May 18, 2016

Jab main ghar se nikal raha tha




Bangoo Taycoon

Jab main ghar se nikal raha tha
Chaltay chaltay
Meray seenay se hat'tay pal
Dheeray se ik sar'goshi main
Us ne kaha tha
Dekhein chahye kuch ho jaye 
Roz mujhay ring keejiye ga 
Phir jab us kay haath aur nazrein 
Dono meri tie par thein 
Kehnay lagi 
"Aap nahin hotay hain to main bilkul khaali ho jati hoon "
Chor nahin saktay yeh business
Aap mujhay kiyon tarpatay hain 
Acha dekhein youn kartay hain 
Ik din khat ik din phone
Main ne us ko bosa de kar 
Us se kaha tha Ab kay chahye kuch ho jaye 
Khat likhon ga phone karon ga 
Haye lakin khud sar fitrit 
Aue kuch kar-o-baar kay jhanjhat 
Na to us ko phone kiya tha 
Aur na koi khat likh paya 
Na koi message na hi card 
Ab jo ghar ko loat raha hoon 
Soch raha hoon 
Tanhai kay yeh do haftay 
Us par sadiyon jaisay hon gay 
Lakin yeh bhi jaanta hai dil 
Us ko be'had shikway hon gay 
Tarpi ho gi 
Chup kar takiye main raaton ko roi ho gi 
Khafa khafa si 
Lakin ghar main dakhal ho kar 
Jab main us kay maathay par ik bosa doon ga 
Un honton pe hont rakhon ga 
Aur kahon ga 
"Yaad mujhay tum ayein thein
Lamhay lamhay main so baar "
Bas itna hi kehna ho ga 
Aur woh pagli 
Apna sab kuch somp kay mujh ko 
Meray seenay lag jaye gi 
Phir jab us kay haath aur nazrein 
Dono meray seenay kay balon par hon gay 
(Woh seena jo un ashkon se bheega ho ga )
Sar'goshi main mujh se kahay gi 
Aap bhalay ab kuch bhi kar lain 
Hargiz ab na janay doon gi 
Sacchi aap to bhout buray hain 
Bhout burray hain 
"hain na bongo",,,,,,!

 

Main teray hont kay jis til ko bhout choomta tha




Main teray hont kay jis til ko bhout choomta tha 

Ab woh khawabon main chamakta hai sitaray ki tarah

Aaj youn mousam ne di jashan-e-mohabbat ki khabar


Aaj youn mousam ne di jashan-e-mohabbat ki khabar 
Phoot kar ronay lagay hain main mohabbat aur tum 

Hum ne joun hi kar liya mehsoos manzil hai qareeb 
Raastay khonay lagay hain main mohabbat aur tum 

Chand ki kirno ne hum ko is tarah bosa diya 
Devta honay lagay hain main mohabbat aur tum 

Dhar gaya ilzaam jab se apni hurmat par koi 
Barishein dhonay lagay hain main mohabbat aur tum 

Aaj phir mehrumiyon ki dastanein  orh kar 
Khaak main sonay lagay hain main mohabbat aur tum 

Kho gaye andaz bhi , awaz bhi , alfaaz bhi 
Khamoshi dhonay lagay hain main mohabbat aur tum

Bhanwar ki goad main jaisay kinara saath rehta hai


Bhanwar ki goad main jaisay kinara saath rehta hai 
Kuch aisay hi tumhara aur hamara saath rehta hai 

Mohabbat ho keh nafrat ho usi se mashwara ho ga 
Meri her kaifiyat main istikhaara saath rehta hai 

Safar main ain mumkin hai main khud ko chor don lakin 
Duaein karnay walon ka sahara saath rehta hai 

Meray mola ne mujh ko chahaton ki saltanat day di 
Magar pehli mohabbat ka khasara saath rehta hai 

Agar "Syed" meray lab par mohabbat hi mohabbat hai 
To phir yeh kis liye nafrat ka dhara saath rehta hai

Adhoori batein hi zindagi hain


Khayal rakhna 

Adhoori batein hi zindagi hain 
Woh guzri batein hi zindagi hain 
Agarcha dil ki udaas ujjri hui rutton main 
Bikhar gayi hain 
Kai zamano se sari batein 
Woh guzri batein 
Sulagti shamon kay jaltay bujhtay alaaohi main 
Pighal gayi hain 
Adhoori batein ,,,,,,
Zaroori batein ,,,,,,,
Yeh khushk hoti hui ragon ki siyah qabron main neem murda 
Dasi hui khawaishon kay hum'raah 
Gundhi hui hain 
Yeh aankh ki putliyon main thak kay 
Khatak'ti palkon pe so gayi hain 
Tamaam batein darust jana 
Tamam khadshay baja hain lakin 
Her aik imkaan-e-zindagi main 
Ragon main aur rooh ki zameen main 
in hi ki yadein bhatak rahi hain 
In hi kay dam se zaeef jazbon , tha'thartay lafzon 
Bujhi taman'on main ramq hai 
Adhoori batein hi zindagi hain 
Woh guzri batein hi zindagi hain 
Khayal rakhna ,,,!
Adhoori batein bhula na dena 
Zaroori batein ,,,,
Woh guzri batein bhula na dena 
Khayal rakhna ,,,,,!
Khayal rakhna ,,,,,!

Qalam ho teegh ho sheesha keh dhaal mat cheeno


Qalam ho teegh ho sheesha keh dhaal mat cheeno 
Kabhi kisi se kisi ka kamal mat cheeno 

Khushi isi main agar hai to her khushi le lo 
Yeh dukh yeh dard yeh huzan-o-malaal mat cheeno 

Isi khalish kay sabab phir mujhay ubharna hai 
Khuda kay wastay ehad-e-zawal mat cheeno 

Main chor sakta nahin saath istaqamat ka 
Meri azan se josh-e-bilal mat cheeno 

Abhi kitab na cheeno tum in kay haathon se 
Hamaray bachon ka husan-o-jamal mat cheeno 

Hamari aankh main yadon kay zakham rehnay do 
Hamaray haath se phoolon ki daal mat cheeno 

Abhi bujhao na candel na cake kato abhi 
Kuch aur dair mera pichla saal mat cheeno 

Us kay hathon se jo khushbu-e-hina aati hai




Us kay hathon se jo khushbu-e-hina aati hai 
Aisa lagta hai keh jannat se hawa aati hai 

Choomnay daar ko kis saj dhaj se chala hai koi
Aaj kis naaz se maqtal main qaza aati hai 

Na kabhi koi karay tujh se teray jaisa salook 
Haath uthtay hi yahi lab pe dua aati hai 

Teray gham ko yeh barhana nahin rehnay deti 
Meri aankhon pe jo ashkon ki rida aati hai 

Us kay chehray ki tamazat bhi hai shamil is main 
Aaj tapti hui sawan ki ghatta aati hai 

Ghoomnay jab bhi teray shaher main jati hai wafa 
Bain karti hui wapis woh sada aati hai 

Hai wohi baat her ik lab pe bhout aam yahan 
Hum se jo kehtay huye un ko haya aati hai

Sochtay hain tujhay wuzu kar kay


Sochtay hain tujhay wuzu kar kay 

Youn tera ehtraam kartay hain

Yeh kamyabiyan izzat yeh naam tum se hai


Maan kay naam 

Yeh kamyabiyan izzat yeh naam tum se hai 
Khuda ne jo bhi diya hai maqaam tum se hai 

Tumharay dam se hain meray lahu main khiltay gulab 
Meray wajood ka sara nizaam tum se hai 

Kahan bisat-e-jahan aur main kam'sin-o-nadan 
Yeh meri jeet ka sab ehtimaam tum se hai 

Jahan jahan hai meri dushmani sabab main hoon 
Jahan jahan hai mera ehtraam tum se hai 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...