Sep 1, 2014

Tera andaz teri Touseef-o-Sana karta hai



Tera andaz teri Touseef-o-Sana karta hai

Mera har Sans tera Shukar adda karta hai

Tere Aagy meri jhukti hui Peshani sy

Meri har Subho ka aghaz hua karta hai

RizQ phunchata hai pathar me chupy keere ko

Tu hi sookhi hui Shakhon ko hara karta hai

Geet gati hain Baharain b teri qudrat k,

Seena-e-Sang sy jb phool khila karta hai

Bara Nadan hai tujhy Door smajhne wala

Tu Rag-e-Jan say bhe Nazdeek rha karta hai.

Mera har Sans tera Shukar adda karta hai


Tera andaz teri Touseef-o-Sana karta hai

Mera har Sans tera Shukar adda karta hai

Tere Aagy meri jhukti hui Peshani sy

Meri har Subho ka aghaz hua karta hai

RizQ phunchata hai pathar me chupy keere ko

Tu hi sookhi hui Shakhon ko hara karta hai

Geet gati hain Baharain b teri qudrat k,

Seena-e-Sang sy jb phool khila karta hai

Bara Nadan hai tujhy Door smajhne wala

Tu Rag-e-Jan say bhe Nazdeek rha karta hai.

Maloom nahin kiyon yaad aatay ho



Maloom nahin kiyon yaad aatay ho
Saanson main tum bas gaye ho

Aankhon main tum meri samaa gaya ho
Maloom nahin kiyon itna yaad aatay ho

Aankhon main tum , sansoon main tum
Bas tum hi tum jo hamain itna yaad atay ho

Meri subha tum , shaam tum , her pal main tum
Tum kon ho jo hum ko be'chain kar detay ho

Mera her lamha mujh se chura letay ho
Mujhay be,chain kar detay ho tum kon ho

Keh do Aaj teray dil main nahin koi aya hai



Keh do Aaj teray dil main nahin koi aya hai
Aj jo hai samaa yeh bas tu ne banaya hai

Is baar thuraya tu ne phir na thukrana
Bari minaton se khuda ko manaya hai

Aap kay dil main ishq ki shamma jalanay ko
Hum ne raat din khud jo jalaya hai

Is janam main to tu meri ho na saki , par
Main ne aglay her janam kay liye tujh ko paya hai

Kasak Tere siwa aur kuch na cheaye , tu ne hi
To is "Ghayal" ko ishq karna shikaya hai

Hum se chahat n aziada jataya karo




Hum se chahat n aziada jataya karo
Door Rehtay ho kahin  paas aya karo

Tera jalwa kabhi hum ne dekha nahin
Kabhi chehra hamain to dikhaya karo

Roz ghairon ki majlis main jaatay ho tum
Kabhi to apnao ki mehfil sajaya karo

Hum ranjeeda bhi hain neem deeda bhi
Aa kay dil tum hamara beh'laya karo

Teri majbooriyon ki khabar hai mujhay
Baat baat par qasmain khaya na karo

Tere waday pe hum ne bhrosa kiya
Kuch to ulfat ka tum bhi haq nibhaya karo

Chahnay wali ki chahat pe kar lo yaqeen
Roshni main diya na chupaya karo

Roshni main diya na chupaya karo



Hum se chahat n aziada jataya karo
Door Rehtay ho kahin  paas aya karo

Tera jalwa kabhi hum ne dekha nahin
Kabhi chehra hamain to dikhaya karo

Roz ghairon ki majlis main jaatay ho tum
Kabhi to apnao ki mehfil sajaya karo

Hum ranjeeda bhi hain neem deeda bhi
Aa kay dil tum hamara beh'laya karo

Teri majbooriyon ki khabar hai mujhay
Baat baat par qasmain khaya na karo

Tere waday pe hum ne bhrosa kiya
Kuch to ulfat ka tum bhi haq nibhaya karo

Chahnay wali ki chahat pe kar lo yaqeen
Roshni main diya na chupaya karo

Bhrosay ne bhi dhoka dy dia hamain



Bhrosay ne bhi dhoka dy dia hamain
To wafa se aasra kaisay karain

Jab dharkan ne hi dil ka saath na dia
To saanson ki aarzoo kaisay karain

Palkon pe saj agaya woh hamaray diye judai kay
Ab aandhi se shikwa kaisay karain

Kaha tha us ne keh ik din loat kar aaon ga
Ab waqat se gila kaisay karain

Zindagi ki kashti beech samnadar atak gayi
Jayein bhi to kaisay aur kaisay hum marain

Hum hi tehray saza waar aur khatta kuch bhi nahin



Hum hi tehray saza waar aur khatta kuch bhi nahin
Tu kiya samjhta hai tere baad hua kuch bhi nahin

Yaad jab ayi teri yaad raha kuch bhi nahin
Dil ne bas aah bhari aur kaha kuch bhi nahin

Waqat ki tarah yeh saansain bhi rawaan hain ab tak
Ek bas ashk thamay aur kaha kuch bhi nahin

Haath se haath chura kar gaye jab se tum
Main ne us waqat se in haathon se chuaa kuch bhi nahin

Kaash tu mujh se keh dy achanak aa kar
keh teray baad mere jeewan main bacha kuch bhi nahin
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...