Nov 19, 2014

Kaha karti thi tum aksar mujhay ik naam aisa do




Kaha karti thi tum aksar 
Mujhay ik naam aisa do 
Pukaaro jis se tum mujh ko to youn mehsoos ho jaisay 
Tumhari shayri sari meri tareef teharti hai 
Jissay sun kar main khwaabon ki si kafiyat main kho jaaon 
Hawaon main urron jaisay 
Jisay sun kar yeh dil kiya rooh tak sarshaar ho jaye 
Jissay sun kar meri tishna labi sairaab ho jaye 
Jissay sun kar lagay aisay keh jaisay baarish phoolon ki 
Badan ki her kali jaisay be'andaaz zikar mehkay 
Jissay sun kar lagay aisay 
Keh madham se meethay surron main tairata meetha madhur naghma 
Guzartay waqat kay lamhay jissay sun kar tehar jayein 
Samaa madhosh ho jaye 
jissay sun kar bahaarain jaatay jaatay phir se loat ayein 
mujhay aik naam aisa do 
so ae meharbaan larki 
main aksar sochta hoon koi aisa naam tum ko doon 
keh jo mansoob ho tum se 
to tum ko ja'widaa kar day 
Ho koi naam aisa to 
jo mujasma-e-husan-e-fitrat ho
Bhout hi khoobsurat ho 
Kisi nazuk pari jaisa
Keh jo husan-e-jahaan rang-o-boo ka ista'aara ho 
Teray malkooti paikar ko magar tashbeeh kis se doon 
Agar main gul kahoon tum ko ?
Magar phool to murjhaa kay aksar sookh jaatay hain 
Kahoon qos-e-qaza lakin ?
Sabhi rang ikhatay mil kar bhi 
Teri rooh se chalakti noor ki kirno ko na ponchay 
Hina ka naam doon tum ko?
MAgar rang-e-hina to chaar din main rooth jaata hai 
Agar baadal kahoon tum ko ?
Ghataaon se siwa lakin teray jazbaat ki shiddat hai 
Tumhain sawan kahoon kaisay ?
Tumharay pyaar ki baarish to her mousam barsaati hai 
Naseem-e-subha keh doon ya kahoon baad-e-saba tum ko ?
Magar fitrat hawa ki to azal se be'wafai hai 
Teri waraftagi sochon , samandar ki lehar keh doon ?
MAgar mojon ki tughyaani to ik poonam ki shab tak hai 
Teri aamkhain agar sochon , tumhain meh kay baadal keh doon 
Khumaar-e-meh to lakin raat bhar ki baat hoti hai 
Agar saya kahoon , jhonka kahoon , khushboo kahoon tum ko ?
Magar tum to mujasma ho 
Bhout kuch sochta hoon main 
Tumhara naam kiya rakhon ?
Kahoon jaadoo , chragh-e-raah ya manzil kahoon tum ko ?
Kahoon main justagoo , koshish kahoon ya dil kahoon tum ko ?
Shafaq keh doon , sehar keh doon , ya keh doon chandani tum ko ?
Agar khwaish kahoon ya arzoo ya zindagi tum ko ?
Agar sahir kahoon , nasha kahoon ya be'khudi tum ko  ?
Ada keh doon , wafa keh doon , haya keh doon agar tum ko ?
Agar sahil kahoon , kashti kahoon , ya na'khuda tum ko ?
Agar taqdeer ya inaam ya qismat kahoon tum ko ?
Agar guncha kahoon , laala kahoon , nargis kahoon tum ko ?
Kahoon main jaan ya jaan-e-jaan tum ko ?
Agar jharna kahoon , dariya kahoon , sagar kahoon tum ko ?
Kiran keh doon , ghata keh doon ya phir rim jhim kahoon tum ko ?
Agar jugnoo kahoon , shola kahoon , shabnam kahoon tum ko ?
Agar sheesha kahoon , moti kahoon , resham kahoon tum ko ?
Yeh saaray naam teri zaat kay pehlu sahi lakin 
Magar jajta nahin koi yeh saaray naam faani hain 
Tumhara naam aisa ho 
Jo tum ko ja'widaa kar day 
Tumhain poora bayaan kar day 
Suno ae meharbaan larki 
Bhout hi soch kar main ne 
Tumhara naam rakha hai 
Mohabbat , naam kaisa hai ?
Mohabbat jo kabhi marti nahin 
 
 
 
 
 

Tumhari yaad ka be'had khyaal rakhtay hain


Teray galay main jo baahon ko daal rakhtay hain 
Tujhay manaanay ka kaisa kamaal rakhtay hain 

Tujhay khabar hai tujhay sochnay ki khatar 
Bhout se kaam muqadar pe taal rakhtay hain 

Koi bhi faisala hum soch kar nahin kartay 
Tumharay naam ka sika uchaal rakhtay hain 

Tumharay baad yeh aadat si ho gayi apni 
Bikhartay sooktay pattay sambhaal rakhtay hain 

Khushi se mili hai khud ko azeeyatain day kar 
So jaan boojh kay dil ko nidhaal rakhtay hain 

Kabhi kabhi woh mujhay hans kay dekh letay hain
Kabhi kabhi mera be'had khyaal rakhtay hain 

Tumharay hijar main yeh haal ho gaya apna 
Kisi ka khat ho ussay bhi sambhaal rakhtay hain 

Khushi milay to teray baad khush nahin hotay 
Hum apni aankh main her dam malaal rakhtay hain 

Zamanay bhar se bacha kar woh apnay aanchal main 
Meray wajood kay tukray sambhaal rakhtay hain 

Kuch is liye bhi to be'haal ho gaye hum log 
Tumhari yaad ka be'had khyaal rakhtay hain 
 


Log kehtay hain meray dil pe tera saya hai


Is liye koi zayada nahin rukta hai yahaan 

Log kehtay hain meray dil pe tera saya hai

Mujhay khalaa main bhatkanay ki arzoo hi sahi


Mujhay khalaa main bhatkanay ki arzoo hi sahi

Keh tu milay , teri justagoo hi sahi 

Qareeb aa shab-e-tanhai . tujh se pyaar karoon 

Keh tamaam din ki thakhan ka ilaaj , tu hi sahi

Tumharay hijar ne malba yeh dil pe daal rakha hai


Kahin aahain , kahin sadmay , kahin wabaal rakha hai 
Tumharay hijar ne malba yeh dil pe daal rakha hai 

Sar-e-tasleem kham kaisay karain na dil ki khwaish par 
Isi tootay sheeshay ne hamain sambhaal rakha hai 

Palat kay phir nashaiman main kai panchi nahin ponchay 
Kisi ne baam par shayed bichaaye jaal rakha hai 

Chalay aao, zara dekho keh her mehfil main duniya ne 
Tera mera woh qissa hai jo ab uchaal rakha hai 

Ajab yeh log detay hain tujhay nisbat gulaabon se 
Ghazal main hum ne tujh ko hi teri misaal rakha hai 

Yeh fasal-e-dosti hai ya koi hai chaal ka hissa 
Keh ab kay youn jo dushman nay mera khyaal rakha hai 

Koi woh aarzoo hum ko , kiya hai dar ba dar jis ne 
Kisi khyaal ne ghar se hamain nikaal rakha hai 

Kaha us ne bichar jaayein mohabbat main jo hum dono 
Zara si baat ne pehron mujhay nidhaal rakha hai

Us ka naam likh likh kar mitaana bhool jaati hoon


Us ka naam likh likh kar mitaana bhool jaati hoon 
US ko jab yaad karti hoon bhulaana bhool jaati hoon 

Bhout si aisi baatain hain jo meray dil main rehti hain 
Magar jab us se milti hoon sunaana bhool jaati hoon 

Us kay baad ab her pal bari mushkil se kaata hai 
MAin aksar us ko khwaabon main bataana bhool jaati hoon 

Main her shaam kehti hoon keh us ko bhool jaaon gi 
Magar jab subha hoti hai to bhulaana bhool jaati hoon 


Meray her udaas pal main mera saath chor jaana


Meray her udaas pal main 

Mera saath chor jaana 

Yeh kahaan ki ulfatain hain  ?

Yeh kahaan ki dosti hai ?

Tumhain dekh kar laga tha 

Tumhi zindagi ho meri 

Tumhi her khushi ka saya 

Tum hi bandagi ho meri 

Mujhay kiya khabar thi jaana 

Tum youn wafa karo gi 

Meray her udaas pal main 

Mera saath chor do gi

Us ne kaha tum main pehli si baat nahin


Us ne kaha tum main pehli si baat nahin 

Main ne kaha zindagi main tera saath nahin 

Us ne kaha ab bhi kisi ki aankhon main doob jaatay ho 

Main ne kaha kisi ki aankhon main woh gehri baat nahin 

Us ne kaha kiyon itna toot kar chaha mujhay 

MAin ne kaha insaan hoon pathar to nahin 

US ne kaha kiya main bewafa hoon 

Main ne kaha mujhay ab wafa ki talaash nahin 

US ne kaha bhool jaao mujh ko 

Main ne kaha tum haqeeqat ho koi khwaab to nahin

Tamaam umar yahi aasara hi kaafi hai


Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai 

Tamaam umar yahi aasara hi kaafi hai 

Jahaan kahin bhi milo , mil kay muskuraa dena 

Khushi kay wastay , yeh silsala hi kaafi hai 

Mujhay baahir kay mousam se , kuch nahin lena 

Tumharay pyaar ki rangeen fiza hi kaafi hai 

Yeh log kon si manzil ki baat kartay hain yaaro 

Mohabbat kay musaafir kay liye to raasta hi kaafi hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...