Feb 25, 2015

Iss duniya-e-hasrat main baray hum ne azaab dekhye


Iss duniya-e-hasrat main baray hum ne azaab dekhye
Ishq ki lambi manzil thi , raastay saray khraab dekhye

La'ilaaj is marz main kya kya ilaaj dekhye
Kisi ne ghungroo bandh liye  , kai peetay sharab dekhye 

Taray gin gin waqat guzara , hijar ki lambi raatein dekhein
Neend to mujhay qaleel aaye , jagratay be'hisaab dekhye 

Wafa hai riwayat apni , phir bhi hum ghreeb tehray 
Be'wafai ka taaj pehnay kitnay hum ne nawaab dekhye 

Kya bataaon neend kay us lamhay main kya dekha 
Wohi tanhai , wohi judai , uss se milnay kay khwaab dekhye

Meri halat pe muskuratay ho


Meri halat pe muskuratay ho 

Bad'dua hai tujhay bhi ishq ho jaye

Mohabbat mom hai lakin


Mohabbat mom hai lakin 

Mujhay pathar bana dala

Hai koocha-e-ulfat main wehshat ki farawaani


Hai koocha-e-ulfat main wehshat ki farawaani 
JAb qais ko hosh aaya , laila hui dewaani

Paish aayi wohi aakhir jo kuch ki thi paish aayi 
Qismat main azal hi se hi likhi thi paraishani 

Dil us ko diya main ne , yeh kis ko diya main ne 
Ghaflat si meri ghaflat , nadaani si nadaani

Aqleem-e-mohabbat ki duniya hi niraali hai 
Nadaani hai danaai , danaai hai nadaani

Ho zeest jinhain pyaari woh aur koi hon gay 
Hum mar kay dikha dain gay , marnay ki agar thaani

Aik shakhs hai meri zindagi jaisa


Aik shakhs hai meri zindagi jaisa 

Aur wohi meri zindagi main nahin

Hum ko loota hai ussi shaher ne Ae jan-e-wafa


Hum ko loota hai ussi shaher ne Ae jan-e-wafa 
Jis ki galiyon main mohabbat ka kuch hisaab na tha 

Woh jo rehtay thay meray saath hamesha din bhar 
Un kay mazhab main wafaon ka koi baab na tha 

Woh jo aankhon main mohabbat ko liye phirtay thay 
Un kay dil main thi woh nafrat keh kuch hisaab na tha 

MAin ne jis ko bhi museebat main maseeha jana 
Jo diya us ne us se bara kuch azaab na tha 

Mujhay khayal tha yeh log meray apnay hain 
Magar wahan pe to aisa koi riwaaj na tha

Hazaron gham hain jo mujhay masroof rakhtay hain


Hazaron gham hain jo mujhay masroof rakhtay hain 

Magar tum anmol itnay ho keh phir bhi yaad aatay ho

Tum ko hi fursat na thi kisi afsanay ko parhnay ki


Tum ko hi fursat na thi kisi afsanay ko parhnay ki 

Main to bikta raha teray shaher main kitabon ki tarah

Youn hi mil baithnay ka koi bahana niklay


Youn hi mil baithnay ka koi bahana niklay 
Baat se baat fasanay se fasana niklay 

Phir chalay zikar kisi zakham kay chhil janay ka 
Phir koi dard koi khwaab purana niklay 

Phir koi yaad koi saaz utha lay Aai 
Phir kisi saaz kay parday se tarana niklay 

Yeh bhi mumkin hai keh sehraa'on main gum ho jayein 
Yeh bhi mumkin hai kharabon se khazana niklay 

Aao dhoondain to sahi ehal-e-wafa ki basti 
Kya kahabr phir koi gum'gashta thikana niklay 

Yar aisi  bhi na kar baat keh dono ro dain 
YEh taaluq bhi faqat rasam-e-zamana niklay 

YEh bhi hai ab na uthay naghma-e-zanjeer kabhi 
YEh bhi hai hum sa koi aur dewana niklay 


Niklay hain hum ghar se sada kay liye


Niklay hain hum ghar se sada kay liye

Be'ghar huye hum kisi be'wafa kay liye

Hum bhat'taktay rahay ajnabi shaher main

Dil-e-be'chain lay kar kisi wafa kay liye

Mera jurm tha sirf un se wafa karna

Logon ne pathar uthaye saza kay liye

Mujhay shouq-e-ruswaai na tha lakin

Hum dar'badar huye un ki raza kay liye

Meray jism main ab dam kahan baaqi

Haath uthaye bhi hain to dua kay liye

Mar jaaon teray shaher main agar

Meri qabar pe zaroor aana Khuda kay liye

Niklay hain hum ghar se sada kay liye


Niklay hain hum ghar se sada kay liye

Be'ghar huye hum kisi be'wafa kay liye

Hum bhat'taktay rahay ajnabi shaher main

Dil-e-be'chain lay kar kisi wafa kay liye

Mera jurm tha sirf un se wafa karna

Logon ne pathar uthaye saza kay liye

Mujhay shouq-e-ruswaai na tha lakin

Hum dar'badar huye un ki raza kay liye

Meray jism main ab dam kahan baaqi

Haath uthaye bhi hain to dua kay liye

Mar jaaon teray shaher main agar

Meri qabar pe zaroor aana Khuda kay liye

Yeh Mehlon, yeh Takhton , yeh Taajon ki duniya


Yeh Mehlon, yeh Takhton , yeh Taajon ki duniya

YEh insaan kay dushman Samaajon ki duniya

Yeh doulat kay bhookay Riwajon ki duniya

YEh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Her aik jism ghayal Her ik rooh payaasi

Nigahon main uljhan Dilon main udaasi

Yeh duniya hai ya Aalam-e-bad'hawasi

YEh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

YAhan aik khilona hai insaan ki hasti

Yeh basti hai murda paraston ki basti

YAhan to jeewan se hai mout sasti

YEh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Jawani bhat'takti hai bad'kirdaar ban kar

Jawaan jism sajtay hain bazar ban kar

Yahan pyaar hota hai beo'paar ban kar

YEh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Garmi-e-hasrat-e-na'kaam se jal jatay hain


Garmi-e-hasrat-e-na'kaam se jal jatay hain

Hum chraghon ki tarah shaam se jal jatay hain

Shamma jalti hai jis aag main nu'maish ki khatar

Hum usi aag main Gum'naam se jal jatay hain

Khud'numaai to nahin shaiwa-e-Arbaab-e-wafa

Jin ko jalna ho woh armaan se jal jatay hain

Bach nikaltay hain agar Aatish-e-sayaal se hum

Shola-e-Aariz-e-gul'faam se jal jatay hain

Jab bhi aata hai mera naam teray naam kay saath

Na janay kiyon log meray naam se jal jatay hain

Laakh pinjray ki shab-o-roz hifaazat kartay


Laakh pinjray ki shab-o-roz hifaazat kartay

Panchi urr jatay agar hum na mohabbat kartay

Qaaflay raah main qadmon kay nishaan chor gaye

Kaash khushboo ki tarah dard bhi hijrat kartay

woh jo jazbaat ki hurmat se hi na waqif hain

KAisay mumkin tha keh woh pyaar ki Izzat kartay

Mil bhi sakti thi hamain us se rafaqat lakin

Hum baray shaher main kis se adawat kartay

Kabhi gham ki aag main jal uthay


Kabhi gham ki aag main jal uthay

kabhi dil ka daagh jala diya

Ae junoon-e-ishq bata zara

mujhay kiyon tamasha bana diya

Gham-e-ishq kitna ajeeb hai

yeh junoon se kitna qareeb hai

KAbhi ashk palkon pe ruk gaye

KAbhi main ne dariya baha diya

Mera jazba-e-shouq to dekhiye

Meri bandagi hai woh bandagi

Jahan tera naqsh-e-qadam mila

Wahin khud ko main ne juka diya

Abhi kar rahay ho tum ibtidaa

Mera keh raha hai yeh tajurba

Tumhain zindagi ki hai Aarzoo

Mujhay zindagi ne mitta diya

Mousam bhi hai sohana baarish bhi ho rahi hai


Mousam bhi hai sohana

Baarish bhi ho rahi hai

Bas ik kami hai jana

Teri yaad aa rahi hai

Matti ki soondhi khushboo

Patton se behta pani

Her cheez keh rahi hai

Teri yaad aa rahi hai

Rim jhim barasti baarish

Tip tip utar'ta pani

Yeh shor keh raha hai

Teri yaad aa rahi hai

Sirf aik larki (Parveen Shakir)


Sirf aik larki (Parveen Shakir)

Apnay sard kamray main

MAin udaas baithi hoon

Neem waa dareechon se

Nam hawaein aati hain

Meray jisam ko choo kar

Aag si laga deti hain

Tera naam lay lay kar

Mujh ko gud'gudaati hain

Kaash meray par hotay

Teray paas urr aati

Kaash main hawa hoti

Tujh ko choo kar loat aati

MAin nahin magar kuch bhi

Sang'dil riwajon kay

Aahini hisaaron main

Umar qaid ki mulzim

Sirf aik larki hoon

Teri kalayi jo pakron to bhout shor machaati hain




Teri kalayi jo pakron to bhout shor machaati hain

Aakhir yeh chooriyan teri lagti kya hain ?

Her roz teri khushboo main nahaati hain

Tujhay subh-o-shaam pyaar ka geet sunaati hain

Teray phool se hont jab in ko chootay hain

Teri saanson ki mehak se yeh dehak si jaati hain

Shokh-o-chan'chal rangon ki yeh chooriyan teri kalayi main

Teray husan kay pai'kar ko aur haseen bana deti hain

Teri kalayi ki yeh chooriyan jissay nazar aayein

Ussay pagal dewana , paremi bana deti hain

Teri kalayi ko jab bhi main ne choona chaha

YEh chooriyan Aasman sar pe utha leti hain

Teri kalayi jo pakron to bhout shor machaati hain

Aakhir yeh chooriyan teri lagti kiya hain 

Hamra zehan ik azaad panchi ki tarah se hai



Hamra zehan ik azaad panchi ki tarah se hai

Jo her ik pal

Kisi parwaaz ko tiyaar rehta hai

Magar kuch log is ko aik pinjray main

Muqeed kar kay rakhtay hain

Issay sonay ka dana to khilaatay hain

MAgar

Azaad hi honay nahin detay

Issay apni khushi aur apni khwaish se

KAbhi chughnay nahin detay

KAbhi sonay nahin detay

YEh hansana chahata hai to

Issay hansanay nahin detay

YEh rona chahta hai to

Issay ronay nahin detay

Bhout si khoobsurat manzalon ko
Kabhi panay nahin detay

Kabhi bad'boo zada be'rang be'wuqat rawiyon ko

Kabhi khonay nahin detay

MAgar

Meray zehan main jo prinda hai

Bara sar'kash bara baaghi hai yeh

YEh meray dil ki tehni par

teharta hi nahin aa kar

Hamesha khol kay par

Soch ki parwaaz ko tiyaar rehta hai

YEh her ik shakhs ka daala hua

Daana  nahin chughta

Kisi bhi do'ghlay chehray ko gar dekhye

Shor karnay se nahin rukta

Issay jab chot lagti hai

Tarapta hai

Phar'rakta hai

Jhagarta hai

Kabhi Aansoo giraata hai

Kabhi fariyaad karta hai

Mujhay yeh tang karta hai

YEh mujh se jung karta hai

Magar phir bhi

Bara na'yaab panchi hai

Bara dil'kash prinda hai

Mujhay is se mohabbat hai

Khushi hai keh yeh zinda hai

Kabhi yeh rooth jaata hai

Kabhi yeh maan leta hai

Magar mujh se mukhatab ho

To meri jaan leta hai

Meray saaray iraadon ko

Kasooti par parakhta hai

Na jab tak faisala de dy

Hamara dil dharakta hai

Hamesha din nikalta hai

Hamesha raat hoti hai

Magar is kay liye andar koi

Be'mousami be'waqat ki barsaat hoti hai

Yeh baarish is kay dil'kash par kay ooper

Aag ki tarah barasti hai

Jhulasti is main is ki saari ki saari

hi hasti hai

Paron ko khol kar

Aankhon ko apni band kar kay

Oper ko munh utha'ta hai

Mujhay mehsoos hota hai

Madad kay wastay apni

Khuda ko bulaata hai

YEh us se kar kay astagh'faar

Haal-e-dil sunaata hai

Neela mera wajood gharri bhar main kar gaya


Neela mera wajood gharri bhar main kar gaya

Woh zehar ki tarah meray dil main utar gaya

PAlkein larz kay reh gayein aur deep bujh gaye

Ilzaam ab kay baar bhi Aandhi kay sar gaya

Ab kis liye sambhaal kay rakhon bisaa'ratein

Aankhon se khwaab cheen kay jab chara gar gaya

Us se bichar kay dil ka huwa hai ajeeb haal

Paanay ki Aarzoo gayi , khonay ka dar gaya

JAb mousamon ne phir se bagawat ki thaan li

Tehni pe phool khilnay se pehlay bikhar gaya

Behtar hai khud rafu'gari seekhon keh aaj to

Ghaayo khulay hi chor kay woh chara gar gaya

Us pe yaqeen ba'haal huwa to woh aik dam

Iqraar kay maqaam pe Aa kar mukar gaya

Aankhon se neend . dil se sukoon ho gaya juda

Lagta hai apnay saath koi haath kar gaya

Suraj ne saath chora to dekha palat kay tab

Socha jo saath chalta tha sayaa kidhar gaya

Pagal woh kar deti ho gi ab bhi jab woh hansti ho gi



Pagal woh kar deti ho gi

ab bhi jab woh hansti ho gi
Mujh ko to barbaad kiya hai
Khud bhi shayed roti ho gi

Arsaa beeta hai bin dekhye
Janay ab woh kaisi ho gi
Us kay haath ki rekhaon main
ik rekha meri bhi ho gi

Jis din us se milna ho ga
shaam bhi uss kay jaisi ho gi
Dulhan ban kar woh is dil main
Socho kaisi lagti ho gi

Jin haathon ko main en chooma
Un ko ab tak tak'ti ho gi
Sun kar mera naam woh shayed
Mujh ko yaad to karti ho gi

Arsa beeta hai bin dekhye
Janay ab woh kaisi ho gi kaisi ho gi 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...