Jul 23, 2014

Faaslay aur barhaye hain sar ooncha kar kay

Faaslay aur barhaye hain sar ooncha kar kay 

Kiya mila tark-e-taaluq ka irada kar kay

Poet : Shahid Wasti

Ik shakhs mujhay chain se sone nahin deta

Yak'jaa meri sochon ko woh honay nahin deta
Ik shakhs mujhay chain se sone nahin deta 

Socha tha keh boo doon ga to phal phool ugain gay 
Zar'daar mujhay beej woh bone nahin deta 

Bachpan tera mam'noon hoon ronay to diya hai 
Ab dour-e-jawani hai jo ronay nahin deta 

MAin sakhat andheron main palat aata hoon ghar ko 
Ghar raat ka tara hai jo khonay nahin deta 

Mola ! mere qaatil ka chalan dekh raha hai 
Jo khoon hathaili se bhi dhonay nahin deta 

Poet : Nazar Abaas
 
Waqat kat'ta nahin go aalam-e-tanhai main

Waqat kat'ta nahin go aalam-e-tanhai main 

Umar chup chaap guzar jaati hai rafta rafta 

Ayo sab bhool kay tajdeed-e-mohabbat kar lain 

Dil ki her mail utar jaati hai rafta rafta

Poet : Dostor Nadeem Rafi

Hawa-e-shaam ki dastak main karb tha aisa

Hawa-e-shaam ki dastak main karb tha aisa 

Dareechay mere takhiyul kay khul gaye saaray 

Woh ranj-o-gham jo teray naam se thay wabasta 

Meray qalam ki siyahi main ghul gaye saray

Poet : Dostor Nadeem Rafi

Main jaanta hi na tha woh mere tasawur main

Main jaanta hi na tha woh mere tasawur main 

Mohabbaton ki haseen wadiyon main rehti hai 

Meri hathali ki uljhi hui lakeeron kay 

Tamaam chotay baray zawiyon main rehti hai 

Poet : Dostor Nadeem Rafi

Mujh se apna pyaar kabhi wapas mat lena

Mujh se apna pyaar kabhi wapas mat lena
Mujh se yeh iqraar kabhi wapas mat lena 

Kehtay rehna her pal mujh ko main tera hoon 
Mujh se yeh izhaar kabhi wapas mat lena 

Sajtay rehna jhoomar ban kar maathay par 
Mujh se yeh singhaar kabhi wapas mat lena 

Dil main aag lagaye rakhna chahat ki 
Mujh se yeh angaar kabhi wapas mat lena 

Aankhain roshan rakhna apni yaadon se 
Muh se yeh deedar kabhi wapas mat lena 

Khushboo ban kar basna mere tann mann main 
Mujh se yeh mehkaar kabhi wapas mat lena 

Phool sajaye rakhna mere aangan main 
Mujh se yeh gulzaar kabhi wapas mat lena 

Neelma Sarwar

Udaas logon se pyaar karna koi to seekhay

Udaas logon se pyaar karna koi to seekhay
Safaid lamhon main rang bharna koi to seekhay

Koi to aye khizaan main pattay ugaanay wala 
Gulon ki khushboo ko qaid karna koi to seekhay

Koi dekhaye mohabbaton kay saraab mujh ko 
Meri nigahon se baat karna koi to seekhay

Koi to aye nayi ruton ka payaam le kar 
Andheri raaton main chand banana koi to seekhay

Koi paighambar koi imaam zamaan hi aye
Aseer zehno main soch bharna koi to seekhay

Neelma sarwar

Woh apni saari nafratein mujh pe luta'ta raha

Woh apni saari nafratein mujh pe luta'ta raha 

Mera dil jis ko sada mohabbatein sikhata raha 

Us ki aadat ka zara yeh pehlu to dekho 

Mujh se kiye waday woh kisi aur se nibhata raha 

Kuch khabar nahin woh shakhs kiya chahta tha

Ke taaluq tor kar bhi mujh ko azmaata raha 

Tootay huye taaluq main bhi kitni mazbooti hai 

Main jitna bulaati rahi woh utna hi yaad aata raha 
 
Naya dard ik aur dil main , jaga kar chala gaya

Naya dard ik aur dil main , jaga kar chala gaya

Kal phir woh mere shaher main , Aa kar chala gaya 

Jissay dhoondti rahi main , logon ki bheer main 

Mujh se woh apna aap , chhupa kar cahla gaya 

MAin us ki khamoshi ka , sabab poochti rahi 

Woh qissat idhar udhar kay , suna kar chala gaya 

Yeh sochti hon kaisay , bhulaaon gi ab ussay 

Ek shakhs woh jo mujh ko , bhulaa kar chala gaya 

Lehja-e-yaar main zehar hai bicho ki tarah

Lehja-e-yaar main zehar hai bicho ki tarah 

Wo mujhay "Aap" to kehta hai magar "Tu" ki tarah

Aankhon main chamak rukh pe damak lab pe "Nahin" hai

Aankhon main chamak rukh pe damak lab pe "Nahin" hai 
Ae hussan ! Mujhay teri mohabbat ka yaqeen hai 

Rehti hai isi gaaon main woh sanwali larki 
Jo taar kay phailay huye pairron kay qareen hai 

Gunjaan khleejon se hain woh khoye huye nain 
Tarshay huye balore si shafaaf jabeen hai

Mat mujh se churra haath keh hangaam-e-azal se 
Tu meri talab , meray muqadar ki ameen hai 

Kiyon dhoondtay phirtay hain issay ban main yeh shair
Jo shaher ki in goonjti galiyon main makeen hai 

Khat lakhti hai chup chup kay wohi kam'ni mujh ko 
Naklace main jurra jis kay gulaabi sa nageen hai 

Poet : Nasir Shehzad 

Bana banaya yeh khail ik din bigar na jaye

Bana banaya yeh khail ik din bigar na jaye 

Nazar se utra hai dil se bhi woh utar  na jaye

Kahin to ho ga talaash kartay hain ayo ghar main 

Ik aisa gosha jahan ghamon ki nazar na jaye 

Ghazal ki palkon kay saye saye raza raho tum 

Yeh zulf-e-shaam-e-firaaq jab tak sanwar na jaye 

Poet : Ahmed Raza Ahmed

Bhout barf'baab mousam hai

Bhout barf'baab mousam hai 
Hawaein barf rut ki shaal orhay 
Band kamray main panahein dhoondti hain 
Yeh kamra 
Jis main heetar jal raha hai 
Badan saray ka sara baraf ki sil ban gaya hai 
Badan ki hiddatein ab ik 
Ghubaar alood khwaish ki tarah gum ho rahi hain 
Magar is munjamid shab main 
Jahan yeh zehan sunn ho 
Aur porain be'his-o-harkat 
Wahan par saans lenay aur lahoo ko garam rakhnay ki yahi surat nazar ayi 
Keh tum se phone pe baatein karon 
Baaton hi baaton main 
Tumharay araz-o-rukhsaar-o-lab aur baraf pighlaati hui 
Aankhon ko chu loon aur tumhain keh doon 
Zara tum phone par honton ko rakh do ...main bhi rakhta hoon 
Tum apni garam saanson se meri saanson ko piglaao 
Tasawur main mujhay choo loo
Meray dil main utar aao 
Main tanhai kay jis mousam ki yakh-basta  ruton main mubtala hoon 
Is gharri in ko 
Tumharay aaraz-o-rukhsaar ki hiddat hi pighlaye to pighlaye
Wagarna phir Khuda Hafiz

Noshi Gilani

Long distance call

Saans main saans khili

Saans main saans khili 

Por dar por pighalnay lagi khushboo-e-badan 

Jism ta jism mehaknay laga  her taar-e-sukhan 

Teray honton ki dehakti hui 

Kaliyon ki sohani shabnam 

Jazab hoti rahi 

Qatra qatra meray halqoom ko tar karti rahi 

Meri rag rag main 

Mohabbat ka safar karti rahi 

Poert : Ayub Khawar

Bar'zakh

Mola ! tujh se aaj ki shab bas aik dua hai

Dua 

Mola ! tujh se aaj ki shab 

Bas aik dua hai , Aik dua 

Be'shak meri aankhon ki qandeel 

Na qayam rakhna 

LAkin is kay khwaab ka roshan diya 

Salamat rakhna 

Noshi Gilani

Ab wohi shaher mohabbat se mujhay sochta hai

Ek pashimaan si hasrat se mujhay sochta hai
Ab wohi shaher mohabbat se mujhay sochta hai

MAin to mehdood se lamhon main mili thi us ko
Phir bhi woh mujhay kitni wazahat se sochta hai

Jis ne socha hi na tha hijar ka mumkin hona
Dukh main doobi hui hairat se mujhay sochta hai

MAin to mar jaaon agar sochnay lag jaaon ussay
Aur woh kitni sahoolat se mujhay sochta hai

Garcha ab tark-e-mrasam ko bhout dair hui
Ab bhi woh meri ijaazat se mujhay sochta hai

Kitna khush feham hai woh shakhs keh her mousam main
Ek naye rukh , nayi surat se mujhay sochta hai

Tera khyal bhi kitnay baras kay baad aya

Tera khyal bhi kitnay baras kay baad aya
Keh main ne aaj hi dekha tujhay to yaad aya

Shbaab tak tera bachpan tha be,niyazi ka
Karay azaab karri justagoo se chaha tha
Zamanay bhar ki tarah tu bhi mujh ko chor gaya
Tujhay to main ne bari arzoo se chaha tha

Teray baghair mujhay lamha bhar qaraar na tha
Agarcha tujh ko meray qarb se bhi wehshat thi
Main tujh pe apni wafa kay kohar lutaa'ta raha
Magar tujhay to kisi aur se mohabbat thi

Jab aaj mor pe bazaar kay tujhay dekha
Puranay dard achanak hi dil main jaag uthay
Teri nazar ki tapish se wajood jalnay laga
MAin dekh kar tujhay kiyon janay haath milnay laga

Poet : Natiq Jaferi

Tera khyal bhi kitnay baras kay baad aya

Jhrokay

Dukh fasana nahin keh tujh se kahain

Dukh fasana nahin keh tujh se kahain

Dil bhi maana nahin keh tujh se kahain

Aaj tak apni be'kali ka sabab

Khud bhi jaana nahin keh tujh se kahain

Poet : Ahmed Faraz

Mohabbat ho bhi sakti hai

Mohabbat ho bhi sakti hai

Pighal pathar bhi saktay hain
Ulat dariya bhi saktay hain
Koi awara sa panchi
Palat kar aa bhi sakta hai
Jo shab keh
Mujh pe hansati hai
Wohi shab ro bhi sakti hai
Mohabbat ho bhi sakti hai

Poet : Manaan Qadeer Manaan

Pighal pathar bhi saktay hain

Mohabbat ho bhi sakti hai
Pighal pathar bhi saktay hain
Ulat dariya bhi saktay hain
Koi awara sa panchi
Palat kar aa bhi sakta hai
Jo shab keh
Mujh pe hansati hai
Wohi shab ro bhi sakti hai
Mohabbat ho bhi sakti hai

Poet : Manaan Qadeer Manaan

Us ko pehli baar khat likha to dil dharka bhout

Us ko pehli baar khat likha to dil dharka bhout
Kiya jawaab aye ga , kaisay aye ga dar tha bhout

Jaan de dain gay agar duniya ne roka rasta
Aur koi hal na nikla hum ne to socha bhout

Ab samjh letay hain meethay lafz ki karwahatein
Ho gaya hai zindagi ka tajurba thora bhout

Soch lo pehlay hamaray haath main phir haath do
Ishq walon kay liye hain aag kay dariya bhout

Woh thi aangan main prosi kay , main ghar ki chatt pe tha
Dooriyon ne aaj bhi dono ko tarpaya bhout

Is se pehlay to kabhi ehsaas hota hi na tha
Tujh se mil kay sochtay hain ro liye tanha bhout

Poet : Manzar Bhopali

Taseer-e-mohabbat ka poocha us ne , kiya sochtay hain aap

Taseer-e-mohabbat ka poocha us ne , kiya sochtay hain aap 

Woh aik hi lafaz main khushi se , saza keh gaya 

Raah-e-wafa main mohabbat ka her sitam seh gaye hum 

Ba'asaani woh shakhs hamain , be'wafa keh gaya 

Yeh hamari bad'naseebi nahin to aur kiya hai

Yeh hamari bad'naseebi nahin to aur kiya hai 

Keh ussi kay ho gaye hum jo na ho saka hamara

Ehsaan na kar in jazbon ka

Ehsaan na kar in jazbon ka 
Nazron se gira be'shak lekin 

Jeena bhi mujhay dushwaar lage
Itna to nazar andaaz na kar 

Mujhay itna yaad aa kar be'chain na karo

Mujhay itna yaad aa kar be'chain na karo 

Ek yahi sitam kaafi hai keh saath nahin ho tum

Apnay dil ki halat woh kisi ko dikhata na tha

Apnay dil ki halat woh kisi ko dikhata na tha 

Ussay kiya gham tha woh kisi ko bata'ta na tha 

Logon ko hansanay kay wastay zindagi bitaa di us ne 

Kitna ajeeb tha woh shakhs khud muskurata na tha 

Jaanay kis kay intizaar main baitha rehta tha subh-o-shaam 

Misl-e-moorat bana woh palak bhi jhapkata na tha

Aaj reh reh kar yaad aya woh 

Jo dua de kar bhi dua bata'ta na tha 

Tum ne chup reh kar sitam aur bhi dhaya mujh pe

Tum ne chup reh kar sitam aur bhi dhaya mujh pe 

Tum se achay hain meray haal pe hansanay wale

Jab se dekha hai teri Surat ko

Jab se dekha hai teri Surat ko

Meri aankhon pe log martay hain

Logon ne bhout poocha sabab veerani-e-dil ka

Logon ne bhout poocha sabab veerani-e-dil ka 

Jab ho na saki baat to hum toot kar roye

Teri chahat ka jaddo tha

Teri chahat ka jaddo tha 
 Meri zaat main shamil warna 

Main ne gunnah kiye hotay
Main bikhar gaya hota

Mujh se poochtay hain zamanay wale

Mujh se poochtay hain zamanay wale

Kahan gaye tujh se dil laganay wale

Meri tanhaiyon ka dard bhi tujh se hai mansoob 

Meray aansoo'on ki keemat bhi tum hi giraanay wale

Meri khata kiya hai aur meri saza hi kaisi 

Yeh kaisa mera haal kiya tu ne O dil churanay wale

Aa aur aa kar ab thaam le mujhay apni baanhon main 

Warna log to mil hi jayein gay meri mayyat uthanay wale
 
Raat din hijar ki wehshat bhi nahin rakhni hai

Raat din hijar ki wehshat bhi nahin rakhni hai 
Kisi se ab itni mohabbat bhi nahin rakhni hai 

Jis ka jee chahaye hamian tor kay tukray kar de
Is qadar naram tabiyat bhi nahin rakhni hai 

Ek do saal kay rishton se hamain kiya hasil 
Ek do pal ki rafaqat bhi nahin rakhni hai 

Jin se bichrain to sambhalnay main zamanay lag jayein 
Aisay logon se murawat bhi nahin rakhni hai 

Kiya ajab haal hai chahat kay talab'gaaron ka 
Shouq biknay ka hai qeemat bhi nahin rakhni hai 

Tum ne hamain ek diye ki manend samjha jana

Tum ne hamain ek diye ki manend samjha jana 

Raat gehri hui to jala diya , subha hui to bujha diya

Ajeeb halat hoti hai is mohabbat main dil ki

Ajeeb halat hoti hai is mohabbat main dil ki 

Udaas jab bhi yaar ho kasoor apna hi lagta hai

Hum doob kay ubray to bas itna hi dekh sakay

Hum doob kay ubray to bas itna hi dekh sakay 

Auron ki tarah , tu bhi kinaray pe khara tha

Teri baaton main zikar us ka

Teri baaton main zikar us ka 
Meri baaton main zikar tera 

Ajab ishq hai 
Na tu mera 
Na woh tera

Lamhay judai kay be'qaraar kartay hain

Lamhay judai kay be'qaraar kartay hain 
Halaat mere mujhay la'chaar kartay hain 

Aankhin meri parh lo kabhi 
Hum khud kaisay kahain ke aap se pyaar kartay hain 

Main bas itna jaanti hoon keh tere baghair

Main bas itna jaanti hoon keh tere baghair 

Zindagi hayat nahin , aur mout nijaat nahin

Woh zehar de kar maarta to duniya ki nazron main aa jaata

Woh zehar de kar maarta to duniya ki nazron main aa jaata 

Kiya andaaz tha qatail ka mohabbat kar kay chor gaya

Zindagi bhar mout kay liye dua kartay rahay khuda se

Zindagi bhar mout kay liye dua kartay rahay khuda se 

Aur jab jeena chaha to dua qabool ho gayi

Raat ki aaghosh main aa jaye agar khyaal us ka

Raat ki aaghosh main aa jaye agar khyaal us ka 

Subha bistar se bhi phoolon ki mehak ati hai

Us ki nazron ko fursat na mili ho gi

Us ki nazron ko fursat na mili ho gi 

Warna mera marz itna la'ilaaj na tha

Intizaar-e-yaar ki youn ho gayi sab ko khabar

Intizaar-e-yaar ki youn ho gayi sab ko khabar 

Raat bhar meri gali kay sab diye jaltay rahay

Meri tanhai ko mera shouq na samjho

Meri tanhai ko mera shouq na samjho 

Baray pyaar se diya hai yahi tohfa kisi ne

Kitnay anjaan hain sar-e-shaam hi so jaate hain

Kitnay anjaan hain
Sar-e-shaam hi so jaate hain 

Meri aankhon se 
Meri neend churanay wale

Us ne phir mera haal poocha hai

Us ne phir mera haal poocha hai 
Kitna mushkil sawaal poocha hai 

Hichkiyon ka ajeeb lehja tha 
Baat ko taal taal kar poocha hai 

Wastay daal daal poocha hai 
Ansoo'on ki zubaan main 
jitna poocha kamaal poocha hai

Kiya phir mil sakain gay hum dono 
Mujh se mera khyal poocha hai 

Din guzarta hai kis tarah mera 
Kaisay guzray ga saal poocha hai 

Us ne mera haal poocha hai 

Zakham-e-dil aap ki nazron se bhi gehra nikla

Kiya bhala mujh ko parakhnay ka nateeja nikla 
Zakham-e-dil aap ki nazron se bhi gehra nikla 

Tashnagi jam gayi pathar ki tarah honton par 
Doob kar bhi teray dariya se main piyasa nikla

JAb kabhi tujh ko pukaara meri tanhain main 
Boo urri phool se , tasveer se saya nikla 

Koi milta hai to ab apna pata poochta hoon 
Main teri khoj main tujh se bhi paray jaa nikla 

Tor kar dekh liya aaina-e-dil tu ne 
Teri tasveer kay siwa aur bata kiya nikla 

Poet : Muzaffar Warsi 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...