Apr 15, 2016

Dard ki saltanat ka raaj mila


Dard ki saltanat ka raaj mila 
Be'qaraari ka takht-o-taaj mila 

Waqat aik shobada sa hai aur bas 
Kal mila hai kabhi na aaj mila 

Aankh na hi khulay to behtar hai 
Aankh kholi to yeh riwaj mila 

Ishq se biyah ho gaya aur phir 
Dil ki dulhan ko gham ka raaj mila 

Lag kay kandhay se rota jata tha 
Aaj tak jo bhi hum'mizaj mila 

Din ko hum se mila hai sabar-e-jameel 
Raat ko dard ka khiraaj mila 

Teri yaadein hi chaantay hain hum 
Dekho kaisa kaam kaaj mila 

Ishq aik majnoon boorha devta


Ishq aik majnoon boorha devta 

Ishq aik majnoon boorha devta 
Na'shanasai pe hairaan 
Be'hissi pe sakhat nalan dehar ki 
Haath  main ik lay kay puriya zehar ki 
Baal bikhraye 
Samaitay dhajiyan malboos ki 
Paon main pehnay huye zakhmon ki na'lain kohan 
PAthron ko khat'khatata phir raha hai 
Daalta phirta hai nazrein qehar ki 
Apnay jhoolay main liye kuch butt puranay 
Aur kuch guriyan kisi beetay zamanay ki 
Na janay zer'lab kya bar'barata phir raha hai 
Be'khabar hai itni halat se khalqat hans rahi hai her gali kay mor par 
Aur sun raha hai siskiyan bhi fitrat num'naak ki 
Par beech raaston ki lagamein thaam kar bhi 
Kainaton Tjro ungliyon se bandh kar bhi 
Dil main koi gham chupaye phir raha hai 
Waqat ki dharkan pe rakhta apnay qadmon kay nishan 
Chakraa raha hai 
Urtay phirat kaghzon paton paron kay darmiyan 
Hans raha hai 
Rotay rotay 
Ro raha hai hanstay hanstay 
Patharon , pathar garon kay darmiyan 
Ishq aik majnoon boorha devta 
Haath main aik lay kay puriya zehar ki 


Hum musafir hain meri jaan


Hum musafir hain meri jaan 

Hum musafir hain meri jaan musafir teray 
Hum to baarish se bhi dar jatay hain 
Aur dhoop se bhi 
Apnay qadmon kay nishano se mita'ein jo lahu kay dhabbay
Raastay ghussay main aa jatay hain 
Hum musafir hain 
Kiraiyon ko tarastay huye khaimon main ghirray 
Ghar se ghabra'iye huye youn hi hua kartay hain 
Ajnabi shaheron kay wahimon main paray 
Khouf aur adam tahfuz se churatay hain nigahein 
To kahin aur hi jaa partay hain 
Kab talak kon hamein rakhay ga mehmaan mohabbat kay siwa 
Aur kisi roz hamein yeh bhi kahay gi keh Khuda hi hafiz 
Hum jo logon se jijhaktay hain to majburi hai 
Hum jo raaston main bhataktay hain to mehsuri hai 
Hum musafir hain , meri jaan musafir teray 
Hum agar tujh se bichartay hain to meh'juri hai 

Jatay jatay is tarah sab kuch sawali kar gaya


Jatay jatay is tarah sab kuch sawali kar gaya 
Rooh ka kamra bhara rehta tha khaali kar gaya 

Ab na koi raah cheekhti hai na koi humsafar 
Aik do din kay safar ko youn misaali kar gaya 

Waqat bhi kaisi ajab shay hai hamaray samnay 
Ik zara beeta to sab duniya khayali kar agya 

Ishq apnay saath yeh akisi nirali kar gaya 
Chand lamhon main tabiyat la'ubali kar gaya 

Hijar ka asp parishaan dil ki her ik aarzu 
Fasal la'waris samjh kar pa'mali kar gaya

Chand par zor nahin dil to hai bas main apnay


Chand par zor nahin dil to hai bas main apnay 

Tum kaho to yahi do neem kiye letay hain

Woh aankhein jo tumhari muntazir thein


Woh aankhein jo tumhari muntazir thein 
Bari muddat hui pathraa gayi hain 

Kinaray lag gaya hai khamoshi se
Mohabbat main dil bhi chalaak nikla 

Tumhari raah par pairon ki surat 
Ugaata phir raha hoon bandgani 

Kisi ka khawab aankhon main nahin hai 
Wagarna neend hum ko aa hi jati 

Hamari tarah kay log kitnay 
Ghamon ko pusht pe laday huye hain 

Tumharay cheetray tum ko batatay 
Tumhein kitna bachaya hai jahan se

Puranay zard patton kay bahanay darakhton se utar aaye zamanay



Puranay zard patton kay bahanay 
Darakhton se utar aaye zamanay 

Yeh pattay khaak ka zewar nahin thay 
Yeh saray hi bulandi par kahin thay 

Jo maaray maaray phirtay hain dewanay 
Darakhton se utar aaye zamanay 

Hain apnay dard kay hum'raaz pattay 
Her ik mousam se hain naraz pattay 

Inhein ab kon aaye ga mana'nay 
Darakhton se utar aaye zamanay 

Yeh peelay dil hawa kay aasray par
Paray hain bas khuda kay aasray par

Koi aaya nahin in ko uthanay 
Darakhton se utar aaye zamanay 

Kabhi shakhon se thay phootay prinday 
Yeh harjai baray jhootay prinday 

Yeh pattay yeh khizaon kay fasanay 
Darakhton se utar aaye zamanay 

Puranay zard patton kay bahanay 
Darakhton se utar aaye zamanay 





Parbat parbat urray phiray hain mann panchi be'chain


Parbat parbat urray phiray hain mann panchi be'chain 
Janay kahan kahan le jayein sanwariya kay nain 

Ayo kahin chup kay rotay hain warna nagri main 
Koi sunay na hook dilon ki koi sunay na bain 

Woh dheeray dheeray dhundla hua jata hai mehtaab 
Beet chala hai jeewan jaisay beet chali ho rain 

Hum to jaisay dil aankhon main lay kay phirtay hon 
Baithay baithay hansi main ro detay hain nain 

Bolo Farhat aakhir kis ko dekh kay aaye ho 
Muddat baad teri aankhon main dekha hai sukh chain 

Zakham dil ki kahani kya karon


Zakham dil ki kahani kya karon 
Main teri ik ik nishani kya karon 

Zindagi kay dard boorha kar gaye 
Aur bur'hapay main jawani kya karon 

Tishnagi meri bujha sakta nahin 
Ae samnadar itna panni kya karon 

Koi bhi rad-e-amal Maf''qood hai 
Itni sari raigani kya karon 

Main teray jazbon ki shiddat ka biyan 
Sirf qasad ki zubani kya karon

Tumhein yaad hai ? tum ne mujhay kabhi khat nahin likha


Tumhein yaad hai ?
Tum ne mujhay kabhi khat nahin likha 
Aur na kabhi koi sandesa bhejwaya hai 
Tum ne kabhi mera intizaar nahin kiya 
Aur na kabhi bulwa bheja hai 
Tumhein yaad hai ?
Tum ne mujhay kabhi chua nahin 
Aur na kabhi khawaish ki hai 
Tum ne kabhi kisi khawaish ka izhaar nahin kiya 
Jo main chahata hoon 
Na tum ne kabhi yeh socha hai keh main kya chahata hoon 
Tum ne kabhi kisi darakht par mera naam nahin likha 
Kisi kaghaz par bhi nahin 
Tumhein yaad hai ?
Yaad hai tumhein ?
Nahin na ?
Mujhay to sab ka sab 
Bhout bhout bhout achi tarah yaad hai

Tu ne kis jaga pe utara hai abhi kis qadar door kinara hai abhi


Tu ne kis jaga pe utara hai abhi 
Kis qadar door kinara hai abhi 

Apni taqdeer badal sakta hoon 
Meri mutthi main sitara hai abhi 

Zindagi kehti hai kuch dair thehr 
Lakin is ka ti ishara hai abhi 

Tum abhi paas kharay ho meray 
Mujh ko her shakhs gawara hai abhi 

Hum ussay somp chukay hain sab kuch 
Aur woh kehta hai khasara hai abhi 

Wasal kuch dair thehar janay de 
Dil teray hijar ka maara hai abhi 

Dekh talti hai musibat kaisay 
Main en mola ko pukara hai abhi

Gham kay bazar na ja aankh kay paar na ja


Gham kay bazar na ja
Aankh kay paar na ja

Lotna mushkil hai 
Ae dil zaar na ja

Janay kab aan giray 
Zer-e-dewaar na ja 

Shan se jao to hai 
Youn sar-e-daar na ja

Aa tera dukh banton 
Shaam be'maar na ja 

Kuch na kuch larr to sahi 
Is tarah haar na ja 

Kuch dilaasa  bhi to de 
Hum ko youn maar na ja

Yeh jo aanso'on main gharoor hai yeh mohabbaton ka fatoor hai


Yeh jo aanso'on main gharoor hai 
Yeh mohabbaton ka fatoor hai 

Tera aasman qareeb tha 
Mera aasman to door hai

Mujhay keh rahi thi woh azm se 
Mujhay tum ko pana zaroor hai 

Yeh meri shabeeha nahin  , suno 
Yeh to meri aankhon ka noor hai 

Teray ishq ka teri rooh ka 
Meri wehshaton main zahoor hai 


Meri shairy ki ragon main sab 
Teri chahaton ka saroor hai 

Mujhay apnay rutbay ka shaoor hai 
Mujhay apnay gham ka shaoor hai 

Meri rooh gahm se nidhaal hai 
Meri zaat hijar se choor hai 

Teri nek'nami main kafi kuch 
Meri be'kali ka qsaoor hai

Ae dil raigaan udas udas phir rahay ho kahan udas udas


Ae dil raigaan udas udas
Phir rahay ho kahan udas udas

Chand ik umar se safar main hai 
Aasman aasman udas udas 

Jab bhi dekha hai jhaank akr dil main 
Ho gaya sab jahan udas udas

Zindagi khel hai udasi ka 
Hum yahan tum wahan udas udas

Phirtay rehtay hain hum mohabbat main 
Muz'mahil na'tawan udas udas 

Sochta hoon keh meray seenay main 
Janay kya hai nihaan udas udas 

Kya udasi siwa nahin kuch bhi 
Ae meray la'makaan udas udas 

Raat bhar jaagtay ho kiyon aakhir 
Is tarah meri jaan udas udas 

Ik taraf gham hain ik taraf khushiyan 
Aur main darmiyan udas udas 

Saray kirdaar hain mohabbat kay 
Daastan daastan udas udas 

Yeh wohi hain hamaray Farhat jee
Reh rahay hain yahan udas udas 

Kya batlaein kaisay kaisay jeewan sehna parta hai


Kya batlaein kaisay kaisay jeewan sehna parta hai 
Ik ik shab se dar lagta hai phir bhi rehna parta hai 

Kaghaz ban kay urna parta hai be'reham hawaon main 
Lakri ban aky zaalim dariyaon main behna parta hai

Mera intizaar qadeem hai mera tum se pyar qadeem hai


Mera intizaar qadeem hai 
Mera tum se pyar qadeem hai 

Meray phootay huye naseeb par 
Tera ikhtiyaar qadeem hai 

Meray saath dukh main hai aasman 
Mera so'gawar qadeem hai 

Aankhon kay paar chand


Aankhon kay paar chand 

Is kainaat rang main 
Duniya-e-sang main 
Hum qaid to nahin thay magar 
Is kay ba'wajood
Azadiyon ne lutf-e-rihaai nahin diya 
Chaha bhout keh apnay hi andar kabhi kahin 
Utrein , utar kay khud ko talashein kuch is tarah 
Haathon main apna khoj ho 
Dil main wisaal aag 
Pairon main aagahi kay bulandi raastay 
Lakin badan se rooh ki  in manzalon kay beech 
Woh raat thi keh kuch bhi samjhai na diya 
Koi wajood tha keh jo taari tha zaat par
Aankhon kay paar chand dikhai nahin diya 


Main yahan aur tu wahan jaana darmiyaan saath aasman jaana


Main yahan aur tu wahan jaana
Darmiyaan saath aasman jaana

Hum nahin hon gay aur duniya ko 
Tu sunaye ga dastaan jaana 

Dekhnay main to kuch nahin lakin 
Ik zamana hai darmiyan jaana

Ro rahay prind shakhon par
Jal gaya ho ga Aashiyan jaana 

Aur ik mohabbat mera asaasa hai  
Aur ik hijar pe garaan jaana

Yeh to socha na tha kabhi aansoo 
Aisay jayein gay raigaan jaana

Main teray baray main kuch ghalat keh doon 
Kat na jaye meri zuban jaana

Woh kuch is tarah bhi taqdeer bana deta hai


Woh kuch is tarah bhi taqdeer bana deta hai 
Dard ki rooh ko jageer bana deta hai 

Ik masehaai utar aati hai shairon main meray 
Koi alfaaz ko taseer bana deta hai 

Naqsh karta hai ujagar meri awazon ko
Baat karta hoon to tasveer bana deta hai 

Aankh masoom hai lakin koi karni wala 
Hadaf-e-dil kay liye teer bana deta hai 

Ghair leta hai nishanaat-e-qadam bhi Farhat 
Ishq ko halqa-e-zanjeer bana deta hai
 

Mout ka Aitabar kar letay do ghari intizaar kar letay


Mout ka Aitabar kar letay 
Do ghari intizaar kar letay 

Dard munh phair kar nahin jata 
Dard hi ikhtiyaar kar letay 

Loat kar phir yahi hua hota 
Tum kisi se bhi pyar kar letay 

Ae meray dil kabhi kabhi koi 
Shaam hi khush'gawar kar letay 

Jhoot ki nokri se behtar tha 
Khud ko be'roz'gaar kar letay

Aankh ki nigrani main bhi dil chori kar leta hai


Aankh ki nigrani main bhi 
Dil chori kar leta hai 

Gham ki nigrani main bhi 
Dil chori ho jata hai 

Raat , Mohabbat , Tanhai 
Saray roop tumharay hain 

Rangon ki barsaton ka 
Jadu sa kar jatay ho 

Jadu akrnay walon ko 
Jadu raas nahin aata 

Tum jadu kar jao gay 
Hum neki kar ajyein gay 
 

Aur nahin to us ko bhi bad'naam karon


Aur nahin to us ko bhi bad'naam karon 
Logo aakhir main bhi kuch to kaam karon 

Tor doon ya us pagal dil ko raam karon 
Kuch na kuch is qissay ka anjaam karon 

Tum bolo main geet likhon awazon par
Tum palkein jhapko ta keh main shaam karon 

Woh kiyon mujh ko likh de apni azadi 
Main kiyon apna jeewan us kay naam akron 

Fun ki khatar yeh to karna parta hai 
Apnay roz-o-shab waqf-e-alaam karon


Zakahm tehreer par sula lenay do


Zakahm tehreer par sula lenay do 
Yeh bhi jageer sula lenay do 

Shayed aa jaye gi phir neend hamein 
Naqsh-e-zanjeer sula lenay do 

Aankh jaye gi magar putli main 
Jo hai hai tasveer sula lenay do 

Zal'zalay chahnay walo mujh ko !
Shouq-e-tameer sula lenay do 

Shaher to so bhi chuka mar bhi chuka 
Aik raah'geer sula lenay do 

Aankh ghabraa hi na jaye "Farhat"
Rang-e-tabeer sula lenay do

Shaher-e-veeran kay darwaze se lag kar roye


Shaher-e-veeran kay darwaze se lag kar roye 
Apni pehchan kay darwaze se lag kar roye 

Apna pathar tha makan us ka keh youn lagta tha 
Hum biya'baan kay darwaze se lag kar roye 

Ab to hum kitni dafa aankhon ki aadat kay tufail 
Gham kay imkaan kay darwaze se lag kar roye 

Hum sataye huye duniya kay teray baad aksar 
Teray ehsaan kay darwaze se lag kar roye 

Koi awaz tasali na dilasa nikal 
Kaisay insaan kay darwaze se lag kar roye 

Hum ne kab dil se kaha tha bharri barsaton main 
Teray paimaan kay darwaze se lag kar roye 

Dil kay darwaze pe roye to laga hai "Farhat"
Jaisay zindaan kay darwaze se lag kar roye 

Aatay jatay huye parta rahay naqsh-e-kaf-e-paa


Aatay jatay huye parta rahay naqsh-e-kaf-e-paa

Dil mera shaher Mohammad ki zameen ho jaye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...