Oct 10, 2014

Ya rab gham-e-hijraan mein itna to kiiya hota


Ya rab gham-e-hijraan mein itna to kiiya hota

jo hath jigar par hai wo dast-e-dua hota

ek ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat

ya gham na diya hota ya dil na diya hota

nakaam tamana dil iss soch mein rehta hai

yun hota to kya hota, yun hota to kya hota

umeed to bandhh jati taskeen to ho jati

wada na wafa karte wada to kiya hota

Is shehar-e-kharabi mein gham-e-ishq k maray


Is shehar-e-kharabi mein gham-e-ishq k maray

zinda hain, yehi bari baat hai payary

yeh hansta hua chand, ye pur'noor sitaarey

tabindaa-o-paayindaa hain zarron k saharey

hasrat hai, koi gunchaa humein pyar se dekhay

armaan hai, koi phool humein dil se pukaray

har subah, meri subah pe rotii rahi shabnam

har raat, meri raat pe hanstey rahe taarey

kuch aur bhi hain kaam humein gham-e-jaana

kab tak koi uljhii hui zulfon ko sanwaray

Dil se har guzri baat guzri hai


Dil se har guzri baat guzri hai

kis qayamt ki raat guzri hai

chaandnii neem'wa dariichaa-e-sukoot

aankhon aankhon mein raat guzri hai

haaye wo log, khoobsurat log

jin ki dhun mein hayaat guzri hai

kisi bhatkay hue khayal ki mouj

kitni yadon k sath guzri hai

tam'tmata hai chehraa-e-eyaam

dil pe kya wardaat guzri hai

phir koi aas larkharai hai

keh naseem-e-hayaat guzri hai

bujhte jate hain dukhtii palkon pe deep

neend aai hai, raat guzri hai

Ab naye saal ki mohalat nahi milnay wali


Ab naye saal ki mohalat nahi milnay wali

aa chuke ab to shab-o roz azabon wale

ab to sab dashnaa-o-khanjar ki zubaan bolatay hain

ab kahan log mohabbat k nisabon walay

zinda rehne ki tamana ho to ho jate hain

fakhtaaon k bhi kirdaar uqaabon walay

na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina

mausam aaye hi nahi ab k gulaabon walay

Wo dil nawaaz hai nazar shanaas nahin


Wo dil nawaaz hai nazar shanaas nahin

mera ilaaj mere charagar k paas nahin

tarap rahe hain zabaan par kai sawal magr

mere liye koi shayaan-e-iltamaas nahin

tere ujaalon mein bhi dil kaanp kaanp uthta hai

mere mizaaj ko aasudagi bhi raas nahin

kabhi kabhi jo tere qurb mein guzare the

ab un dinon ka tasawur bhi mere paas nahin

guzar rahe hain ajab marhalon se diidaa-o-dil

sahar ki aas to hai zindagi ki aas nahin

mujhe ye dar hai k teri aarazo na mit jaye

bahut dinon se tabiiyat meri udaas nahin

Gayi woh baat ki ho guftagu to kyun kar ho


Gayi woh baat ki ho guftagu to kyun kar ho

kahin se kuch na hua phir kaho to kyun kar ho

humare zehan mein is fikr ka hai naam wisaal

ki gar na ho to kahan jaayen ho to kyun kar ho

adab hai aur yahi kash'makash to kya keejiye

hayaa hai aur yahi go'ma'go to kyun kar ho

tumhin kaho ki guzara sanam paraston ka

buton ki ho agar aisi hi khu to kyun kar ho

uljhate ho tum agar dekhte ho aaina

jo tum se shahar mein hon ek do to kyun kar ho

jise naseeb ho roz-e-siyaah mera saa

wo shaqs din na kahe raat ko to kyun kar ho

humein phir un se umeed aur unhin humari qadr

humari baat hi puchhe na wo to kyun kar ho

galat na tha humein khat par gumaan tasalli ka

na maane deedaa_e deedaar ju to kyun kar ho

bataao us mishaa ko dekhakar ho mujh ko qarar

yah nesh ho rag_e jaan mein faro to kyun kar ho

mujhe junoon nahi gaalib wale baqaul-e-huzoor

firaaq-e-yar mein taskeen ho to kyun kar ho

Is ada se wo wafa kartay hain


Is ada se wo wafa kartay hain

koi janay keh wafa karte hain

ye btata nahi koi mujh ko

dil jo aa jaye to kya karte hain

husn ka haq nahi rahta baqi

har ada mein wo ada karte hain

kis qadr hain teri aankhen be’bak

in se fitney bhi hayaa karte hain

daag tu dekh to kya hota hai

jabr par jabr kya karte hain

Na'rawa kahiye na saza kahiye


Na'rawa kahiye na saza kahiye

kahiye kahiye mujhe bura kahiye

dil mein rakhne ki baat hai gham-e-ishq

is ko hargiz na bar’mala kahiye

wey mujhe qatl kar k kahte hain

maanta hi na tha ye kya kahiye

aa gai aap ko maseehai

marne walon ko marhaba kahiye

hosh urney lage raqeebon kay

daag ko aur bewafa kahiye

Ajeeb rut thi ky har chand paas tha woh bhi


Ajeeb rut thi ky har chand paas tha woh bhi

bohat malul tha main, udaas tha woh bhi

kisi k shehar mein guftgu ki hawaon se

ye soch kar keh, kahin aas paas tha woh bhi

hum apne zahm mein khush thay ky us ko bhool chukay

magr gumaan tha ye bhi, qayas tha woh bhi

kahan ab gham-e-dunya keh ab gham-e- jaana

wo din bhi the k humein ye raas tha aur woh bhi

faraz tere girebaan pe kal jo hansta tha

usey mile to daridaa libaas tha woh bhi

Mera ji hai jab tak teri justju hai


Mera ji hai jab tak teri justju hai

zubaan jab talak hai yehi guftgoo hai

khuda jane kya hoga anjaam is ka

main be’sabar itna hon woh tund’khu hai

tamanna hai teri agar hai tamanna

teri aarzoo hai, agar aarzoo hai

kiya sair ham ne gulzaar-e- duniya

gul_e dosti mein ajab rang-o-boo hai

ghanimat hai yeh deed wa deed-e-yaraan

jahan murr  gayi aankh, mein hun na tu hai

nazar mere dil ki pari dard kis par

jidhar dekhta hun wohi ru-baru hai

Girifta-e-dil hain bohat aaj tere dewaanay


Girifta-e-dil hain bohat aaj tere dewaanay

khuda kare koi tere siwa na pahchanay

miti miti si umeedein thake thake se khayal

bujhe bujhe se nigahon mein gham k afsanay

hazar shukr k hm ne zuban se kuch na kahaa

ye aur baat k pucha na ehal-e-duniya ne

baqadr-e-tashna-labi pursish-e-wafa na hui

chhalak k rah gaye teri nazar k paimaanay

khayal aa gaya maayuus rah'guzaaron ka

palat k aa gaye manzil se tere deewanay

kahan hai tu k tere intazaar mein ay dost

tamaam raat sulagte rahe dil k weeranay

umeed-e-pursish-e-gham kis se kijiye nasir

jo mere dil pe guzarti hai koi kya janay

Dukh ki lehar ne chhera ho ga


 Dukh ki lehar ne chhera ho ga

yad ne kankar phenka ho ga

aaj to mera dil kahta hai

tu is waqt akela ho ga

mere chume hue haathon se

auron ko khat likhta ho ga

bheeg chalin ab raat ki palkein

tu ab thak kar soya ho ga

shahr k khali asteshan par

koi musafir utra ho ga

aangan mein phir chiriyaan bolein

tu ab so kar utha ho ga

yadon ki jalti shabnam se

phool sa mukhara dhoya ho ga

moti jaisi shaql bana kar

aaine ko tak-ta ho ga

shaam hui ab tu bhi shayd

apne ghar ko lauta ho ga

neeli dhundhali khamoshi mein

taaron ki dhun sunta ho ga

mera sathii shaam ka taara

tujh se aankh milaata ho ga

shaam k chalte hath ne tujh ko

mera salam to bheja ho ga

pyasi kurlati kunjon ne

mera dukh to sunaya ho ga

main to aaj bohat roya hon

tu bhi shayd roya ho ga

nasir tera meet purana

tujh ko yad to aata ho ga

Shaam-e- firaaq ab na poch aai aur aa k tal gai


Shaam-e- firaaq ab na poch aai aur aa k tal gai

dil tha k phir bahal gaya, jaan thi k phir sanbhal gai

bazm-e- khayal mein tere husn ki shama jal gai

dard ka chaand bujh gaya, hijr ki raat dhal gai

jab tujhe yad kar liya, subha mahak mahak uthi

jab tera gham jaga liya, raat machal machal gai

Meri cahat ka sar-e-aam carcha na karo


Meri cahat ka sar-e-aam carcha na karo

km to pahly nahi or ruswa mat karo

kbhi jugnu kbhi tary kbhi nargas kah kar

tm meri ankhoo ko es tarha chera na karo

bhanp jaye na kahi dil ki lagi ye dunia

youn safaq ban k mery cehry p tahra na karo

choti si bat b afsana bana deti hai jane manh

tm kitaboo p mera nam na likha karo

hai eibarat ki tarha nam tmhara ye mjhe kaha na karo

dil ko be chain sa karti hai ankhain tmhari

raat ko dair talak tm mjhe socha na karo

sab ky samny karo kis tarha iqrar

youn sar-e-bazaar mohabbat ka dawa na karo

Hamari simat na dekho


Hamari simat na dekho

Keh koi dair main

Hum qibla-e-dil-o-jaan se guzarnay wale hain

Be'basaye huye shaher apni aankhon kay

Misl-e-khaana-e-veeraan ujarnay wale hain

Hawa ka shor yahi hai

Tu dekhtay rehna

Hamari umar kay khaimay ukharnay wale hain

Hum dono jo harf hain , hum ek roz mile



Hum dono jo harf hain , hum ek roz mile

Ek lafz bana

Aur hum ne ek maani paaye

Phir janay kiya hum par guzri

Aur ab youn hai

Tum ek harf ho ek khaanay main

MAin ek harf hoon ek khaanay main

Beech main kitnay lafzon kay khaanay khaali hain

Phir se koi lafz banay

Aur hum dono ek maani payein

Aisa ho sakta hai

Lakin sochna ho ga

in khaali khaano main hamain bharna kiya hai 

Zamanay kay andaaz badlay gaye naya raag hai saaz badlay gaye


Zamanay kay andaaz badlay gaye

Naya raag hai saaz badlay gaye

Khirad ko ghulaami ko azaad kar

Jawaano ko peeron ka ustaad kar

Zamanay kay andaaz badlay gaye

Naya raag hai saaz badlay gaye

Jigar se wohi teer phir paar kar

Tamana ko seenon main baidaar kar

JAwaano ko soz-e-jigar bakhsh dy

Mera ishq meri nazar bakhsh dy

Zamanay kay andaaz badlay gaye

Naya raag hai saaz badlay gaye

Khirad ko ghulaami ko azaad kar

Jawaano ko peeron ka ustaad kar

Zamanay kay andaaz badlay gaye

Naya raag hai saaz badlay gaye

Pila dy mujhay woh meh parda soz

Keh aati nahin fasal-e-gul roz roz

Woh meh jis se roshan hai zameer-e-hayaat

Woh meh jis se hai masti-e-kainaat

Masti-e-kainaat

Zamanay kay andaaz badlay gaye

Naya raag hai saaz badlay gaye

Khirad ko ghulaami ko azaad kar

Jawaano ko peeron ka ustaad kar

Zamanay kay andaaz badlay gaye

Naya raag hai saaz badlay gaye



Poet : Allama Mohammad Iqbal

Hum ne kiya maanga zindagi se


Hum ne kiya maanga zindagi se

Khushi , pyaar aur sakoon

Mila aab-e-chaahm aankhon ko

Khoya apna ehsaas

Aas ko lagai aag

Toot gaya jazba

Baaqi raha apna khaali maqbara

Jurm tha , mujrim thi , jiger kaata

BE'zaar hui khud se

Rooh ne jism choora

Tan bhi sookh gaye

Jazba chahnay ka

Kabhi kaam na hua

Tumhain majboor ho kar hum ne aakhir likh diya jaana


Tumhain majboor ho kar

Hum ne aakhir likh diya jaana

Keh in halaat main behtar hai

Hum bhi maan hi jayein

Hamara ab baham rehna nahin mumkin

So apnay dil ko samjhana zaroori hai

Bichar jaana zaroori hai

Kuch bhi to nahi waisa jaisa tujhe socha tha


Kuch bhi to nahi waisa

jaisa tujhe socha tha

jitna tujhe chaha tha

socha tha tere lab per

kuch harf dua'on kay

kuch phool wafa'on kay

mehkein gay meri khatir

kuch bhi to nahi waisa

jaisa tujhe socha tha

mehsoos yeh hota hai

dukh jheelay thay jo ab tak

be-naam musaafat mein

likhnay ki mohabbat mein

parhnay ki zaroorat mein

be-sood riyazat thi

be-faiz ibaadat thi

jo khawaab bhi dekhay thay

in jaagti aankhon nay

sab khaam-khayali thi

phir bhi tujhe paanay ki

dil ke kisi goshay mein

khuwahish to bacha li thi

lekin tujhe paa kar bhi

aur khud ko ganwa kar bhi

iss habs k mausam ki

khirki say hawa aai

na phool say khushbo ki

koi bhi sadaa aai

ab neend hai aankhon mein

na dil main wo pehli si

taaza sukhan aara'i

na lafz mere niklay

na harf-o-ma'ani ki

danish mere kaam aai

na'deeda rafaaqat mein

jitni bhi aziyyat thi

sab mere hi naam aai

kuch bhi to nahi wesa

jesa tujhe socha tha

jitna tujhe chaha tha

wada na wafa kartay wada to kiya hota


Ya rab gham-e-hijraan mein itna to kiiya hota

jo hath jigar par hai wo dast-e-dua hota

ek ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat

ya gham na diya hota ya dil na diya hota

nakaam tamana dil iss soch mein rehta hai

yun hota to kya hota, yun hota to kya hota

umeed to bandhh jati taskeen to ho jati

wada na wafa kartay wada to kiya hota

zinda hain, yehi bari baat hai payary


Is shehar-e-kharabi mein gham-e-ishq k maray


zinda hain, yehi bari baat hai payary


yeh hansta hua chand, ye pur'noor sitaarey


tabindaa-o-paayindaa hain zarron k saharey


hasrat hai, koi gunchaa humein pyar se dekhay


armaan hai, koi phool humein dil se pukaray


har subah, meri subah pe rotii rahi shabnam


har raat, meri raat pe hanstey rahe taarey


kuch aur bhi hain kaam humein gham-e-jaana


kab tak koi uljhii hui zulfon ko sanwaray

kis qayamt ki raat guzri hai




Dil se har guzri baat guzri hai

kis qayamt ki raat guzri hai

chaandnii neem'wa dariichaa-e-sukoot

aankhon aankhon mein raat guzri hai

haaye wo log, khoobsurat log

jin ki dhun mein hayaat guzri hai

kisi bhatkay hue khayal ki mouj

kitni yadon k sath guzri hai

tam'tmata hai chehraa-e-eyaam

dil pe kya wardaat guzri hai

phir koi aas larkharai hai

keh naseem-e-hayaat guzri hai

bujhte jate hain dukhtii palkon pe deep

neend aai hai, raat guzri hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...