Teri majburiyoin se waqif hoon
Tu ne pehlay bhi kai baar mujhay
Aisay dekha tha keh jaisay mujhay dekha hi na ho
Aisay socha tha keh jaisay mujhay socha hi na ho
Aisay chora tha mujhay raah main aksar tu ne
Jaisay mujh se koi rishta koi nata hi na ho
Jaisay tu ne mujhay , main ne tujhay chaha hi na ho
Muslahit orh kay chahat ko chupaye rakha
Apnay her raaz ko seenay se lagaye rakha
Aur main jo teri majburiyon se waqif tha
Tujh ko devi sa khayalon main sajaye rakha
Her nishani ko teri main ne muqadas jana
Teray her aks ko aankhon main basaye rakha
Mujh ko maloom nahin hijar kau qatal lamhay
Tu ne kis aag main jal jal kay guzaray hon gay
Kabhi lafzon main thakhan tum ne samaiti ho gi
Kabhi kaghaz pe faqat ashk utaray hon gay
Yeh bhi mumkin hai keh guzra hua lamha lamha
Jis ko aaj main seenay se laga rakhta hoon
Teray nazdeek faqat yaad ki parchaai ho
Door ki jaisay teri is se shanasaai ho
Jis tarah dhoop december kay dareechay se lagi
Be'irada kahin aangan main utar aayi ho
Jaisay mehfil main kisi shakhs ki tanhai ho
Teri majburiyoin se waqif hoon
Is liye main tujhay ilzaam nahin de sakta
Apni chahat ko koi naam nahin de sakta
Aik paighaam hai teray liye yeh khamoshi
Aur tu koi paighaam bhi de nahin sakta
Teray lafzon , teray ashkon , teri aankhon ki qasam
Zabat ab saath kisi gaam nahin de sakta
Yeh kahani to meray saath chalay gi "Atif"
Is kahani ko main anjaam nahin de sakta