May 24, 2014

sab se chupa kar dard jo woh muskura diya



sab se chupa kar dard jo woh muskura diya

us ki hansi ne to aj mujh ko bhi rula diya

zubaan se uth rahi thi her dard ki dastaan 

chahera bata raha tha keh sab kuch ganwa dia

awaz main teh'rao tha aur aankhon main nami 

aur keh raha tha keh main ne sab kuch bhula dia

janey kiya us ko logon se thein shkaetin

tanha hoon ke des main khud ko basa dia

khud bhi woh hum se bichar kar adhoora sa ho gaya 

mujh ko bhi itney logon main tanha bana gaya

be'naam musafir hoon be'naam safar mera


be'naam musafir hoon be'naam safar mera

kis raah nikal jaon kuch keh nahin sakta

be'naam manzil meri be'naam thikana hai

kis dar pe ruk jaon kuch keh nahin sakta

is paar to roshan hai sara rasta mera

us paar ho andhera kuch keh nahin sakta

tinkay ki tarah main bhi beh jaon samandar main

mil jaye ga kinara kuch keh nahin sakta 

mil jaye gi tabeer aik din meray khawabon ki

yeh khwaab bikhar jaein to kuch keh nahin sakta

Masoom mohabbat ka bas itn afasana hai


Masoom mohabbat ka bas itn afasana hai 

kaghaz ki haveli hai aur barish ka zamana hai

kiya shart-e-mohabbat hai aur kiya shart-e-zamana hai 

awaz bhi zakhmi hai aur dard bhi sunana hai

us paar utarney ki umeed bhout kam hai

kashti bhi purani hai aur toofan ko bhi ana hai

woh kehti thi her surat tumhain apna bana'on gi



tumhara sath mil jaye to sab dukh bhool jayon gi

woh kehti thi her surat tumhain apna bana'on gi
nichawar khwaab kar doon gi tumharay her isharay par

kabhi peepal ki chayon main 
kabhi nadiya kinaray par
thmain thandak ata kar doon gi ik barish ki manind
bikh'kartay chaand taron main ujalti raat ki manind 

mujhay tum se mohabbat hai main logon ko bata'on gi
woh kehti thi her surat tumhain apna bana'on gi  

main chahyon gi tumhain jana umangon se ujalon tak
khudi k dast se le kar naye janmon ke saalon tak

meri thandi si tanhai sulagti raat jaisi hai
mujhay bas sath le jayo bhalay baraat jaisi ho
 tumharay surk joray main hi dulhan ban kar ayongi

woh kehti thi her surat tumhain apna bana'on gi 
mujhay tum se mohabbat hai main duniya ko bata'on gi

woh kehti thi her surat tumhain apna bana'on gi

bheega mousam bheegi aankhain


Aj to mousam bhi ro para

mujhay keh raha hai

teri aankh main

meri boond'don se bhi

ziada pani

is ki waja kiya hai ..?????

is dar se bhi woh zikar mera nahin karty


jis pairr ki chayon bhi lagay dhoop ki manind

us pairr pe panchi bhi basaira nahin kartay

aankhon se hi na parh le koi dil ki udasi

is dar se bhi woh zikar mera nahin karty

yeh dil phir teri khwaish kar raha hai


yeh dil phir teri khwaish kar raha hai

magar main dukh se bachna chahti hoon

main bachpan ke kisi lamhay main ruk kar 

koi jugno pakarna chahti hoon

woh raat jaan se guzar gaya woh ajeeb sa koi aadmi


woh raat jaan se guzar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi

yahi aik kaam kar gay

woh ajeeb sa koi aadmi 

bari hasratain thein nigha main

bara karab sa tha kraah main

keh jo saans letay hi mar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi  


jo toluh-e-mehar ka aseer tha

woh jo aik mah-e-munir tha

woh ujala dekh ke dar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi  

keh jan khalq be'amaan thi

jo lahu lahu koe jaan thi

to palat palat ke yaro udhar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi 


na ussay panaah kahin mili

magar aik masjad-e-dil to thi

so khuda ke ghar main th'air gaya

woh ajeeb sa koi aadmi  

jo chala gaya to yeh baam-o-dar

tamaam galiyan tamaam ghar

yahi poochtay hain khider gaya

woh ajeeb sa koi aadmi 


woh jo be'sabab ki thi bar'hami

jissy jantay thay sabhi kami

ussy ashkaar kar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi  

keh jo pass tha to na thi talab

keh jo door hai to chubhan si hai

bara be'qaraar kar gaya

woh ajeeb sa koi aadmi 


kabhi kush hua to bhout hi khush

kabhi dukh mila to bhout dukhi

kabhi jee gaya kabhi mar gaya

woh bhout  ajeeb sa koi aadmi 

tumhain shaan ab yeh batayein kiya

kisi raaz ko bhi chupaein kiya

keh idher gaya ya udhar gaya

Woh ajeeb sa koi admi

Tumhain main dost kehta tha


Tumhain main dost kehta tha

tumhain main apna samjhta tha

ajab ik kushi gumaani si

mujhay din raat rehti thi

keh tum bhi dost ho meray

mujhay apna samjhtay ho

mere hone na hone se

tumhain bhi faraq parta hai

magar main aj samjhta hoon

keh aisa rabat hi kab tha

bhout hi talkh hai lakin

mujhay yeh baat kehni hai

meri woh kush'gumani mer gaye hai aaj seeney main 

dhuaan woh bhar gaye hai aanso'on ka aj seeney main

magar main kiya karoon shayed yahi qismat main likha tha

bhout nadaan ho tum bhi

bhout kush feham rehti ho

is hairat bharay gham ki jo shiddat hai

samjh lo woh kisi sorry se kamm ho hi nahin sakti

tumhain yeh ilm hi kab hai

mere andar jo toota hai

woh wapis jurr nahin sakta

meri woh kush gumani phir se zinda ho nahin sakti

mujhay tum se yeh kehna hai

tumhara aur mera sath bas itna hi tha shayed

tumharay sath guzray waqat ko main yaad rakhon ga

kisi bhi baat se meri tumhara dil dukha ho

mujhay tum maaf kar dena

main chalta hoon 

Khuda hafiz.....!!!!

Us be'wafa ka shaher hai aur hum hai dosto


Us be'wafa ka shaher hai aur hum hai dosto
ashk-e-rawaan ki nehar hai aur hum hain dosto

yeh ajnabi si manzalain aur raftigaan ki yaad
tanhaiyon ka zehar hai aur hum hain dosto

layi hai ab uda ke gaye mousamon ki baas
bharka ke rut ka qehar hai aur hum hain dosto

phirtay hain misl-e-moj-e-hawa shaher shaher main
awargi ki lehar hai aur hum hain dosto

shaam-e-alam dhali to chali dard ki hawa
raton ka pechla pehar hai aur hum hain dosto

aankhon main urr rahi hai luti mehfalon ki dhool
ibrat sray-e-dhehar hai aur hum hain dosto 

Poet : Munir Niazi


Main jaan-bh-lab hoon tark-e-taulaq ke zehar se


Main jaan-bh-lab hoon tark-e-taulaq ke zehar se

woh mutmaein hai keh haraf us par nahin aye ga

Awaz de ke dekh lo shayed keh mil hi jaye



Awaz de ke dekh lo shayed keh mil hi jaye

warna yeh zindagi ka safar raigaan to hai

kisi ghreeb ki joori hui raqam ki tarah


Yeh teray khat , teri kushboo, yeh teray khab-o-khyal 

mata-e-jaan hain , teray qaul aur qasam ki tarah

guzishta saal main ne inhain gin ke rakha tha 

kisi ghreeb ki joori hui raqam ki tarah

Apno ki chahat ne diya is qadar faraib


Apno ki chahat ne diya is qadar faraib 

rotay rahay lipat kar her ajnabi ke sath

Itni bulandi se tu ne mujh ko nawaza kyn tha



Itni bulandi se tu ne mujh ko nawaza kyn tha

gir ke toot gaya hoon main kaanch ke bartan ki tarah

matti ke ghar


Tumhari raah main matti ke ghar nahin atay 

isi liye to tumhain hum nazar nahin atay

falak hil gaya un ko junbish na hui


falak hil gaya un ko junbish na hui 

kis ghalat raah se aah gayi

Rukay to chaand chalay tu hawa'on jaisa hai


Rukay to chaand chalay tu hawa'on jaisa hai 

woh shaks dhoop main dekho to chayon jaisa hai

Mujhay her khauf se hat kar yeh duniya ko batana hai


Mujhay her khauf se hat kar yeh duniya ko batana hai

keh apney piyaar ka bandhan to sadiyon se purana hai

hamain ik doosray ki zaat  ki takmeel karni hai

samandar ke kinaray par  hamain ik ghar banana hai

woh ghar jis main baharon , kushbon  , rangon ka mela ho

yahan se door sabzay main woh ghar apna akela ho

main her subho tumharo aankh se dekhon haseen manzar

tumharay husan ka jadoo meri aankhon main phaila ho

magar phir youn hua halaat ne us ko badal dala

bhula kar us ne sab batain hamara dil kuchal dala

bananay sahilon par ghar mohabbat ke haseen us ne

magar waye muqadar ke badal dalay makeen us ne

kisi ka hath hathon main woh le kar ab bhi chalta hai

magar jab tanha milta hai to bas itn ahi kehta hai

suni ! bichar ke tum se jo dil par laga hai ghayo gehra hai

hamaray dil ki wadi main jahan tha raaj kushiyon ka

wahan ab dard tehra hai



Mohabbat aakhrish hai kiya


main shayer hoon to aksar log mujh se poochtay hain
is haseen israar ke baray main
bataein to bhala kiya hain?
mohabbat aakhrish hai kiya?
wasi main hans ke kehta hoon
kisi piyasay ko apney hissay ka pani pilana bhi 
mohabbat hai
bhanwar main doobtay ko sahil'on tak le ke jana bhi
mohabbat hai
kisi ke wastey nanhi si qurbani bhi 
mohabbat hai
kahin hum raaz saray khol saktay hon magar phir bhi
kisi ki be'basi ko dekh kar khamosh reh jana bhi
mohabbat hai
ho dil main dard , veerani magar phir bhi
kisi ke wastay jabran hi honthon par hansi lana 
zabardasti hi muskana bhi
mohabbat hai
kahin barish main sehmay bheegtay bili ke bachay ko
zara si der ko ghar le ke ana bhi
mohabbat hai
koi chiriya jo kamray main bhat'takti aan nikli ho
to us chriya ko 
phankay band kar ke raasta bahair ka diklana bhi
mohabbat hai
kisi ke zakham sehlana
kisi rotay huye ky dil ko behlana bhi
mohabbat hai
k meetahy bol, meethi baat , meethay lafaz , sab kiya hain?
mohabbat hai
mohabbat aik hi bas aik hi insaan ki khatar
 maghan rehna
hama waqat us ki baton , kushbo'on main dolna kab hai
mohabbat us ki zulf ke bul kholna kab hai
mohabbat ke hazaron rang
laakhon ista'array hain
kisi bhi rang main ho yeh 
mujhay apn abanati hai
yeh meray dil ko bhati hai

yeh pichley ishq ki batain hain




yeh pichley ishq ki batain hain
jab aankh main khwaab chamaktay thay

jab dil main daagh damaktay thay
jab palkein shaher ke raston par

ashkon ka noor luta'ti thein
jab chaand ki rim jhim kirnoon se

sochon main bhanwar parh jatay thay
jab aik tla'tum rehta tha

apne be'ant khayalon main 
her ahad nibhaney ki qasamein

khat khoon se likney ki rasmein
jab aam thi hum dil walon main

yeh pichley ishq ki batain hein


meri takmeel ho jao





ajab pagal si larki hai
meri khamosh aankhon main mehakti , mukurati , gungunati
khawaab se gehri mohabbat ke
sabhi rangon se waqif hai
magar anjaan banti hai
 woh meri be'qarari ke sabhi mah'ney samjhti hai
magar khamosh rehti hai

ussay maloom hai
keh be'tahasha rolney wala
zamaney bhar ke qissay
 daastan'ein us se kehta hai
her ik mozoo pe us se baat karta hai
woh ussay keh nahin sakta
meri sochon ke mehvar ho
tumharay bin yeh zindagi mujhay be'kaar lagti hai
mera her din tumhari soch ke suraj se ugta hai
meri her shaam ke pehlu main
tumhi muskurati ho
meri her raat qarb-e-na'rasaei se sulagti hai
agar khud se tumhain min'ha karon
to kuch nahin bachta

ussay maloom hai yeh shab gaye tak jaagny wala
jissy khabon ki duniya se
mohabbat si mohabbat hai
woh kyn soney se darta hai
ussay kiya khauf la'haq hai
woh khul kar kyn nahin hansta
woh kiyn chup chup ke rota hai
ussy maloom hai sab kuch
magar anjaan banti hai

ussay maloom hai sab kuch
magar anjaan banti hai
ussay yeh kon samjha'ey
keh dil youn na'rasaei ki
tapish ziada dino tak seh nahin sakta
jissay khabon ki duniya se
 mohabbat si mohabbat ho
woh khabon ke bina aisay adhoora reh nahin sakta

ussay yeh kon samjha'ye
keh ussay be'tahasha bolney wala
jo her mozoo par us se baat karta hai
kabhi yeh keh nahin sakta
meri veeraan ankhon main
kai sapney samo jaoo
tumharay bin adhoora hoon
meri takmeel ho jao

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...