May 20, 2016

Mujhay her kaam se pehlay


Mujhay her kaam se pehlay 

Mujhay her kaam se pehlay 
Sehar se shaam se pehlay 
yehi ik kaam karna hai 
Tumhara naam lena hai 
Tum hi ko yaad karna hai 
Keh jab bhi dard peena hai 
Keh jab bhi zakham seena hai 
Gham-e-duniya se ghabra kar 
Mujhay jab jaam lena hai 
Tumhara naam lena hai 
Tum hi ko yaad karna hai 
Tumhari yaad hai dil main 
Keh ik siyaad hai dil main 
Koi bar'baad hai dil main 
Ussay abaad karna hai 
Tumhara naam lena hai 
Tum hi ko yaad karna hai 

Main janta hoon keh ab chatton par




Diya jalana 

Main janta hoon keh ab chatton par 
Diye jalanay ki rasam baqi nahin rahi hai 
Magar tumhein meri yaad aaye 
To yaad rakho ......!
Tum apni aankhon se
Aansu'on kay chamaktay moti na girnay dena 
Bas itna karna 
Keh apni chatt par 
Meri mohabbat ki nazam gaa kar 
Meri rafaqat ko yaad kar kay 
Diya jalana 
Tum apni chatt par kisi bhi konay main baith kar 
Ik diya jalana . . . . !

Kehtay ho keh bichray koi muddat nahin guzri




Kehtay ho keh bichray koi muddat nahin guzri 

Lagta hai kabhi tum ne calendar nahin dekha

Tab yaad bhout tum aatay ho




Tab yaad bhout tum aatay ho 

Jab raat ki nagan dasti hai 
Nas nas main zehar utarta hai 
Jab chand ki kirnein tezi se 
Is dil ko cheer kay aati hain 
Jab aankh kay andar hi aansu 
Zanjeeron main bandh jatay hain 
Sab jazbon par chaa jatay hain 
Tab yaad bhout tum aatay ho 
Jab dard ki jhanjhar bajti hai 
Jab raqs ghamon ka hota hai 
Khawabon ki taal pe saray dukh 
Wehshat kay saaz bajatay hain 
Gaatay hain khawaish ki lay main 
Masti main jhoomtay jatay hain 
Sab jazbon pe cha jatay hain 
Tab yaad bhout tum aatay ho 
Tab yaad bhout tum aatay ho 

Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai


Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai 
Tumhari "Haan" pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Darakhat par jo kabhi churiyon se dala tha 
Us ik nishan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Yeh aik hum keh nayi boliyan sada bolein 
Teri zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Sulag rahi hain dehan main qabaein lafzon ki 
Magar zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Tumharay aanay pe suraj kay haath chamkein gay 
Meray makan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Her aik simat pighalnay lagay hain sanatay 
Teray biyan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Jahan jahan teri khushbu kay rang bikhray hain 
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Teri judai kay pal se hua hai ishq hanoot
Keh is jahan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Woh "Haan" karay gi baharon main us ka wada tha 
Us aik "Haan" pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Woh mujh ko somp gaya furqatein december main 
Darakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Hamaray lab to duaein jalaye rakhtay hain 
Par aasman pe wohi sardiyon ka mousam hai 

Dukh dard kay maron se mera zikar na karna


Dukh dard kay maron se mera zikar na karna 
Ghar jao to yaron se  mera zikar na karna 

Woh zabat na kar payein gi aankhon kay samandar 
Tum raah'guzaron se mera zikar na karna 

Pholon kay nash-e-man main raha hoon main sada 
Dekho kabhi khaaron se mera zikar na karna 

shayed yeh andheray hi mujhay raah dikhaein 
Ab chand sitaron se mera zikar na karna 

Woh meri kahani ko ghalat rang na dy dain 
Afsana nigaron se mera zikar na karna 

Shayed woh meray haal pe be'sakhata ro dain 
Is baar baharon se mera zikar na karna 

Lay jayein gay gehraai main tum ko bhi baha kar
Dariya kay kinaron se mera zikar na karna 

Woh shakhs milay to ussay her batana 
Tum sirf isharon se mera zikar na karna 



Bhar ayen na aankhain To ik baat kahoon ?



Bhar ayen na aankhain To ik baat kahoon ?

Ab tum se bichar Janay ka imkaan bhout hai

Dekhta Hoon Tasveer-e-Yaar To Aata Hai Rashk


Dekhta hoon tasveer-e-yaar to aata hai rashk

her baat la-jawaab thi agar bewafa na ho

Ujray huay ghar ka main woh darwaza hoon Ghalib


Ujray huay ghar ka main woh darwaza hoon Ghalib

deemak ke tarah kha gaye jissay teri dastak ki tamana

Dukh dard main hamesha nikalay tumharay khat




Dukh dard main hamesha nikalay tumharay khat
Aur mil gayi khushi to uchalay tumharay khat

Sab chooriyan  tumhari samandar ko somp dein 
Aur kar diye hawa kay hawalay tumharay khat

Meray lahu main gooj raha hai her ik lafaz 
Main ne ragon kay dasht main paalay tumharay khat

Youn to hain be'shumar wafa ki nishaniyan 
Lakin her ik shay se niralay tumharay khat

Jaisay ho umar bhar ka asaasa ghareeb ka 
Kuch is tarah se main ne sambhalay tumharay khat

Ehal-e-hunar ko mujh pe Wasi aitraaz hai 
Main ne jo apnay shair main dhaalay tumharay khat

Parwa mujhay nahin hai kisi chand ki Wasi 
Zulmat kay dasht main hain ujaalay tumharay khat
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...