May 31, 2016

Misal-e-sang kharra hai usi haseen ki tarah


Misal-e-sang kharra hai usi haseen ki tarah 
Makan ki shakal bhi dekho dil-e-makeen ki tarah 

Mala'imat hai andheray main us ki saanson se 
Damak rahi hain woh aankhein harray rangeen ki tarah 

Nawah-e-qariya hai sunsaan sham-e-sarma main 
Kisi qadeem zamanay ki sar'zameen ki tarah 

Zameen door se tara dikhai deti hai 
Ruka hai us pe qamar chasham-e-seez , main ki tarha 

Farab deti hai wusat-e-nazar ki ufqon par
Hai koi cheez wahan sehar-e-neelmein ki tarah 

Munir Ehad hai ab aakhir musafat ka 
Keh chal rahi hai hawa-e-baad wapisein ki tarah

Barishon main us se ja kay milnay ki hasrat kahan


Barishon main us se ja kay milnay ki hasrat kahan 
Kooknay do koyel ko , ab mujhay farsat kahan 

Jee to kehta hai keh us ko sath hi rakhein magar 
Apnay paas is husan Aaish angez ki qeemat kahan 

Talkh us ko kar diya arbaab-e-qariya ne bhout 
Warna ik shair kay dil main is qadar nafrat kahan 

Rok saktay thay ussay hum ibtida kay dour main 
Ab hamein dewangi-e-shaher par qudrat kahan 

Daikhta hoon her taraf , shayed dikhai de kabhi 
Par firakh-e-dasht main aadam ki woh surat kahan 

Aik manzil yeh bhi thi khawabon ki warna Ae Munir
Main kahan aur us diyar-e-ghair ki ghurbat kahan

Aa gayi yaad sham dhaltay hi


Aa gayi yaad sham dhaltay hi 
Bujh gaya dil chragh jaltay hi 

Khul gaye shaher-e-gham kay darwaze
Ik zara si hu kay chaltay hi 

Kon tha tu , keh phir na dekha tujhay 
Mitt gaya khawab aankh maltay hi 

Khouf aata hai apnay hi ghar se
Mah-e-shab-e-taab kay nikaltay hi 

Tu bhi jaisay badal sa jata hai 
Aks-e-dewar kay badaltay hi 

Khoon sa lag gaya hai haathon main 
Charh gaya zehar gul masaltay hi

Yeh kaisa nasha hai , main kis ajab khumaar main hoon


Yeh kaisa nasha hai , main kis ajab khumaar main hoon 
Tu aa kay ja bhi chuka hai , main intizar main hoon 

Makan hai qabar , jissay log khud banatay hain 
Main apnay ghar main hoon ya main kis mazaar main hoon 

Dar-e-faisal khula , ya pahar siray se hatta 
Main ab giri hui galiyon kay marg zaar main hoon 

Main hoon bhi aur nahin bhi , ajeeb baat hai 
Yeh kaisa jabar hai main kis kay ikhtiyaar main hoon 

Munir daikh shajar , chand aur dewarein 
Hawa khizan ki hai sar par , shab-e-bahar main hoon

Koi hadd nahin hai kamal ki


Koi hadd nahin hai kamal ki 
Koi had nahin hai jamal ki 

Wohi qarb-o-door ki manzalein 
Wohi shaam khawab-o-khayal ki 

Na mujhay hi us ka pata koi 
Na ussay khabar meray haal ki 

Yeh jawab meri sada ka hai 
Keh sada hai us kay sawal ki 

Yeh nimaz-e-asar ka waqat hai 
Yeh gharri hai din kay zawal ki 

Woh qiyamatein jo guzar gayein 
Thi amanatein kai saal ki 

Hai Munir teri nigah main 
Koi baat gehray malaal ki

Aur hain kitni manzalein baqi


Aur hain kitni manzalein baqi 
Jaan kitni hai jisam main baqi 

Zinda logon ki bood-o-baash main hain 
Murda logon ki aadatein baqi 

Us se milna woh khawab-e-hasti main 
Khawab madoom , hasratein baqi 

Beh gaye rang-o-noor kay chashmay 
Reh gayein un ki rangeen baqi 

Jin kay honay se hum bhi hai Ae awal 
Shaher main hain woh suratein baqi 

Woh to aa kay , munir ! ja bhi chuka 
Ik mehak si hai baagh main baqi

Main sun raha hoon ussay jo sunai deta nahin


Main sun raha hoon ussay jo sunai deta nahin 
Main daikhta hoon ussay jo dikhai deta nahin 

Bhout qiyaas ki khawaish safar main aati hai 
Talism sham-e-ghareeban rihai deta nahin 

Hai shouq-e-anjuman araai husan ko bhi , magar 
Majaal is ko gham ro'numai deta nahin 

Wisal arz-o-sama ka samaa hai jaisay koi 
Andhera itna ho , kuch sujhai deta nahin 

Munir khol de barh kar dar diyar-e-nida
Khamosh rehta hai kiyon ab duhai deta nahin

Chand nikla hai sar qariya-e-zulmat daikho


Chand nikla hai sar qariya-e-zulmat daikho
Ho gayi kaisi siyah khano ki rangat daikho
Samnay jo hai ussay aankh ka dhoka samjho 
In dariyaon ko sada khawab ki surat daikho 
Sair hai jaisay koi , aisay jahan se guzro 
Door tak phaila hai ik arsa-e-furqat daikho 
Khouf deta hai yahan abar main tanha hona 
Shaher-e-dar band main dewaron ki kasrat daikho 
Zar ki parchaiyan jo parti hai chamak uth'ta hai 
Aadam khaak ki be'hoshi main halat daikho 
saya un par bhout bhooli hui yadon ka 
Shaam aayi hai pari zaron main wehshat daikho 
Dagha hai is kay na honay se dilon main ab tak 
Urr gaya misal-e-saba , gul ki haqeeqat daikho 
Junglon main koi peechay se bula'ey to Munir 
Murr kay rastay main kabhi  us ki taraf mat daikho 

Aaina ab juda nahin karta


Aaina ab juda nahin karta 
Qaid main hoon , riha nahin karta 
Mustaqil sabar main hai koh-e-garan 
Naqsh-e-ibrat sada nahin karta 
Rang mehfil badalta rehta hai 
rang koi nahin karta 
Aaish-e-duniya ki justago mat kar 
Yeh dafeena mila nahin karta 
Jee main aaye jo kar guzarta hai 
Tu kisi ka kaha nahin karta 
aik waris hamesha hota hai 
Takhat khaali raha nahin karta 
Ehad-e-insaaf aa raha hai Munir 
Zulam da'im hua nahin karta

Kaisi kaisi be'samar yadon kay badlon main rahay


Kaisi kaisi be'samar yadon kay badlon main rahay 
Hum bhi itni zindagi kaisay wabalon main rahay 

Ik nazar bandi ka aalam thi nagar ki zindagi 
Qaid main rehtay thay jab tak shaher walon main rahay 

Hum agar hotay to miltay tujh se bhi jaan-e-jahan 
Khawab thay , na'paid duniya kay malalon main rahay 

Woh chamakna barq ka dasht-o-dar-o-dewar par
Saray manzir ik pal us kay ujalon main rahay 

Kya thein woh batein jo kehna chahtay thay waqat-e-marg 
Aakhri dam-e-yaar apnay kin khayalon main rahay 

Door tak maskan thay ban un ki sadaon kay Munir
Dair tak un nariyon kay gham shawalon main rahay

Nashaib weham faraz guraiz-e-pa kay liye


Nashaib weham faraz guraiz-e-pa kay liye 
Hisar-e-khaak hai par her intiha kay liye 

Wafoor-e-nasha se rangat siyah si hai meri 
Jala hoon main ajab chasham-e-surma kay liye 

Hai ird gird ghanna ban harray darakhton ka 
Khula hai kisi dewar main hawa kay liye 

Zameen hai maskan-e-shar , aasman sarab alood 
Hai sara ehad alood main kisi khat'ta kay liye 

Aseeri pas-e-aaina baqa aur tu 
Nikal kay aa bhi wahan se kabhi Khuda kay liye 

Kharra hoon zer-e-falak gumbad-e-sada main Munir
Keh jaisay haath utha ho koi dua kay liye

Safar main hai jo azal se yeh woh bala hi na ho


Safar main hai jo azal se yeh woh bala hi na ho 
Kawar khol kay dekho , kahin hawa hi na ho 

Nigah-e-aaina maloom aks na'maloom 
Dikhai deta hai jo asal main chupa hi na ho 

Zameen kay gird bhi pani , zameen ki teh main bhi 
Yeh shaher jam kay kharra hai jo tairata hi na ho 

Na ja keh us se paray dasht-e-marg ho shayed 
Palatna chahye wahan se to raasta hi na ho 

Main is khayal se jata nahin watan ki taraf 
Keh mujh ko daikh kay us butt ka jee bura na ho 

Kati hai jis kay khayalon main umar apnu Munir 
Maza to jab hai  keh us shokh ko pata hi na ho

Shaam kay maskan main veeran may'kadar ka dar khula


Shaam kay maskan main veeran may'kadar ka dar khula 
Baab khuli guzri sohbaton ka khawab kay andar khula

Kuch na tha juz khawab-e-wehshat woh wafa is ehad ki 
Raaz itni dair ka is umar main aa kar khula 

Jag'maga utha andheray main meri aahat se woh 
Yeh ajeeb is butt ka meri aankh par johar khula 

Ban main sar'goshi hui Asaar-e-aabru baad se
Band gham se jaisay ik ashjaar ka lashkar khula

Sabza-e-no rasta ki khushbu thi sahil par Munir !
Badalon ka rang  chatri ki tarah char par khula

Thak'kay logon ko majburi main chaltay daikh leta hoon


Thak'kay logon ko majburi main chaltay daikh leta hoon 
Main bas ki khirkiyon main se yeh tamashay daikh leta hoon 

Kabhi dil main udasi ho to in main ja nikalta hoon 
Puranay doston ko chup se baithay daikh leta hoon 

Chupatay hain bhout woh garmi-e-dil ko , magar main bhi 
Gul-e-rukh par urri rangat kay cheentay daikh leta hoon 

Kharra ho youn kisi khaali qillay kay sehan-e-veeran main 
Keh jaisay main zameno main dafeenay daikh leta hoon 

Munir andaza-e-qar fana karna ho jab mujh ko 
Kisi oonchi jaga se jhuk kay neechay daikh leta hoon

Abhi mujhay ik dasht-e-sada ki veerani se guzarna hai


Abhi mujhay ik dasht-e-sada ki veerani se guzarna hai 
Aik musafat khatam hui hai , aik safar abhi karna hai 

Giri hui deewaron main jakray se huye darwazon ki 
Khaakstar si dehleezon par sard hawaon ne darna hai 

Dartay jana hai dasht-o-jal ne  tanhai ki haibat se 
Aadhi raat ko jab mehtaab ne tareeki se ubharna hai 

Yeh to abhi aaghaz hai jaisay is pehnaye hairat ka 
Aankh ne sanwar jana hai rang ne aur nikharna hai 

Jaisay zar ki peelahat main moj-e-khoon utar'ti hai 
Zehar-e-zar kay tund nashay ne deeda-e-dil main utarna hai 


Nagar main shaam ho gayi hai ka'hish-e-mo'aash main


Nagar main shaam ho gayi hai ka'hish-e-mo'aash main 
Zameen pe phir rahay hain log rizq ki talash main 

Guzar gayi tamam umar is hisar-e-tang main 
Kashish hai ik mareez si makan ki bu-do-baash main 

Hilal harfe-khouf sa faisal sang-e-neel par
Hai ya adm ka zard rang khwaish-e-kharaash main 

Munir husan-e-batini ko koi daikhta nahin 
Mata-e-chasham kho gayi libaas ki traash main

Aseer-e-khawaish Qaid-e-maqam tu hai keh main


Aseer-e-khawaish Qaid-e-maqam tu hai keh main 
Nizam shams-o-qamar ka ghulam tu hai keh main 

Hai dono main zaahir , hai kon tu hai keh main 
Chuppa hua hai jo nazron se daam , tu hai keh main 

Nu'maish meh'kamil pe kis ka saya hai 
Yeh is kay charon taraf abar-e-shaam tu hai keh main 

Urra hai rang dar-o-baam-o-baran se 
Nagar ki is ghanni chup main madaam tu hai keh main 

Makan-e-door se aati hai ik sada si Munir 
Bhula diya jissay sab ne woh naam tu hai keh main 

Saray manzir aik jaisay , sari batein aik si


Saray manzir aik jaisay , sari batein aik si 
Saray din hain aik se aur sari ratein aik si 

Be'nateeja be'samar jung-o-jadal sood-o-ziyan 
Sari jeetein aik jaisi , sari matein aik si 

Sab mulaqaton ka maqsad kar-o-baar zar'garri
Sab ki dehshat aik jaisi , sab ki ghatein aik si 

Ab kisi main aglay waqaton ki wafa baqi nahin 
Sab qabeelay aik se hain ab , sari zaatein aik si 

Aik hi rukh ki aseeri khawab se , shehron ka ab 
In kay matam aik se , in ki baratein aik si 

Hoon agar zer-e-zameen to faida honay ka kya 
Sang-o-gohar aik hain phir sari dhatein aik si 

Ae Munir ! Azad ho is sehar-e-yak'rangi se tu
Ho gaye sab zehar yak'san , sab bana'tein aik si  

Ghairon se mil kar hi sahi , be'baak to hua


Ghairon se mil kar hi sahi , be'baak to hua 
Baray woh shokh pehlay se chalak to hua 

Jee khush hua hai girtay makano ko daikh kar
Yeh shaher-e-khouf khud se jiger chaak to hua 

Yeh to hua keh aadmi poncha hai maah tak 
Kuch bhi hua , woh waqif-e-aflaak to hua 

Kuch aur woh , hua na hua mujh ko daikh kar
Yaad bahar-e-husan se gham naak to hua 

Is kash'ma'kash main hum bhi thakay to hain ae Munir
Shaher-e-Khuda sitam se magar paak to hua

Rehta hai ik haraas sa qadmon kay sath sath


Rehta hai ik haraas sa qadmon kay sath sath 
Chalta hai dasht , dasht nooron kay sath sath 

Hathon ka rabt harf-e-khafi se ajeeb hai 
Hiltay hain raaz ki baton kay sath sath 

Uth'ti hui faseel-e-faghan had-e-shaher par
Galiyon ki chup qadeem makano kay sath sath  

Suraj ki aab zehar hai rangon ki aab ko 
Hai door tak bukhaar sa baghon kay sath sath 

Ariyan hua hai mah-e-shab aabru baad main 
Jaisay safaid roshni gharon kay sath sath 

Aya hoon main Munir kisi kaam kay liye 
Rehta hai khayal sa khawabon kay sath sath

Yeh aankh kiyon hai yeh haath kya hai


Yeh aankh kiyon hai yeh haath kya hai 
Yeh din hai kya cheez raat kya hai 
Firaaq khorasheed-o-mah kiyon hai 
Yeh us ka aur mera sath kya hai 
Guman hai kya is sanam kaday par
Khayal marg-o-hayat kya hai 
Faghan hai kis kay liye dilon main 
Kharosh dariya-e-zaat kya hai
Zameen pe harf-e-nijaat kya hai
Hai kon kis kay liye parishan 
Pata to de asal baat kya hai 
Be'lams kiyon rai'gaan hamesha
Fana main khouf-e-sibaat kya hai 
Munir is shaher-e-gham zada par 
Tera yeh sehar nishat kya hai 

Ik musafat paon shal karti hui si khawab main


Ik musafat paon shal karti hui si khawab main 
Ik safar gehra musal'sal zardi-e-mehtaab main 

Tez hai lu-e-shagoofa , haye marg-e-na'gahan 
Ghir gayi khaak zameen jaisay hisaar-e-aab main 

Hasil jehd-e-musal'sal , mustaqil aar'zadgi
Kaam karta hoon main justaju-e-na'yaab main 

Tang karti hai makan main khawaish sair-e-baseet
Hai asar da'im falak ka sehan ki mehraab main ae Munir

Ab is qadar khamoshiyan , yeh kya hua !
Yeh sifat aayi kahan se para-e-see'maab main


Imtihan hum ne diye is daar-e-fani main bhout


Imtihan hum ne diye is daar-e-fani main bhout 
Ranj kheenchay hum ne apni la'imkani main bhout 

Woh nahin us sa to hai khawab-e-bahar-e-jawidan 
Asal ki khushbu urri hai us kay sani main bhout 

Raat din kay aanay janay main yeh sona jaagna 
Fikar walon ko patay hain is nishani main bhout 

Koyelein kookein bhout dewar-e-gulshan ki taraf
Chand-o-maka hoz kay shafaaf pani main bhout 

Us ko kya yaad thein kya aur , kis jaga pe reh gayein 
Tez hai dariya-e-dil apni rawani main bhout 

Aaj is mehfil main tujh ko bolta dekha Munir 
Tu keh jo mashoor tha youn be'zubani main bhout 

Khumar-e-shab main , ussay main salam kar baitha


Khumar-e-shab main , ussay main salam kar baitha 
Jo kaam karna tha mujh ko , woh kaam kar baitha 

Qaba-e-zard pehan kar woh bazam main aaya 
Gul-e-hina ko hatheli main thaam kar baitha 

Chupa gaya tha mohabbat ka raaz main to magar 
Woh bhol'pan main sukhan-e-dil ko aam kar baitha 

Jo so kay utha to rasta ujaar lagta tha 
Ponchna tha mujhay manzil pe , shaam kar baitha 

Thakan safar ki badan main shal sa kar gayi be'Munir 
Bura kiya jo safar main qayaam kar baitha

Idher udher ki lakhon batein


Na'haq se milnay hum bhi itni door gaye 

Idher udher ki lakhon batein 
Asal jo thi wohi baat na ki 
Bhout fasanay duniya bhar kay 
Asal kahani yaad na thi 
Wohi shanasa aankhein jin main 
meri koi pehchan na thi 
Wohi gulabi hont thay jin par 
Meray liye muskan na thi 
Us kay baad bhout din thehra 
Us anjani basti main 
Bhout dino tak khaak uraai 
Is mai'daan-e-hasti main 
Us kay siwa bhi log bhout thay 
Husan kay jalway aur bhi thay 
Woh bhi us se nahin mila phir 
Hum bhi us se nahin milay 

Koi hai sheesha-o-sharab main mast


Koi hai sheesha-o-sharab main mast 
Koi hai lazzat-e-shabab main mast 

Mubtala hain sabhi kahin na kahin 
Main bhi hoon apnay khawab main mast

Yeh kaisa raag hai yaro ! dasht-o-dar se utha hai


Agar main raah ro hota 

Yeh kaisa raag hai yaro ! dasht-o-dar se utha hai 
Yeh jin jin bastiyon kay paas se ho kar guzarta hai 
Unhein ta'raaj karta aur aagay aur aagay barhta jata hai 
Agar main raah ro hota us kay saath jata main 
Main apni aankh s bar'badiyon kay woh manazar dekhta 
Aur Aah bharta .............
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...