tha 

Ussay wadon ki paas daari pasand na thi 
LAkin mujhay waday nibhanay ka shouq tha 

MAin masroof tha tanhaiyon ki talaash main 
Ussay logon se milnay milaanay ka shouq tha 

Woh be'wafa tha is main hairat ki baat kya hai
Mujhay bhi be'wafa logon se dillaganay ka shouq tha

Kabhi lafz bhool jaaon , kabhi baat bhool jaaon


Kabhi lafz bhool jaaon , kabhi baat bhool jaaon

Tujhay is qadar chahon apni zaat bhool jaaon 

Uth kar kabhi jo teray paas se main chal doon 

Jaatay huye khud ko teray paas bhool jaaon

Hijar ki pyaas main ik qatra bhi bhout hota hai


Hijar ki pyaas main ik qatra bhi bhout hota hai 
Deed kay wastay ik lamha bhi bhout hota hai 

Jin kay milnay ki nahin door tak kuch umeed
Un kay khonay ka khadsha bhi bhout hota hai 

Tum agar paas nahin ho to koi baat nahin 
Sirf ehsaas ka manzar hi bhout hota hai 

Jin kay kho janay se kho jaata hai hosh-o-hawaas
Un kay mil janay ka nasha bhi bhout hota hai 

Woh meri her baat se ikhtilaaf karat hai


Woh meri her baat se ikhtilaaf karat hai 

Chup chup kar magar mera tawaaf karta hai 

Kahin koi aur shakhs meray qareeb na ho jaye

Is liye woh sab ko meray khilaaf karta hai

Bhout hi maan hai tum par suno paas-e-wafa rakhna


Bhout hi maan hai tum par 
Suno paas-e-wafa rakhna 

Sabhi se tum milo lakin 
Zara sa faasla rakhna 

Bicharna bhi to parta hai 
Zara sa hosla rakhna 

Woh saaray wasal kay lamhay 
Tum aankhon main saja rakhna 

Abhi imkaan baaqi hai 
Abhi lab par dua rakhna 

Bhout nayaab hoon dekho 
HAmain sab se juda rakhna

Kisi kay bicharnay se koi mar nahin jaata


Kisi kay bicharnay se koi mar nahin jaata 

Haan magar jeenay kay andaaz badal jaatay hain

Raaz-e-dil na sunaana kisi ko Faraz


Raaz-e-dil na sunaana kisi ko Faraz

Duniya main sab hamraaz badal jaatay hain

Sabhi ko sab kuch nahin milta


Sabhi ko sab kuch nahin milta 

Nadi ki her lehar ko sahil nahin milta 

Yeh dil walon ki duniya hai dost

Kisi se dil nahin milta to koi dil se nahin milta

Meri khushi ki khaatar khud ko sambhaal rakhna


Meri khushi ki khaatar khud ko sambhaal rakhna 

Us ne kaha tha mujh se apna khayal rakhna

Is baat ka taqaza mujh se jo kar raha tha 

Kiya us ka haq nahin mera khayal rakhna

Kabhi aansoo kabhi khushboo , kabhi naghma ban kar


Kabhi aansoo kabhi khushboo , kabhi naghma ban kar 
Hum se her shaam mili hai tera chehra ban kar 

Chaand nikla hai teri aankh kay aansoo ki tarah 
Phool mehkay hain teri zulf ka saya ban kar 

Meri jaagi hui raaton ko usi ki hai talaash
So raha hai meri aankhon main jo sapna ban kar 

Dil kay kaaghaz par utarta hai jo shairon ki tarah 
Meray honton pe machalta hai jo naghma ban kar 

Raat bhi aaye to bujhti nahin chehray ki chamak
Rooh main phail gaya hai woh ujala ban kar

Mera kiya haal hai yeh aa kay kabhi dekh to lay
Jee raha hoon tera bhoola hua wada ban kar 

Dhoop main kho gaya woh haath chura kar
Ghar se jo saath chala tha mera saya ban kar


Mujhay kis taraf jaana hai kuch khabar nahin


Mujhay kis taraf jaana hai kuch khabar nahin 

Meray raastay bhi kho gaye meri mohabbat ki tarah

Na kuch raha paas apnay to sambhaal kay rakhi ik tanhai


Na kuch raha paas apnay to sambhaal kay rakhi ik tanhai 

Yeh woh saltanat hai jis kay baadshah bhi hum , wazir bhi hum

Jis din band kar li main ne yeh aankhain


Jis din band kar li main ne yeh aankhain 

Us din sab aankhon se aansoo barsain gay 

Jo kehtay hain keh bhout tang kartay ho tum 

Wohi meri ek ek shararat ko tarsain gay 

Barson chalay Qateel zamanay kay saath hum


Barson chalay Qateel zamanay kay saath hum 

Waqif hua na phir bhi zamanay ki chaal se

Akelay jeenay ki aadat to pehlay se thi


Akelay jeenay ki aadat to pehlay se thi 

Na janay kiyon aaj tanhai mehsoos ho rahi hai teray baat na karnay se

Woh mout bhi sohani ho gi


Woh mout bhi sohani ho gi 

Jo yaaron ki yaari main aani ho gi 

Yeh dua hai khuda se keh pehlay hum jayein 

Kiyon keh welcome ki rasam bhi to nibhaani ho gi

Nafrat karni ho to hum se is qadar karna


Nafrat karni ho to hum se is qadar karna 

Keh jab hum duniya se chalay jayein aur tumhari aankh main aik aanso tak na aaye

Us ko sajnay ya sanwarnay ki zaroorat hi nahin


Us ko sajnay ya sanwarnay ki zaroorat hi nahin 

Us pe jachti hai haya bhi kisi zaiwar ki tarah

Choom kar kafan main liptay meray chehray ko us ne tarap kar kaha


Choom kar kafan main liptay meray chehray ko us ne tarap kar kaha 

Naye kapray kiya pehan liye hamain dekhtay bhi nahin

Mukaan banaye rakho to duniya hai saath warna


Mukaan banaye rakho to duniya hai saath warna 

Aanso'on ko to aankhon main bhi panaah nahin milti
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...