Apr 29, 2015

Kya janay dil hi dil main woh karta tha kis ka zikar


Kya janay dil hi dil main woh karta tha kis ka zikar

Her dam zubaan-e-yaar pe yadish bakhair tha

Sun to sahi jahan main hai fasana kya


Sun to sahi jahan main hai fasana kya

Kehti hai tujh ko khalq-e-khuda ghaibaana kya

Tamaam umar youn hi ho gayi basar apni


Tamaam umar youn hi ho gayi basar apni

Shab-e-firaaq katti roz-e-intizaar aaya

Siyah bakhti main koi kab kisi ka saath deta hai



Siyah bakhti main koi kab kisi ka saath deta hai

Keh tareeki main saya bhi juda rehta hai insaan se

Beemaar-e-mohabbat ko ab Allah shiffa de


Beemaar-e-mohabbat ko ab Allah shiffa de

Suntay hain keh haath us se maseeha ne uthaya

Ayaam museebat kay to kaatay nahin jaatay


Ayaam museebat kay to kaatay nahin jaatay

Din Aaish kay ghariyon main guzar jatay hain kaisay

Bura maaniye mat meray dekhnay se


Bura maaniye mat meray dekhnay se

Tumhein haq ne aisa banaya to dekh
a


Apr 27, 2015

Phir sawan rutt ki pawan chali tum yaad aaye


Phir sawan rutt ki pawan chali tum yaad aaye 
Phir patton ki pazaib baji tum yaad aaye 

Phir koonjein bolein ghus kay haray samnadar main 
Rutt ayi peelay phoolon ki tum yaad aaye 

Phir kaga bolay ghar kay soonay aangan main 
Phir amrat ras ki boond pari tum yaad aaye 

Pehlay to main cheekh kay roya aur phir hansnay laga 
Badal garja , bijli chamki , tum yaad aaye 

Din bhar to main duniya kay dhandon main khoya raha 
Jab dewaaron se dhoop dhali tum yaad aaye

Nasir youn us ki yaad chali haath thaam kay


Nasir youn us ki yaad chali haath thaam kay 

Melay main is jahan kay khonay nahin diya

Teri zulfon kay bikharnay ka sabab hai koi


Teri zulfon kay bikharnay ka sabab hai koi 
Aankh kehti hai teray dil main talab hai koi 

Aanch aati hai teray jism ki uriyaati se 
Pehrahin hai keh sulagti hui shab hai koi 

Hosh urranay lagein phir chand ki thandi kirnein 
Teri basti main hoon ya khwaab-e-tarb hai koi 

Geet banti hai teray shaher ki bhar'poor hawa 
Ajnabi main hi nahin tu bhi ajab hai koi 

Liye jaati hai kisi dhiyaan ki lehrain Nasir 
Door tak silsala-e-taak-e-taraf hai koi 

Juda huye hain bhout log aik tum bhi sahi


Juda huye hain bhout log aik tum bhi sahi 

Ab itni baat pe kya zindagi haraam karein

Aankhon main hain dukh bharay fasanay


Aankhon main hain dukh bharay fasanay 
Ronay kay phir aa gaye zamanay 

Phir dard ne aag raag chaira 
Loat aaye wohi samay puranay 

Phir chand ko lay gayein hawaein 
Phir bansuri chair di saba ne 

Raston main udaas khushbon kay 
Phoolon ne luta diya khazanay 


Ae dil na tarap keh qehar ho ga


Ae dil na tarap keh qehar ho ga 

Ruswa koi shaher shaher ho ga

Ishq jab zam'zama-e-paira ho ga


Ishq jab zam'zama-e-paira ho ga 
Husn khud mehav-e-tamasha ho ga 

Daeim abaad rahay gi duniya 
Hum na hon gay , koi hum sa ho ga 

Hum tujhay bhool kay khush baithay hain 
Hum sa be'dard koi kya ho ga 

Phir sulagnay laga sehra-e-khayal 
Abr ghir kay kahin barsa ho ga 

Phir kisi dhiyaan kay sad rahay par 
Dil-e-hairat zada tanha ho ga 

Shaam se soch raha hoon Nasir
Chaand kis shaher main utra ho ga 

Daa'em abaad rahay gi duniya


Daa'em abaad rahay gi duniya 

Hum na hon gay , koi hum sa ho ga

Ishq main jeet hui ya maat


Ishq main jeet hui ya maat
Aaj ki raat na chairr yeh baat

Youn aaya woh jaan-e-bahar
Jaisay jag main phailay baat

Rang khilay sehra ki dhoop
Zulf ghannay jungle ki raat

Kuch na suna aur kuch na kaha 
Dil main reh gayi dil ki baat 

Yaar ki nagri koson door
Kaisay kattay gi bhaari raat 

Basti walon se chup kar 
Ro letay hain pichli raat 

Snaaton main suntay hain 
Suni sunaai koi baat 

Phir jaaray ki rutt aayi 
Chotay din aur lambi raat 


Teray milnay ko be'kal ho gaye hain


Teray milnay ko be'kal ho gaye hain 
Magar yeh log pagal ho gaye hain 

Baharein lay kay aaye thay jahan tum 
Woh ghar sunsaan jung ho gaye hain 

Yahan tak barh gaye alaam-e-hasti 
Keh dil kay hoslay shall ho gaye hain 

Kahan tak taab laye na'tawaan dil 
Keh sadmay ab musal'sal ho gaye hain 

Nigah-e-yaad ko neend aa rahi hai 
Mazda par ashk bojhal ho gaye hain 

Unhain sadiyon na bhoolay ga zamana 
Yeh jo hadsay kull ho gaye hain 

Jinhein hum dekh kay jeetay thay Nasir 
Woh log aankhon se ojhal ho gaye hain

Yaad aata hai roz-o-shab koi



Yaad aata hai roz-o-shab koi 
Hum se rootha hai be'sabab koi 

Lab jo chaaon main darakhton ki 
Woh mulaqaat thi ajab koi 

Jab tujhay pehli baar dekha tha 
Woh bhi tha mousam-e-tarb koi

Kuch khabar le kay teri mehfil se 
Door baitha hai jaan-e-lab koi 

Na gham-e-zindagi na dard-e-firaaq
Dil main youn hi si hai talab koi

Yaad aati hain door ki baatein 
Pyar se dekhta hai jab koi 

Chot khai hai bar haa lakin 
Aaj to dard hai ajab koi 

Jin ko mittna tha mitt chukay nasir
In ko ruswa karay na ab koi 


Aaj to be'sabab udaas hai jee


Aaj to be'sabab udaas hai jee

Ishq hota to koi baat bhi thi

Dil dharaknay ka sabab yaad aaya


Dil dharaknay ka sabab yaad aaya 
Woh teri yaad thi ab yaad aaya 

Aaj mushkil tha sambhalna ae dost
Tu museebat main ajab yaad aaya 

Din guzara tha bari mushkil se 
Phir tera wada-e-shab yaad aaya 

Tera bhoola hua paimaan-e-wafa 
Mar rahay hain agar ab yaad aaya 

Haal-e-dil hum bhu sunaatay lakin 
Jab woh rukhsat hua tab yaad aaya 

Baith kay saya-e-gul main Nasir
Hum bhout roye woh jab yaad aaya 

Chamka na karo raat ko jugnoo ki tarah tum


Chamka na karo raat ko jugnoo ki tarah tum 

Le jaaon ga mutthi main kisi roz chuppa kar

Faraib kha hi gaye ehal-e-justagoo aakhir


Faraib kha hi gaye ehal-e-justagoo aakhir 

Chragh dhoondnay aaye thay shaam lay kay chalay

Main ne ussay dekha gai ussay ghairon se dil lagatay huye


Main ne ussay dekha gai ussay ghairon se dil lagatay huye 

Meray yaqeen ki kashtiyan youn hi to nahin doobein

Hadsay bhi shaoor rakhtay hain


Hadsay bhi shaoor rakhtay hain 

Dhoond letay hain gham kay maaron ko

Meri zindagi ki kitab main


Meri zindagi ki kitab main 

Meray roz-o-shab kay hisaab main 

Tera naam jitnay safhon pe hai 

Teri yaad jitni shabon main hai 

Wohi chand safhay hain mata-e-jaan 

Unhi rat'jagon ka shumaar hai

Uss ne bhula diya to shikwa na kar


Uss ne bhula diya to shikwa na kar 

Apno ko baray ikhtiyaar hua kartay hain

Kahan hai tu keh teray intizaar main Ae dost


Kahan hai tu keh teray intizaar main Ae dost 

Tamaam raat sulagtay rahay dil kay veeranay

Suna hai uss kay chehray kay khd-o-khaal


Suna hai 
Uss kay chehray kay 
khd-o-khaal 
Ab bhi salamat hain 
Magar ab 
Kis se kahin 
Hum yeh 
Keh hum to 
Us kay saath saath 
Apni yaad'dasht bhi 
Kho baithay hain 

Woh raah badalnay main hawaon ki tarah tha


Woh raah badalnay main hawaon ki tarah tha 
Jo shakhs karri dhoop main chaaon ki tarah tha 

Aik woh keh tarah daar baharon se ziyada 
Ik main keh ziyaan kaar-e-khizaon ki tarah tha 

Ik wasal ki jannat main guzaara hua lamha 
Ik hijar kay dozakh ki sazaon ki tarah tha 

Us shakhs ki manzil thi Qaaf se aagay 
Main raah main partay kisi gaaon ki tarah tha

Mera us shaher-e-adawat main baseera hai jahan


Mera us shaher-e-adawat main baseera hai jahan 

Log sajdon main bhi logon ka bura sochtay hain

Parhi hain youn to kitabein hazaron magar


Parhi hain youn to kitabein hazaron magar 

Haqeeqat main jo sabq milay , apni zindagi se milay

Samjhta hi nahin hai , dil ki baaton ko woh


Samjhta hi nahin hai , dil ki baaton ko woh 

Mera mehboob bhi haye ,. ,. ,. kitna sada hai

Teri sharton pe hi karna hai agar tujh ko qabool


Teri sharton pe hi karna hai agar tujh ko qabool

Yeh sahoolat to mujhay sara jahan deta hai

Main sochta hoon , agar ho jaye mujhay janab-e-ziyarat


Main sochta hoon , agar ho jaye mujhay janab-e-ziyarat 

Laaon ga main kahan se ,. ,. ,. ,. teray miyaar ki aankhein

Naye kapray badal kar jaaon kahan aur baal banaon kis kay liye


Naye kapray badal kar jaaon kahan aur baal banaon kis kay liye 
Woh shakhs to shaher hi chor gaya main baahir jaaon kis kay liye 

Jis dhoop ki dil main thandak thi woh dhoop usi kay saath gayi 
In jalti balti galiyon main ab khaak uraaon kis kay liye 

Woh shaher main tha to us kay liye auron se bhi milna parta tha 
Ab main aisay waisay logon kay naaz uthaon kis kay liye 

Ab shaher mainus ka badal hi nahin , koi waisa jaan-e-ghal hi nahin 
Ewaan-e-ghazal main lafzon kay guldaan sajaon kis kay liye 

Muddat se koi aaya na gaya sunsaan pari hai ghar ki fiza
In khaali kamron main "Nasir" ab shamma jalaon kis kay liye

Niyat shouq bhar na jaye kahin


Niyat shouq bhar na jaye kahin 
Tu bhi dil se utar na jaye kahin 

Aaj dekha hai tujh ko dair kay baad 
Aaj ka din guzar na jaye kahin 

Na mila kar udaas logon se 
Husn tera bikhar na jaye kahin 

Aarzoo hai keh tu yahan aaye 
Aur phir umar bhar na jaye kahin 

Jee jalaata hoon aur yeh sochta hoon 
Raigaan yeh hunar na jaye kahin 

Aao kuch dair ro hi lain "Nasir"
Phir yeh dariya utar na jaye kahin
 

Main bhi teray jaisa hoon



Apni dhunn main rehta hoon 
Main bhi teray jaisa hoon 

Aur pichli rutt kay saathi 
Ab kay baras main tanha hoon 

Teri gali main sara din 
Dukh kay kan'kar chunta hoon 

Mujh se aankh milaye kon 
Main tera aaina hoon 

Tu jeewan ki bharri gali 
Main jungle ka rasta hoon 

Aayi rutt mujhay roye gi 
Jaati rutt ka jhnoka hoon 

Apni lehar hai apna rog 
Dariya hoon aur pyasa hoon 

Apni dhunn main rehta hoon


Apni dhunn main rehta hoon 
Main bhi teray jaisa hoon 

Aur pichli rutt kay saathi 
Ab kay baras main tanha hoon 

Teri gali main sara din 
Dukh kay kan'kar chunta hoon 

Mujh se aankh milaye kon 
Main tera aaina hoon 

Tu jeewan ki bharri gali 
Main jungle ka rasta hoon 

Aayi rutt mujhay roye gi 
Jaati rutt ka jhnoka hoon 

Apni lehar hai apna rog 
Dariya hoon aur pyasa hoon 

Kuch yaad gaar-e-shaher sitam'gar hi le chalein


Kuch yaad gaar-e-shaher sitam'gar hi le chalein 
Aaye hain is gali main to pathar hi lay chalein 

Youn kis tarah kattay ga karri dhoop ka safar 
Sar pe khayal-e-yaar ki chadar hi lay chalein 

Ranj-e-safar ki koi nishani to paas ho 
Thori se khaak koocha-e-dil'bar hi lay chalein 

Yeh keh kay chairti hai hamein dil'gariftagi
Ghabra gaye hain aap to baahir hi le chalein 

Is shaher-e-be'chragh main jaye gi tu kahan 
Aa Ae shab-e-firaaq tujhay ghar hi lay chalein

Dekh mohabbat ka dastoor


Dekh mohabbat ka dastoor
Tu mujh se main tujh se door

Tanha tanha phirtay hain
Dil-e-veeran aankhein be'noor

Dost bichartay jatay hain 
Shouq liye jata hai door 

Hum apna gham bhool gaye 
Aaj kaisay dekha majboor

Dil ki dharkan kehti hai 
Aaj koi aaye ga zaroor

Koshish lazim hai pyaray 
Suraj doob chala nasir

Main ne jab likhna seekha tha


Main ne jab likhna seekha tha 
Pehlay tera naam likha tha 

Main woh sabr-e-sameem hoon  jis ne 
Baar-e-amanat sar pe liya tha 

Main woh ism-e-azeem hoon jis ko 
Jin-o-malk ne sajda kiya tha 

Tu ne kiyon mera haath na pakra 
Main jab raastay se bhatka tha 

Jo paya hai woh tera hai 
Jo khoya , woh bhi tera tha 

Mujh bin sari umar guzaari
Loh kahein gay tu mera tha 

Pehli baarish bhaignay walay 
Main teray darshan ka pyasa tha

Mera ilaaj meray chara gar kay paas nahin



Mera ilaaj meray chara gar kay paas nahin 

Guzar rahay hain ajb marhalon se deeda-o-dil 

Sehar ki aas to hai , zindagi ki aas nahin 

Kabhi kabhi jo teray qurb main guzaray thay 

Ab un dino ka tasawur bhi meray paas nahin

Mujhay yeh dar hai , teri aarzoo na mitt jaye 

Bhout dino se tabiyat meri udaas nahin

Yaad hai ab tak tujh se bicharnay ki woh andheri shaam mujhay


Yaad hai ab tak tujh se bicharnay ki woh andheri shaam mujhay 
Tu khamosh khara tha lakin baatein karta tha kajal 

Main to aik nayi duniya ki dhun main bhatakta phirta hoon 
Meri tujh se kaisay nibhay gi , aik hain teray fikr-o-amal 

Mera munh kya dekh raha hai ? dekh is kaali raat ko dekh 
MAin wohi tera hamraahi hoon , saath meray chalna hai to chal

Nishan manzil ka un aankhon ko hum batlaa bhi saktay thay


Nishan manzil ka un aankhon ko hum batlaa bhi saktay thay 
Jo dil rasta badal leta ussay samjha bhi saktay thay 

Teri aankhon ne janay kis liye mehvar badal daala 
Wagarna un kay raastay dharkano tak jaa bhi saktay thay 

Na janay kis liye iqraar karnay main lagein sadiyan 
Zara sa kaam tha pal bhar main woh karwa bhi saktay thay 

Suno ehsaan hai tum par keh dil ab tak tahi rakha
Kisi mehmaan ko is ghar main hum tehraa bhi saktay thay 

Batool acha hua jo raastay se hi palat aaye 
Gulaabon kay ta'aqub main khizan tak jaa bhi saktay thay 

March April kay din bhi kitnay ajeeb hotay hain


March April kay din bhi kitnay ajeeb hotay hain 
Jab phool khiltay hain hain 
Dil murjhnay lagtay hain
Kuch bichray log yaad anay lagtay hain 
Youn to bharri bahar main her taraf khushboo hoti hai 
Dil ko na janay kis ki justagoo hoti hai 
Jab bhi yeh mehki fizaein aati hain 
Guzra waqat yaad dilaati hain 
Jo her taraf gul khilay hotay hain 
Dil main yaadon kay nishtar chubhotay hain 
Kon kehta hai 
Baharein khushiyan laati hain 
Yeh to udasiyon se daman bhar jati hain 

Na ab raqeeb , na naseh , na gham'gusaar koi


Na ab raqeeb , na naseh , na gham'gusaar koi 
Tum aashna thay to thein aashnaiyan kya kya 

Juda thay hum to muyassar thein qurbatein kitni 
Baham huye hain to pari hai judaiyan kya kya 

 Ponch kay dar pe teray kitnay mohtabar tehray 
Agarcha raah main huyein jag hasaiyan kya kya 

Hum aisay sada dilon ki niaz mandi se 
Button se ki hain jahan main Khudaiyan kya kya 

Sitam pe khush kabhi lutf-o-karam pe ranjeeda 
Sikhaein tum ne hamein kaj'adaeiyan kya kya

Yaad hi teri ibaadat ho gayi hai


Yaad hi teri ibaadat ho gayi hai 

Mujhay tujh se aqeedat ho gayi hai

Woh jis kay shanay pe haath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka


Woh jis kay shanay pe haath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka 

Teri gali se na janay kiyon , aaj sar jhukaye guzar gaya woh

Lienein (Lines) kat'ti rahein lafz badalnay kay sabab


Lienein (Lines) kat'ti rahein lafz badalnay kay sabab 
Koi tehreer ,musal'sal nahin honay payi 

Haasil-e-umar yahi chand adhooray khaakay 
Koi tasveer mukamal nahin honay payi 

Is qadar pyaar se Ae jaan-e-jahan rakha hai


Is qadar pyaar se Ae jaan-e-jahan rakha hai 
Dil kay rukhsaar pe is waqat teri yaad ne haath 

Youn gumaan hota hai garcha hai abhi subh-e-firaaq
Dhal gaya hijar ka din aa bhi gayi wasal ki raat

Hijar ki dhoop main chaaon jaisi baatein kartay hain


Hijar ki dhoop main chaaon jaisi baatein kartay hain 
Aansoo bhi to maaon jaisi baatein kartay hain 

Khud ko bikhartay dekhtay hain kuch kar nahin patay lakin 
Phir bhi log khudaon jaisi baatein kartay hain

Hui hai shaam to aankhon main bas gaya phir tu


Hui hai shaam to aankhon main bas gaya phir tu
Kahan gaya hai meray shaher kay musafir tu 

Main jaanta hoon keh duniya tujhay badal de gi 
Main maanta hoon keh aisa nahin , ba'zahir to

Meri misaal ekh ik nikhal-e-khushk-e-sehra hoon 
Tera khayal keh shaakh-e-chaman ka tahir tu 

Faraz tu ne in mushkalon main daal diya 
Zamana sahib-e-zar aur sirf shair tu 

Apni duniya aap paida kar agar zindon main hai


Apni duniya aap paida kar agar zindon main hai 

Sar-e-Aadam hai , zameer-e-kun fikaan hai zindagi

Khudi hi ilm se mehkam to ghairat-e-jibrail


Khudi hi ilm se mehkam to ghairat-e-jibrail 

Agar ho ishq se mehkam to soor-e-israfeel

Kuch is tarah se guzari hai zindagi jaisay


Kuch is tarah se guzari hai zindagi jaisay 

Tamaam umar kisi doosray kay ghar main raha

Hum ajeeb musafir-e-dasht thay , chaly to chaltay chalay gaye


Hum ajeeb musafir-e-dasht thay , chaly to chaltay chalay gaye
Kisi aab-e-jo ki sada pe bhi , kahin raastay main rukay nahin 

Kai aur ehal-e-talab milay mujhay raah-e-shouq main hum qadam 
Jinhein kar raha tha talaash main , wohi log mujh ko milay nahin

Khathan safar hai mohabbaton kay saraab rastay hain soch lena


Khathan safar hai mohabbaton kay saraab rastay hain soch lena
Jo do aik qadam pe saath dena hai to soch lena

Nibah tum se na ho sakay ga tang rehnay ki na baat karna
Keh ishq kay raaston main chinaab aatay hain soch lena 

Shell huye haath to socha hum ne


Shell huye haath to socha hum ne 

Log kehtay thay khuda hai koi

Us ne kaha mafhoom-e-ghalat'fehmi kya hai


Us ne kaha mafhoom-e-ghalat'fehmi kya hai 

Main ne kaha tum se umeed-e-wafa karna

Tum na'haq naraz huye warna meh'khanay ka pata


Tum na'haq naraz huye warna meh'khanay ka pata 

Hum ne her us shakhs se poocha jis kay nain naseheelay thay

Basti main hai woh snaata jungle maat lagay


Basti main hai woh snaata jungle maat lagay 
Shaam dhalay jab ghar ponchon to aadhi raat lagay 

Khat main dil ki baatein likhna achi baat nahin 
Ghar main kitnay log hain janay kis kay haath lagay

Jahan woh itna bhoola tha wahan kuch yaad bhi rakhta


Jahan woh itna bhoola tha wahan kuch yaad bhi rakhta
Faqat itna to keh deta keh us ne mujh ko chaha tha 

Hamara ishq kab khulta kisi pe Saad aisay hi 
Yaqeen maano keh hum ne khud zamanay ko bataya tha

Meray aangan kay khunk mousam dhanak ho jatay


Meray aangan kay khunk mousam dhanak ho jatay 
Magar woh suraj keh kisi aur ghar ka noor tha 

Yaadon ki baarish ain bheegi kaaghaz ki kashti 
Hijar ka sagar gehra aur wasal kinara door tha

Safar main ishq kay aik aisa marhala aaya


Safar main ishq kay aik aisa marhala aaya 
Woh dhoondta tha mujhay aur kho gaya tha main

Mujhay gila na kisi sang ka na aahan ka 
Usi ne tor diya jis ka aaina tha main

Yeh waajbat-e-ishq kya hum hi pe qarz thay


Yeh waajbat-e-ishq kya hum hi pe qarz thay

Woh bhi utaarta keh mohabbat ussay bhi thi

Jhil'milati hain mujhay dekh kay aankhein us ki


Jhil'milati hain mujhay dekh kay aankhein us ki 
Roshni si koi dewaar kay us paar hui 

Jo bhi uljhan thi woh mil baith kay suljha letay 
Baat aapis ki thi jo tahna-e-aghiyaar hui

Apr 26, 2015

Shor bhi hai snaata bhi


Shor bhi hai snaata bhi 
Dil jaisi hai duniya bhi 

Sab kuch aik haqeeqat hai 
Aur sab kuch hai dhokha bhi 

Woh chand qurbat kay lamhay jo dar ba dar guzray


Woh chand qurbat kay lamhay jo dar ba dar guzray 
Mohabbaton main bhi tabdeeliyan karein shayed 

Teri gali se guzartay hain aur sochtay hain 
Teri gali se guzarna bhi chor dain shayed

Hawa main urrta hua rizq pa liya lakin


Hawa main urrta hua rizq pa liya lakin 

Parindat jurrat-e-parwaz chor aaye hain

Woh jis qadar bhi munafiq tha par yeh kehta tha


Woh jis qadar bhi munafiq tha par yeh kehta tha 

Bicharna hum se magar phir bhi silsalay rakhna

Behtar hai zeest ko hans kar nibha do


Behtar hai zeest ko hans kar nibha do 

Mehsoos karo gay to musal'sal azaab hai

Aaj phir sawan toot kay barsa hai


Aaj phir sawan toot kay barsa hai 
Aaj phir kisi kay lehjay main nami hai 

Phir se wehshaton kay haalay hain 
Aaj phir yaadon ki mehfil jami hai

Woh mojood hain aur un ki kami hai


Woh mojood hain aur un ki kami hai 
Mohabbat main tanhai daemi hai 

Chraghon kay badlay makaan jal rahay hain 
Naya hai zamana , nayi roshni hai

Haal-e-dil un se keh chukay so baar


Haal-e-dil un se keh chukay so baar
Ab bhi kehnay ki baat baqi hai 

Raat baqi thi jab woh bichray thay 
Kat gayi umar raat baaqi hai

Kya hua husn hamsafar hai ya nahin


Kya hua husn hamsafar hai ya nahin 
Ishq manzil hi manzil hai rasta nahin 

2 parinday urray aankh nam ho gayi 
Aaj samjha keh main tujh ko bhoola nahin

Dil kisi ka hai , jaan kisi ki hai


Dil kisi ka hai , jaan kisi ki hai 
Yeh bhi ik shakal zindagi ki hai 

Tum riwayat samjh rahay ho jissay 
Surat-e-haal yeh abhi ki hai 

Log kiyon chup gaye khuda janay 
Main ne to sirf roshni ki hai 

Aaqbat ki tujhay hai fikar bhout 
Aur jo zindagi abhi ki hai 

Kitni masoom hai mohabbat bhi 
Jis ne apna liya usi ki hai 

Dushmani jis ne mujh se ki Mohsin 
Main ne us se dosti ki hai 

Aik anokha khail tamasha main hi tha


Aik anokha khail tamasha main hi tha 
Duniya kay bazar main sasta main hi tha 

Meray sab iqraar ghalat tehray goya 
Her kirdaar main sab se jhoota main hi tha 

Ilam-o-amal kay ozaaron se lais thay sab 
Tanha , be'bas aur nehata main hi tha 

Main ne kiya tha saray gumaano ko roshan 
Phir jo chadar taan kay soya , main hi tha

Raah-e-talab main apna rasta , apni chaal 
Sadiyon se jo dhoond raha tha , main hi tha 

Aainay ko haath laga kar dekh chuka 
Woh saalim tha is main shakista main hi tha 

Khud ko roshan samjha tha lakin salman 
Baahir jo phaila tha andhera main hi tha

Bas aik shakhs hi kul kainaat ho jaisay


Bas aik shakhs hi kul kainaat ho jaisay 
Nazar na aaye to din main bhi raat ho jaisay 

Meray labon pe tabasum hai mojzan ab tak 
Keh dil ka tootna chooti si baat ho jaisay 

Shab-e-firaaq mujhay aaj youn daraati hai 
teray baghair meri pehli raat ho jaisay 

Usi ki yaad ki yeh bhi to ik karamat hai 
Hazaar meel par ho kar bhi saath ho jaisay 

Tera salook mujhay roz zakhm taza de 
Kisi ko pehli mohabbat main maat ho jaisay 

Zakham hijar ka bhar gaya kuch kuch


Zakham hijar ka bhar gaya kuch kuch 
Zehar-e-gham kam kar gaya kuch kuch 

Ishq kay aakhri marahil main 
Sach kahoon main bhi dar gaya kuch kuch 

Aaj dushman ki mout ka sun kar
Youn laga main bhi mar gaya kuch kuch 

Be'sabab mohtasib nahin khamosh 
Maal us kay bhi ghar gaya kuch kuch 

Ab tera dukh nahin raha Mohsin 
Jee mohabbat se bhar gaya kuch kuch

Aanso'on ne ghamon se ghabra kar


Aanso'on ne ghamon se ghabra kar

Gir kay palkon se khud'kushi kar li

Mujhay chornay ka faisala to roz karta hai woh shakhs


Mujhay chornay ka faisala to roz karta hai woh shakhs 

Magar us ka bas nahin chalta meri wafa kay samnay

Zara si chot se sheeshay ki tarah toot gaye


Zara si chot se sheeshay ki tarah toot gaye 

Dil to kambakhat mera , mujh se bhi buz'dil nikla

Apno ki chahat ne diye is qadar faraib


Apno ki chahat ne diye is qadar faraib 

Hum lipat lipat kar roye her ajnabi kay saath

Chooma hai apni aankhon ko rakh rakh kay Aaina


Chooma hai apni aankhon ko rakh rakh kay Aaina 

Aaj phir hui hai khawaab main ziyaarat janab ki

Teray bin chaand bhi aisay lagta hai mujhay


Teray bin chaand bhi aisay lagta hai mujhay 

Koi zakham ho jaisay , asmaan kay seenay main

Kaanton main guzaar deta hai gulaab apni zindagi



Kaanton main guzaar deta hai gulaab apni zindagi 

Kon kehta hai keh phoolon ko koi gham nahin hota

Mohabbat bhi to aik tarah ki siyasat hoti hai


Mohabbat bhi to aik tarah ki siyasat hoti hai 

Jeet gaye to baadshahi haar gaye to qaid-e-tanhai

Hum ne Aaghosh-e-mohabbat se yeh seekha hai sabaq


Hum ne Aaghosh-e-mohabbat se yeh seekha hai sabaq

Jis ne zinda nahin rehna woh mohabbat kar le

Koi to itna lipat kay roye


Koi to itna lipat kay roye 

Keh ab kay hum ko hi maar dalay

Phir kon bhala daad-e-tabasum unhein de ga


Phir kon bhala daad-e-tabasum unhein de ga 

Royein gi bhout mujh se bichar kar teri Aankhein

Jab bhi aati hai mousam ki adaon main tabdeeli


Jab bhi aati hai mousam ki adaon main tabdeeli 

Kisi ka youn badal jana bhout hi yaad aata hai

Koshish kay ba'wajood jo poori na ho sakein


Koshish kay ba'wajood jo poori na ho sakein 

Haan tera naam un hi khwaishon main hai

Kisi ka rooth jana aur achanak be'wafa hona


Kisi ka rooth jana aur achanak be'wafa hona 

Mohabbat main yahi lamha qayamat ki nishani hai

Ranjishein barhti hi jaa rahi hain aaj kal


Ranjishein barhti hi jaa rahi hain aaj kal 

Sadqa doon , manatein mangon ya nazar utaaron mohabbat ki

Afsana-e-ishq jis ko bhi sunaya


Afsana-e-ishq jis ko bhi sunaya 

Us ne yehi kaha , teray sabar ko salam

Youn khatam kar chukay ho tum rasm-e-mohabbat hum se


Youn khatam kar chukay ho tum rasm-e-mohabbat hum se

Jaisay hum tumhein yaad hi na ayen gay phir kabhi

Main kahan se laon bata kahan bikta hai


Main kahan se laon bata kahan bikta hai 

Woh naseeb jo tujhay umar bhar kay liye mera kar de

Woh pyaar youn karta hai sambhalnay nahin deta


Woh pyaar youn karta hai sambhalnay nahin deta 
Phir dukh kay samnadar main ubharnay nahin deta 

Us ki jafa bhi mashoor hai wafa kay saath
Woh dard to deta hai par ronay nahin deta 

Karta hai waar marham ko khanjar pe laga kay
Woh zakham to deta hai par marnay nahin deta 

Jo torta hai dil to aansoo bhi bahaata hai 
Barbaad to karta hai par ujjarnay nahin deta 

Mehboob mila hai hum ko ajeeb sa
Woh aag to lagaata hai par jalnay nahin deta 

Kuch ajeeb sa rishta hai us kay aur meray darmiyan


Kuch ajeeb sa rishta hai us kay aur meray darmiyan 

Na nafrat ki wajah mil rahi hai na mohabbat ka silla

Sadgi pasand hoon jo qudrat ka husn hai


Sadgi pasand hoon jo qudrat ka husn hai 

Meray liye na khud ko sajaya karay koi

Jab se ehsaas kay sholon ne bharakna seekha


Jab se ehsaas kay sholon ne bharakna seekha 
Shama-e-zeest ne her aan pighalna seekha 

Teri qurbat ne jalaye thay jo is duniya main chragh 
Teri doori se chraghon ne bharakna seekha 

Ek snaata tha , veeran thi guzar-gaah-e-hayaat 
Janay kab dil ne mohabbat ko samajhna seekha 

Aqal walay bhi jahan thokrein kha kha kay giray 
Hum ne us raah se darasal sambhalna seekha 

Dil ki her baat nigahon se biyaan hoti hai 
Yeh nazar milanay par is dil ne samajhna seekha 

Shaher-e-ulfat se nkal paye na woh kabhi
Jis ne is raaz-e-mohabbat ko samajhna seekha 

 

Teri yaadein bhi hain meray bachpan kay khilono jaisi


Teri yaadein bhi hain meray bachpan kay khilono jaisi 

Tanha hota hoon to inhein lay kar baith jaata hoon

Lahu lahu chraghon kay sar milay hain mujhay


Lahu lahu chraghon kay sar milay hain mujhay 
Tumharay shaher main aisay bhi ghar milay hain mujhay 

Mujhay bataao agar ghonslay salamat thay 
Hawa main urrtay huye kis kay par milay hain mujhay 

Main apnay jaisay kisi shakhs ki talaash main tha 
Magar yahan to sabhi moh'tabar milay hain mujhay 

Prinday loat kar na aayein jin ki shaakhon par
Meray naseeb kay aisay shajar milay hain mujhay

Woh ik nazuk jheel si sharmeeli larki



Woh ik nazuk jheel si sharmeeli larki 

Udaas rehnay ka hamein hunar sikhaa gayi

Hum ne dil jo wapis maanga to sar jhuka kay bolay


Hum ne dil jo wapis maanga to sar jhuka kay bolay 

Woh to toot gaya youn hi khailtay khailtay

Jaltay honton pe tabasum jo machalta hai kabhi


Jaltay honton pe tabasum jo machalta hai kabhi 
Zakham dhul jatay hain sawan jo barasta hai koi 

Main na sochon main ne traashay hain khad-o-kaal teray 
Meray baaray main bhi bata tu ne socha hai kabhi 

Chartay suraj se kabhi tu ne milaai hai nazar 
Tu ne kinaaron ki taraf ghour se dekha hai kabhi 

Log pathar main khilaatay hain umeedon kay gulaab 
Youn bhi mumkin hai bata aisa bhi hota hai kabhi 

Tu ne samjha tha keh main loat kay aa jaaon ga 
Aankh se bichra hua ashk bhi lota hai kabhi

Youn samnay aa kar na baitho


Youn samnay aa kar na baitho 

Sabar to sabar hai par her baar nahin hota

Dasht-e-duniya main umeedon ka kinaara le kar


Dasht-e-duniya main umeedon ka kinaara le kar 

Main tujhay yaad karon ik umar dobara le kar

Aaj udaasi ne bhi haath jor kar kaha mujh se


Aaj udaasi ne bhi haath jor kar kaha mujh se

Wasta tujhay teray pyaar ka mera aashiyana chor do

Aik na aik shama andheray main jalaaye rakhiye


Aik na aik shama andheray main jalaaye rakhiye
Subha honay ko hai mahool banaye rakhiye

jin kay haathon se hamein zakhm-e-nihaan ponchay hain 
Woh bhi kehtay hain keh zakhmon ko chuppaye rakhiye

Kon janay woh kis raah guzar se guzray 
Her guzar gaah ko phoolon se sajaaye rakhiye

Daaman-e-yaar ki zeenat na banay her aansoo
Apni palkon kay liye kuch to bachaye rakhiye

Maron to main kisi chehray main rang bhar jaaon


Maron to main kisi chehray main rang bhar jaaon 
Kaash main yahi ik kaam kar jaaon 

Yeh dasht-e-tark-e-mohabbat yeh teray qurb ki pyaas
Jo izzan ho to teri yaad se guzar jaaon 

Mera wajood meri rooh ko pukaarta hai 
Teri taraf bhi chalon to tehar tehar jaaon 

Teray jamaal ka paraao hai sab haseeno par 
Kahan kahan tujhay dhoondon kidher kidher jaaon 

Main zinda tha keh tera intizaar khatam na ho 
Jo tu mila hai to ab sochta hoon mar jaaon 

YEh sochta hoon keh main butt'parast kiyon nahin hua 
Tujhay qareeb jo paaon to khud se dar jaaon 

Kisi chaman main bas ik khouf se guzar na hua 
Kisi kali pe na bhoolay se paaon dhar jaaon 

Yeh jee main aati hai takhleeq-e-fun kay lamhon main 
Keh khoon ban kay rag-e-sang main utar jaaon 

Iss zindagi ka kya bharosa jo 2 pal ki hai


Iss zindagi ka kya bharosa jo 2 pal ki hai 

Hum bhi un lamhon ki tarah guzar jayein gay jo loat kay nahin aatay

Tum do farib mujhay aur main samjhon hunnar ussay


Tum do farib mujhay aur main samjhon hunnar ussay 

Ab itna bhi sadgi ka zamana nahin raha 

Kab do gay nijaat hamein raat bhar ki tanhai se


Kab do gay nijaat hamein raat bhar ki tanhai se

Ae ishq maaf kar meri umar hi kya hai

Log shor se jaag jatay hain


Log shor se jaag jatay hain 

Aur mujhay us ki khamoshi sonay nahin deti
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...