Jun 21, 2014

Bikhar rahay hain meri zindagi kay tamaam warq


Bikhar rahay hain meri zindagi kay tamaam warq

Na janay kab koi aandhi ura ky le jaye

Main kab tak doosron ky dukh sambhaal ky rakhoon faraz 

Jis jis ky hain woh nishani bata ky le jaye

Nigha-e-yaar pe palkon ki gar lagaam na ho


Nigha-e-yaar pe palkon ki gar lagaam na ho 
Badan main door talak zindagi ka naam na ho 

Woh be'naqaab jo phirta hai gali koochon main 
To kaisay shahaer ky logon main qatl-e-aam na ho 

Mujhay yaqeen hai keh duniya main dard barh jayein
Agar yeh peenay pilanay ka ehtamaam na ho 

Bitha ky samnay bas dekhta rahoon tujh ko
Teray siwa muh ko duniya ka koi kaam na ho 

Jo is ko dekh le mehtaab ik nazar danish 
Meray shaher ki fizaon main kabhi shaam na ho

Zulf raaton si hai rangat hai ujalon jaisi


Zulf raaton si hai rangat hai ujalon jaisi

Par tabiyat hai wohi bhoolnay walon jaisi 

Us ki aankhon ko kabhi ghour se dekha hai faraz 

Rony walo ki tarah jagny walon jaisi

Itni shiddat aanson main pehlay kabhi na thi


Itni shiddat aanson main pehlay kabhi na thi

Dekha apnay naseeb ko to sar-e-aam ro diyea

Aankhon main woh taron si chamak


Aankhon main woh taron si chamak 
Honton pe muskaan rahay 
Bhara daman rahay khushiyon se 
Khila chaand sa yeh mukhra rahay 
Tamam umeedain hon poori aap ki
Na koi dil main armaan rahay 
Banain phool raah guzar aap ki
manzal aap ki shaad rahay 
Tareef aap ki is andaaz se ho biyaan 
Keh tashbeeha na koi baaqi rahay 
Harf-e-aakhir main yeh dua hai khuda se 
Keh us ki rehmat sada aap ky paas rahay

(Ameen)

Mohabbat karnay wale aaj


Mohabbat karnay wale aaj

Izhaar-e-mohabbat kar rahay hain par

Tumharay hath main jo phool hai is ko

Mohabbat ky saheefay main kahin rakh do

Keh izhaar-e-mohabbat kay liye lamhay muqarar to nahin hoty

Mohabbat to dino ki aid se azaad hoti hai 

Mohabbat main riyat phool denay ki 

Bhout hi khoobsurat hai 

Magar tum aaj mujh ko phool mat dena

Tqazay meri chahat ky siwa hain kuch 

Keh meray piyaar ki rasmain zamanay se juda hain kuch

Meray hathon main kabhi halaat ki zanjeer na ho


Meray hathon main kabhi halaat ki zanjeer na ho 

Meray khwabon ki bhiyanak kahin tabeer na ho 

Hai qurbaton ka yeh mousam magar aaitabaar nahin 

Tujh se mil kar hi bicharna meri taqdeer na ho 

Mangi hain duaein keh woh sada saath rahay 

YEh aur baat hai meri dua main taseer na ho

Udaas larki jo ban paray to


Udaas larki 
Jo ban paray to
Yeh khud se kehna kabhi to jana
Keh tum ko ati hai yaad ab bhi 
Woh ik sundar ' udaas larki
Woh khoyi khoyi si aankhon wali
Woh uljhi uljhi si sochon wali
Woh jhooti muskaan ko labon pe sjanay wali
Woh apnay baray main dheeray dheeray se 
tum ko sab kuch batanay wali
Woh baat be'baat ' rooth kar maan janay wali
Kabhi kabhi to hisaab-o-had se bhi yaad barh kar hai anay wali
Stanay wali , mananay wali
Woh ik sundar 'udaas larki

Tum masroof kitnay ho


Brabar yaad karny par bhi tum hichki nahin letay 

Pehar kitnay guzar jayein 

Khabar meri nahin letay 

Sawaal sun to letay ho 

Jawaban kuch nahin kehtay 

Nahin kehtay keh meri yaad bhi tum ko staati hai

Udasi phail jati hai 

Nahin kehtay 

Nahin kehtay 

Yeh jo majbooriyan hain in main khud ko dhaal baithay ho

Yahan be'jaan main aur tum wahan anjaan baithay ho

Suno !

Mujhay samjha sako gy tum 

Keh tum masroof kitnay ho 

Tujhay tujh se churana chahata hoon


Tujhay tujh se churana chahata hoon 
Junoon ko azmana chahata hoon 

Hamaray darmiyaan jo mojzan tha 
Wohi rishta purana chahata hoon 

Makaan badlay hain kitnay is nagar main 
MAin ab ky ghar basana chahta hoon 

Samay ki andhiyon se bujh na paye
Dia aisa jalana chahta hoon 

Yeh duniya to bhout choti hai jana
Teray dil main sma'na  chahata hoon 

Tumhara sath ho aur geet likhon 
Main jeevan shairaana chahata hoon

Bicharry waqat jab mujh se chura rahay thay hath


Bicharry waqat jab mujh se chura rahay thay hath
Woh ik raat mujh pe zindagi se bhaari thi 

Woh ik larki jo jeeti zamanay bhar se magar
Tumharay pyaar main ik faqat tum se haari thi 

Tumhain ilzaam-e-jafa bhi dain to kiyon dain 
Mohabbaton main thi jo bhi khata hamari thi 

Tum hum ko kho ky bhi her pal shaad raho 
Bichartay waqat yahi ik dua hamari thi

Ya rab tu hi mujhay us ki chahat ata kar de


Ya rab tu hi mujhay us ki chahat ata kar de

Keh her chahat mohtaaj hai teri hi chahat ki

Waqat ki kahani bhi kya ajab kahani hai


Waqat ki kahani bhi 

Kiya ajab kahani hai 

Dheeray dheeray guzray hain 

Aur jab zaroorat par 

is ko rokna chaha 

Yeh hamaray roky se

aur tez guzra tha 

Jab rahi na hajat tab

Aur dheeray guzray hain 

Be'wafa yeh pehlay tha 

Be'wafa yeh ab bhi hai

Ab kisi tor se ghar janay ki surat hi nahin


Ab kisi tor se ghar janay ki surat hi nahin 

Raastay ho gaye meray liye daldal ki tarah

Tumhari yaad ky jab zakham bharnay lagtay hain


Tumhari yaad ky jab zakham bharnay lagtay hain 
Kisi bahanay tumhain yaad karnay lagtay hain 

Hadees-e-yaar ky unwaan nikharnay lagtay hain 
To her hareem main gaisoo sanwanay lagtay hain 

Her ajnabi hamian mehram dikhai deta hai 
Jo ab bhi teri gali se guzarnay lagtay hain 

Saba se kartay hain ghurbat-e-naseeb zikar-e-watan 
To chasham-e-subha main ansoo ubharnay lagtay hain

Woh jab bhi kartay hain nataq-e-lab ki bajhia gari 
Fiza main aur bhi naghmay bikharnay lagtay hain 

Dar-e-qafas pe andheray ki mohar lagti hai 
To faiz dil main sitaray utarnay lagtay hain

Tumhari baat lambi hai , daleelain hain , bahanay hain


Tumhari baat lambi hai , daleelain hain , bahanay hain 

Hamari baat sirf itni hai hamari zindagi tum ho

Teray hotay huwey bhi ae khaliq


Teray hotay huwey bhi ae khaliq

Mujh pe her shaks ne khudai ki

Gham ki jageer warasat main mili hai mujhay


Gham ki jageer warasat main mili hai mujhay

Apni jageer main rehta hoon nawaabon ki tarah

Haal-e-dil kar ky biyaan hum kis qadar pachtaye hain


Haal-e-dil kar ky biyaan hum kis qadar pachtaye hain 

Kon janay tha keh ik buut youn khuda ho jaye ga

Jab se hum tabbah ho gaye


Jab se hum tabbah ho gaye
Tum jahan pannah ho gaye

Husan per nikhaar aa gaya 
Aainay siyaah ho gaye

Andiyon ki kuch khata nahin 
Hum bhi gard-e-raah ho gaye

Dushmano ko chithyaan likho
Dost khair khwaah ho gaye  


Nahin ishq ka dard lazat se khaali



Nahin ishq ka dard lazat se khaali 

Jissay zoq hai woh maza janta hai

Aqal layi hai dhoond kar laakhon


Aqal layi hai dhoond kar laakhon 

Ishq bhari hai sab daleelon par

Teray qareeb reh ky bhi dil mut'maein na tha


Teray qareeb reh ky bhi dil mut'maein na tha 

Guzri hai mujh pe yeh bhi qayamat kabhi kabhi

Jab tak na lagay be'wafai ki thokar


Jab tak na lagay be'wafai ki thokar 

Her kisi ko apni mohabbat par naaz hota hai

Tum aur sirf tum


Tum , Tum Aur sirf tum 

Lo khatam ho gai hamari daastaan

Kisi ko dekhon to maathay pe maah-o-saal milain


Kisi ko dekhon to maathay pe maah-o-saal milain 

Kahin bikharti hui dhool main sawal milain 

Aao kuch dair december ki dhoop main baithain 

Yeh fursatain hamain shayed na aglay saal milain

Jab se tu ne mujhay dewaana bana rakha hai


Jab se tu ne mujhay dewaana bana rakha hai 
Sang her shakhs ne hathon main utha rakha hai 

Us ky dil par bhi karri ishq main guzri ho gi 
Naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai

Pathron aaj meray sar pe barastay kiyon ho 
Main ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai 

Ab meri deed ki duniya bhi tamashai hai 
Tu ne kiya mujh ko mohabbat main bana rakha hai 

Gham nahin gul jo kiye ghar ky hawaon ne chraagh
Hum ne dil ka bhi dia aik jala rakha hai 

Pee ja ayaam ki talkhi ko bhi hans ky nasir 
Gham ko sehnay main qudrat ne maza rakha hai

Tum meri pehli mohabbat to nahin ho lakin


Tum meri pehli mohabbat to nahin ho lakin 

MAin ne chaha hai tumhain pehli mohabbat ki tarah

Raat hai andheri bhout , ik diya hi jala dy koi


Raat hai andheri bhout , ik diya hi jala dy koi 

Main barson ka jaaga hoon , mujhay sula dy koi

Dard gar aadmi hota to girebaan pakar kar kehtay


Dard gar aadmi hota 
to girebaan pakar kar kehtay 
Is tarah rehtay hain be'chain dilon kay andar 
Is tarah kartay hain be'maaron se
Hum tumhain sehtay hain , kuch tum bhi to sehna seekho 
Aik thori si khushi aaye to jal jaatay ho

Haal kaisa hai or Mizaaj kaisa hai


Haal kaisa hai or Mizaaj kaisa hai

Kal to kal tha batao Aaj kaisa hai 

Hamary Sheher mein hain Log mohabbat k dushman

Tum batao Tumhary Sheher mein RiWaaj kaisa hai 

Teri Aawaz sun Loon to mil jata hy Sukoon Dil ko

Mery Gham ka dekho to, ELaaj kaisa hai

Teri Pyari Baatain bhool sakte nahi kabhi

Mera diL bhi teri Awaaz ka dekho, Mohtaaj kaisa hai

Kuch to ay yaar ilaaj-e-gham-e-tanhaai ho ,


Kuch to ay yaar ilaaj-e-gham-e-tanhaai ho 

Baat itni bi na barrh jay k ruswai ho

Jis nay mujh ko bi tamasha sa bana rakha hy

Ab zaroori hy wohi aankh tamashaai ho

Doobny waalay to aankho sy bi kab niklay hain

Doobnay k liy laazim nahi gahraai ho

Me tujhay jeet bi tohfy me nahi dy sakta

Chahta ye b nahi me teri paspaai ho

Koi anjaan na ho sheher-e-muhabbat ka makeen 

Kash har dil kì har ik dil sy shanasaai ho

Youn guzar jata hy , tery koochay se wo

Tera wakif na ho jeasy koi sodaai ho


Logo mery afkaar py pehry na bethao


Logo mery afkaar py pehry na bethao

Jazba kbi paaband-i- salaasil nai hota

Aye dil tery paaon main yeh laghzish kaisi

Hr morr koi koocha-i- qaatil nai hota

Un sy kuch aaqeedat hy shoukat warna

Pathrr ka sanam pyaar ki manzil nai hota

Aaj phir sataye gi raat pooray chaand ki


Aaj phir sataye gi raat pooray chaand ki
Dar badar phiraye gi raat pooray chaand ki

 Baam-o-dar ki qaid main rooh phar'praye gi
Wehshatein barhaye gi raat pooray chaand ki

Jis tarf bhi jayon ga ,eray saaye ki tarah 
Meray sath jaye gi raat pooray chaand ki

Aisa lag raha hai ab to agar bichar gaya 
Loat ky na aye gi raat pooray chaand ki

Qam'qamon ky shaher main apni apni saig par 
Subha tak jagaye gi raat pooray chaand ki

 Aaj hi se chor de mera hath warna phir
Umar bhar rulaye gi raat pooray chaand ki

Karray safar main agar raasta badalna tha


Karray safar main agar raasta badalna tha 
To ibtida main meray sath hi na chalna tha 

Kuch is liye to bhi suraj zameen pe utra hai 
Pahariyon pe jami baraf ko pighalna tha

Utar ky dil main lahoo zehar kar gaya aakhir
Woh saamp jis ko meri asteen main palna tha 

YEh kiya keh tohmatein atish fishaan ky sar ayein 
Zameen ko youn bhi khazana kabhi ugalna tha 

MAin larzashon se atay raaston pe chal nikla 
Tujhay ganwa ky mujhay phir kahan sambhalna tha 

Ajab naseeb tha Mohsin ke baad marag mujhay 
Chraagh ban ky khud apni lehad pe jalna tha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...