Sep 9, 2014

Tujhay mile to ussay mera bhi salaam kehna


Tujhay mile to ussay mera bhi salaam kehna

Suno jugno
Main ussay pukaarta
Thakan se choor
Apnay pairon ki chaalon
Ko saath saath liye
Dhoondta hua
Is jungle main aa poncha hoon
Par kisi ne bhi to
Ussay pyaar ka pata nahin bataya

Suno jugnoo
Woh jugnu hi to tha
Tum mujhay us tak raah diklaao
Junoo ne kaha , paglay
MAin bhi to us bin adhoora hoon
Jab tak woh raha , main roshanraha
Phir na janay woh kahan kho gaya
Tujhay mile to ussay mera bhi salaam kehna "
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin milay ga
Jissay pukaarta tu gali gali hai
Woh jugnoo nahin woh to roshni hai

Suno gul !
Tum ne dekha nahin
To suna to ho ga
MAin kaisay us bin
Jeeta hoon
To phir madad karo
Woh phool hi to tha
Tumhi us gul ka pata batao
Gul ne kaha , paglay
Mujhay khud usi ki aas hai
Teri tarah hi talaash hai
Us bin to main kuch bhi nahin
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin milay ga
Jissay dhoondta tu ku-ba-ku hai
Woh phool nahin woh to khushboo hai

Suno Dil !
Main bhout thak chuka hoon
Tum ne dekha woh kahin nahin milta
To phir suno
Uss ki yaad apnay aap
Main se
Nikaal do
To mujhay bhi khuch qaraar aaye
NAhin to
Aisay na dar'ba'dar karo
Madad karo
Dil ne kaha ! paglay
MAin bhi to jaanib-e-sanam rawaan hoon
Uss bin to main ik veeraana hoon
Mujh ko bhi uss ki nahin kuch khabar
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
YAhan se loat jaa
Woh tujhay yahan nahin milay ga
Jis bin meri bhi zard rangat hai
Woh dil nahin woh to mohabbat hai

Suno aankh !
Tum ne to sab kuch dekha hai
Main aur kitna bhatkon ga
Woh tujh main hi to rehta hai
Teray aansoo'on main
Main ne us ki
Surat dekhi hai
Bas to tum ko qasam  hai
Talaash khatam karo
Ab madad karo
Aankh ne kaha ! paglay
Uss kay bin to hum bhi dar'ba'dar ho gaye hain
Aansoo thay jitnay saray , pathar ho gaye hain
Woh meri beenai ki wusa'aton se baahir hai
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin mile ga
Jis ki talaash hi tera muqadar hai
Woh aansoo nahin woh samandar hai

Suno samandar
MAin gham ka maara hoon
Apnay bhanwar se kaho
Mujhay paar lagaye
Youn na staaye
Mujhay dabo kar
Woh khud bhi doob jaye ga
Suno samandar !
Meri khushk aankhon
Ki janib dekho
To tumhain yaad aye ga
Keh yeh sookhi thi
To tum banay thay
Aaj wohi aankhain
Tum se madad maangti hain
inhain paar laga do
Mera yaar mila do
Samandar ne kaha paglay
Yeh jo tu mujh main dekhta irta'aash hai
Ussi dilbar ki to pyaas hai
Woh kisi jazeeray par bhi to nahin milta
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin mile ga
Jis ki chah main tu ghayal hai
Woh samandar nahin woh to saahil hai

Suno Saahil !
Meri haalat tum par ayaan hai
Labon pe dam hai
Nikalnay ko yeh jaan hai
Ab aur safar mujh se nahin ho ga
Tum aakhri umeed ho
Main ne tumharay
In chamaktay zaraat main
Uss ko dekha hai
Saahil ne kaha ! Paglay
Uss bin to meray zarron main chamak nahin
Zindagi ab koi baaqi ramak nahin
Woh janay kiyon hum se rootha hai
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat jaa
Woh tujhay yahan nahin milay ga
Ab kabhi nahin mile ga
Woh bichar gaya so bichar gaya
 To tu bhi loat jaa
Woh jo tujhay jee jaan se pyaara hai
Woh to zarah nahin woh to taara hai

Sun ae hawa
Mera sara safar be'kaar gaya
Main haar gaya Main haar gaya
Jugnu , gul ,aur dil
Ankh samandar aur saahil
In sab main
Mujhay woh kahin na mila
Meri aas ka guishan
Sookh gaya
Woh kiyon mujh se youn
Rooth gaya
Sang lay kay woh baahir gaya
Main haar gaya , main haar gaya
Sun meri baat O paglay
Tu itni jaldi haar gaya
Abhi kahan tu
Beech mang'dhaar gaya
To phir kahan teri mohabbat
Woh tera pyaar gaya
Tu itni jaldi haar gaya
Dekh hawa
Tujhay sab hai pata
To tu hi bata
Main kiya karon
Kahan ja kay us ko talaash karoon
Main kiya karon
Jo meray dil pe chai chaandni hai

Woh jungoo nahin woh to roshni hai
Woh jo kahin nahin par chaar soo hai
Woh phool nahin woh to khushboo hai
Woh jo saray aalam se khoobsurat hai
Woh dil nahin woh to mohabbat hai
Woh meri aankhon main jis ka ghar hai
Woh ansoo nahin woh samnadar hai
Woh jo meri wafa ki manzil hai
Woh samndar nahin woh to saahil hai
Woh jo meri umeed mera sahara hai
Woh zarah nahin woh sitara hai

Par paglay sun
Tu kiyon youn bhat'takta hai
Jissay tu poochta hai keh kahaan hai
WOh her jaga yahan wahan hai
Yahi to teri mohabbat ka imtihaan hai
Ussay paanay ki ussau choonay ki
Uss kay honay na honay ki
Baaton ko bhool jaa
Ussay apnay mannmain
Mehsoos to kar
To phir se us ko khoj magar
Kisi wajood main mat dhoondna ussay
Bahaaron main basi usi ki muskurahat hai
Ussi ki aankhon se roshan yeh jahan hai
Tu ussay dhoond magar ik baat bhool kar
Ussay choo mat bas mehsoos kar
Woh jo teri zameen tera aasmaan hai
Woh koi jisam nahin woh to jaan hai

Haan ae hawa
Main phir se us ko dhoondon ga
Aur dhoond saka to poochon ga
Par ae hawa
Tujhay hai pata
Main sadiyon se
Uss kay liye bhat'takta raha
Tu ne to sab dekha
Tu to jaanta hai keh ab waqat kam hai
Meray labon pe dam hai
To bas main to chala
Alwida Alwida
Par sun Ae hawa
Tu meri wafa ki gawahi dena
Meri justagoo ki sab nishaani dena
Agar kabhi
Agar kabhi mile
To ussay bata hi dena

Sun ae hawa
Meray dil kay kaaghaz par likha woh paighaam kehna
Main jissay pukaarta raha barson woh us ka naam kehna
Us ki aankhon ko Madh bharay do jahan kehna
Us kay dil main rang-o-mohabbat ka qayaam kehna
Us ki jawaani ko bahaaron ka baadal , us ko naazuk-andaam kehna
Phir meri aarzoo meri talaash , lagaan mera kaam kehna
Main ussay dhoond leta par bhout ooncha us ka maqaam kehna
Par meri justagoo , meri wafaon pe laga her ilzaam kehna
Thin tund-o-tez hawaein aur diya tha bhout bad'naam kehna
Phir bhi chraagh-e-dil jalta hi raha subh-o-shaam kehna
Phir us kay kaano main dheeray se mera anjaam kehna
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna

Taraptay dil se nikli hui sadaa se ulajh baithay hain


Taraptay dil se nikli hui sadaa se ulajh baithay hain 

Apnay milan ki her ik dua se ulajh baithay hain 

Faqat us ki khaatar keh teri khabar kiyon na layi 

Kai baar teray shaher ki hawa se ulajh baithay hain

Aa raha hai woh


Aa raha hai woh 

Aa raha hai woh
Khushboo'on kay sang
Junoo'on kay sang
Titliyaan pakar kay rakh lo

Aa raha hai woh
Hawaon kay sang
Fizaaon kay sang
Haathon main phool pakar kay rakh lo

Aa raha hai woh 
Sitaaron kay sang
Chaand kay sang
Roshniyaan pakar kay rakh lo

Aa raha hai woh 
Din kay sang
Raat kay sang
Ujaalay palkon ki dehleez pe rakh lo

Aa raha hai woh
Baarishon kay sang
Baadalon kay sang
Hathaliyon ki Oak main paani bhar kay rakh lo

Aa raha hai woh 
Apnay sang
Nizaron kay sang
Aankhain dareechay pe rakh lo

Aa raha hai woh
Gulaab kay sang
Chambaili kay sang
Khushboo us ki apni saanson main samo kay rakh lo

Aa raha hai woh 
Mohabbaton kay sang
Chahton kay sang
Hont us kay pairon ki dhool pe rakh do

Raaz-e-zindagi


Raaz-e-zindagi

Youn baat nahin banti , bigarti hai
Lab si kar
Door reh kar
Khamosh jee kar
Kab zindagi sanwarti hai
Ana ki bhaint khwaab mat charhaao
Ayo
Suno
Maana keh mohabbat dooriyon se nikharti hai
Yeh hijar kay karb naak lamhay
Yeh judai
Jab qatra qatra rooh main utar'ti hai
To
Khush'numa khwaabon ki
Ik ik pati bikharti hai
Zindagi , zindagi nahin rehti
Ik bojh ban kar
Zaat kay tukray tukray kar kay
Waqat guzaarti hai
Youn phir zindagi ..
Zindagi basar hoti hai

Agar woh na hota to ishq bhi na hota


Agar woh na hota to ishq bhi na hota

Na main zindagi se youn be'zaar hoti

Dil ne ki khwaish keh woh sitam gar

Na youn jaata na main be'qaraar hoti

Zindagi main yahi hasrat rahi mujhay

Main us ky dil ki masnad par bar'jamaan rehti

Kehtay hain keh jaaiz sab mohabbat-o-jung main hai

Par dil main is kay mojood koi jazba to hota

Yahi soch kar main baar baar roi

Woh laakh bura hota . par be'wafa na hota

Jitna bhi main us ki mohabbat main doobi

Woh itna hi kam'zarf-o-be'wafa nikla

Agar main pehlay us ki haqeeqat maan jaati

Na youn us se koi umeed rakhti

Raat kay andheray hain , khwaab bajti aankhon kay


Raat kay andheray hain , khwaab bajti aankhon kay

Her taraf se wehmay hain , soch-e-aztraab kay

Phir junoon-e-dasht main be'rad nigahon par

Surajon kay shaher se bagawaton ka silsala

Qaafla rawaan da'waan gard se atta hua

Phir isi qabeelay se dushmni kay marhalay

Tamaam din thaka hua

Dhool se ataa hua

Her taraf nigahon par tairagi kay gum'shuda

Manzaron pe chaa rahay thay

Dushmano kay dab'dby

Hum udaas tehray thay , aarzo kay sehraa main

Zeest aftaab tha , aur hasraton kay saaye thay

Dushmano ka jashan tha zindagi kay maqtal main

Arzoo kay lamhon main hum bhi sur'khru huye

Samnay tha karbala aur hum bhi ru'ba'ru thay

Woh sitam dil pe kab nahin kartay


Woh sitam dil pe kab nahin kartay
Hum gila be'sabab nahin kartay

Hai ghlat yeh tumhara andaaza
Be'wafai to sab nahin kartay

Rooth jaati hai kaainaat-e-karam
Baat woh hum se jab nahin kartay

Dekhiyea bas nigah-e-ulfat se
Aur kuch hum talab nahin kartay

Waasta un ko bad'naseebi se
Jo baron ka adab nahin kartay

Dil ka shikwa ba'lab nahin hota
Hum bhi itna ghazab nahin kartay

Hum ne kiya keh diya unhain "Aater"
Hum se woh baat ab nahin kartay 

Ae jaan-e-kainaat


Ae jaan-e-kainaat

Teri nazar karon main kiya

Meri chahatein , meri wafaein

Hai sanam teray wastay

Phool , khushboo aur yeh rang saaray

Zameen kay zarhy , falak kay taaray

Chaman kay gulaab be'hisaab

Musar'raton kay baab saray

Hai jaan-e-tamana naam teray

Meri chahaton kay rang hain dil'kash

Meri mohabbaton kay safar main tum ho bas

Chaandni ruton main tum ho

Gham ki tama'zatein  na tum tak ayein

Kamraani ki sha'raah par tum gaam'zan raho

Wafa ky moti ki yeh maala

Tum apnay saath hi rakhna , chahaton ka hisaab rakhna

Meri dua hai ae jaan-e-kainaat

Is janam din par

Tum jo chaho mujh se maang lo

MAin sirf dua bani hoon

Main waqat-e-sadaa bani hoon

Mohabbaton ki ameen hoon main to

Chahaton ki fasal hoon main

Bas ! harf-e-aakhir yeh hai kehna

Main hoon teri , ae jaan-e-tamana

Is janam din par bas hai itna kehna

Waheen pathar sajay rakhay huye hain


Waheen pathar sajay rakhay huye hain
Jahan tak aainay rakhay huye hain

Wafa ki raah main tum loat aao
Abhi kachay gharray rakhaye huye hain

Hamari zindagi guzray gi kaisay
Keh tum ne faaslay rakhay huye hain

Kabhi fursat mile to loat aao
Saja kay raastay rakhaye huye hain

Nishaan milta nahin hai manzilon ka
YEh kaisay da'iray rakhaye huye hain

Saja kay phool hum ne aaj "Rana"
Tumharay wastay rakhay huye hain

Is se pehlay keh dasht-e-imkaan ko


Is se pehlay keh dasht-e-imkaan ko

Wasal-e-jana ki aarzoo na rahay

Is se pehlay keh baar-e-gham se , kahin

Tujh ko paanay ki justagoo na rahay

Is se pehlay keh dasht-e-kaahish se

Fraash-e-afsurdagi bichay sar-e-raah

Loat aayo keh muntazir hai nigah

Is se pehlay keh loh-e-qismat par

Baab-e-ulfat tamaam ho jaye

Is se pehlay keh shaam ho jaye

Tum agar udaas ho


Tum agar udaas ho

To mera bhi dam nikalta hai

Khusd ko tarpaa kar

Na mujh ko tarpaya karo

Jala kay chragh-e-jaan

Aandiyon kay muqaabil

Khud ko

Youn to na azmaya karo

Raat hoti hai

Sonay kay liye

Raat aankhon main

To na bitaya karo

Suno chanda

So jaya karo 

Aaj aisa kartay hain


Aaj aisa kartay hain

Be'sadaa lafzon main

Wajah-e-zindagi keh kar

Wasal ki zaroorat par

Phir se zor detay hain

Aaj aisa kartay hain

Zikar wohi kartay hain

Naam aur detay hain

Zabat kay kinaaron se

Dard aan lipta hai

Toot'tay kinaaray ab

Dard aur detay hain

Aaj aisa kartay hain

Dard se ulajhtay hain

Zabt chor detay hain

Taar taar daaman ko

Khaar khaar raahon main

Ranjishain bhula kay hum

Aa kay jor detay hain

Aaj aisa kartay hain

Hum nahin palat'tay hain

Raah mor detay hain

Sabz sabz mousam main

Laal laal aankhon kay

Khwaab ki ragon se hum

Khoon nichor detay hain

Aaj aisa kartay hain

Yeh bhi kar guzartay hain

Khwaab tor detay hain

Aa kay ab duaon ko

Maatami ridaaon main

Phir se kar kay alwida

Moqa aur detay hain

Aaj aisa kartay hain

Dariya main utar'tay hain

Rab pe chor detay hain
 

Umeed-e-wasal ki aahat se hum


Umeed-e-wasal ki aahat se hum
Mann kay band dareechon ko
Khol kay bhout hi narmi se
Teray milan ki aas main raqsaan
Kitnay hi khush kun lamhay
Le kar apnay haathon main
Ban main ik juhnoo ki tarah
Teray shaher main poonchay thay
Sehra-e-imkaan main youn to
Kitnay khadshay bastay thay
Pyaar ki shiddat haavi thi
So kitnay baadal barsay thay
Mann main hoti barkha ko to
Shaher pe barsa dekh tha
Mousam meray andar ka
Baahir aa kar barsa tha
Mujh ko sara aalam rangeen
Dhanak main bikhra lagta tha
Her ja jaisay phool khilay hoon
Her ja aisa lagta tha

Jis ko hum ne apna jeewan
Rang-e-hayaat hi jaana tha
Teray wasal ka woh lamha bhi
Ik din to phir aana tha
Ujli ujli kirno si tu
Hum se milay ayi thi
Baatain teri khwaab ki surat
Aur un main gehraai thi
Dil ka her ik zakham to us din
Hum ne bhartay dekha tha
Tujh ko apni in aankhon se
Jadoo kartay dekha tha
Qos-e-qazah kay rangoon si tu
Mujh ko bikhri lagti thi
Sab rang thay phoolon jaisay
Jin main khushbooein basti thein
Teray qurb ki hiddat thi aur
Meray jazbay pighlay thay
Teri khaatar jee lenay kay
Kitnay pehlu niklay thay
Pehron baith kay hum ne youn hi
Ik doojay ko socha tha
Shayed haath ki raikhaaon main
Ik doojay ko khooja tha
Teri aankh main janay kitnay
Roshan jugnoo bastay thay
Teray lab kay saath hi dekha
Woh jugnoo bhi hanstay thay
Hanstay hanstay aik dam sy hi
Thora tu ghabraai thi
Hum ne teri aankh main jhaanka
Doori thi , judai thi ,

Palti tu to saath main tere
Wasal ka suraj utar gaya tha
Jis lamhay ko jeevan samjhay
Woh to pal main guzar gaya tha
Rabt-e-mousam mujh se tha kuch
Aisa gumaan hi guzra tha
Mann main mere khaak urri to
Her manzar hi dhoonda tha
Sara aalam mujh ko to phir
Apnay mann sa lagta tha
Tez hawa kay jhakar thay aur
Gham ka sawan phaila tha
Baarish kay woh baadal us shab
Yaad hai kitna barsay thay
Her shay hi sairaab hui thi
Aur hum kitna tarsay thay
Teray shaher kay aik konay main
Shakista'paa main hansta tha
Baarish kay aisay mousam main
Dukh ko kon samjhta tha
Teray shaher ki soorat tu bhi
Kitna hi anjaan raha tha
Teray shaher ki barkha rutt main
Ik dil phir veeraan raha tha

Teray shaher se paltay hum to
Saray khwaab Shakista thay
Hum ne wasal ko haara tha
Hijar kay teer pewastay thay
Shaher main urti khaak ne meri
aankhain  sehraa kar di thein
Hum ne apni saari khushiyaan
Gham ky haath pe dhar di thein
Sehraa apni aakhon ko bas
Ashkon se hi dhoya tha
Mousam meray saath lipat kar
Khul kar us shab roya tha

Daastan-e-kul


Daastan-e-kul

Chupa deta main kisi taaq main

Kisi khaana-e-daraaz main

Ya lapait kar auraaq main

Mila deta kisi khaak main

Jo hota ayaan to na kholta

Keh yeh meri kitaab-e-zindagi

Ba-unwaan-e-hasil-e-zindagi

Anjaam-e-aashqui warq warq

Liye muntazir hai dard-o-karb

Jo hota gumaan to yeh sochta

Keh mere bakht-e-sitam saaz ne

Jo kiya tha darj naseeb main

Sab raqam jis kitaab main

Kiyon lagi wohi , mereay haath main

Par dard-o-gham kay ghaat ka

Mujhay ilam tha na aagahi

So ik adaa-e-saadgi

Se main ne kitaab-e-zeest ko

Khush khyaal lamhon main

Waqat waqat rok rok khola

Pehlay safhay pe khush rang-o-khush'numa andaaz se

Ik "lafz-e-roshan" tha likha

YEh lafaz shanaasa tha wohi

Jo rawaan tha her her rang main hi

Jissay harf harf sar-e-loh-e-jaan

Parha tha dil-e-zaar ne

Ussi lafaz-e-saya dar ne

Kuch maahni diye grifft main

Phir rakha ta'umar hisaar main

Ussi lafaz-e-kul ki keematein

(Wohi lafaz yehni mohabbatein )

Na kisi adaad-o-shumaar main

Palta jo warq aur ik

To darj thein wohi qeematein

Jin qeematon ki madd main hi

Mereay roz-o-shab sab qaid thay

Baaqi auraaq kitaab kay

Ya siyaah tahy , ya sufaid thay

MAin kitaab-e-taqdeer kay

Insaaf pe hairaan tha

Meeri aankh ashk'baar thi , mera jisam be'jaan tha



Ussi aalam-e-hairaangi-e-o-aalam-e-pur'soz main

Joun hi kitaab band ki

To ik lafaz aur darj tha

 Yeh 'lafaz-e-siyaah' to azal se

Zehan-o-dil pe naqsh tha

Meri hayaat to goya

2 lafzon ka qarz tha

Woh jo ik sar-e-pushat tha , woh jo ik sar-e-warq tha

Mujh pe naseeb-e-zeest ka

Andha sa her ik faisala

Ab misaal-e-roz-e-awal-o-aakhir aashkaar tha

MAin naqsh ba'dewaar tha

So 2 lafzon pe mushtamil

Korri kitaab-e-zeest ko

Sar-e-taaq chup sa rakh diya

Keh shaam kay anjaam se

Sehar kay aaghaaz tak

Zeest se ajal ki

Aakhri awaaz tak

Daroonay -o-be'roonay zaat

Door tak phaili hui

Ayaan thein ab mujh pe sabhi

Bakhat ki siyaahiyaan

Sar-e-warq sabt, mohabbatain

Sar-e-pushat likha tha , judaiyaan

Beetay dino kay zakham meray saath saath hain


Beetay dino kay zakham meray saath saath hain 

Kiyon dil main meray tishnagi baaqi hai aaj bhi 

Jeevan tera bakhair kay woh ja chuka "Imran"

Kiyon dil main us ki dil lagi baaqi hai aaj bhi 

Dil main na ho jurrat to mohabbat nahin milti


Dil main na ho jurrat to mohabbat nahin milti 

Khairaat main itni bari doulat nahin milti 

Kuch log youn hi shaher main hum se bhi khafa hain 

Her aik se apni bhi tabiyat nahin milti 

Titliyaan pakar kay rakh lo


Aa raha hai woh 

Aa raha hai woh
Khushboo'on kay sang 
Junoo'on kay sang 
Titliyaan pakar kay rakh lo 

Aa raha hai woh 
Hawaon kay sang 
Fizaaon kay sang 
Haathon main phool pakar kay rakh lo 

Aa raha hai woh  
Sitaaron kay sang 
Chaand kay sang 
Roshniyaan pakar kay rakh lo 

Aa raha hai woh  
Din kay sang 
Raat kay sang 
Ujaalay palkon ki dehleez pe rakh lo 

Aa raha hai woh 
Baarishon kay sang 
Baadalon kay sang 
Hathaliyon ki Oak main paani bhar kay rakh lo 

Aa raha hai woh  
Apnay sang 
Nizaron kay sang 
Aankhain dareechay pe rakh lo 

Aa raha hai woh 
Gulaab kay sang 
Chambaili kay sang 
Khushboo us ki apni saanson main samo kay rakh lo 

Aa raha hai woh  
Mohabbaton kay sang 
Chahton kay sang 
Hont us kay pairon ki dhool pe rakh do


Youn baat nahin banti , bigarti hai


Raaz-e-zindagi 

Youn baat nahin banti , bigarti hai 
Lab si kar 
Door reh kar 
Khamosh jee kar 
Kab zindagi sanwarti hai 
Ana ki bhaint khwaab mat charhaao 
Ayo 
Suno
Maana keh mohabbat dooriyon se nikharti hai 
Yeh hijar kay karb naak lamhay 
Yeh judai 
Jab qatra qatra rooh main utar'ti hai 
To
Khush'numa khwaabon ki 
Ik ik pati bikharti hai 
Zindagi , zindagi nahin rehti 
Ik bojh ban kar
Zaat kay tukray tukray kar kay 
Waqat guzaarti hai 
Youn phir zindagi ...
Zindagi basar hoti hai

Na main zindagi se youn be'zaar hoti


Agar woh na hota to ishq bhi na hota
Na main zindagi se youn be'zaar hoti

Dil ne ki khwaish keh woh sitam gar
Na youn jaata na main be'qaraar hoti

Zindagi main yahi hasrat rahi mujhay
Main us ky dil ki masnad par bar'jamaan rehti

Kehtay hain keh jaaiz sab mohabbat-o-jung main hai 
Par dil main is kay mojood koi jazba to hota 

Yahi soch kar main baar baar roi
Woh laakh bura hota . par be'wafa na hota 

Jitna bhi main us ki mohabbat main doobi 
Woh itna hi kam'zarf-o-be'wafa nikla 

Agar main pehlay us ki haqeeqat maan jaati 
Na youn us se koi umeed rakhti 

Arzoo kay lamhon main hum bhi sur'khru huye


Raat kay andheray hain , khwaab bajti aankhon kay 
Her taraf se wehmay hain , soch-e-aztraab kay 
Phir junoon-e-dasht main be'rad nigahon par 
Surajon kay shaher se bagawaton ka silsala
Qaafla rawaan da'waan gard se atta hua 
Phir isi qabeelay se dushmni kay marhalay 
Tamaam din thaka hua 
Dhool se ataa hua 
Her taraf nigahon par tairagi kay gum'shuda 
Manzaron pe chaa rahay thay 
Dushmano kay dab'dby 
Hum udaas tehray thay , aarzo kay sehraa main 
Zeest aftaab tha , aur hasraton kay saaye thay 
Dushmano ka jashan tha zindagi kay maqtal main 
Arzoo kay lamhon main hum bhi sur'khru huye 
Samnay tha karbala aur hum bhi ru'ba'ru thay

Hum gila be'sabab nahin kartay


Woh sitam dil pe kab nahin kartay 
Hum gila be'sabab nahin kartay 

Hai ghlat yeh tumhara andaaza
Be'wafai to sab nahin kartay 

Rooth jaati hai kaainaat-e-karam 
Baat woh hum se jab nahin kartay 

Dekhiyea bas nigah-e-ulfat se 
Aur kuch hum talab nahin kartay 

Waasta un ko bad'naseebi se 
Jo baron ka adab nahin kartay 

Dil ka shikwa ba'lab nahin hota 
Hum bhi itna ghazab nahin kartay 

Hum ne kiya keh diya unhain "Aater"
Hum se woh baat ab nahin kartay 

Hai jaan-e-tamana naam teray


Ae jaan-e-kainaat
Teri nazar karon main kiya 
Meri chahatein , meri wafaein 
Hai sanam teray wastay 
Phool , khushboo aur yeh rang saaray 
Zameen kay zarhy , falak kay taaray 
Chaman kay gulaab be'hisaab 
Musar'raton kay baab saray 
Hai jaan-e-tamana naam teray 
Meri chahaton kay rang hain dil'kash 
Meri mohabbaton kay safar main tum ho bas 
Chaandni ruton main tum ho 
Gham ki tama'zatein  na tum tak ayein 
Kamraani ki sha'raah par tum gaam'zan raho 
Wafa ky moti ki yeh maala 
Tum apnay saath hi rakhna , chahaton ka hisaab rakhna
Meri dua hai ae jaan-e-kainaat 
Is janam din par 
Tum jo chaho mujh se maang lo 
MAin sirf dua bani hoon 
Main waqat-e-sadaa bani hoon 
Mohabbaton ki ameen hoon main to 
Chahaton ki fasal hoon main 
Bas ! harf-e-aakhir yeh hai kehna 
Main hoon teri , ae jaan-e-tamana 
Is janam din par bas hai itna kehna

Jahan tak aainay rakhay huye hain


Waheen pathar sajay rakhay huye hain 
Jahan tak aainay rakhay huye hain 

Wafa ki raah main tum loat aao 
Abhi kachay gharray rakhaye huye hain 

Hamari zindagi guzray gi kaisay 
Keh tum ne faaslay rakhay huye hain 

Kabhi fursat mile to loat aao 
Saja kay raastay rakhaye huye hain 

Nishaan milta nahin hai manzilon ka 
YEh kaisay da'iray rakhaye huye hain 

Saja kay phool hum ne aaj "Rana"
Tumharay wastay rakhay huye hain 

Zulfain hain ghattaon si , aankhain hain kanwal jaisi


Zulfain hain ghattaon si , aankhain hain kanwal jaisi

Is shaher main aik larki bilkul hai ghazal jaisi

Aaraz pe kgulay is kay kuch phool gulaabon kay

Us roop ki sundarta hai taaj mehal jaisi

Janay kiya baat hai kiyon tum se mohabbat hai mujhay


Janay kiya baat hai kiyon tum se mohabbat hai mujhay 

Chaand , taaron se haseen lagtay ho 

Zindgaani ki bahaaron se haseen lagtay ho 

Janay kiya baat hai kiyon tum se mohabbat hai mujhay

Khuda kare keh teri aankhain hamesha hansti rahain


Khuda kare keh teri aankhain hamesha hansti rahain 

Diyaar-e-waqat se to shaad'maan guzarti rahay 

Main maangti hoon teri zindagi qayamat tak 

Hawa ki tarah se tu jaad'waan guzarti rahay

Is se pehlay keh shaam ho jaye


Is pehlay keh dasht-e-imkaan ko 

Wasal-e-jana ki aarzoo na rahay 

Is se pehlay keh baar-e-gham se , kahin 

Tujh ko paanay ki justagoo na rahay 

Is se pehlay keh dasht-e-kaahish se 

Fraash-e-afsurdagi bichay sar-e-raah 

Loat aayo keh muntazir hai nigah 

Is se pehlay keh loh-e-qismat par 

Baab-e-ulfat tamaam ho jaye 

Is se pehlay keh shaam ho jaye

Tu kahin bhi rahay , tujh pe mera ilzaam to hai


Tu kahin bhi rahay , tujh pe mera ilzaam to hai 

Teray haathon ki lakeeron main mera naam to hai 

Tu mujhay apna bana ya na bana , teri khushi 

Tu zamanay main meray naam se bad'naam to hai

Karo gay yaad to her waqat yaad aye gi


Karo gay yaad to her waqat yaad aye gi

Guzartay waqat ki her mouj tehar jaye gi 

Talaash karo gay jo hum se behtar  koi dost

Nazar door tak jaa kar loat aye gi

Bujh jaye agar shamha to jal sakti hai


Bujh jaye agar shamha to jal sakti hai 

Kashti beech bhanwar se nikal sakti hai 

Mayoos na ho apnay iraaday na badal 

Taqdeer kisi waqat bhi badal sakti hai 

Tum na maano magar haqeeqat hai


Tum na maano magar haqeeqat hai 

Ishq insaan ki zaroorat hai 

Us ki mehfil main baith kar dekho 

Zindagi kitni khoobsurat hai

Hum se bichar gaya jo gaye saal ki tarah


Hum se bichar gaya jo gaye saal ki tarah 

Us ka bhi haal ho ga meray haal ki tarah 

Aya nahin woh reh gaye rastay sajay huye 

Yeh saal bhi guzar gaya her saal ki tarah

Jahan bhi milta hai wajah-e-malaal poochta hai


Jahan bhi milta hai wajah-e-malaal poochta hai 

Jo hal'talab hain abhi woh sawaal poochta hai 

Ajeeb dushman-e-jaan hai keh waar se pehlay 

Mujh se hi meray bachao ki chaal poochta hai

Ussi kay naam se lafzon main chaand utray hain


Ussi kay naam se lafzon main chaand utray hain 

Woh aik shakhs keh dekhon to aankh bhar aye

Jo kho chukay hain unhain dhoondna to mumkin hai 

Jo jaa chukay hain unhain koi kis tarah laye

Woh pairr jin pe parindon kay ghar nahin hotay


Woh pairr jin pe parindon kay ghar nahin hotay 

Daraaz jitnay bhi hon moh'tabar nahin hotay 

Meray qabeelay ki pehchaan hai faqat itni 

Keh in zehno main nafrat kay ghar nahin hotay 


Woh tujhay yahan nahin milay ga


Tujhay mile to ussay mera bhi salaam kehna

Suno jugno
Main ussay pukaarta
Thakan se choor
Apnay pairon ki chaalon
Ko saath saath liye
Dhoondta hua
Is jungle main aa poncha hoon
Par kisi ne bhi to
Ussay pyaar ka pata nahin bataya
Suno jugnoo
Woh jugnu hi to tha
Tum mujhay us tak raah diklaao
Junoo ne kaha , paglay
MAin bhi to us bin adhoora hoon
Jab tak woh raha , main roshanraha
Phir na janay woh kahan kho gaya
Tujhay mile to ussay mera bhi salaam kehna "
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin milay ga
Jissay pukaarta tu gali gali hai
Woh jugnoo nahin woh to roshni hai

Suno gul !
Tum ne dekha nahin
To suna to ho ga
MAin kaisay us bin
Jeeta hoon
To phir madad karo
Woh phool hi to tha
Tumhi us gul ka pata batao
Gul ne kaha , paglay
Mujhay khud usi ki aas hai
Teri tarah hi talaash hai
Us bin to main kuch bhi nahin
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin milay ga
Jissay dhoondta tu ku-ba-ku hai
Woh phool nahin woh to khushboo hai

Suno Dil !
Main bhout thak chuka hoon
Tum ne dekha woh kahin nahin milta
To phir suno
Uss ki yaad apnay aap
Main se
Nikaal do
To mujhay bhi khuch qaraar aaye
NAhin to
Aisay na dar'ba'dar karo
Madad karo
Dil ne kaha ! paglay 
MAin bhi to jaanib-e-sanam rawaan hoon
Uss bin to main ik veeraana hoon
Mujh ko bhi uss ki nahin kuch khabar
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
YAhan se loat jaa
Woh tujhay yahan nahin milay ga
Jis bin meri bhi zard rangat hai
Woh dil nahin woh to mohabbat hai

Suno aankh !
Tum ne to sab kuch dekha hai
Main aur kitna bhatkon ga
Woh tujh main hi to rehta hai
Teray aansoo'on main
Main ne us ki
Surat dekhi hai
Bas to tum ko qasam  hai
Talaash khatam karo
Ab madad karo
Aankh ne kaha ! paglay
Uss kay bin to hum bhi dar'ba'dar ho gaye hain
Aansoo thay jitnay saray , pathar ho gaye hain
Woh meri beenai ki wusa'aton se baahir hai
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin mile ga
Jis ki talaash hi tera muqadar hai
Woh aansoo nahin woh samandar hai

Suno samandar
MAin gham ka maara hoon
Apnay bhanwar se kaho
Mujhay paar lagaye
Youn na staaye
Mujhay dabo kar
Woh khud bhi doob jaye ga
Suno samandar !
Meri khushk aankhon
Ki janib dekho
To tumhain yaad aye ga
Keh yeh sookhi thi
To tum banay thay
Aaj wohi aankhain
Tum se madad maangti hain
inhain paar laga do
Mera yaar mila do
Samandar ne kaha paglay
Yeh jo tu mujh main dekhta irta'aash hai
Ussi dilbar ki to pyaas hai
Woh kisi jazeeray par bhi to nahin milta
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin mile ga
Jis ki chah main tu ghayal hai
Woh samandar nahin woh to saahil hai

Suno Saahil !
Meri haalat tum par ayaan hai
Labon pe dam hai
Nikalnay ko yeh jaan hai
Ab aur safar mujh se nahin ho ga
Tum aakhri umeed ho
Main ne tumharay
In chamaktay zaraat main
Uss ko dekha hai
Saahil ne kaha ! Paglay
Uss bin to meray zarron main chamak nahin
Zindagi ab koi baaqi ramak nahin 
Woh janay kiyon hum se rootha hai 
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat jaa
Woh tujhay yahan nahin milay ga 
Ab kabhi nahin mile ga 
Woh bichar gaya so bichar gaya 
 To tu bhi loat jaa
Woh jo tujhay jee jaan se pyaara hai 
Woh to zarah nahin woh to taara hai 

Sun ae hawa

Sun ae hawa
Mera sara safar be'kaar gaya 
Main haar gaya Main haar gaya 
Jugnu , gul ,aur dil
Ankh samandar aur saahil 
In sab main 
Mujhay woh kahin na mila 
Meri aas ka guishan 
Sookh gaya 
Woh kiyon mujh se youn 
Rooth gaya 
Sang lay kay woh baahir gaya 
Main haar gaya , main haar gaya 
Sun meri baat O paglay 
Tu itni jaldi haar gaya 
Abhi kahan tu 
Beech mang'dhaar gaya 
To phir kahan teri mohabbat 
Woh tera pyaar gaya
Tu itni jaldi haar gaya 

Dekh hawa 
Tujhay sab hai pata 
To tu hi bata 
Main kiya karon 
Kahan ja kay us ko talaash karoon 
Main kiya karon 
Jo meray dil pe chai chaandni hai 
Woh jungoo nahin woh to roshni hai 
Woh jo kahin nahin par chaar soo hai 
Woh phool nahin woh to khushboo hai 
Woh jo saray aalam se khoobsurat hai
Woh dil nahin woh to mohabbat hai
Woh meri aankhon main jis ka ghar hai 
Woh ansoo nahin woh samnadar hai 
Woh jo meri wafa ki manzil hai 
Woh samndar nahin woh to saahil hai 
Woh jo meri umeed mera sahara hai 
Woh zarah nahin woh sitara hai 

Par paglay sun 
Tu kiyon youn bhat'takta hai 
Jissay tu poochta hai keh kahaan hai 
WOh her jaga yahan wahan hai 
Yahi to teri mohabbat ka imtihaan hai 
Ussay paanay ki ussau choonay ki 
Uss kay honay na honay ki 
Baaton ko bhool jaa
Ussay apnay mannmain 
Mehsoos to kar 
To phir se us ko khoj magar 
Kisi wajood main mat dhoondna ussay 
Bahaaron main basi usi ki muskurahat hai 
Ussi ki aankhon se roshan yeh jahan hai 
Tu ussay dhoond magar ik baat bhool kar 
Ussay choo mat bas mehsoos kar 
Woh jo teri zameen tera aasmaan hai 
Woh koi jisam nahin woh to jaan hai 

Haan ae hawa
Main phir se us ko dhoondon ga 
Aur dhoond saka to poochon ga 
Par ae hawa
Tujhay hai pata 
Main sadiyon se 
Uss kay liye bhat'takta raha 
Tu ne to sab dekha 
Tu to jaanta hai keh ab waqat kam hai 
Meray labon pe dam hai 
To bas main to chala 
Alwida Alwida 
Par sun Ae hawa
Tu meri wafa ki gawahi dena 
Meri justagoo ki sab nishaani dena 
Agar kabhi 
Agar kabhi mile 
To ussay bata hi den a
Sun ae hawa

Meray dil kay kaaghaz par likha woh paighaam kehna 
Main jissay pukaarta raha barson woh us ka naam kehna 
Us ki aankhon ko Madh bharay do jahan kehna 
Us kay dil main rang-o-mohabbat ka qayaam kehna 
Us ki jawaani ko bahaaron ka baadal , us ko naazuk-andaam kehna 
Phir meri aarzoo meri talaash , lagaan mera kaam kehna 
Main ussay dhoond leta par bhout ooncha us ka maqaam kehna 
Par meri justagoo , meri wafaon pe laga her ilzaam kehna 
Thin tund-o-tez hawaein aur diya tha bhout bad'naam kehna 
Phir bhi chraagh-e-dil jalta hi raha subh-o-shaam kehna 
Phir us kay kaano main dheeray se mera anjaam kehna 
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna



Suno chanda


Tum agar udaas ho 
To mera bhi dam nikalta hai 
Khusd ko tarpaa kar
Na mujh ko tarpaya karo
Jala kay chragh-e-jaan 
Aandiyon kay muqaabil 
Khud ko 
Youn to na azmaya karo
Raat hoti hai 
Sonay kay luye
Raat aankhon main 
To na bitaya karo
Suno chanda 
So jaya karo 

Be'sadaa lafzon main


Aaj aisa kartay hain 

Be'sadaa lafzon main 
Wajah-e-zindagi keh kar 
Wasal ki zaroorat par 
Phir se zor detay hain 
Aaj aisa kartay hain 
Zikar wohi kartay hain 
Naam aur detay hain 

Zabat kay kinaaron se
Dard aan lipta hai 
Toot'tay kinaaray ab 
Dard aur detay hain 
Aaj aisa kartay hain 
Dard se ulajhtay hain 
Zabt chor detay hain 

Taar taar daaman ko 
Khaar khaar raahon main 
Ranjishain bhula kay hum 
Aa kay jor detay hain 
Aaj aisa kartay hain 
Hum nahin palat'tay hain 
Raah mor detay hain 

Sabz sabz mousam main 
Laal laal aankhon kay 
Khwaab ki ragon se hum 
Khoon nichor detay hain 
Aaj aisa kartay hain 
Yeh bhi kar guzartay hain 
Khwaab tor detay hain 

Aa kay ab duaon ko 
Maatami ridaaon main 
Phir se kar kay alwida 
Moqa aur detay hain 
Aaj aisa kartay hain 
Dariya main utar'tay hain 
Rab pe chor detay hain

Sehra-e-imkaan main youn to


Umeed-e-wasal ki aahat se hum 
Mann kay band dareechon ko 
Khol kay bhout hi narmi se 
Teray milan ki aas main raqsaan 
Kitnay hi khush kun lamhay 
Le kar apnay haathon main 
Ban main ik juhnoo ki tarah 
Teray shaher main poonchay thay

Sehra-e-imkaan main youn to 
Kitnay khadshay bastay thay 
Pyaar ki shiddat haavi thi 
So kitnay baadal barsay thay 
Mann main hoti barkha ko to
Shaher pe barsa dekh tha 
Mousam meray andar ka 
Baahir aa kar barsa tha 
Mujh ko sara aalam rangeen 
Dhanak main bikhra lagta tha 
Her ja jaisay phool khilay hoon 
Her ja aisa lagta tha 

Jis ko hum ne apna jeewan 
Rang-e-hayaat hi jaana tha 
Teray wasal ka woh lamha bhi 
Ik din to phir aana tha 
Ujli ujli kirno si tu 
Hum se milay ayi thi 
Baatain teri khwaab ki surat 
Aur un main gehraai thi
Dil ka her ik zakham to us din 
Hum ne bhartay dekha tha 
Tujh ko apni in aankhon se 
Jadoo kartay dekha tha 
Qos-e-qazah kay rangoon si tu 
Mujh ko bikhri lagti thi 
Sab rang thay phoolon jaisay 
Jin main khushbooein basti thein 
Teray qurb ki hiddat thi aur 
Meray jazbay pighlay thay 
Teri khaatar jee lenay kay 
Kitnay pehlu niklay thay 
Pehron baith kay hum ne youn hi 
Ik doojay ko socha tha 
Shayed haath ki raikhaaon main 
Ik doojay ko khooja tha 
Teri aankh main janay kitnay 
Roshan jugnoo bastay thay 
Teray lab kay saath hi dekha
Woh jugnoo bhi hanstay thay 
Hanstay hanstay aik dam sy hi 
Thora tu ghabraai thi 
Hum ne teri aankh main jhaanka 
Doori thi , judai thi , 

Palti tu to saath main tere 
Wasal ka suraj utar gaya tha 
Jis lamhay ko jeevan samjhay 
Woh to pal main guzar gaya tha 
Rabt-e-mousam mujh se tha kuch 
Aisa gumaan hi guzra tha 
Mann main mere khaak urri to 
Her manzar hi dhoonda tha 
Sara aalam mujh ko to phir
Apnay mann sa lagta tha 
Tez hawa kay jhakar thay aur 
Gham ka sawan phaila tha 
Baarish kay woh baadal us shab 
Yaad hai kitna barsay thay 
Her shay hi sairaab hui thi 
Aur hum kitna tarsay thay 
Teray shaher kay aik konay main 
Shakista'paa main hansta tha 
Baarish kay aisay mousam main 
Dukh ko kon samjhta tha 
Teray shaher ki soorat tu bhi 
Kitna hi anjaan raha tha 
Teray shaher ki barkha rutt main 
Ik dil phir veeraan raha tha 

Teray shaher se paltay hum to 
Saray khwaab Shakista thay 
Hum ne wasal ko haara tha 
Hijar kay teer pewastay thay 
Shaher main urti khaak ne meri 
aankhain  sehraa kar di thein 
Hum ne apni saari khushiyaan 
Gham ky haath pe dhar di thein 
Sehraa apni aakhon ko bas 
Ashkon se hi dhoya tha 
Mousam meray saath lipat kar 
Khul kar us shab roya tha

Chupa deta main kisi taaq main


Daastan-e-kul

Chupa deta main kisi taaq main 
Kisi khaana-e-daraaz main 
Ya lapait kar auraaq main 
Mila deta kisi khaak main 
Jo hota ayaan to na kholta 
Keh yeh meri kitaab-e-zindagi
Ba-unwaan-e-hasil-e-zindagi 
Anjaam-e-aashqui warq warq
Liye muntazir hai dard-o-karb 
Jo hota gumaan to yeh sochta 
Keh mere bakht-e-sitam saaz ne 
Jo kiya tha darj naseeb main 
Sab raqam jis kitaab main 
Kiyon lagi wohi , mereay haath main 
Par dard-o-gham kay ghaat ka 
Mujhay ilam tha na aagahi 
So ik adaa-e-saadgi 
Se main ne kitaab-e-zeest ko 
Khush khyaal lamhon main 
Waqat waqat rok rok khola 
Pehlay safhay pe khush rang-o-khush'numa andaaz se
Ik "lafz-e-roshan" tha likha 
YEh lafaz shanaasa tha wohi 
Jo rawaan tha her her rang main hi
Jissay harf harf sar-e-loh-e-jaan 
Parha tha dil-e-zaar ne 
Ussi lafaz-e-saya dar ne 
Kuch maahni diye grifft main 
Phir rakha ta'umar hisaar main 
Ussi lafaz-e-kul ki keematein 
(Wohi lafaz yehni mohabbatein )
Na kisi adaad-o-shumaar main 
Palta jo warq aur ik 
To darj thein wohi qeematein 
Jin qeematon ki madd main hi 
Mereay roz-o-shab sab qaid thay 
Baaqi auraaq kitaab kay 
Ya siyaah tahy , ya sufaid thay 
MAin kitaab-e-taqdeer kay 
Insaaf pe hairaan tha 
Meeri aankh ashk'baar thi , mera jisam be'jaan tha 

Ussi aalam-e-hairaangi-e-o-aalam-e-pur'soz main 
Joun hi kitaab band ki 
To ik lafaz aur darj tha
 Yeh 'lafaz-e-siyaah' to azal se
Zehan-o-dil pe naqsh tha 
Meri hayaat to goya 
2 lafzon ka qarz tha 
Woh jo ik sar-e-pushat tha , woh jo ik sar-e-warq tha 
Mujh pe naseeb-e-zeest ka 
Andha sa her ik faisala
Ab misaal-e-roz-e-awal-o-aakhir aashkaar tha 
MAin naqsh ba'dewaar tha 
So 2 lafzon pe mushtamil 
Korri kitaab-e-zeest ko 
Sar-e-taaq chup sa rakh diya 
Keh shaam kay anjaam se 
Sehar kay aaghaaz tak 
Zeest se ajal ki 
Aakhri awaaz tak 
Daroonay -o-be'roonay zaat
Door tak phaili hui 
Ayaan thein ab mujh pe sabhi 
Bakhat ki siyaahiyaan 
Sar-e-warq sabt, mohabbatain 
Sar-e-pushat likha tha , judaiyaan
 
 
 
 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...