Feb 23, 2014

Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad




Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
kitane chup-chaap se lagte hain shajar shaam ke baad

itne chup chaap ke raste bhi rahein ge laa- ilm
chor jaayeinge kisi roz yeh nagar shaam ke baad


main ne aise hi gunaah teri judai mein kiye
jaise tufaan mein koi chor de ghar shaam ke baad


sham se pahle vo mast apni uraanon mein raha
jis ke hathon mein the tote hue par shaam ke baad


raat biti to gine aable aur phir socha
kon tha baais-e- aaghaz-e-safar sha m ke baad


tu hai sooraj tujhe maloom kahan raat ka dukh
tu kisi roz mere ghar mein utar sha m ke baad


laut aaye na kisi roz wo aawara mizaaj
khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad.

Yeh jo meri lehad pe rotay hain na


Yeh jo meri lehad pe rotay hain na

Abhi uth jaon to jeeney na dain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...