Dec 27, 2014

Sadagi mehar-o-wafa , mohabbat aur khaloos


Sadagi mehar-o-wafa , mohabbat aur khaloos

Umar bhar yahi ghaltiyaan hoti rahin mujh se

Baat baat pe jo rooth jatay hain


Baat baat pe jo rooth jatay hain 

Un se kaho keh haath anjanay main choot jaatay hain 

Itna nazuk hai yeh chahat ka rishta 

Keh hanstay hanstay bhi dil toot jaatay hain

Dam tor jati hai her shikayat labon pe a kar


Dam tor jati hai her shikayat labon pe a kar 

Masomiyat se woh kehtay hain , main ne kya kiya hai  


Barasnay kay baad badal garja nahin kartay


Barasnay kay baad badal garja nahin kartay

Murjhanay kay baad phool khila nahin kartay

Apno ki ehmiyat ko samjha karo

Kiyon keh bicharnay kay baad apnay mila nahin kartay

Na'janay kiyon rait ki tarah nikal jatay hain haathon se woh log




Na'janay kiyon rait ki tarah nikal jatay hain haathon se woh log

Jin ko hum zindagi samjh kar kabhi khona nahin chahtay

Zinda rahay to kabhi tum se poochain gay



Zinda rahay to kabhi tum se poochain gay 

kon tha woh khush naseeb jis ki khatar tum ne hamain bhula diya

Saza ban jaati hai guzray huye waqat ki yaadain


Saza ban jaati hai guzray huye waqat ki yaadain 

Na janay kiyon matlab kay liye meharbaan hotay hain log

Yeh jo doobi hain meri aankhain ashkon kay dariya main


Yeh jo doobi hain meri aankhain ashkon kay dariya main 

YEh us kay masoom chehray par bharosay ki saza hai 

Acha hua tum kisi aur kay ho gaye


Acha hua tum kisi aur kay ho gaye 

Khatam to hhi fikar tujhay apna banany ki

Adatain mukhatlif hain Meri duniya walon se


Adatain mukhatlif hain Meri duniya walon se 

Ta'luq thora hi sahi par la'jawaab rakhta hoon

Hum main to bhout himat hai dard sehnay ki


Hum main to bhout himat hai dard sehnay ki 

Tum itna dard detay ho , thak nahin jaatay

hum apni jaan tak us pe luta dain gay



hum apni jaan tak us pe luta dain gay 

Koi hamari tarah hum se mohabbat to karay

Meri mohabbat kay pagal pan ka is tarah mazaaq na urra


Meri mohabbat kay pagal pan ka is tarah mazaaq na urra

Keh teri aankhain hi taras jayein mujhay dekhnay kay liye

Lehja-e-yaar main zehar , hai bichoo ki tarah


Lehja-e-yaar main zehar , hai bichoo ki tarah

Woh mujhay aap to kehtay hain , magar tu ki tarah 

Zaroor woh shakhs tarpay ga hamaray liye tanhaiyon main


Zaroor woh shakhs tarpay ga hamaray liye tanhaiyon main 

Abhi to bhout si khushiyan mil rahi hain us ko matlabi logon se

Mehsoos to karta hoon magar choo nahin sakta


Mehsoos to karta hoon magar choo nahin sakta 

Woh phool nahin phool main khushboo ki tarah hai

Teri yaad main ki hai samandar se dosti


Teri yaad main ki hai samandar se dosti 

Na'janay phir bhi kiyon mujhay teray lafzon ki pyaas hai

Mujhay chahtay ho tum , Phir bhi nazar andaaz kartay ho


Mujhay chahtay ho tum , Phir bhi nazar andaaz kartay ho 

Fun-e-ada'kaari main tera ustaad kon hai

Us ne mujh se poocha


Us ne mujh se poocha 

Kiya tum ab bhi 
Mujh se mohabbat kartay ho?

Main ne kaha 
Mohabbat ka to pata nahin 
Magar 
Meray dost aaj bhi 
Mujhay teri qasam detay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...