Showing posts with label Arshad Malik Poetry. Show all posts
Showing posts with label Arshad Malik Poetry. Show all posts

Apr 20, 2016

Jab hijar ki aag jalatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain


Jab hijar ki aag jalatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 
Aankhon main raakh sajatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 

Mousam kay rang badaltay hi , lehra kar jhonkay aatay hain 
Shakhon se boor uratay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 

Yadon ki garam hawaon se , aankhon ki kaliyan jalti hain 
Jab aansu dard bata'tay hain  , kuch log bhout yaad aatay hain 

Be'dard hawaein seh seh kar , suraj kay dhaltay sayon main 
Jab punchi loat kay aatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 

Jab log jahan kay qison main  dam bhar ka moqa miltay hi 
Lafzon kay teer chalatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 

Yeh ishq mohabbat kuch bhi nahin , fursat ki karastani hai 
Jab log mujhay samjhatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 

Jab kalay badal ghir ayein  aur barish zor ki hoti ho 
Darwaze shor machatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 

Jab aangan main khamoshi apnay hont pe ungli rakhti ho  
Sanatay jab dar aatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 

Jab sard hawa ka bistar ho aur yaad se us kay liptay hon 
Tab naghma sa lehratay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 

Jab Oas kay qatray pholon par kuch moti se ban jatay hain 
Tab hum bhi ashk bahatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain 

Hum yaad main bas gum rehtay hain , aur chand ko taktay rehtay hain 
Taron se baat chupatay hain , kuch log bhout yaad aatay hain
 

Teri uljhan ka hal yeh socha hai


Teri uljhan ka hal yeh socha hai 
Ab bichar jayein hum to acha hai 

Yeh mohabbat bhi aisa resham hai 
Haath dala hai jis ne uljha hai 

Baat-be'baat roothnay walay 
Waqat be'waqat tujh ko socha hai 

Hijar ki raat her sitaray par 
Hum ne tera hi naam likha hai 

Hum ne socha hai raat din tum ko 
Hum ne tera hi khawab dekha hai 

Aur sab kuch mila hai bin mangay 
Aik tum ko khuda se maanga hai 

Poet : Arshad Malik

Feb 28, 2015

Mohabbat aik samandar hai


Mohabbat 

Mohabbat aik samandar hai 

KEh jitna bhi koi doobay 

kinaray par hi rehta hai 

Arshad Malik

Jul 25, 2014

Tum ko baatein kab ati hain


Tum ko baatein kab ati hain 

Tum masoom si bholi bhaali 
Uljhi uljhi be'kal be'kal 
Gum sum gum sum si rehti ho tum to chup chup si rehti ho 

Tum ko baatein kab ati hain 
Lakin jab jo kehna chaho 
aankhon aankhon keh jaati ho
Aur sab kuch manwa leti ho 
Teri naram komal palkain mujh ko kehnay kab deti hain 
Baat labon pe aa jaati hai , par lab khulnay kab deti hai 
Teray honton ka yeh tabasum 
Kitna batooni hai jana!
Tum ho bholi si ik larki 
aur main lafzon ka jadoo gar
Teray in khamosh labon se haar kay chup ho jaata hoon 
Aur yeh duniya wale paagal in ko main kaisay samjhaon 
Baahir se chup rehti ho 
Par andar se tum bol rahi ho 
Ik darwaza band hai lakin so darwaze khol rahi ho 
Aur yeh sab kuch jaan kay bhi main duniya ko samjha na paaon 
Lafaz teray dohraa na paaon 
Theek hai bholi bhaali larki 
Ab jo kehna mujh se kehna an jo sunana mujh se sunana
Duniya youn bhi yeh kehti hai 
Tum masoom si guriya jaisi 

Tum ko baatein kab ati hain 

Poet : Arshad Malik

Mar 3, 2014

Tera rishta keh meray dil se hai dharkan ki tarah


Tera rishta keh meray dil se hai dharkan ki tarah
Dil khankta hai teray naam pe kangan ki tarah

Aaj phir dil pe ghata chai teri yadoon ki
Aaj phir toot ke roya hoon main sawan ki tarah

Janay kab se teri surat ko tarsti hai nigah 
Muntazir saij pe  baithi hui dulhan ki tarah 

Tujh se bichri to bhatakti hai mohabbat jana
Dil garifta si teray shaher main jogan ki tarah 

Shouq hai tujh ko juda honay ka lakin Arshad 
Raakh kar day gi judai Eendhan ki tarah
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...