Nov 22, 2014

Ghalti meri thi



Ghalti meri thi 

Us ne mujhay chaha hi nahin main chahat samjh baithi 

Ghalti meri thi 

Us ki pal bhar ki muskurahat ko pyaar samjh baithi

Ghalti meri thi 

Woh to her baat pe haan karta tha main hi iqraar samjh baithi 

Ghalti meri thi 

Us ne mujh se ziyaada ehmiyat di meray doston ko 
Main us ki yeh ada mazaakh samjh baithi 

Ghalti meri thi 

Us ne kaha bhi tha koi aur hai meri zindagi main 
Main hi khud ko us ki zindagi samjh baithi 

Ghalti meri thi

Ungli pakar kar chalna shikaya tha jin ko


Ungli pakar kar chalna shikaya tha jin ko 

Qadam un se  mila kay chalna mohaal  ho agya 

Shikayat yahi rahi ho gi maa baap ki meray bhi mujh se 

Kaash is ehsaas ne us waqat jagaya hota 

Aaj jis dard se main guzar raha hoon 

Maa baap ka woh dard mitaya hota

Meri yaad ne ussay khoob rulaya ho ga


Kitni aziyat se mujhay us ne bhulaya ho ga 
Meri yaad ne ussay khoob rulaya ho ga 

Baat be baat jo aankh us ki jhalki ho gi 
Us ne chahray ko baazo'on main chupaya ho ga 

Socha ho ga us ne din main kai baar mujhay 
Naam hathali pe bhi lkh likh kar mitaya ho ga 

JAhaan us ne mera zikar suna ho ga kisi se 
Us ki aankhon main koi ansoo to aya ho ga 

Raat ko bhi dair tak nend na ayi ho gi 
Us ne takiyea ko bhi seenay se lagay ho ga 

Ho kay nidhaal meri yaadon se us ne 
Meri tasveer se sar apna tikaya ho ga 

Poocha ho ga jo kisi ne us ki haalat ka sabab 
US ne baaton main khoob us se chupaya ho ga 

Jab kabhi chaand ko dekha ho ga akelay us ne 
Ussay mera pyaar bara yaad aya ho ga 

Tum kiyon banay thay dil ka sahaara jawaab do


Tum kiyon banay thay dil ka sahaara jawaab do

Ab kahaan hai woh pyaar tumhara jawaab do 

Kisi ko tha naaz apni adaaon pe her gharri 

Hum to seh na sakain gay judai ka gham 

Yeh qoul tha mera keh tumhara jawaab doon 

Ek taraf zindagi ek taraf mout hai 

Ab kis taraf karo gay ishaara jawaab do

Dasht-e-ghurbat main muflison ka lahoo aam bikta hai


Dasht-e-ghurbat main muflison ka lahoo aam bikta hai 
Kisi ka jism bikta hai , kisi ka naam bikta hai 

Duniya day gi kiya tum ko , aur tum lo gay kiya is se ?
Aa mera daaman thaam keh mehkada-e-jaam bikta hai 

Hirs kay bazaaron main hawa ki baiti ka aanchal 
Pehlay subho ko bikta tha magar ab shaam bikta hai 

Ameer-e-shaher ki mehlaat ki baat bhi khoob hai 
Magar fakeer-e-shaher ki goad main araam bikta hai  

Agar woh pyaar kar leti


Agar woh pyaar kar leti 
Mera daaman pakar leti 

To jeevan main faqat us se 
Mohabbat farz ho jaati 
Mohabbat qarz ho jaati

Magar 

Acha kiya us ne 
Mujhay samjh kay chal nikli 
Mujhay thukra kay chal nikli 
Bhout nadaan si hai woh 
Abhi anjaan si hai woh 
Kahaan maloom hai us ko 
Mohabbat zindagi main bas 
Faqat ik baar milti hai 
Agar thukraa kay chal niklain 
To umrain beet jaati hain 
Mohabbat ki tamana main 
Magar 
Her aik raastay pe 
Sirf ruswai milti hai 
Faqat tanhai milti hai 

Yaar kisi qaatil se kabhi pyaar na maango


Yaar kisi qaatil se kabhi pyaar na maango 
Apnay hi galay kay liye talwaar na maango

Gir jaao gay tum apnay maseeha ki nazar se 
Mar kar bhi ilaj-e-dil-e-beemaar na maango 

Khul jaye ga is tarah nigaahon ka bharam bhi 
Kaanton se kabhi phool ki mehkaar na maango

Sach baat pe milta hai sada zehar ka pyaala 
Jeena hai to phir jurrat-e-izaar na maango

Us cheez ka kiya zikar jo mumkin hi nahin hai 
Sehra main kabhi saya-e-dewaar na maango

Ajeeb karb main guzri , jahaan jahaan guzri


Ajeeb karb main guzri , jahaan jahaan guzri 
Agarchay chahnay walon kay darmiyaan guzri 

Tamaam umar jalaatay rahay chragh-e-umeed 
Tamaam umar umeedon kay darmiyaan guzri 

Guzar gayi jo teray saath , yaad gaar hai woh 
Teray baghair jo guzri , balaa-e-jaan guzri 

Mujhay sakoon myussar nahin to kiya gham hai 
Gulon ki umar to kaanton kay darmiyaan guzri 

Ajeeb cheez hai . yeh gardish-e-zamana bhi 
Kabhi zameen pay , kabhi misal-e-asmaan guzri

Tumhain paa kar khona meray bas main nahin


Tumhain paa kar khona meray bas main nahin

Ab koi aur zakham piroona meray bas main nahin

Ek umar tak dhoya hai dil kay daaghon ko

Jaag chukay hain bhout shab ki tanhaiyon main keh 

Ab yeh daagh dhoona meray bas main nahin 

Khushiyon ki aakhri umeed lay kar aya hoon teray dar pe 

Dukhon main ab rona meray bas main nahin 

Teray baad nazar aati nahin mujhay koi bhi manzil 

Kisi aur ka hona ab meray bas main nahin 

 


Mujhay bas itna kehna hai kabhi main yaad aayon to


Mujhay bas itna kehna hai 

Kabhi main yaad aayon to 

Kabhi tanhai ki raatain tumhain ziyada stayein to

KAbhi titli na bolay to 

KAbhi jugnoo loat jayein to 

KAbhi jab dil bhi bhar jaye to 

Koi jab sun na paye to 

Agar sab dost saathi bhi 

Jo tum se rooth jayein to 

Kabhi jab khud se lar lar kar 

Thakan se choor ho jaao 

KAbhi chahatay bhi huye akelay 

Ro na paao to 

Apni aankhon ko band karna 

Mujhay awaaz dena 

Aur 

Phir meray taswur se 

Jo chaho keh dena 

Meray kaanday par sar rakh kar 

Tum jitna chaho ro lena 

Phir jab khud main loat jaao to 

Issi duniya main chalay jaana 

MAgar bas itna kehna hai 

Keh jab bhi dukh ya khushiyon main 

HAmain dil se pukaaro gay 

HAmain saath paao gay 

Hamain paas paao gay

Ik larka tha dewaana sa


Ik saal puraana qissa hai 

Ik larka tha dewaana sa 

Karta tha man'maana sa 

Woh shokh shokh chanchal sa

Mehka mehka pagal sa

Ik roz mohabbat kar baitha 

Aur ab kay saal ka qissa hai 

Ab woh maazi ka hissa hai 

Woh pyaar pe jaan ko waar gaya 

Aur apnay aap ko maar gaya 

Saray jag se jeet gaya 

Bas apnay aap se haar gaya 

 


Galay laga kar kaho kitna pyaar kartay ho


Qaraar de kar kabhi be'qaraar kartay ho 
Galay laga kar kaho kitna pyaar kartay ho 

Nazar nazar se milay aur khumaar aa jaye 
LAbon se kuch na kaho aaitabaar aa jaye 

Yeh dil to bharta nahin chand mulaqaaton main 
Kitnay tarastay rahay bheegi bheegi raaton main 

Taweel raasta kiyon ikhtayaar kartay ho 
Galay laga kar kaho kitna pyaar kartay ho 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...