Apr 16, 2016

Chaand utra hai aankh kinaray


Chaand utra hai aankh kinaray

Tu kiyon meray dil kay saharay
Ronay baith gaya hai
Chaand utra hai aankh kinaray
Ronay baith gaya hai
Aik ik kar kay giray sitaray
Daman bheeg gaya hai
Andar andar aansoo tapkay
Aur mann bheeg agya hai
Dil janay kis dard kay maaray
Ronay baith gaya hai

Raat dhali to aakhir ik ik
Tara doob gaya hai
Beech samandar aik ajeeb
Kinara doob gaya hai
Aik prinda gahm kay dharay
Ronay baith gaya hai

Hum jaisay awara dil


Hum jaisay awara dil

Udaas ho gaya safar
Khuli hui kali bhi ro pari ab khisaar-e-gham
Fishaar-e-gham bata gaya
Khayal khaam zindagi
Yeh subha subha mout si
Yeh shaam zindagi
Nafs nafs keh zer baar aa gaya firaaq main
Zara chalay to ghubar aa gaya firaq main
Keh jaisay man'chala shikaar aa gaya
Machal kay phir farain ishtiaq main
Yeh jaal jaal  zindagi
Kahin sakoot-e-zindagi , kahin malaal-e-zindagi
Wisaal bhi karra azaab de gaya zawal main
Her ik chaal raigaan gayi meray kamaal ki

Kisi kay saye se lipat Kisi satoon se chimat
Kisi mohafiz se palat
Yeh baam baam zindagi
Khud aagahi ka shouq bhi hai
Dhiyaan main racha hua
To be'hissi ka ranj bhi
Naseeb main basa hua
Agar kabhi zara si be'khudi kisi faraar se
Udhaar le kay aa gaye
To dar gaye
Laga keh jaisay mar gaye
Sabu kahin to peenay walay lab kahin pe dhar gaye
Yeh khouf khouf rooh main
Yeh be'basi yeh be'basi
Yeh ashk ashk may'kashi
Yeh jaam jaam zindagi
That'thak gaya saman
Khamoshiyan khamoshiyan
Kisi kay rukh par aik pal bhi tak'taki na jam saki
Baras gayi jo chasham-e-dil
To dil se bhi na tham saki
Shab-e-pannah aah main na janay kab badal gayi
Dhuwan dhuwan
Kuwan kuwan
Her aik seena-e-fagaar ki pukaar sokhta
Shakista cheekh bismal-e-zaeef ki jaga jaga
Sahaab-e-jaan
Hijaab-e-mann
Kitab-e-dil
Shabaab se saraab tak
Yeh khawab khawab zindagi
Nazar nazar safar safar

Gali gali safar safar
Nagar nagar safar safar
Thakay to aap ro paray
Jo gir paray to aasman ki taraf nigah uthi
Woh door door tak khalaa
Khamosh aasman keh jaisay is pe rehnay walay log shaher hi badal gaye  
Agarcha kuch hi dair baad muz'mahil sambhal gaya
Magar woh kiya keh pehlu-e-hisaab Aitamaad main
Koi nishaan pighal gaya
Yaqeen ki kainaat se koi jahan nikal gaya
Kabhi yaqeen zindagi kabhi gumaan zindagi
Subak subak hawa-e-subha
Madhur madhur sada-e-shab
Cha'nan cha'nan rawa-e-dil
Hawa hawa khayal sab
Juda juda malaal sab
Khuda Khuda sawal sab
Kabhi to shah zindagi , kabhi ghulam zindagi
Yeh subha subha mout si yeh shaam shaam zindagi
Yeh shaam shaam zindagi 

Yeh shaam shaam zindagi

Tooty hoye kaanch ki soorat me bikhar jata hon



Tooty hoye kaanch ki soorat me bikhar jata hon
Me uski yad me jab had se guzar jata hon

Ab gurezan hy wo milne se jo kehta tha kbhi
Tum se milte hi me kuch or nikhar jata hon

Roz khata hon usy yaad na karne ki qasam
Roz wadon se me apne hi mukar jata hon

Mujh ko tamasha bana dia hai mohabat nay
Log detey hen aawazein me jidhar jata hon

Hr mor pe khaya hy mohabbat ka dhoka
Ab koi pyar se bulata hy to darr jata hon

Yeh barish bhi teri yaad ki tarha hai





Yeh barish bhi teri yaad ki tarha hai

Thori thori lakin musalsal......

Fikar to aaj bhi hum bohat karte hain us ki





Fikar to aaj bhi hum bohat karte hain us ki

Bas zikar karne ka abb haq nahi raha

Kia likhon, kia na likhoun aarzo madhosh hai



Kia likhon, kia na likhoun aarzo madhosh hai
Aanso girtay hain kaghaz par aur qalam khamosh hai

Kabhi sardi, kabhi garmi ye qudrat k nazzaray hain
Payaas unko bhi lagti hai jo darya k kinaary hain

Har koi mera ho jaye aisi meri taqdeer nahin
Main wo sheesha hun jis ki koi tasveer nahin

Dard se rishta hai mera khushiyan mujhe naseeb nahi
Mujhe bhi koi yaad kare kya main itna bhi khush-naseeb nahi

Likhna nahin aata to meri jaan parha kar




Likhna nahin aata to meri jaan parha kar


Ho jaye gi mushkil teri aasaan parha kar


Parhne kay liye tujh ko agar kuch na mile to


Chehron pe likhe dard kay unwaan parha kar


Ay insan teri rooh ko taskeen mile gi


Tu karb kay lamhaat main quran parha kar
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...