Mar 28, 2015

Jaan-e-Mohsin teri shohrat ki qasam


Jaan-e-Mohsin teri shohrat ki qasam 

Door tak ponchi hai ruswaai meri

Chalo ik baar baazi palat kar khailen


Chalo ik baar baazi palat kar khailen 

Meri be'wafai ho aur dil-e-nazuk tera

Yeh ehal-e-hijar yeh raaton ko jaagnay walay


Yeh ehal-e-hijar yeh raaton ko jaagnay walay 

Yeh khud se door kahin zindagi guzartay hain

Logon kay liye saahib-e-kirdaar bhi main tha


Logon kay liye saahib-e-kirdaar bhi main tha 
Khud apni nigahon main gunahgaar bhi main tha

Kiyon ab meray mansab ki salaami ko kharray ho ?
Yaaro kabhi ruswa sar-e-bazar bhi main tha

Main khud hi chupa tha qaf-e-qatil ki shikan main 
Maqtool ki tooti hui talwar bhi main tha

Cheenay hain jahan ab meray masoom lahoo kay
Us fark-e-falak naaz ki dastaar bhi main tha

Meri her sada loat kay aayi hai mujh hi tak
Shayed had-e-aflaak kay us paar bhi main tha

Manzil pe jo poncha hoon to maloom hua hai
Khud apnay liye raah ki dewaar bhi main tha

Ab meray taaruf se guraizan hai to lakin 
Kal tak teri pehchaan ka mayar bhi main tha

Dekha to main afsha tha her ik zehan 
Socha to pas-e-parda israar bhi main tha 

Kahan dhoondtay ho tum ishq ko ae be'khabar ?


Kahan dhoondtay ho tum ishq ko ae be'khabar ?

Yeh khud hi dhoond leta hai jissay bar'baad karna ho

Aaftein jaisay intizaar main thein


Aaftein jaisay intizaar main thein 

Teray jaatay hi sab ne ghair liya

Qimat buri ya main bura yeh faisala na ho saka


Qimat buri ya main bura yeh faisala na ho saka 

Main her kisi ka ho gaya koi mera na ho saka

Manzilain teray ilawa bhi kai hain lakin


Manzilain teray ilawa bhi kai hain lakin 

Zindagi aur kisi raah pe chalti hi nahin

Hum ne to khud se intiqaam liya


Hum ne to khud se intiqaam liya 

Tum ne kya soch kar mohabbat ki

Hum ja rahay hain wahan jahan dil ki ho qadar


Hum ja rahay hain wahan jahan dil ki ho qadar 

Bethay raho tum apni Adaein sambhal kar

Chalo ab so hi jayein hum keh tum sapno main aao gay



Chalo ab so hi jayein hum
Keh tum sapno main aao gay
Hamein phir se manao gay
Aur hum bhi maan jayein gay
Magar yeh bhi zara socho
 Agar main so gaya aisay
Keh phir jo uth na paaon main
To kya tum so bhi paao gay ?
Aray pagal zara socho
Meri baatein meri yaadein
Tumhein sonay nahin dain gi
Kisi ka bhi zamanay main 
Kabhi honay nahin dain gi 
Suno main sonay jaata hoon 
Keh tum sapno main aa jana 
Chalo ab so hi jayein hum 
Kh tum sapno main aayo gay 




Woh kehti hai suno janaa mohabbat mom ka ghar hai



Woh kehti hai suno janaa
Mohabbat mom ka ghar hai
Tapish bad'gumani ki 
Kahin pighla na de is ko

Main kehta hoon
Jis dil main zara bhi badgumani ho
Wahan kuch aur ho to ho
Muhabbat ho nahin sakiti

Woh kehti hai sada aisay hi 
Kiya tum mujh ko chayo ge
Keh main is main kami ko bhi
Gawara kar nahin sakti

Main kehta hoon
Mohabbat kiya hai
Yeh tum ne sikha'ya hai
Mujhay tum se mohabbat ke siwa
Kuch bhi nahin ata

Woh kehti hai
Judai se bhout darta hai mera dil
Keh khud ko tum se hat kar dekhon
Mumkin nahin hai ab

Main kehta hoon
Yahi khad'shay bhout mujh ko satatay hain
MAgar sach ahi mohabbat main
Judai sath chalti hai

Woh kehti hai
Batao kiya meray bin gee sako ge tum
Meri batain , meri yadaien, Meri ankhain
Bhula do ge

Main kehta hoon 
Kabhi is baat par socha nahin main ne
Agar ik pal ko be sochon to
Saans'ein rukney lagti hain

Woh kehti hai tumhain mujh se
Mohabbat is qadar kyn hai
Keh main ik aam si larki
Tumhain kyn khaas lagti hai

Main kehta hoon
Kabhi khud ko meri ankhon se tum dekho
Meri dewangi kyn hai
Yeh khud hi jaan jayo ge

Woh kehti hai
Mujhay waraftagi se dekhtay kyn ho
Keh main khud ko bhout
Keemti mehsoos karti hoon

Main kehta hoon
Mata-e-jaan bhout anmol hoti hai
Tumhain jab dekhta hoon zindagi
Mehsoos karta hoon

Woh kehti hai 
mujhay alfaaz ke jugnoo nahin miltay
Keh tumhain bata sakon
keh dil main meray
Kitni mohabbat hai

Main kehta hoon
Mohabbat to nigha'on se jhalak'ti hai
Tumhari khamoshi mujh se
Tumhari baat karti hai

 Woh kehti hai
Bata o na kis ko khonay se dartay ho
batao kon hai woh jissay
Yeh mousam bulatay hain


Main kehta hoon
Yeh meri shairy hai aaina dil ka
Zara dekho batyo kiya
tumhain is main nazar aya

Woh kehti hai
Suno bhout batain banatay ho
Magar sach hain yeh baatain
Bhout hi shaad rakhti hain

Main kehta hoon
Yeh sab baatain yeh fasanay ik bahana hain
Keh pal kuch zindgani ke
Tumharay sath kat jayein
Phir us ke baad khamoshi ka
Dil;kash raqas hota hai
Nigahain bolti hain
Lab khamosh rehtay hain


Teri yaad thi tera dard tha main jahan raha main jidher gaya




Teri yaad thi tera dard tha main jahan raha main jidher gaya 
Mera din to youn hi guzar gaya  jab shaam hui main bikhar gaya 

Is abar ka meray yaar se kitna milta julta mizaaj hai 
Kabhi toot kar baras gaya kabhi be'rukhi se guzar gaya

Jab chor doon ga main woh gali ussay yaad aaye gi tab meri
Jab logon se woh poochay ga to khabar milay gi main mar gaya 

Aaj tang hai woh meray naam se lakin dekhna meray dosto 
Woh tum hi ko rok kay poochay ga woh kidhar gaya woh kidher gaya 

Woh din jo sang guzaray thay tum bhool gaye ho ab shayed




Woh din jo sang guzaray thay 
Tum bhool gaye ho ab shayed 
Jab jaagtay chand sitaray thay 
Tum bhool gaye ho ab shayed 

Woh panchi jo hum dono ki chahat kay 
maghmay gaatay thay 
woh panchi ktnay pyaaray thay 
Tum bhool gaye ho ab shayed 

Duniya kay ghamon se door kahin 
Chota sa gharonda banaein gay 
Kuch aisay khawab hamaray thay 
Tum bhool gaye ho ab shayed 

Tum jaan ho so bardaasht kiya 
Warna to jiger kay paar huye
Kuch aisay lafz tumharay thay 
Tum bhool gaye ho ab shayed 

JAb ro ro kar meray aagay 
Tum ne daman phailaya tha 
Aur meray ishq kay maaray thay 
Tum bhool gaye ho ab shayed 

Ab dushman-e-jaan tum kehtay ho
Un logon ko ae jaan-e-jaan 
Jo kal tak jaan se pyaaray thay 
Tum bhool gaye ho ab shayed 

Meray saath nibhanay ka 
jo wadat jaan tumharay thay 
Mujhay yaad hain woh jo saaray thay 
Tum bhool gaye ho ab shayed 


Torna tootay huye dil ka bura hota hai


Torna tootay huye dil ka bura hota hai 
Jis ka koi nahin us ka to khuda hota hai 

Maang kar tum se khushi loon mujhay manzoor nahin 
Kisi ki maangi hui doulat se bhala hota hai 

Log na haq kisi majboor ko kehtay hain bura 
Admi achay hain par waqat bura hota hai 

Kiyon apni tabahi ka yeh kaisa shikwa
Jitna taqdeer main likha hai adaa hota hai

Tu ussay apni tamana'on ka markiz na bana


Tu ussay apni tamana'on ka markiz na bana 

Chand to harjaai hai her ghar main utar jaata hai

Meri aankhon kay samandar main utar'ta koi


Samjhta koi 

Meri aankhon kay samandar main utar'ta koi 
Tamam umar rahay yehi tamana kartay 

Her ik ko sunaya haal-e-dil khul kar 
Keh shayed meri dewangi ki dawa kar de 

Jo bhi aata hai meray dil main , chala jata hai 
Jaisay Asaib hain meray dil main raha kartay 

Acha hi hua keh bach gaye barq-e-mohabbat se
Dil toot jata to bhala kya kartay ?

Ab to aik hi iltijaa kartay hain Rab-e-kareem se
Meri rooh ko ab jism se rihaa kar de 

Teri aarzoo hi , teri raqeeb nikli Zohaib 
Kuch khawab kabhi pooray nahin hua kartay 

Yeh dil phir ab khasara chahta hai


Yeh dil phir ab khasara chahta hai 
Wohi spda dobara chahta hai 

Duwen se jee nahin bharta is ka 
Na janay kya sharara chahta hai

Main barg--ekhushk hoon jalna hai mujh ko 
Idher shola ishaara chahta hai

Saleeqa hi nahin mujh ko sukhan ka 
Woh ramz-o-ista'aara chahta hai 

Meri mojein rawan hain apni dhun main 
Woh kashti hai kinara chahta hai 

Nibhay gi kab tak jugnoo se is ki 
Sitaara to sitaara chahta hai 

Bhout uktaa gaya hai jee yahan se 
Naya koi nizara chahta hai

Tera her baar meray khatt ko parh dena aur ro dena


Tera her baar meray khatt ko parh dena aur ro dena 

Mera her baar likh dena mohabbat mar nahin sakti

Woh aksar kaha karta tha


Zabt ki intiha

Woh aksar kaha karta tha 
MAin tumharay her dukh se ba'khabar hoon
Magar tumharay zakhmon pe marham nahin rakh sakta 
JAb tak main tumharay zabt ki intiha na dekho loon 
Lo phir aaj meray zabt ki intiha dekh lo 
Is aakhri waqat main hosla dekh lo 
Ab na rona mujhay meray janay kay baad 
Mar na jana mujhay azmanay kay baad


Wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai


Wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai 
Woh sach kahay na kahay Aetabaar karna hai 

Yeh tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab se hua ?
Mujhay to khair tera intizaar karna hai

Ae waqat kay luqman hai koi mera ilaaj


Ae waqat kay luqman hai koi mera ilaaj 

Mujh ko meray khaloos ne kai baar das liya

Zindagi tujh par bhour ghour kiya main ne


Zindagi tujh par bhour ghour kiya main ne 

Tu rangeen kahalon kay siwa kuch bhi nahin

Aaj tak hai dil ko us kay loat aanay ki umeed


Aaj tak hai dil ko us kay loat aanay ki umeed

Aaj tak tehri hui hai zindagi apni jaga

Maloom nahin meray dil ko tum se kitni mohabbat hai


Maloom nahin meray dil ko tum se kitni mohabbat hai 

Na hi tum bin jeenay ka tasawur karta hai na hi marnay ka sochta hai

Zindagi ka ajab moa'mala hai


Zindagi ka ajab moa'mala hai 

Aik lamhay main faisala keejiye

Kisi kay zarf ko itna na azmaa


Kisi kay zarf ko itna na azmaa

Her shakhs apni zaat main bara la'jawaab hai

Us ki juz buz se parishaan nahin ho sakta


Us ki juz buz se parishaan nahin ho sakta 
Dil agar dil hai to halkaan nahin ho sakta 

Yaad us ki hai to bar'baad nahin ho sakti
Zehan mera hai to be'dhiyaan nahon ho sakta 

Kis qanaa'at se raha ghar meray aa kar mehmaan
Yeh koi aur hai mehmaan nahin ho sakta

Mera jo haal hua dil kay hawalay se hua 
Dil bhi aisa jo pashemaan nahin ho sakta 

Main ne ik shakhs se khamosh mohabbat ki hai 
Yehni hum dono ka nuqsaan nahin ho sakta 

Kaar-e-dushwaar nimet'ta nahin jab tak Mohsin 
Doosra kaam bhi asaan nahin ho sakta

Ab hai bas apna samna dar'paish


Ab hai bas apna samna dar'paish 

Her kisi se guzar gaya hoon main

Duniya main qateel us sa munafaq nahin koi


Duniya main qateel us sa munafaq nahin koi 

Jo zulm to sehta hai baghawat nahin karta

Do chaar nahin mujh ko faqat aik hi dikha do !!


Do chaar nahin mujh ko faqat aik hi dikha do !!

Woh shakhs jo andar se bhi baahir ki tarah ho

Heef ! Daraazi is qissay ki , is qissay ko khatam karo


Heef ! Daraazi is qissay ki , is qissay ko khatam karo

Kya tum niklay apnay ghar se , apnay ghar se hum niklay

Main teray dar pe lagaaon ga kuch is tour sada


Main teray dar pe lagaaon ga kuch is tour sada 

Dekho raqs karein gay teray darbaan ab kay

Raaston ki marzi hai


Raaston ki marzi hai 

Be'zameen logon ko 
Be'qaraar aankhon ko 
BAd'naseeb qadmon ko 
Jis taraf bhi le jayein 
Raaston ki marzi hai 
Be'nishaan jazeeron par 
Bad'gumaan shehron main 
Be'zuban mussafir ko 
Jis taraf bhi bhatkaa dein 
Raaston ki marzi hai 
Rok lain ya barhnay dain 
Thaam lain ya girnay dain 
Wasal ki lakeeron ko 
Tor dain ya milnay dain
Raaston ki marzi hai 
Ajnabi koi laa kar
Humsafar bana daalein 
Saath chalnay walon ki 
Raakh bhi urra daalein 
Ya musaaftein sari 
Khaak main mila daalein 
Raaston ki marzi hai 

Woh mujhay bhool hi gaya ho ga


Woh mujhay bhool hi gaya ho ga 

Itni muddat koi khafa nahin rehta
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...