Aug 19, 2014

Tujh ko khabar hai kis pe shamma si jal rahi hai { Hamd-e-bari-ta'ala }

Hamd-e-bari-ta'ala

Tujh ko khabar hai kis pe shamma si jal rahi hai 
Phir kiyon hawa-e-barham is se ulajh rahi hai 

Thora hai rizq mera mujh ko nahin yeh gham 
Teri sanaa ki doulat is sab se qeemti hai 

Rehmat ki ik nazar ho in kay haal par bhi ab 
Taqdeer jin ki tu ne dukh dard se bhari hai 

Teri nawazashon se , teray karam se mila 
Rehmat ki sabz chadar her aik par tani hai 

Kuch is ada se hum ne ab kay tujhay pukara 
Hai pur'yakeen lehja aur aankh main nami hai 

Naya ik rishta paida kiyon karain hum

Naya ik rishta paida kiyon karain hum 

Bicharna hai to jhagra kiyon karain hum 

Khamoshi se ada ho rasm-e-doori 

Koi hangama bar'paa kiyon karain hum 

Yeh kaafi hai keh hum dushman nahin hain 

Wafa daari ka dawa kiyon karain hum

milay sadiyon ki pyaas aur pani , zara phir se kehna

milay sadiyon ki pyaas aur pani , zara phir se kehna

bari dil ruba hai yeh sari kahani , zara phir se kehna

kahan se chala tha judaei ka saya nahin dekh paya

keh rastay main thi aanson ki rawani , zara phir se kehna

hawa yeh khabar tu sunati rahay aur main sunta rahoon

badalney ko hai ab yeh mousam-e-khazani , zara phir se kehna

mukar janey wala kabhi zindagi main kushi phir na paye

youn hi khtam kar lain chalo yeh kahani , zara phir se kehna

samay ke samandar ! kaha tu ne jo bhi , suna par na samjhay 

jawani ki nadi main tha tez pani ,zara phir se kehna

Poet : Amjad Islam Amjad

Dard jab had se barha zabat kay aansoo likhay

Dard jab had se barha zabat kay aansoo likhay 

Hum ne seekha hi nahin aankh se rona saaein

Hum ne tanhai kay sehraon main dekha aksar 

Din na hona to kabhi raat na hona saaein 

Koi khailay , koi toray koi chahay to rakhay

Mard kay haath main aurat hai khilona saaein 

Mera qalam meri sarkar-e-do jahan kay liye {Naat}

Naat

Mera qalam meri sarkar-e-do jahan kay liye 
Kahay ga naat Allah kay raaz'daan kay liye 

Ajab lafaz hai sheerein Mohammad arbi 
Yahi ilaaj hai yaar-o-gham nihaan kay liye 

Bari hi shaan ka rehmat laqab dia rab ne 
Jahan hai teray liye aur tu jahan kay liye 

Dar-e-hazoor ka roz-e-azal se shaida hoon 
Bhatak na jaon kahin raah be'nishaan kay liye 

Karam hai mola madeenay bula hi lain mujh ko 
YAhi hai harf-e-dua roz-o-shab zubaan kay liye 

Meray haroof , meray ashaar keh rahay hain mujhay 
Darood-e-pak kahao deen kay asmaan kay liye 

Yeh naat-e-paak bhi takmeel paa gayi sohraab 
HAqeer tohfa hai naaton kay gulistaan kay liye 

Mujhay saroor mila hai , teri sanaa akar kay {Hamd-e-bari-ta'ala}

Hamd-e-bari-ta'ala

Mujhay saroor mila hai , teri sanaa akar kay
Sada qareeb hi paya tujhay dua kar kay

Yeh kompalain , yah shagofay , yeh phool , barg-o-shajar
Shagufta rehtay hain , her dam teri sana kar kay

Bara karam hai tera , jo bhi de dia mujh ko
Main dil udaas karon kis liye gila kar kay

Khuda to tu hi hai , kon-o-makaan ka maalik
Main shair kehta hoon , bas tera aasra kar kay

Khata ka putla hoon aur waqat-e-shaam hai mujh par
Guzaar de meray ayaam dil'ruba kar kay 

Teray asool hain yaksaan yahan sabhi kay liye 
Nijaat pai thi younas(a.s) ne bhi dua kar kay 

Yeh phool hamd-o-sana kay khilay rahain "Sohraab"
Khuda qabool kare apna wasta kar kay 

Sohraab Jung Ludihanavi

Pairr ko deemak lag jaye ya aadam'zaad ko gham

Pairr ko deemak lag jaye ya aadam'zaad ko gham 

Dono hi ko amjad hum ne bachtay dekha kam 

Bhout gham par bhi to hans parta hai aadmi 

Bhout khushi main bhi to aankhin ho jaati hain nam

Ho sake to khud main kashish paida karo

Ho sake to khud main kashish paida karo 

Her shakhs ko hasrat se dekha nahin kartay 

Her shakhs nahin hota her shakhs kay qabil 

Her shakhs ko apnay liye parkha nahin kartay 

Woh jin ko hum teri qurbat main bhool baithay hain

Woh jin ko hum teri qurbat main bhool baithay hain 

Woh log teri judai kay baad yaad aye 

Hum itnay bhi gaye guzray nahin thay "Faraz"

Keh tujh ko sari khudai kay baad yaad aye

Woh aik yaad keh her lamha zehan main jaagi

Woh aik yaad keh her lamha zehan main jaagi 

Woh aik zikar keh lehja bhi hum badal na sake 

Woh aik naam keh jis naam ko na bhoolay kabhi 

Woh aik raah keh jis raah se nikal na sake

Wasal ko kaisay mohtabar samjhain

Wasal ko kaisay mohtabar samjhain 

Hijar ka khouf dil pe taari hai 

Aaj to dil ki baat kehnay do 

Aaj ki shaam to hamari hai

Phir kabhi logon ki baaton main nahin aye ga woh

Phir kabhi logon ki baaton main nahin aye ga woh 

Dekh lena mujh se mil kar theek ho jaye ga woh 

Sulah to kare ga aa kay mujh se lakin is kay baad

Jab mile ga bas yahi ehsaan jataye ga woh bhi

Jo nazar aati hain tumhain khushk aur veeran si

Jo nazar aati hain tumhain khushk aur veeran si 

Ik samandar tha baha in aankhon kay kinaron se 

Youn ras ghulla sma'aat main keh mehsoos yeh hua 

Jaisay alfaaz chun laye koi quran kay paaron se

Raasta rokay kharri hai yahi uljhan kab se

Raasta rokay kharri hai yahi uljhan kab se 

Koi poochay to kahain kiya keh kidhar jaatay hain 

Naram alfaaz bhali baatein , mohazab lehjay 

Pehli baarish hi main sab rang utar jaatay hain

Mousam ne baal-o-par to sanwaray bhout magar

Mousam ne baal-o-par to sanwaray bhout magar 

Utray kahan keh hum to aseer-e-kamand thay 

"Mohsin" riya kay naam par saathi thay be'shumaar 

Jin main tha kuch khaloos woh dushman bhi chand thay

Hum thaam'tay hi reh gaye zanjeer-e-waqat ko

Hum thaam'tay hi reh gaye zanjeer-e-waqat ko 

Aya , ruka , hansa , mura aur aik pal gaya 

Had-e-junoon ko dekhna aadat hai ishq ki 

Roshan raha chragh aur parwana jal gaya

Kitni lambhi khamoshi se guzra hoon

Kitni lambhi khamoshi se guzra hoon 

In se kitna kuch kehnay ki koshish ki 

Aik hi khwaab ne saari raat jagaya mujh ko 

Main ne her karwat sone ki koshish ki

Hoon is uljhan main , ajab shakhs tha woh bhi keh mujhay

Hoon is uljhan main , ajab shakhs tha woh bhi keh mujhay 

Paa kay masroor tha aur kho kay pashimaan na tha 

Baar ha us ko manatay huye socha hai bhout 

APnay pindaar pe kiya mujh ko bhout maan na tha

Apne kho janay ka is raah main imkaan na tha

Apne kho janay ka is raah main imkaan na tha 

Tha, magar itna bhi us ka mujhay armaan na tha 

Kuch tasnah bhi tha , warna mere gham par woh shakhs 

Jitna aata tha nazar itna parishaan na tha

Isi aik khwaab main aaj tak

Isi aik khwaab main aaj tak 
Main bandha hoon aas kay jaal main 
Koi shaher yaar wafaon ka 

Kabhi aye ishq kay takhat par 
Mujhay mujh se cheen kay le chale 
Kahin door shaher-e-jamaal main 

Mere sard jisam ko dhaamp de 
Woh sulagti saanson ki shaal main 
Jahan main hoon us kay jawaab main 

Jahan woh hai mere sawaal main 
Na hi aik saans ka bhi faasla

Khwaab

Khwaab 

Isi aik khwaab main aaj tak 
Main bandha hoon aas kay jaal main 
Koi shaher yaar wafaon ka 

Kabhi aye ishq kay takhat par 
Mujhay mujh se cheen kay le chale 
Kahin door shaher-e-jamaal main 

Mere sard jisam ko dhaamp de 
Woh sulagti saanson ki shaal main 
Jahan main hoon us kay jawaab main 

Jahan woh hai mere sawaal main 
Na hi aik saans ka bhi faasla

Guraiz shab se , sehar se kalaam rakhtay thay

Guraiz shab se , sehar se kalaam rakhtay thay 
Kabhi woh din thay keh zulfon main shaam rakhtay thay 

Tumharay haath lagay hain to jo karo so karo
Wagarna tum se to hum so ghulaam rakhtay thay 

Hamain bhi ghair liya ghar kay za'ham ne to khula
Kuch aur log bhi is main qayaam rakhtay thay 

Yeh aur baat hamain dosti na raas ayi 
Hawa thi saath to khushboo maqaam rakhtay thay 

Na'janay kon se rut main bichar gaye woh log 
Jo apnay dil main bhout ehtaraam rakhtay thay 

Woh aa to jaata kabhi , hum to us kay raaston par 
Diye jalaye huye subh-o-shaam rakhtay thay 

Noshi Gilaani

Yaad aatay ho shaam dhaltay hi

Yaad aatay ho shaam dhaltay hi 
Jal gaya dil chragh jaltay hain 

Gham kay darwaze khul gaye mujh par 
Halki halki hawa kay chaltay hi 

Khud ko tabdeel kar liya tum ne 
Ik naya hum'safar badaltay hi 

Gir kay bhi hum sambhal gaye yaro
Aur tum gir paray sambhaltay hi 

Phail jaati hai chandani her soo
Chaand kay baam par nikaltay hi 

Laakh gham aur aa gaye "Shehzad''
Aik gham mere sar se taltay nahin 

Poet : Asif Shehzaad

Ab yeh mujh par hai keh dewana banu ya na banu

Rang par aye junoon-e-khalq main afsaana banu
Tum jo dewaana na kaho mujh ko to dewaana na banu

Be'khudi mera qareena ho keh farza na banu
Koi surat ho magar in se na be'gana banu

Gham ki ru'daad banu , dard ka afsana banu
Tum jo banao mohabbat main to main kiya na banu

Baada-e-husan woh chalkaein ti gulshan main zara 
Her gul-e-tar ki tamana hai keh pai'mana banu

Mujh ko muddat se yeh armaan hai keh ultain woh niqaab
Doulat-e-husan khuda'daad ka nazrana banu

Soz ne shamma ki manind jala rakha hai
Par bhi mil jayein to main shama se parwana banu

Woh to so rang-e-junoon bakhsh gaye mujh ko "Naseer"
Ab yeh mujh par hai keh dewana banu ya na banu

Peer Naseer-ud-din-Naseer

Ajab qareena hai lakin yeh ik qareena-e-ishq

Ajab qareena hai lakin yeh ik qareena-e-ishq
Keh teh kiya safar-e-asmaan ba'zeena-e-ishq

Hazaar shukar keh ghar'qaabi se raha mehfooz
Kinaray aan laga aap hi safeena-e-ishq

Yeh aur baat keh khud ko ganwa dia main ne 
Magar yeh kam hai keh haath aa gaya khazeena-e-ishq

Meri misaal sab ehal-e-nazar kay samnay hai 
Keh zakham zakham raha hai azal se safeena-e-ishq

Isi liye to yahein reh para hoon main "saahir"
Pasand aya mujh ko bhi yeh madeena-e-ishq

Poat : Parvaiz Sahir

Us ne kaha tha sun Ehad nibhanay ki khatar mat aana

Us ne kaha tha sun 
Ehad nibhanay ki khatar mat aana 
Ehad nibhanay wale aksar 

Majboori ya mehjoori ki thakhan se loata kartay hain 
Tum jaao
Samandar , samndar apni piyaas bujhao 
Jin aankhon main utro 
Jis dil main doobo 
Meri tanhai tumhain awaaz na de gi 
Magar jab 
Mer khwaish aur chahat ki lay 
Itni oonchi aur itni tez ho jaye 
Keh dil ro day 
To..
Loat aana

Poet : Ahmed Faraz

Toota talism-e-waqat to kiya dekhta hoon main

Toota talism-e-waqat to kiya dekhta hoon main 
Ab tak ussi maqaam pe tanha kharra hoon main 

Yeh kash'makash alag hai keh kis kash'makash main hoon 
Aata nahin samjh main , bhout sochta hoon main 

Main ehal to nahin hoon keh dekhay koi magar 
Duniya! mujhay bhi dekh , tera aaina hoon main 

Aksar ghubaar-e-fikar jab utra dimagh se 
Main dang reh gaya keh yeh kiya likh gaya hoon main 

Mujh se nahin ussay mere farda se hai umeed 
Manzil hai koi aur faqat raasta hoon main 

Ghafil ab aur kiya hoon kisi se keh umar bhar 
Awargi ki goad main sota raha hoon main 

Kiya yeh jaga hai jis ki tamana main aaj tak 
Din raat shaher shaher bhatakta phira hoon main 

Misa'al ba'dast ghoomtay guzri hai aik umar 
Ab kis kay intizaar  main tehra hua hoon main 

Poet : Anwar Shaoor

Yeh chaand aur yeh abr-e-rawan guzarta rahay

Yeh chaand aur yeh abr-e-rawan guzarta rahay 
Jamaal-e-shaam teh aasmaan guzarta rahay

Bhara rahaye teri khushboo se tera sehan-e-chaman 
Bas ik mousam-e-ambar fishaan guzarta hai 

Sama'atein tere lehjay se phool chunti rahain 
Dilon kay saaz pe tu naghma khwaan guzarta rahay 

Khuda kare teri aankhain hamesha hansti rahain 
Diyaar-e-waqat se tu shaad'maan guzarta rahay 

MAin khud ko dekh na paaon to kuch malaal nahin 
Jahin bhi ho tu , sitara nishaan guzarta rahay 

Mera sitara kahin toot kay bikhar jaye 
Falak se tera khat keh'kishaan guzarta rahay 

MAin tujh ko dekh sakon aakhri bisaarat tak 
Nazar kay samnay bas ik samaan guzarta rahay 

Main tera saath na de paaon phir bhi tera safar 
Gulaab-o-khwaab kay hi darmiyaan guzata rahay

Parveen Shakir

Tum se milnay ki youn khushi to hai

Tum se milnay ki youn khushi to hai

Dharka bhi hai tum na aa pao

Tum se sajnay lagi hai tanhai

Zindagi bhi khushi si lagti hai 

Ab aankhon main intizaar ki joat 

Hum kab se jalaye baithaye hain 

A bhi jayo keh muddaton se hum 

Apna daaman pailaye baithaye hain 

Tum se milnay ki aas liye

Main apni zaat ki takmeel karna chahta hoon {Naat}

Naat

Main apni zaat ki takmeel karna chahta hoon 
Madeena aankh main tehleel karna chahta hoon 

Ghulam-e-mustafa keh de zamana dekh kar mujh ko 
Main khud ko is qadar tabdeel karna chahta hoon 

Jahan tak ho sake bhar loon nizaray sabz gumbad kay 
MAin apni aankh ko zambeel karna chahta hoon 

Waseelay aap ki meri duaein mihtabar hon gi 
Dua'ein aap ki tarseel karna chahta hoon 

Meray alfaaz se amjad zamana roshni paye 
Main apni soch ko qandeel karna chahta hoon 

Amjad Bukhari

Zubaan pe mohar laga de jalaal aisa hai { Hamd-e-bari-ta'ala }

Hamd-e-bari-ta'ala

Zubaan pe mohar laga de jalaal aisa hai
Nazar ki taab se baahir , jamaal aisa hai 

Kahin dikhai na de aur her taraf moujood
Gumaan yaqeen main badal de , kamaal aisa hai 

Woh noor jis ki samai nahin kisi dil main 
Bashar ki soch se baahir , khyaal aisa hai 

Her ik cheez nazar aati hai ziada saaf 
Hamari rooh kay sheeshay main baal aisa hai 

Arooj pe hai muqadar ba'feez chshm-e-karam 
Yeh meer-e-umr-e-rawan ka zawaal aisa hai 

Woh muskurain gay sun kar palat kay dekhain gay 
Hamaray lab pe machalta sawaal aisa hai 

Koi bhi waqat ho "Amjad" yeh phailta rehta hai 
Dilon main fazal-e-khuda ka nihaal aisa hai 

Amjad Islam Amjad

Aik khushboo kay rooth jane se

Aik khushboo kay rooth jane se 

Kuch bhi baaqi jahan na raha 

Kon se mor ! aur kiya kirdaar 

Tu hi jab dastaan main na raha

Naye manzir sajana chahti hoon

Naye manzir sajana chahti hoon 

Main khud ko azmaana chehti hoon 

Mere honton pe ik harf-e-dua hai 

Ab us ka faiz paana chahti hoon 

Ishq main khwaab sanad ban jaye

Ishq main khwaab sanad ban jaye 

Koi nahin hai kamil phir bhi 

Sab kuch "Amjad" mil bhi jaye 

Kiya hota hai hasil phir bhi

Khwaab jab aaina dikhatay hain

Khwaab jab aaina dikhatay hain 

Un'ginat log yaad atay hain 

Tishnagi dil main ho mohabbat ki 

Log dariya se loat jaatay hain 

Bhari duniya main jee nahin lagta

Bhari duniya main jee nahin lagta 

Jane kis cheez ki kami hai abhi 

Shaher ki be'chragh galiyon main 

Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi

Jis shaam barastay hain teri yaad kay baadil

Jis shaam barastay hain teri yaad kay baadil 

Us shab koi hijar ka tara nahin hota 

Youn hi mere pehlo main chala aata hai aksar 

Woh dard jissay num ne pukara nahin hota

Damak rahay hain mere harf lab pe aye bagair

Damak rahay hain mere harf lab pe aye bagair

Samjh raha hai woh baatein mere bataye bagair

Yeh do chragh hain aur aik lo se roshan hain 

dia jala nahin karta lahoo jalaye bagair

Sabhi log to kabhi bhi achay nahin rehtay

Sabhi log to kabhi bhi achay nahin rehtay 

Jin se sach seekha ho woh bhi sachay nahin rehtay 

Aaitabaar ki tooti dehleez par aksar 

Jo bhout hon apnay , apnay nahin rehtay

Khwaab palkon pe saja kay na nikalna baahir

Khwaab palkon pe saja kay na nikalna baahir

Yahan pathar uchaltay sar-e-bazaar bhout hain 

Sehrish kabhi rooth jayein to mananay main sadiyan lagain 

Suna hai ehal-e-mohabbat khwaar bhout hain

Umaaton kay imaam ho tum {Naat}

Naat

Umaaton kay imaam ho tum 
Paighambar zee ehtraam ho tum 
Mohabbaton ka payaam ho tum 
Utaara khuda ne kalaam tum par 

Darood tum par salaam tum par 
Rehmatein hom madaam tum par

Faiz deen-o-duniya ho tum 
Deen-e-haq kay ameen ho tum 
Daaei deen-e-mobeen ho tum 
Salaam her khaas-o-aam tum par 

Darood tum par salaam tum par 
Rehmatein hom madaam tum par 

Raouf ho tum , raheem ho tum 
Faheem ho tum , kareem ho tum 
Sahib-e-khalq-e-azeem ho tum 
Khatam risaalat ka kaam tum par 

Darood tum par salaam tum par 
Rehmatein hom madaam tum par 

Gham zadon ki taskeen ho tum 
Yaqeen be'yaqeen ho tum 
Hayaat-e-qalb hazeen ho tum 
Kare rashak maah-e-tamaam tum par 

Darood tum par salaam tum par 
Rehmatein hom madaam tum par

Dukh to yahi hai us se kinaara nahin hua

Dukh to yahi hai us se kinaara nahin hua 
Jo shakhs lamha bhar bhi hamara nahin hua 

Main kiya kisi kay saath chalon ga tamaam umar 
Mera to apnay saath guzaara nahin hua 

Jis shakhs kay liye mujhay thukraa gaye ho tum 
Main ne suna hai woh bhi tumhara nahin hua 

Khwabon kay tootnay se badan toot'nay talak
Woh dukh bata jo hum ne sahara nahin hua 

Kaisay maqaam-e-ishq pe ponchay huye hain hum 
Haaray hain jaan aur khsaara nahin hua 

Ehbaab de rahay hain naye ishq ki khabar 
Apna to aik shakhs bhi sara nahin hua 

"Meesam" tamaam umar yahi dukh raha mujhay 
Main kiyon kisi ko jaan se pyaara nahin hua 

Poet : Meesam Ali Agha

Matti ho kar ishq kiya hai , ik dariya ki rawani se

Matti ho kar ishq kiya hai , ik dariya ki rawani se
Dewaar-o-dar maang raha hoon main bhi behtay paani se 

Be'khabari main hont diye ki lo ko choomnay wale thay 
Woh to achanak phoot pari thi , khushboo raat ki rani se 

Woh majboori mout hai jis main kasay ko buniyaad mili 
Pyaas ki shiddat jab barhti hai dar lagta hai paani se 

Duniya walon kay mansoobay meri samjh main aye hain 
Zinda rehna seekh raha hoon , ab ghar ki veerani se 

Jaisay terey darwaze tak dastak denay ponchay thay 
APnay ghar bhi loat kar aatay hum itni asaani se 

Hum ko sab maloom hai "Mohsin" haal pas-e-gardaab hai kiya 
Aankh ne sachay gur seekhay hain suraj ki dar'baani se 

Poet : Mohsin Israar

Jab rakhaye paaon us ne paani main

Jab rakhaye paaon us ne paani main 
Aa gayi mouj bhi rawani main 

Saray mazmoon thay balaghat kay 
Ik kam'sin ki be'zubaani main 

Gham na dekha koi burhapay ka 
Mar gaye shukar hai jawani main 

Ik naya zaaiqa janam le ga 
Pyaas dekho mila kay paani main 

Aaj roothi hai sanwali mujh se 
Keh diya hai kiya rawani main 

Dil se aaghaaz kiya , jaan kay ziyaan tak khailay

Dil se aaghaaz kiya , jaan kay ziyaan tak khailay 

Baaz-e-ishq ko hum dekh , kahan tak khailay 

Haar aur jeet kay mayaar badalnay hon gay 

Aik se khail ko ab koi kahan tak khailay

Kisi ki guftagoo aur khamoshi main kho gaye hain

Kisi ki guftagoo aur khamoshi main kho gaye hain 

Keh hum is lamha-e-moujood hi main kho gaye hain 

Bhout dino baad itnay zor se dharka hai yeh dil 

Bhout din baad ik khush qaamti main kho gaye hain

Faaslay kiyon hain , zaabtay kiyon hain

Faaslay kiyon hain , zaabtay kiyon hain 

Hum tujhay itna chehtay kiyon hain 

Hai mera masla faqat ik shakhs 

Phir yeh auron se raabtay kiyon hain 

Woh khud parast bhi hai , zindagi shnaas bhi hai

Woh khud parast bhi hai , zindagi shnaas bhi hai 

Ussay khabar hai mera dil bhout udaas bhi hai 

Main us kay jhoot main se sach nikaal laata hoon 

Main jaanta hoon keh woh muslehat shnaas bhi hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...