Jun 9, 2014

Sang dil hai woh to kyon us ka gila main ne kiya


Sang dil hai woh to kyon us ka gila main ne kiya 
Jab ke khud pathar ko butt, Butt ko khuda main ne kiya 

Kaisay na'manoos lafzon ki kahani tha woh shaks
Us ko kitni mushkalon se tarjumaan main ne kiya 

Woh meri pehli mohabbat , woh meri pehli shakist
Phir to paimaan-e-wafa so martaba main ne kiya 

Hoon saza war-e-saza kyon jan muqadar main meray 
Jo bhi us jaan-e-jahan ne likh diya , main ne kiya 

Woh teh'harta kyon keh guzara tak nahin jis kay liye
Ghar to ghar her rasta aarasta main ne kiya

Mujh pe apna juram sabat ho na ho lakin faraz 
Log kehtay hain keh us ko be'wafa main ne kiya

Meri hayat-e-rawaan ko tamaam kar dala


Meri hayat-e-rawaan ko tamaam kar dala 
Hawa ky aik hi jhonkay ne kaam kar dala 

MAin chal raha tha umangon ky wal'walay le kar 
Kisi ki yaad ne jeena haraam kar dala 

Azeem kaam thay meray jawaan sali main 
Mayaan-e-raah ne qissa tamaam kar dala

Chalan ky khaas zwabat thay umar-e-rafta main 
Shajar se toot para be'lagaam kar dala

Daboo diya tha ghamon main dil-e-shakista ko 
Kabhi jo khaas tha us dil ko aam kar dala 

Adab ki had main hoon , main be'adbab nahin hota


Adab ki had main hoon , main be'adbab nahin hota
Tumhara tazkara ab roz-o-shab nahin hota 

Kabhi kabhi to youn hi chalak parti hain aankhain 
Udaas honay ka koi sabab nahin hota 

Kai ameeron mehroomian na pooch keh bas
Ghreeb honay ka ehsaas ab nahin hota 

Main waldain ko yeh baat kaisay samjhon 
Mohabbaton main hasb-o-nasab nahin hota

Wahan kay log baray dil'fraib hotay hain 
Mera behkana bhi kuch ajab nahin hota 

Main us zameen ka deedaar karna chahta hoon
Jahan kabhi bhi khuda ka ghazab nahin hota

Pyaar ka dard likhtay hain hazaron

Pyaar ka dard likhtay hain hazaron 
Jo likhta hai is ki haisiyat , koi us ko nahin janta 
Dil ajeeb hai ghaltiyaan karay hazaar 
Pr saza lanay ko kabhi nahin hai manta 

Rangeen hai zindgi is ko karain hai pyaar 
Pyaar ho sakta kisi ko kisi kay bhi sath 
Woh chahaye qudrat se ya doston se
Pyaar ky lakon raanh hain shumaar 

Mushkil nahin pyaar pana , par bachna hai mushkil is se
Jis ne issay banaya , us ne kuch nuksaan bhi banaya
Jo manay khuda ko is duniya main 
Woh her jaga her insaan main nazraana pyaar ka paye

Duniya phir bhi likhti hai pyaar ky dhokay 
Yaad rakh na payein woh kushi ky pal 
Mar jaye ga woh ik saans main jo pyaar se door hai 
Ab piyaar ko maan khuda aur is kay naam pe chal

Haer insaan ne mohabbat ki jawani anay ky baad


Haer insaan ne mohabbat ki jawani anay ky baad
Bna shair bhi woh hi , Phir dil main dard honay ky baad 

Ask paye aankhon main lali aa janay ky baad
Chupaya dil-e-dard ko , dil ky ghayal ho janay ky baad  

Nazar nahin ata chahera-e-noor , us ki mohabbat karnay ky baad
Janay woh ab kahan kho gay , meray nazar anay ky baad 

Dil to ab bhi dahr'rakta hai ,us ky bas janay ky baad 
Par dharkan sirf usi ki hai , mohabbat main lut janay ky baad 

Rahoon teray anchal ky saye main ' qayamat tak aa janay ky baad 
So'on teri god main hi , mout bhi aa janay ky baad

Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main


Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main 
Lakin yeh sochta hoon , keh ab tera kiya hoon main 

MAin kud'kushi ky juram ka karta hoon aitraaf 
Apnay badan ki qabar main KAb se gada hoon main 

Kis kis ky naam loon zubaan par ky teray sath 
Her roz ik shaks naya dekhta hoon main 

Kiya janay kis ada se liya tu ne mera naam 
Duniya samjh rahi hai , keh sab kuch tera hoon main 

Ly maeray tajrabon se sabaq , Ae meray raqeeb 
Do chaar saal umar main , tujh se bara hoon main 

Jaaga hua zameer woh aaina hi qateel 
Sonay se pehlay roz , jissay dekhta hoon main

Her be'zubaan ko shola-e-nawaa keh liya karo


Her be'zubaan ko shola-e-nawaa keh liya karo 
Yaro sakoot hi ko sadaa keh liya karo 

Khud ko fraib do keh na ho talkh zindagi 
Her sang dil ko jaan-e-wafa keh liya karo

Gar chahtay ho kush rahain kuch bandgaan-e-khaas
Jitnay sanam hain un ko khuda keh liya karo

Insaan ka agar qad-o-qamat na bhi dha sakay 
Tum is ko nuqas-e-aab-o-hawaa keh liya karo

Apnay liye ab ik hi raah-e-nijaat hai 
Her zulam ko raaz-e-khuda keh liya karo 

Le de kay ab yahi hai nishaan-e-zia qateel 
Jab dil jalay to us ko dia keh liya karo 

Ek bas tu hi nahin mujh se khafa ho baitha

Ek bas tu hi nahin mujh se khafa ho baitha 
MAin ne jo sang trasha woh khuda ho baitha 

Uth ky manzal hi agar aye to ahayed kuch to 
Shouq-e-manzal main mera abla'paa ho baitha 

Maslahat chinn gayein Quwat-e-guftaar magar 
Kuch na kaha na hi mera sada ho baitha 

Shukriya Ae meray qatal Ae maseeha meray 
Zehar jo tu ne diya tha woh daawa ho baitha 

Jaany monis  ko main jumla-e-ada paa kar
Hook woh uthi keh jee tan se judaa ho baitha 

Teri gutagoo main hai jo chaashni jo teray labon main halawatein


Teri gutagoo main hai jo chaashni jo teray labon main halawatein 
Na saroor woh fasl-e-bahaar main na gulon main ltafatein 

Kahin reh gayiteri nighaein woh saba kidhar ko nikal gayi
Teri aahaton ko taras gayein meri jism-o-jaan ki sma'atein 

Teray ang ang main loch hai meray dil ki soz-o-gadaaz ka
Meray khoon-e-dil se raqam hain teray rang-o-boo ki hikayatein 

Meri chashm-e-gham Dil-e-muztariz , Gham-e-arzoo , Gham-e-justagoo
Liye phir raha hoon nagar nagar kisi meherbaan ki amanatein

Ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai


Ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai
de ky ik dard naya shaam nikal jati hai 

Us ko dekhon to meray dard ko milta hai sukoon 
Us se bichron to meri jaan nikal jati hai

Ishq kuch aisay mita'ta hai nishaan-e-hasti 
Jaisay her raat ujalay ko nigal jati hai

Zakham bharta hi nahin us ki judai ka magar 
Phir us ki yaad naya dard ugal jati hai

Woh magar dil pe meray hath hi rakh de mohsin 
Toot'ti saans bhi kuch dair sambhal jati hai 

Meri rooh main jo uatar sakay woh mohabbatain mujhy chayia


Meri rooh main jo uatar sakay woh mohabbatain mujhy chayia
Jo saraab hon na azaab hon woh rafaqatein mujhay chaiya

Unhain sma'aton ki talash hai jo calandaron se utar gayein 
Jo samay kay sath guzar gayein woh fursatein mujhay chiya

Kahin mil sakon to smait laa, meray roz-o-shab ki kahaniyan 
Jo gubaar-e-waqat main chup gayein wohi hikayatein mujhay chayia

Jo meri sunhon ky cherang thay jo meri umeed ky baagh thay 
Wohi log hain meri aarzoo , wohi suratain mujhay chayia

Teri qurbatein nahin chayia meri shairy ky mizaaj ko 
Mujhay faisalon se dawaam dain teri qurbatein mujhay chayia

Mujhay aur kuch nahin chahiya yeh duaein hain meri sayibaan 
Karri dhoop main mujhy mil sakein Wohi chahatein mujhay chahiya

Rahat-e-dil mata-e-jaan hai tu


Rahat-e-dil mata-e-jaan hai tu 
Aye gham-e-dost jawidaan hai tu

Aansoon par bhi tera saya hai 
Dhoop kay sar pe saiybaan hai tu

Dil teri das'tras main kyon na rahay 
Is zameen par to asmaan hai tu 

shaam-e-shaher udaas ky wali
Ae meray meharbaan kahan hai tu 

Saya-e-abr-e-raigaan hoon main 
Moj-e-behar-e-be'kraan hai tu

Lamha bhar mil kay roothnay walay 
zindagi bhar ki  daastaan hai tu 

Tera iqraar hai nafi meri
Meray asbaat ka jahan hai tu

Jo muqaddar sanwaar detay hain 
un sitaron ki keh'kishaan hai tu

Be'nishaan be'nishaan khayaam meray
Karwaan karwaan rawaan hai tu

Jalatay rehna chraagh aakhr-e-shab
Apnay mohsin ka raaz'daan hai tu 

Ab yeh sochon to bhanwar zehan main parr jatay hain


Ab yeh sochon to bhanwar zehan main parr jatay hain 
Kaisay chaheray hain jo miltay hi bichar jatay hain 

Kyon teray dard ko dain tohmat-e-veerani-e-dil 
Zal'zalon main to bharray shaher bhi ujjar jatay hain 

Mousam-e-zard main ek dil ek dil ko bachaon kaisay 
Aisi rut main to ghannay pairr bhi jharr jatay hain 

Ab kiy koi meray qadmon ky nishaan dhoondein gy 
Taiz aandhi main tu khaimay bhi ukhaar jatay hain  

Shiddat-e-gham main bhi zinda hoon to hairat hai kaisi 
Kuch diaye to tund hawaon se bhi larr jatay hain 

Woh bhi kiay log hain mohsin jo wafa ki khatar 
Khud trasheeda asoolon pe bhi arhh jatay hain 

Be minat-e-khizar-e-raah rahnaa


Be minat-e-khizar-e-raah rahnaa
Manzoor humain tabbah rehna 

Yaroon ko naseeb sar-farazi 
Mujh ko teri gar-e-raah rehna

Dil aik ajab ghar hai pyaray 
Is ghar main bhi gaah gaah rehna

Gar youn hi rahi dilon ki Ranjashain 
Mushkil hai baaham nibaah rehna

Bhar aye gi aankh bhi kisi din 
Khali nahin sar-aah rehna

Nasir yeh wafa nahin junoon hai 
apna bhi na khair'khwaah rehna

Sach kahoon ga to saza dain gay teray shaher ky log


Sach kahoon ga to saza dain gay teray shaher kay log
Mujh ko sooli pe charha dain gy teray shaher kay log 

Baton baton main tera zikar karain gy mujh se
Youn zakhmon ko hawa dain gy teray shaher kay log

Main sadiyon main hansanay ka sellqa sekha 
Khabar na thi keh pal main rula dain gy teray shaher kay log

Main to shamma hoon meri to umar hi kiay hai faraz 
Subha hotay hi bujha dain gy teray shaher kay log

Tark-e-mohabbat kar baitha hoon , zabt-e-mohabbat aur bhi hain


Tark-e-mohabbat kar baitha hoon , zabt-e-mohabbat aur bhi hain
Ek qayamat beet chuki hai , ek qayamat aur bhi hai

Hum ne usi ky dard se apnay saans ka rishta jor liya
Warna shaher main zinda rehnay ki ek surat aur bhi hai

Doobta suraj dekh ky kush rehna kis ko raas aya
Din ka dukh seh janay walo , raat ki wehshat aur bhi hai

Sirf ruton ky sath badaltay rehnay par mouqoof nahin
Us main bachon jaisi zid karnay ki aadat aur bhi hai

Meri bheegti palkon par jab us ne dono hath rakhay
Phir yeh bhaid khula in aankhon kikuch qeemat aur bhi hai

Us ko ganwa kar mohsin us ky dard ka qarz chukana hai 
Ek aziyat mand pari hai , ek aziyat aur bhi hai

Woh be'irada hi sahi titliyon main rehta hai


Woh be'irada hi sahi titliyon main rehta hai 
Keh mera dil to meri muthiyon main rehta hai

Main apnay hath se dil ka gala daba doon 
Meray khilaaf yahi sazishon main rehta hai

Bacha ky khud ko guzarna mohaal lagta hai 
Tam'maam shaher meray raston main rehta hai 

Meri kitaab-e-mohabbat main us ka zikar nahin 
Woh kush khyal ghlat fehmiyon main rehta hai

Zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hai


Zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hai 
Samandron hi ky lehjay main baat karta hai

Khuli chahaton ky diye kab ky bujh gaye hotay 
Koi to hai jo hawaon ky par katrata hai 

Shrafton ki yahan koi ehmiyat hi nahin 
Kisi ka kuch na bigaro to kon darata hai 

Zamanay ki kaisi wakalat ho phir nahin chalti 
Jab asmaan se koi faisala utarta hai 

Tum aa gaye ho to phir kuch chandani si batain hoon 
Zameen pe chaand kahan roz roz utarta hai 

Teri zulfain bikarney ko ghata keh doon to kaisa ho


Teri zulfain bikarney ko ghata keh doon to kaisa ho
Teray aanchal k urnay ko saba keh doon to kaisa ho 

Ba'zahir chup hoon lakin phir bhi aankhon main hain afasaney 
Teri khamoshiyon ko bhi sada keh doon to kaisa ho 

Meray shikwe shikayat par bhi mujh se piyaar karti ho
Teri chahat ko main sab se juda keh doon to kaisa ho 

Tumharay bin mera jeena bara dushwaar lagta hai 
Tumhain main apnay jeenay ki waja keh doon to kaisa ho 

Jo tum naraaz na ho to mujhay aik baat kehnai hai 
Agar main pyaar se tum ko wafa keh doon to kaisa ho 

Main shair hota to hijar ki shaam likhta


Main shair hota to hijar ki shaam likhta 
Teray naam mohabbat ky paigham likhta 

Teri aankhon ky samandar main doob kar 
Teri aankhon ka saagar tamaam likhta 

Jab kabhi tu meri aankhon ko choomti 
Teray hanton ky had ko jaam likhta

Agar teri bad'nami ka dar na hota 
Mohabbat ki kahani sar-e-aam likhta

Fiza ky sard lehjay ki adaein raqs karti hain


Fiza ky sard lehjay ki adaein raqs karti hain 
Gaye lamhon ki khwaish main hawain raqas karti hain 

Sitaray toot'ty hain jab to ghar ky ik koney main 
Kisi ky surkh honton pe duaein raqas karti hain 

Kia bastay gharon pe ik snata sa cahya hai 
Kai khali makano main sadaein raqs karti hain 

Suna hai ruk ky pichlay pehar dariya ky honton par
Kisi kachay gharay pe kuch wafaein raqas karti hain 

Tumhain maloom hai keh be'khabar barsaat ky agay 
Kai kachay gharon main Iltajayein raqas karti hain 

Hamara aftaab aye to dariya ky kinaray par
Fiza main teh'rati chanchal shoaein raqas karti hain

Shamma jalaye rakhna jab tak keh main na ayon


Shamma jalaye rakhna jab tak keh main na ayon
Khud ko bavhaye rakhna jab tak keh main na ayon

Zinda dilon se duniya zinda sada rehti hai
Mehfil sajaye rakhna jab tak keh main na ayon 

Yeh waqat-e-imtihaan hain sabro qarar-o-dil ka
Ansoo chupaye rakhna jab tak keh main na ayon 

Hum tum milain gy aisay jaisay juda nahin thay 
Saans bachaye rakhna jab tak keh main na ayon 

Dil main dard samoney wale kaisay ho


Dil main dard samoney wale kaisay ho 
Mujh ko chor ky janay walay kaisay ho

Neend nahin ati hai mujh ko raton main 
Meri neend churaney wale kaisay ho

Main ne khud se barh kar tujhay chaha hai
Chahat ko thukraney wale kaisay ho 

Wada kiya tha tum ne sath nibhaney ka
Wada tor ky jane wale kaisay ho

Raaz-e-dil aam kar gaya ansoo


Raaz-e-dil aam kar gaya ansoo
Gham ko bad'naam kar gaya ansoo

Aaj us ne bhi haal pooch liya
Aaj to kaam kar gaya ansoo

Log pholon ky sath ponchay thay
Aur hum thaam kar gaye ansoo

Hum kisi ky na thay magar hun ko
Aap ke naam kar gaye ansoo

Her kisi ne lagaya daam
Gham ko nelaam kar gaye ansoo

Dhund si chaa gayi hai aankhon main 
Her taraf shaam kar gaye ansoo

Baat main bhi bhout asar tha 
Aur kuch kaam gaye ansoo

Shayari sirf shayari thi
Us ko ilzaam kar gaye ansoo

Duniya bari munh zor hai bhai


Duniya bari munh zor hai bhai 
Yeh banda kamzor hai bhai 

Yahan koi kisi kay kaam nahin ata
Yeh nafsa nafsi ka dour hai bhai

Kis ko mann ki meet banayein 
Her koi yahan chor hai bahi 

Main kisi ko dil de baitha
Ishq pe kis ka zor hai bhai

Aisay mard ko jannat milay gi 
Jo do biwiyon ka shohar hai bhai

Duniya ki nazron main hum chotay sahi
Doston main apni tohar hai bahi

Tum ko marghoob thay hanstay huye cheheray lakin


Tum ko marghoob thay hanstay huye cheheray lakin 
Hum ne roothay huye chaheron se mohabbat ki hai 

Chand sikon ky iwaz cheen li ghairat meri
Kitni kam is ne muqarar meri qeemat ki hai 

Kon thay jin bhujhay meray ghar ky chraagh 
Janay kis ne yeh siyaai meri qismat ki hai 

Ab woh tardeed pe tardeed kieya jata hai 
Main ne to baat ki thori si wazahat ki hai 

Ghar main dar aya hai dushman to shikayat kaisi 
Hum ne khud us ko fraham yeh sahoolat ki hai 

Shairy kiya thi faqat shair kay parhnay main 
Hum ne ik ehad ki tareekh ibarat ki hai 

Yaad ata hai roz-o-shab koi


Yaad ata hai roz-o-shab koi
Hum se rootha hai be'sabab koi

Lab-e-joo chayon main drakhton ki
Woh mulaqaat thi ajab koi

JAb tujhay pehli baar dekha tha 
Woh bhi tha mousam-e-tarab koi

Kuch khabar ly ky teri mehfil se
Door baitha hai jaan ba lab koi

Na gham-e-zindagi na na dard-e-firaaq
Dil main youn hi si talab hai koi

Yaad ati hain door ki batain 
Pyaar se dekhta hai jab koi

Jin ko mitna tha mit chukay nasir
Un ko ruwa  karay na ab koi

Kisi ka dard ho dil-e-be'qaraar apna hai


Kisi ka dard ho dil-e-be'qaraar apna hai 
Hawa kahin ki ho Seena fagaar apna hai 

Ho koi fasal magar zakham khil jatay hain 
Sada bahaar dil-e-daagh'daar apna hai 

Jo shaad phirtay thay kal aaj chup ky ratay hain 
Hazaar shukar gham-e-paidaar apna hai 

Na tang kar dil-e-mehzan ko Ae gham-e-duniya 
Khudaai bhar main yahi gham'gusaar apna hai 

Woh koi apnay siwa ho to us ka shikwa karoon 
Judaai apni hai , aur intizaar apna hai

Hon gay juda hum is tarah imkaan to na tha


Hon gay juda hum is tarah imkaan to na tha
Yeh dil kabhi bhi is tarah , veeran to na tha 

Jaisay hua hai ab keh woh , Halaat se meray 
Pehlay kabhi woh is tarah , anjaan to na tha 

Woh shaher se gaya hai to , ronaq bhi ly gaya 
Yeh shaher is tarah kabhi , sunsaan to na tha 

Ek pyaar ki jageer ka , maalik tha main kabhi 
Pehlay se youn hi be'sar-o-samaan to na tha 

Mohsin hum ne ishq main , paya naffa bhout
Es karobaar main koi , nuqsaan to na tha 

Kuch to ae yaar Elaaj-e-gham-e-tanhai ho


Kuch to ae yaar Elaaj-e-gham-e-tanhai ho
Baat itni bhi na barh jay keh ruswai ho

Jis ne mujh ko tamasha sa bana rakha hai 
Ab zaroori hai wohi aankh tmashai ho

Doobnay wale to aankhon se bhi kab nikaltay hain 
Doobnay kay liye lazam nahin gehraai ho

Main tujhay jeet bhi tohfay main nahin de sakta
Chahata yeh bhi nahin hon teri paspai ho

Koi anjaan na ho shaher-e-mohabbat ka makeen 
Kaash her dil ki her ik dil se shnasai  ho

Aaj to bazam main her aankh thi pur'nam jaisay 
Daastaan meri kisi ne yahan dohraai ho 

Youn guzar jata hai mohsin teray koochay se woh 
Tera wakif na ho jaisay koi sodaai ho

Dil meray tu kis kay liye dharakta hai


Dil meray tu kis kay liye dharakta hai
Teray ehsaas ko kyun na yahan samjhta hai 

Tu kyon kis pe youn marta hai 
Her koi is matlabi duniya main jeet ahai 

Kushi ky liye kyon her pal trapta hai 
Yahan to gham hi khoobsurat lagta hai 

Armano ko liye kyon machalta hai 
Un ko aadhoora rehta dekh jiya jalta hai 

Toot kar bhi tu kyon sambhalta hai 
Yahan tujhay phir bikhrna parta hai 

Bhrosa kyon itna karta hai 
Yahan her ghari insaan chahera badalta hai 

Tu kyon jaan youn chidkata hai
Woh to tera qatil bana phirta hai 

Pagal dil , tu kyon nahin samjhta hai 
Teri haalat dekh kar koi hansta hai 

Teray liye kisi ki nafrat hi achi hai 
Yahan to pyaar bhi bhout sasta hai

Mohabbaton main kuch aisay bhi haal hotay hain


Mohabbaton main kuch aisay bhi haal hotay hain 
Khafa hon jin se unhi ky khyal hotay hain 

Machaltay rehtay hain zehnoon main was'wason ki tarah 
Haseen log bhi jaan  ka wabaal hotay hain 

Main dil ky zakham chupaon teri tarah kaisay 
KEh teray paas to lafzon ky jaal hotay hain 

Bas ik tu hi sabab to nahin udaasi ka
Tarah tarah ky dilon ko mal'laal hotay hain 

Siyaah raat main jaltay hain jugnoon ki tarah 
Dilon ky zakham bhi kitnay kamaal hotay hain 

 

Roog aisay bhi gham-e-yaar se lag jatay hain


Roog aisay bhi gham-e-yaar se lag jatay hain
Dar se uth'tay hain to dewaar se lag jatay hain

Ishq angaiz main halki si khlash rakhta hai
Baad main saikron azaar se lag jatay hain

Pehlay pehlay hawas ik aah dukaan khulti hai
Phir to bazaar k bazaar lag jatay hain

Be'basi bhi kabhi qurbatk sabab banti hai
roo na payein to galay yaar se lag jatay hain 

Qatarnain gham ki galiyon main jo oorhay phirtay hain 
Ghar main lay ayo to ambar se lag jatay hain 

Daagh daman kay hon, dil kay hon , ya chaharay kay faraz
Kuch nishaan umar ki raftaar se lag jatay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...