Dec 19, 2014

tu keh raha hai dil jissay woh meri khwaishon ka mizaar hai


Teray tabsaray hain be'khabar meri dastaan-e-hayat se
tu keh raha hai dil jissay woh meri khwaishon ka mizaar hai

Tera shukriya ae tabeeb-e-jaan yeh khaloos apni jaga magar
Teri masihaai bhi kiya karay mera dard hi be'shumaar hai

Meray raaston main jo aa gaya meray kaaflay ko jo kha gaya
Woh toofaan to kab ka guzar gaya par dil main ab tak ghubaar hai

Ae meharbaan dost sun meri mushkalon ko , samjh keh main 
Teri mohabbaton ka kiya karoon kissay dil pe ab ikhtiyaar hai 

Naye mousamon ko bulaao mat keh mujhay kushbo'on ki talab nahin 
Meri raah rehnay do khaar khaar meray liye to yahi bahaar hai 

Jo nafraton se jhulas gaya ussay dil se saaray duaein do 
Par us sitam zada ka kiya karain jo mohabbaton ka shikaar hai


Sar-e-raah kuch bhi kaha nahin , kabhi us kay ghar main gaya nahin


Sar-e-raah kuch bhi kaha nahin , kabhi us kay ghar main gaya nahin 
Hum janam janam se ussi kay hain , ussay aaj tak yeh khabar nahin 

Ussay paak nazron se choomna bhi ibaadaton main shumaar hai 
Koi phool laakh qareeb ho , kabhi main ne us ko chuaa nahin 

Yeh khudai din bhi ajeeb hai , keh usi kay naam naseeb hai 
Jissay tum ne chaha woh mil gaya , jissay main ne chaha woh mila nahin 

Isi shaher main kai saal se , meray kuch qareebi aziz hain 
Unhain meri kuch bhi khabar nahin , mujhay un ka koi pata nahin

Raaz-e-ulfat chupa kay dekh liya


Raaz-e-ulfat chupa kay dekh liya 
Dil bhout kuch jala kay dekh liya 

Woh meray ho kay bhi meray na huye 
un ko apna bana kay dekh liya 

Aur kiya dekhnay ko baaqi hai 
Aap se dil laga kay dekh liya 

"Faiz" takmeel-e-gham bhi na ho sakay 
Ishq ko azmaa kay dekh liya

Sulagtay labon pe giraa aur paani


Sulagtay labon pe giraa aur paani 
Bari tishnagi hai pilaa aur paani 

Sunaa jab wahan pyaas bujhti hai sab ki 
Samandar ki jaanib gaya aur paani 

Chalain gay to taaza rahain gay hamesha 
Hawa, khoon , samaa , raasta aur paani 

tahay khaak-e-sehraa mili aur kushki 
Samandar ki teh se mila aur paani 

Suna hai keh sehraaon main biktay hain aksar
Lahoo, jism , insaan . wafa aur paani 

Samandar nadi pee gaya aur bola 
Zara ur paani , zara aur paani 

Feroz us ne poocha keh kiyon aankh nam hai 
Meri aankh main bhar gaya aur paani
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...