Jul 24, 2016

Bakh'shish hua yakeen , gumaan be'libaas hai


Bakh'shish hua yakeen , gumaan be'libaas hai 
Hai aag jama-e-zaib , dhuwan be'libaas hai 

Hai yeh fiza hazar libason ka ik libaas
Jo be'libaas hai woh kahan be'libaas hai 

Malboos taar tar-e-nafs hai ziyan-e-sood 
Sood-e-ziyan yeh hai keh ziyan be'libaas hai 

Meh'mal nasheen-e-rang ! Koi posteen-e-rang 
Raig rawan hoon raig-e-rawan be'libaas hai 

Ab para para poshish-e-guftaar bhi nahin 
Hain saans be'rafu soziyan be'libaas hai 

Sad jama-e-posh jis ka hai jism bar'hana bhi 
Khilwat sara'iye jaan main woh jaan be'libaas hai 

Hai bood aur nabood main poshish na pai'rahan 
Yaaran-e-makeen kya keh makaan be'libaas hai 

Tu khud hi daikh rang-e-badan apna josh-e-rang 
To apnay libaas main jaan be'libaas hai 

Gham ki bar'hangi ko kahan se jurray libaas 
Main lab seesay huye hon , faghan be'libaas hai 

Koi gumaan bhi nahin darmiyan , gumaan hai yahi


Koi gumaan bhi nahin darmiyan , gumaan hai yahi 
Isi gumaan ko bacha loon keh darmiyan hai yahi 

Yeh aadmi kay hain anfaas jis kay zehar farosh 
Ussay bithao keh mera mizaaj wahan hai yahi 

Kabhi kabhi jo na ayo nazar to seh lain gay 
Nazar se door na hona keh imtihaan hai yahi 

Main aasman ka ajab kuch lihaaz rakhta hoon 
Jo is zameen ko seh lay woh aasman hai yahi 

Yeh aik lamha jo dariyaft kar liya main ne 
Wisal-e-jaan hai yahi aur firaaq-e-jaan hai yahi 

Tum un main se ho jo yahan fateh'mand thehray hain 
Suno keh wajah gham-e-dil-e-shakistagaan hai yahi 

Kon se shouq kisi hawas ka nahin


Kon se shouq kisi hawas ka nahin 
Dil meri jaan teray bas ka nahin 

Raah tum karwaan ki lo keh mujhay 
Shouq kuch naghma-e-jars ka nahin 

Haan mera woh mo'amla hai keh ab 
Kaam yaaran-e-nukta ras ka nahin 

Hum kahan se chalay hain aur kahan 
Koi andaza-e-paish ka nahin 

Ho gayi is gilay main umar tamaam 
Paas sholay ko khaar-o-khash ka nahin 

Mujh ko khud se juda na honay do 
Baat yeh hai main apnay bas ka nahin 

Kya laraai bhala keh hum main se
Koi bhi sainkron bars ka nahin 

Dil tamana se dar gaya jaanam


Dil tamana se dar gaya jaanam 
Sara nasha utar gaya jaanam 

Ik palak beech rishta-e-jaan se
Her zamana guzar gaya jaanam 

Tha ghazab faisalay ka ik lamha 
Kon phir apnay ghar gaya jaanam 

Janay kaisi hawa chali ik baar 
Dil ka daftar bikhar gaya jaanam 

Apni khawab-o-khayal duniya ko 
Kon bar'baad kar gaya jaanam 

Thi sitam hijar ki maseehai 
Aakhrish zakham bhar gaya jaanam 

Ab bhala kya raha hai kehnay ko 
Yehni main be'asar gaya jaanam 

Na raha dil na daastan dil ki 
Ab to sab kuch basar gaya jaanam 

Zaahir tha apnay tor se jeena 
Koi ik tha jo mar gaya jaanam

Gumaan ki ik parishan manzari hai


Gumaan ki ik parishan manzari hai 
Bas ik deewar hai aur be'dari hai 

Agarcha zehar hai duniya ki her baat 
Main pee jaon isi main behtari hai 

Tu aye baad-e-khizaan us gul se kehna 
Keh shaakh umeed ki ab tak harri hai 

Gali main us nigar-e-na'shano ki 
Faghan karna hamari nokari hai 

Koi leh'kay khayaban-e-saba main 
Yahan to aag seenay main bharri hai  

Haal khush tazkara nigaaron ka


Haal khush tazkara nigaaron ka 
Tha tu ik shaher khaak'saaron ka 

Pehlay rehtay thay koocha-e-dil main 
Ab pata kya hai dil fagaron ka 

Ku-e-jaana ki naaka bandi main 
Bistra ab kahan hai yaaron ka 

Chalta jaata hai saans ka lashkar 
Kon pur'saan hai yaad'gaaron ka 


Apnay andar ghist raha hoon main 
Mujh se kya zikar raah'guzaron ka 


Un se jo shaher main hain be'daa'wa
Aaish mat pooch daway'daron ka 

Kaisa yeh moh'raka hai bar'pa jo 
Na piyadon ka na sawaron ka 

Main to khair apni jaan hi se gaya
Kya hua janay jaan'nisaron ka 

Kuch nahin ab siwa-e-khaakstr
Aik jalsa tha shola khawaron ka 

Woh khayal-e-mohaal kis ka tha


Woh khayal-e-mohaal kis ka tha 
Aaina be'misaal kis ka tha 

Safri apnay aap se tha main 
Hijar kis ka , wisaal kis ka tha 

Main to khud main kahin na tha mojood 
Meray lab par sawal kis ka tha 

Thi meri zaat ik khayal-e-Aashoob
Janay main hum'khayal kis ka tha 

Jab keh main her nafs tha be'ehwaal 
Woh jo tha mera haal kis ka tha 

Do'pehar ! baad-e-tund ! koocha-e-yaar !
Woh ghubaar-e-malaal kis ka tha  

Dil se hai bhout guraiz paa tu



Dil se hai bhout guraiz paa tu 
Tu kon hai aur hai bhi kya tu 

Kiyon mujh main ganwaa raha hai khud ko 
Mujhay aisay yahan hazar haa tu 

Hai teri judai aur main hoon 
Miltay hi kahin bichar gaya tu 

Poochay jo tujhay koi zara bhi 
Jab main na rahon to daikhna tu 

Ik saans hi bas liya hai main ne 
To saans na tha , so kya hua tu 

Hai kon jo tera dhiyaan rakhay 
Baahir meray bas kahin na jaa tu 

Main sahon karb-e-zindagi kab tak


Main sahon karb-e-zindagi kab tak 
Rahay aakhir teri kami kab tak 

Kya main aangan main chor doon sona 
Jee jalaye gi chandani kab tak 

Ab faqat yaad reh gayi hai teri 
Ab faqat teri yaad bhi kab tak 

Main bhala apnay hosh main kab tha 
Mujh ko duniya pukarti kab tak 

Khaima-gah-e-shumaal main ..... aakhir 
Us ki khushbu rachi basi kab tak 

Ab to bas aap se gila hai yeh hi 
Yaad ayein gay aap hi kab tak 

Marnay walo zara batao to 
Rahay gi yeh chala chali kab tak 

Jis ki tooti thi saans aakhir-e-shab 
Dafan woh aarzu hui kab tak 

Dozakh-e-zaat ba'wajood teray 
Shab-e-furqat nahin jali kab tak 

Apnay choray huye mohallon par 
Raha doraan-e-jaan kani kab tak 

Nahin maloom meray aanay par 
Us kay koochay main lu chali kab tak 


Khoon thookay gi zindagi kab tak


Khoon thookay gi zindagi kab tak 
Yaad aaye gi ab teri kab tak 

Jaanay walon se poochna yeh saba 
Rahay Aabaad dil ki gali kab tak 

Ho kabhi to sharab-e-wasal naseeb 
Pee'iye jaon main khoon hi kab tak 

Dil ne jo umar bhar kamai hai 
Woh dukhan dil se jaye gi kab tak 

Jis main tha soz-e-aarzu us ka 
Shab-e-gham woh hawa chali kab tak 

Bani aadam ki zindagi hai azaab 
Yeh khuda ko rulaye gi kab tak 

Haadsa zindagi hai aadam ki 
Saath de gi bhala khushi kab tak 

Hai jahanum jo yaad ab us ki 
Woh beh'shat-e-wajood thi kab tak 

Woh saba us kay bin jo aayi thi 
Woh ussay poochti rahi kab tak 

Haal-e-sehan-e-wajood thehray ga 
Tera hungaam-e-rukhsati kab tak 

Main na thehron na jaan tu thehray


Main na thehron na jaan tu thehray 
Kon lamhon kay ru ba'ru thehray 

Na guzarnay pe zindagi guzri 
Na theharnay pe chaar su thehray 

Hai meri bazam-e-be'dili bhi ajeeb 
Dil pur'khoon jahan sabu thehray 

Main yahan mudaton main aaya hoon 
Aik hungama ku-ba-ku thehray 

Mehfil-e-rukhsat hamesha hai 
Ayo ik hashar-e-ha'oo thehray 

Ik tawajo ajab hai simaton main 
Keh na bolon to guftagu thehray 

Kaj adaa thi bhout umeed magar 
Hum ne bhaiji "Jon" aik heela jo thehray 

Aik chaak-e-bar'hangi hai wajood 
Pai'rahan ho to be'rafu thehray 

Main jo hoon , kya nahin hoon main khud bhi 
Khud se baat aaj do badu thehray 

Baagh-e-jaan se mila na koi samar 
"Jon" hum to namu namu thehray 


Yaad ussay intahai kartay hain


Yaad ussay intahai kartay hain
So hum us ki buraai kartay hain 

Pasand aata hai dil se Yousaf ko 
Woh jo Yousaf kay bhai kartay hain 

Hai badan khawab-e-wasal ka dang'gal
Ayo zor azmai kartay hain 

Us ko aur ghair ko khabar hi nahin 
Hum lagai bujhai kartay hain 

Hum ajab hain keh us ki baanhon main 
Shikwa-e-wasal main bhi hum dono

Halat-e-wasal main bhi hum dono 
Lamha lamha judai kartay hain 

Aap jo meri jaan hain , main dil hoon 
Mujh se kaisi judai kartay hain 


Ba'wafa aik doosray se miyan 

Her nafs be'wafai kartay hain 

Jo hain sarhad kay paar se aaye 
Woh bhout khud satai kartay hain 

Pal qayamat kay sood khawar hain "Jon" 
Yeh abad ki kamai kartay hain 

Thehron na gali main teri wehshat ne kaha tha


Thehron na gali main teri wehshat ne kaha tha 
Main had se guzar jaon mohabbat ne kaha tha 

Darr tak teray laayi thi naseem-e-nafs angaiz 
Dam bhar na rukon yeh teri nikhat ne kaha tha 

Ehsaan kisi saru kay saa'iye ka na loon main 
Mujh se hi teray fitna-e-qaamat ne kaha tha 

Maara hoon mashiyat ka nahin kuch meri marzi 
Yeh bhi teray qaamat ki qayamat ne kaha tha 

Dil-e-shaher se kar jaon safar main su-e-duniya 
Mujh se to yahi meri sahulat ne kaha tha 

Sar par ik sach much ki talwar aaye to


Sar par ik sach much ki talwar aaye to 
Koi qaatil bar'sar-e-kaar aaye to 

Sar khuru ho jayon main to yaar abhi 
Dil saleeqay se sar-e-daar aaye to 

Waqat se ab aur kya rishta karein 
Jaan-e-jaana hum tujhay haar aaye to 

Sab hain haami aasman kay aye zameen 
Koi tera bhi taraf daar aaye to 

Aye aza daro ! karo majlis bar'pa 
Admi , insaan ko maar aaye to 

Woh jo tha woh kabhi mila , kabhi mila hi nahin


Woh jo tha woh kabhi mila , kabhi mila hi nahin 
So giriban kabhi sila hi nahin 

Us se her dam mo'amla hai magar 
Darmiyan koi sil'sala hi nahin 

Be'milay hi bichar gaye hum to 
So gilay hain koi gila hi nahin 

Tu jo hai jaan , tu jo hai jaana 
Tu hamein aaj tak mila hi nahin 

Mast hoon main mehak se us gul ki 
Jo kisi baagh main khila hi nahin 

Haye  "Jon" us ka woh piyala-e-naaf 
Jaam aisa koi mila hi nahin 

Tu hai ik umar se faghaan paisha 
Abhi seena tera chhilla hi nahin ?     

Jab hum kahin na hon gay tab shaher bhar main hon gay


Jab hum kahin na hon gay tab shaher bhar main hon gay 
Ponchay gi jo na us tak hum us khabar main hon gay 

Thak kar girein gay jis dam banhon main teri aa kar 
Us dam bhi kon janay hum kis safar main hon gay 

Aye jaan-e-ehad-o-paymaan , hum ghar basa'ein gay haan 
Tu apnay ghar main ho ga , hum apnay ghar main hon gay 

Main lay kay dil kay rishtay ghar se nikal chuka hoon 
Deewar-o-dar kay rishtay , deewar-o-dar main hon gay

Tujh aks kay siwa bhi Aye husan waqat-e-rukhsat 
Kuch aur aks bhi to is chashm-e-tar main hon gay

Aisay saraab thay woh aisay thay kuch keh ab bhi 
Main aankh band kar loon tab bhi nazar main hon gay 

Us kay naqoosh-e-paa ko raahon main dhoondna kya 
Jo us kay zer-e-paa thay woh meray sar main hon gay 

Woh baish-tar hain jin ko kal ka khayal kam hai 
Tu ruk sakay to hum bhi in baish-tar main hon gay 

Aangan se woh jo pichlay dalaan tak basay thay 
Janay woh meray saa'iye ab kis khandar main hon gay 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...