Mar 23, 2015

Jo din guzar gaye hain teray iltafaat main


Jo din guzar gaye hain teray iltafaat main 
Main in ko jorr loon keh ghata doon hayaat main 

Kuch main hi jaanta hoon jo mujh par guzar gayi
Duniya to lutf lay gi meray waqeaat main 

Mera to jurm tazkarah-e-Aam hai magar 
Kuch dhajjiyan hain meri zulekha kay haath main 

Aakhir tamaam umar ki wuss'at samaa gayi
Ik lamha-e-guzishta ki choti si baat main 

Ae dil zara si jurrat se kaam lay 
Kitnay chragh toot gaye ehtiyaat main 

Meray baad ehal-e-dil ki sabhi mehfilon main jaa kay


Meray baad ehal-e-dil ki sabhi mehfilon main jaa kay 

Meri shairy laray gi , meray dil kay khoon ka muqadama

Apni haar main bhi kitna sakoon tha


Apni haar main bhi kitna sakoon tha

Uss shakhs ne jab galay lagaya jeetnay kay baad 

Iss sihq se bach kay rehna bhout buri bala hai yeh


Iss sihq se bach kay rehna bhout buri bala hai yeh 

Iss zaalim kay sataye , mujhay namazi bhi milay hain aur sharabi bhi 

Yeh ishq ka rog jata nahin qasam le lo


Yeh ishq ka rog jata nahin qasam le lo 

Galay main daal kar saray taveez dekhye hain 

Yeh shart-e-mohabbat bhi ajab hai


Yeh shart-e-mohabbat bhi ajab hai 

Main poora utroon to woh miyaar badal leta hai 

Ishq hai khataa lakin


Ishq hai khataa lakin 

Kya khataa dar guzar nahin hoti 

Bas gayi hai meray ehsaas main yeh kaisi mehak


Bas gayi hai meray ehsaas main yeh kaisi mehak 

Koi khushboo bhi main lagaon teri khushboo aaye 

Jis kay badlay tum mil jaao


Jis kay badlay tum mil jaao 

Aisi naiki dhoond raha hoon 

Chura kar haath narmi se yeh hi keh deti hai dheeray se


Chura kar haath narmi se 
Yeh hi keh deti hai dheeray se

Abhi tak ghair mehrim hoon 
Tumhari kuch nahin lagti 


Dil-o-nazar ki ibaadatein hon to Aanso'on ko imaam karna


Dil-o-nazar ki ibaadatein hon to Aanso'on ko imaam karna
Samandaron kay safar pe lazim hai paniyon se kalaam karna 

Jo sajda gaahein talaash karnay lagay to umrain guzaar do gay 
Khud apnay saaye ki saff bichana sajood-o-qayaam karna 

Main karwaan se bichar kar Andhi musaafaton kay azaab main hoon 
Mera bhi ae saarban-e-shams-o-qamar koi intizaam karna 

Jahan dil main jo roshni hai woh tera hissa , woh tera qissa
Jo zulmatein hain , malamatein hain woh sab ki sab meray naam karna 

Yeh taza lafzon kay saaray guldastay sookh jayein gay jab woh aaye
Tum un ki aamad pe ehtiyatein kuch aur bhi intazaam karna

Naam honton pe tera aaye to rahat si milay


Naam honton pe tera aaye to rahat si milay

Tu tasali hai , dilaasa hai , dua hai , kya hai 

Pehlay likhta hoon main kaaghaz pe Mas'sail apnay


Pehlay likhta hoon main kaaghaz pe Mas'sail apnay 

Aur phir sabar kay dariya main baha deta hoon

Samnay sab kay na bolain gay hamara kya hai


Samnay sab kay na bolain gay hamara kya hai 
Chup kay tanhai main ro lain gay hamara kya hai 

Gulshan-e-ishq main her phool tumhara hi sahi 
Hum koi khaar chubo lain gay hamara kya hai 

Umar bhar kon rahya Abar-e-karam ka mohtaaj 
Dagh-e-dil ashkon se dho lain gay hamara kya hai 

Haath aaye na agar dast-e-hinai tera 
Ungliyan khoon main dabo lain gay hamara kya hai 

Tum ne mehlon kay ilawa nahin dekha kuch bhi 
Hum to foot-path pe so lain gay hamara kya hai 

Apni manzil to saraabon ka safar hai baqi 
Hum kisi rah pe ho ain gay hamara kya hai   

Safar kay wastay tayaar ho to lenay do


Safar kay wastay tayaar ho to lenay do 
Woh loat aaye ga iqraar ho to lenay do 

Wafa ki sari kahani bhi suna lain gay magar 
Wafa ka hum ko kharidaar ho to lenay do 

Rehaai payein keh ta'umar rahain hum qaid
Mohabbaton main giraftaar ho to lenay do 

Jo hans raha hai her baat par , zara tehro 
Woh ro paray ga ussay pyaar ho to lenay do 

Takein gay khwaab kisi aur ka magar pehlay 
Tum apnay aap se be'zaar ho to lenay do 

Nayi nayi hai mohabbat naya naya hai junoon 
Ruko abhi issay dushwaar ho to lenay do 

Qadam uthein gay to manzil pari milay gi yahan 
Tum is gali se hamein paar ho to lenay do 

Phir is kay baad bataein gay ishq kya hai magar 
Yeh rog dil ka yehazaar ho to lenay do 

Abhi to dil ne khizaan ka sitam saha hai batool 
Gulab rutt ka gunah'gaar ho to lenay do 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...