Hawa jaam-e-sehat tajveez karti hai
Mujhay maloom tha
Yeh din bhi dukh ki kookh se phoota hai
Meri maatami chadar
Nahin tabdeel ho gi aaj kay din bhi
Jo raakh urti thi khawabon ki badan main
Youn hi aashafta rahay gi
Aur udasi ki yeh hi surat rahay gi
Main apnay sog main maatan kinaan
Youn sar'ba'zano raat tak baithi rahon gi
Aur meray khawabon ka parsa aaj bhi koi nahin de ga
Magar yeh kon hai
Jo youn mujhay baahir bulata hai
Bari narmi se kehta hai
Keh apnay hujra-e-gham se nikal kar baagh main ayo
Zara baahir to dekho
Door tak sabza bicha hai
Aur harri shakhon pe naranji shagoofay muskuratay hain
Mula'im sabz patton par pari shabnam
Sunehri dhoop main , heeray ki surat jag'magati hai
Darakhton main chuppi nadi
Bhout dheemay sur'ron main gun'gunati hai
Chamaktay zard phoolon se laddi
Nanhi pahari kay aqab main
Nuq'rai chashma khushi se khil'khilata hai
Prind khush gulu
Shaakh-e-shagufta par cheh'kata hai
Ghannay jungle main baarish ka ghubar sabz
Satha sheesha-e-dil par
Mula'im ungliyon se marhaba kay lafz likhta hai
Koi aata hai
Aa kar chadar-e-gham ko bari Aahistagi se
Meray shano se hat'ta kar
7 rangon ka dupata khol kar mujh ko orh'hata hai
Main khul kar saans leti hoon
Meray andar
Koi pairon main ghungru baandhta hai
Raqs ka aaghaz karta hai
Meray kaano kay awezon ko yeh kis ne chua
Jis se lu'wein phir se gulabi ho gayi hain
Koi sar'goshiyon main phir se mera naam leta hai
Fiza ki nagh'magi awaz deti hai
Hawa jaam-e-sehat tajveez karti hai