Kaash
main teray haseen haath ka kangan hota
tu bare piyar say chaao sey bare maan ke sath
Apni
nazuk si kalaai mein charhati mujh ko
aur bay taabi say furqat ke khizaan lamhom mein
Tu
kisi soch mein dobi jo ghomati mujh ko
main tere hath ki khushboo say mehak sa jata
Jab
kabhi mood mein aa kar mujhe choma karti
tere hontoon ki main hidat say dehak sa jata
Raat
ko jab bhi tu neendon ke safar par jati
mar-marein hath ka takiya banaya karti
Main
tere kan say lag kar kai batein karta
teri zulfon ko tere gaal ko choma karta
Jab
bhi tu band-e-qaba kholne lagti janan
apni ankhon ko tere husan se khaira karta
Mujh
ko bey taab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri rooh ke gulshan mein meehakta rehta
Main
tere jism ke aangan mein khanakta rehta
kuch nahi to yahi be naam sa bhandhan hota
Kash
main tere haseen haath ka kanghan hota