Feb 5, 2015

Mujhay bas tumhara saath nibhana acha lagta hai


Mujhay bas tumhara saath nibhana acha lagta hai
Tum hi se baat karna , muskurana acha lagta hai 

Tumharay aansoo bhi pyaray, tumhari muskurahat bhi 
Tum hi se roothna , tum ko mana'na acha lagta hai 

Tumhari khushiyan mujhay apni jaan se pyaari hain 
Tumharay wastay her gham uthana acha lagta hai 

Tumhara saath jab chootay to saansain ruk jayein meri 
Tumhari yaadon main doob jana acha lagta hai

Hazaar jam-e-lutf hazaar meh'khanay


Hazaar jam-e-lutf hazaar meh'khanay

Nigaah-e-yaar ki lazzat sharaab kya janay

Majboor thay halaat se mohabbat jata na sakay


Majboor thay halaat se mohabbat jata na sakay
Khaatay rahay hum zakham uS ko bata na sakay 

Chahaton ki had se bhi ziyada chaha ussay 
Sirf apna dil nikaal kar ussay dikha na sakay 

 

Kisi kay hotay huwey bhi tanhai mili hai



Kisi kay hotay huwey bhi tanhai mili hai 
Wafa kar kay bhi be'wafai mili hai 

Jitni dua ki ussay paanay ki 
Us se ziyada us ki judai mili hai

Ae mohabbat sharam se doob mar


Ae mohabbat sharam se doob mar 

Tu aik shakhs ko mera na kar saki

Aik ajeeb si kaifiyat hai meri tere bin


Aik ajeeb si kaifiyat hai meri tere bin 

Reh bhi letay hain aur raha bhi nahin jata

Sitam hawa ka agar teray tan ko raas nahin


Sitam hawa ka agar teray tan ko raas nahin 
Kahan se laaon woh jhonka jo meray paas nahin 

Pighal chuka hoon tamaazat main Aaftaab ki main 
Mera wajood bhi ab meray paas nahin 

Meray naseeb main kab thi Baharain apni 
Mili woh mujh ko tamana keh be'libas nahin 

Kidher se utray kahan aa kay tujh se mil jaaye 
Abhi nadi kay chalan se tu ru'shanaas nahin 

Khula para hai samandar kitaab ki surat 
Woh hi parhi aisay Aa kar jo na'shanaas nahin 

LAhoo kay saath gaye tan badan ki sab cheh'kaar
Chubhan saba main nahin hai kali main baas nahin

Pehlay to bhout shouq tha tumhain hamara hal poochnay ka


Pehlay to bhout shouq tha tumhain hamara hal poochnay ka 

Ab kya huwa hum woh nahin rahay ya din woh nahin rahay

Be'basi hai , udaasi hai , Aansoo hain aur dard hai


Be'basi hai , udaasi hai , Aansoo hain aur dard hai 

Dekho sab hai meray paas bas tum hi nahin ho

Ishq se mili hain jo tanhaiyaan hamain


Ishq se mili hain jo tanhaiyaan hamain 
Kaisay un ka dard biyaan karain gay 

Aik se hi mohabbat itni kar li hum ne 
Keh ab auron se mohabbat kiya karain gay

Kaash woh ik moqa detay baat karnay ka


Kaash woh ik moqa detay baat karnay ka 

Hum un ko bhi rula detay un hi kay sitam suna suna kar

Milta kuch bhi nahin sab kuch luta kar


Milta kuch bhi nahin sab kuch luta kar 

Meri maano sar jhuka kay guzar jaao agar koi pyaar se dekhy

Un ko dekha to kuch gum'shudgi ka ehsaas huwa


Un ko dekha to kuch gum'shudgi ka ehsaas huwa

Haath seenay pe jab rakha to dil moujood na tha

Ishq main qalb-o-jiger bhi na hamaray niklay


Ishq main qalb-o-jiger bhi na hamaray niklay 
Jo bhi niklay woh taraf'daar tumharay niklay 

Kitnay aashiq huwey qurbaan tujhay maloom nahin 
Kitnay zaalim teri nazron kay isharay niklay 

Teray dariya-e-mohabbat main mohabbat se kabhi 
Doobnay walay jo doobay na kinaray niklay

Kitna mushkil tha gham-e-doran se nikalna lakin 
Hum jo niklay to faqat un kay saharay niklay 

Meray mar jaanay ki woh sun kay khabar Ae Mohsin 
Ghar se rotay huwey bin zulf sanwaray niklay

Wafa mili to sabhi ko mili siwaye hamaray


Wafa mili to sabhi ko mili siwaye hamaray 

Hamain jab bhi pyar huwa to be'qadron se huwa

Yeh dil bura hi sahi , sar-e-bazar to na keh


Yeh dil bura hi sahi , sar-e-bazar to na keh 

Aakhir tu bhi to kitni muddat se dil main rehta hai

Mohabbat kay safar main koi raasta nahin deta


Mohabbat kay safar main koi raasta nahin deta 
Zameen waqif nahin banti , falak saya nahin deta 

Khushi aur dukh kay mousam sab kay apnay hotay hain 
Kisi ko apnay hissay ka koi lamha nahin deta 

Udasi jis kay dil main ho usi ki neend urti hai 
Kisi ko apni aankhon se koi sapna nahin deta 

Uthaana khud hi parta hai thaka toota badan apna 
Keh jab tak saans chalti hai koi kaandha nahin deta

Dil main hotay hum to bhula na paatay woh


Dil main hotay hum to bhula na paatay woh

Zehan se to aksar baatein nikal hi jaati hain

Mohabbat bhi to mazhab huwa na


Mohabbat bhi to mazhab huwa na 

Keh sirf ik hi ko chahna , ussi ko mana'na

Dil to kehta hai zindagi ko kisi Qatil kay hawalay kar doon


Dil to kehta hai zindagi ko kisi Qatil kay hawalay kar doon 

Judai main yeh roz roz ka marna mujhay acha nahin lagta

Honay thay jitnay khail muqaddar kay ho gaye


Honay thay jitnay khail muqaddar kay ho gaye 
Hum tooti kashti lay kay samandar kay ho gaye 

Kushboo hamaray haath ko chu kar guzar gayi 
Hum phool sab ko baant kay kaanton pe so gaye

Kitni ajeeb hai meray andar ki tanhai bhi


Kitni ajeeb hai meray andar ki tanhai bhi 

Hazaron apnay hain magar yaad tum hi aatay ho

Bharram rakh lo mohabbat ka wafa ki shaan ban jaao


Bharram rakh lo mohabbat ka wafa ki shaan ban jaao 

Meri jaan le lo ya meri jaan ban jaao

Bas yahi aadat tumhari mujhay achi lagti hai


Bas yahi aadat tumhari mujhay achi lagti hai 

Udaas kar kay kehtay ho naraaz to nahin ho na

Zndgagi ki raahon main tum bhi chor gaye aakhir


Zndgagi ki raahon main tum bhi chor gaye aakhir 
Baray hamdard bantay thay mera dil tor gaye aakhir 

Tum pe to baray maan thay meri umeedon ko 
Ab kis se gila karon , tum hi munh mor gaye aakhir 

Log to chalo log thay unhon ne jo kiya so kiya 
Bhari duniya main aaj tum bhi tanha chor gaye aakhir 

Tum to kehtay thay hum woh nahin hain jo chorain apno ko 
Apnay waaday apni qasmain khud torr gaye aakhir

Zindagi main manzilein to mil hi jaati hain


Zindagi main manzilein to mil hi jaati hain 

Milta woh mushkil se hai jo saath nibhanay wala ho

Deeda-o-dil main koi husan bikharta hi raha


Deeda-o-dil main koi husan bikharta hi raha 
Laakh pardon main chupa koi sanwarta hi raha 

Roshni kam na hui waqat kay toofan main 
Dil kay dariya main koi chaand utarta hi raha 

Raastay bhar koi aahat thi keh bas aati hi rahi 
Koi saaya meray baazo'on se guzarta hi raha 

Mitt gaya par teri baanhon ne sameta na mujhay 
Shaher dar shaher main galiyon main bikharta hi raha 

Lamha lamha rahay aankhon main Andheray lakin 
Koi suraj meray seenay main ubharta hi raha 


Teri yaad main khud ko kuch is tarah jala deta hoon


Teri yaad main khud ko kuch is tarah jala deta hoon 

Aag se likhta hoon naam tera Aur Aanso'on se bujha deta hoon

Dil par kisi shakhs ka bhi ikhtiyaar nahin hota


Dil par kisi shakhs ka bhi ikhtiyaar nahin hota 
Hota agar aisa to kisi ko bhi pyaar nahin hota 

Jis kay dil main koi bas jaye aik baar 
US ko phir kisi aur ka intizaar nahin hota 

Kisi kay zakham ka marham , kisi kay gahm ka ilaaj


Kisi kay zakham ka marham , kisi kay gahm ka ilaaj 

Logon ne baant rakha hai mujhay dawa ki tarah

Hans kay chal doon ga kaanch kay tukron par


Hans kay chal doon ga kaanch kay tukron par 

Agar tum keh do keh , yeh meray bichaye huye phool hain 

Udas mat raha karo hum se bardaasht nahin hota


Udas mat raha karo hum se bardaasht nahin hota 

Tumharay chehray ko khush dekh kar hum apnay gham bhula diya kartay hain

Koi ilzaam koi tanz koi ruwaai Mohsin


Koi ilzaam koi tanz koi ruwaai Mohsin 

Din bhout ho gaye yaar ne koi inayat nahin ki

Hum be'wafa la'parwah sahi tumhain yaad to kartay hain


Hum be'wafa la'parwah sahi tumhain yaad to kartay hain 

Aadat ki baat aur hai dil kay buray nahin hum

Akelay hain to kya hua yeh zindagi bhi guzar jaye gi


Akelay hain to kya hua yeh zindagi bhi guzar jaye gi 

Hum apni tanhai mitaanay kay liye kisi ko majboor nahin kartay

Jo ehal-e-dil hain bas woh jantay hain


Jo ehal-e-dil hain bas woh jantay hain 
Khushi be'kaif hai gar gham nahin hai 

MAin ik muddat se jis kay ru'ba'ru hoon 
Abhi tak woh mera mehram nahin hai

Rafta rafta waqat se majboor hota gaya


Rafta rafta waqat se majboor hota gaya 
Bhout pyaar tha tujh se aur tujh se hi main door hota gaya

Main ne iltaja ki keh teray bin waqat nahin guzarta 
Yeh sun kar tu bhi thora maghroor hota gaya 

Kisi ki judai ko bardaasht na kar paya main bhi 
Dil-o-dimaagh se la'shaoor hota gaya 

Teri aankh main na'janay kaisa hunar tha 
Jo main poori mehfil main masroor hota gaya 

Yeh kaisi mohabbat keh muqaddar ki ruwaai hui hai 
Main be'wafa aur woh be'qasoor hota gaya

Tujhay bar'baad kar doon gi , abhi bhi loat ja wapis


Tujhay bar'baad kar doon gi , abhi bhi loat ja wapis

Mujhay qatil bhi kehtay hain , mohabbat naam hai mera

Aasmaan se toota hua ik sitaara hoon main


Aasmaan se toota hua ik sitaara hoon main 
Na kisi ka mehboob na kisi ka sahara hoon main 

Nahin shikwa mujhay koi zamanay se 
Faqat bas halaat ka maara hoon main 

Hazaron log rehty hain meray aas paas
Na janay phir kiyon be'sahara hoon main 

Jis kay khayal main koi manzil na aaye 
Haan aisa musafir awara hoon main 

Jissay dekhnay ko her koi gurez karta hai 
Wohi be'rang, be'noor sa nizaara hoon main 

Aaj jo nafrat karta hai mujh se 
Kal wohi kehta tha tumhara hoon main

Phool jab tehni se toot jaye to kisi kaam ka nahin rehta


Phool jab tehni se toot jaye to kisi kaam ka nahin rehta 

Tum khud ko juda meri zaat se kuch soch kar karna

Pehlay khushboo kay mizaajon ko samjh lo


Pehlay khushboo kay mizaajon ko samjh lo 

Phir gulistaan main kisi gul se mohabbat karna

Khuda ka shukar hai keh khawab bana diya us ne


Khuda ka shukar hai keh khawab bana diya us ne 

Warna ussay dekhnay ki to hasrat hi reh jaati

Yeh duniya matlab ki hai tum kis mukhlis ki baat kartay ho


Yeh duniya matlab ki hai tum kis mukhlis ki baat kartay ho 

Koi mera janaza parhnay bhi aaye ga to woh bhi apnay sawab ki khatir

Hum tamaam umar mohabbat ki talkeen kartay rahay


Hum tamaam umar mohabbat ki talkeen kartay rahay
Kitnay seedhay thay teri chahat pe yaqeen kartay rahay

Ek tu tha jis kay ehad par Aitabaar kar baithay 
Warna waday to hum se kai haseen kartay rahay 

YEh mohabbat to paak hai par afsoos hai hum ko 
Log is main bhi jurm kitnay sangeen kartay rahay 

Jin ko chaha hum ne dil ki gehraaiyon se 
Her mor pe woh mohabbat ki toheen kartay rahay 

Yaad aati hain hamain shab-e-wasal ki woh raatein 
Jahan hum dua kartay rahay aap ameen kartay rahay 

Meri mohabatein meri wafaein kabhi to yaad ayein gi ussay


Meri mohabatein meri wafaein kabhi to yaad ayein gi ussay 

Jab us ki chahaton ko ilzaam de kar thukra de ga koi

Meri mohabbat meri wafaein kabhi to yaad ayein gi ussay


Meri mohabbat meri wafaein kabhi to yaad ayein gi ussay 

JAb us ki chahaton ko ilzaam dy kar thukra dy ga koi

Phir na simtay gi mohabbat jo bikhar jaye gi


Phir na simtay gi mohabbat jo bikhar jaye gi
Zindagi zulf nahin jo bikhar jaye gi

Thaam lo haath us ka jo pyaar karay tum se
Yeh zindagi tehray gi nahin guzar jaye gi

Jo seenay main dharakta hai mujhay woh dil na do lakin



Jo seenay main dharakta hai mujhay woh dil na do lakin 

Jo chahat us kay andar hai woh meray naam kar do

Mohabbat chup nahin sakti , phir hum ne sabar se kaam liya


Mohabbat chup nahin sakti , phir hum ne sabar se kaam liya 

In aankhon main aansoo bhar aaye , jab tumhara kisi aur ne naam liya

Main rait pe naam kabhi likhta nahin



Main rait pe naam kabhi likhta nahin
Kiyon keh rait pekabhi tikta nahin 

Log mujhay pathar dil kehtay hain 
MAgar yaad rakho pathar pe likha naam kabhi mit'ta nahin 

Main ne kaha tu to apna tha to kiyon chor gaya


Main ne kaha tu to apna tha to kiyon chor gaya 

Woh bewafa hans kay bola zindagi bhi to apni hoti hai yeh kiyon chor jaati hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...