Feb 11, 2016

Soch loo chalne say pehlay rastaa dushwaar hai


 
Soch loo chalne say pehlay rastaa dushwaar hai

Ishiq darwaza nahi hai hijar ki dewar hai


Phir faraib'bay'roz'o'shab ki dosti mumkin nahi

Kar diya inkar so inkar hai !inkar hai


Itna khush hona nahi acha ab us k qarb main

Hijar bhi in vesaal k lamhoo ka his'say'dar hai


Is taraf to rastoon main dhool see urr'nay lage

Ab to jaa k daikhna hai jo samandar par hai


Phir hawa'ayee'sehar mujh say mun'harif honay lagi

Phir mere hintoon pe tere naam ki takrar hai


Ab kahan cho'yee'gi us k dil ko sach ki roshni

Jis k hathoon main abhi taak jhoot ki talwaar hai..!

hijar ke bad dua na ho jana




Hijar ki bad-dua na ho jana 

dekh lena saza na ho jana 

Mor to be'shumaar ayein gay 

Thak na jaana , juda na ho jana 

Ishq ki intiha nahin hoti 

Ishq ki intiha na ho jana 

Aakhir shab udaas chaand kay saath 

Aik bujhta diya na ho jana 

Be'iraada safar pe niklay ho 

Raaston ki hawa na ho jaana 

Zindagi dard se ibaarat hai

Zindagi se khafa na ho jaana 


Ik tumhi ko khuda se maanga hai 

Tum kahin be'wafa na ho jaana

Hum apni bheegi hui january ki shuru'wat

Hum apni bheegi hui january ki shuru'wat

Tery bakhshay howy azab-e-tanhai sey karty hain


Woh paas aye to mozu-e-guftagoo na milay


Woh paas aye to mozu-e-guftagoo na milay 

Woh loat jaye to her guftagoo usi se rahay

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey


Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey

Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey

Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey

Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey

Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey

Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey

Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
es dil kay hathon bohat majboor rahey


Choota jo tera haath to hum toot ke roye



Choota jo tera haath to hum toot ke roye
tum jo na rahay saath to hum toot ke roye

chaahat ki taman'na thi aur zakhm diye tum ne
paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye

imkaan na tha duur talak tajdeed-e-ta'alluq ka
dekhay jo yeh haalaat to hum toot ke roye

anjaan thay hum ab tak dard ki soorat se
hui jo mulaaqaat to hum toot ke roye

jeeti thi sadaa hum ne har baazi teray saath
tanha jo sahi maat to hum toot ke roye

logo'n ne bahut poochha sabab veraani-e-dil ka
jab ho na saki baat to hum toot ke roye

thi dhoop bahut taiz har simt judaayi ki
barsi jo na barsaat to hum toot ke roye

zad mein tha khizaao'n ki ab ke dil-e-barbaad
bichhrray jo shajar-paat to hum toot ke roye

din bhar tou rahay chup keh duniya ki nazar thi
bheegi jo siaah raat to hum toot ke roye

samjha tha sadaa tujh ko apna he koi hissa
tukrro'n mein bati zaat to hum toot ke roye

hum kartay rahay aaj talak 'uss chaand' ki khwahish
yaad aayi jo auqaat to hum toot ke roye



tujh se mansoob huay to yeh hasrat he rahe

tujh se mansoob huay to yeh hasrat he rahi

hum bhe kabhi apnay hawalay se pechahnay jatay

Tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham ke baad


Tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham ke baad
kitne chup-chap se lagate hain shajar sham kay baad


itanay chup-chaap ke raste bhi rahenge la-ilm
chor jayen gay kisi roz nagar sham kay baad


main ne aisee hi gunah teri judai mein kiye
jaise tufan mein koi chod de ghar sham kay baad


sham se pehlay wo mast apni udanon mein raha
jis ke hathon mein the tute hue par sham kay baad


raat biti to gine aable aur phir socha
kon tha bais-e-agaz-e-safar sham kay baad


tu hai suraj tujhe malum kahan raat ka dukh
tu kisi roz mere ghar mein utar sham kay baad


laut aaye na kissi roz wo aawara mizaaj
khol rakhte hain isi aas pe dar sham kay baad



Ik taza hikayat hai sun lo to inayat hai


Ik taza hikayat hai
sun lo to enayat hai
EK shaks ko dekha tha
Taro ki tarah ham ney
Ek shaks ko chaha tha
Apno ki tarah hum ney
EK shaks ko samjha tha
Pholo ki tarah hum ney
woh shaks qayamt tha
kya us ki karain batain
Din us k liye peda
aur us ki the ratein
Kam milna kisi se tha
Hum say the mulakatein
Rung us ka shahabi tha
Zulfo mein thi mehkarein
Ankhein thi ki jadoo tha
Palkein thi k talwarein
Dushman bhi agar dekhay
So jan say dil harein
Kuch tum say woh milta tha
batoon mein shahbat mein he tum sa lagta tha
shokhi mein sharat mein lagta b tum sa tha
Dastor-e-mohabat mein ...woh shaks humain
Aik din apno ki tarah bhola....taro ki tarah doba
pholo ki tarah tota...phir hath na aya woh
hum ney to buhat dhonda
tum kis liye chunkey ho
kab zikar tumhara hai
kab tum say taqza hai
kab tum say shakayat hai

Ek taza hiqayat hai

Sun lo to enayat hai

woh har roz dobatay hoye suraj ko dekhta hai faraz

woh har roz dobatay hoye suraj ko dekhta hai faraz


Kash main bhi kisi shaam ka manzar hota

Nahin fursat yakeen jaano hume kuch aur karnay ki

 

Nahin fursat yakeen jaano hume kuch aur karnay ki


teri baatein teri yaadein bahut masroof rakhti hain

Kitna mushkil hai muhabbat ki kahani likhna




Kitna mushkil hai muhabbat ki kahani likhna

jis tarah "pani" pe, "pani" se, "pani" likhna
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...