Feb 6, 2015

Dil kay veranay main ek shama hai ab tak roshan


Dil kay veranay main ek shama hai ab tak roshan 

Koi parwana magar ab na idher aaye ga 

Zindagi beet gayi pyaar main jaltay jaltay 

Koi umeed bar ayi na , na koi baat bani 

Jag'magaya na sitara koi armanoo ka 

Hum ne dil ko bhi jalaya to siyah raat bani 

Dil jalon par koi mehshar sa guzar jaye ga 

Jin ki dharkan main suni 

Hum ne wafaon ki sada 

Aakhar-e-kaar wohi ban gaye 

Pathar kay sanam 

Na saji hathon pe mehandi 

Na baji shynai 

Ab to karta huwa apni hi wafa ka maatam 

Piyar maksal ki taraf khaak basar jaye ga 

Kitnay gaatay huwey armanoo ki barsat kay baad

Aas ki jheel main lahraee thi kuch neel kanwal 

Kya khabar thi keh woh mehfil hi ujar jaye gi 

Jis main gaa'ei thi kabhi hum ne mohabbat ki ghazal 

Apna her naghma flahoon main bikhar jaye ga 

Kitna behis huwa kartay nahin ehal-e-wafa 

JAnay kiya soch kay toheen-e-wafa ki tu ne 

Koi jhonka bhi jissay chu na saka teray bagahir 

Apnay hathon se wohi shama bujha di tu ne 

Kiya khabar thi teray ehsaas bhi mar jayein gay 

BAn kay parwana kabhi tu na idher aaye ga

Hamari simt na dekho keh koi dair main


Hamari simt na dekho keh koi dair main 

Hum qibla-o-dil-o-jaan se guzarnay walay hain 

Be'basi huwey shaher apni aankhon kay 

Misal-e-khana-e-veraan ujarnay walay hain 

Hawa ka shor yahi hai 

To dekhtay rehna 

Hamari umar kay khaimay ukharnay walay hain 

Idher dekho yeh khamoshi zara achi nahin lagti


Idher dekho yeh khamoshi 
Zara achi nahin lagti 
Kaho 
Kuch to kaho jaana
Rutain kaisay badalti hain 
Baharain gum hui kaisay 
Khizaan ka raaj kaisay hai 
Chalo ik lafz-e-ghalat'fehmi 
YA ik rishtay ki sachaai
Mohabbat , dosti , nafrat 
Kisi mozo ko chairain hum 
Koi ro raey do apni 
Koi to silsala niklay 
Meray in sookhye baalon par 
Meri banjar si aankhon par 
Meray in mailay daanton par 
Chalo tanqeed kar dalo 
Sitaray aisi palkon par 
Nahin jana , nahin achay
Tumhari to yeh aadat thi 
Meri her baat par hansana 
Zameen par apni ungli se 
Aray kiya likh rahay ho tum 
Suno tum se mukhatib hoon
Mujhay dekho main kaisay hoon 
Agarchay mar gaya hoon main 
Tumhara hukam mana hai 
To phir kis baat ka rona 
Tumhain to muskurana hai 
Inhi ik do dno main to 
Mujhay bas bhool jana hai 

Chalo ab faisla kar lo keh apni jo mohabbat thi


Chalo ab faisla kar lo 
Keh apni jo mohabbat thi 
NAsha tha woh jawani ka 
Khumaar utra to jana 
Mohabbat youn nahin hoti 
Jo main ne khwaab dekhye thay 
Ab un ki kirchiyaan hain 
Aur zakhmi paaon hain meray 
Tumhara hum'qadam rehna 
Mujhay mumkin nahin lagta 
Tumharay aur meray darmiyaan 
Dewar hai shayed jo 
Hargiz gir nahin sakti 
Tumhain woh log pyaray hain 
Jo mujh ko zehar lagta hain
Mujhay tum ab bhi piyaaray ho 
MAgar ab mor aisa hai 
Jahan itnay mukhlis hain 
Tumhain yeh to pata ho ga 
Mukhalif simt chalnay se 
Kabhi manzil nahin milti 
To phir kiyton waqat khotay ho 
Chalo ab faisla kar lo 
 
 

Tum to bas ik hi dukh poochtay ho


Tum to bas ik hi dukh poochtay ho 

Kon se dukh ki karain baat zara yeh bh bata 

Masoom, sard hawaon ki masihaai ka dukh 

Raah ki dhool main bikhri hui be'naai ka dukh 

Sang kay shaher main khud se shanasai ka dukh 

Ya bheegi barsaat main tanhai ka dukh 

Kon se dukh ki karain baat keh dil kay dariya 

Itni tughyaani ki zad par hai keh kuch yaad nahin 

KAb hamain bhool gaya kon se hijar ka dukh 

Tum to bas aik hi dukh poochtay ho

Ek weham tha dil main shayed kabhi milo tum


Ek weham tha dil main shayed kabhi milo tum 
Kuch dair ruk kay poocho be'taab dino ka mousam 

Awaz main ho larzish aankhon main ik tajassus
Maazi ka koi lamha shayed Aatak gaya ho 

Sab bhool kar bhi shayed kuch yaad aa gaya ho 
Phir main tumhain bataon apni khushi ki baatein 

Her dukh chupa kay dil main Asoodagi ki baatein 
Woh chaand choudween ka taaron bhari woh raatein 

Pyaar ka tasawur aur bandagi ki baatein 
Woh roz roz marna aur zindagi ki baatein 

Tum dukh se muskaraao aur dheeray se paas aayo
Sir ko jhuka kay apnay chup chaap loat jaao 

Phir main bhi muskaraaon aur dil kay diye bujhaaon 
Lehraaon apnay jee main main aik talkh si haqeeqat

Ek khawab zindagi ka haan umar bhar jo dekha 
KAbhi ho saka na poora youn hi reh gaya adhoora 

Kahan ho tum chalay aao mohabbat ka takaza hai


Kahan ho tum chalay aao mohabbat ka takaza hai 
Gham-e-duniya se ghabra kar tumhain dil ne pukaara hai 

Kahan ho tum 

Tumhari be'rukhi ik din hamari jaan lay lay gi 
Qasam tum ko zara socho, keh dastoor-e-wafa kiya hai 

Kahan ho tum 

Na hai fariyaad  honton par na aankhon main koi aansoo 
Zamanay se mila jo gham ussay geeton main dhaala hai 

Kahan ho tum

Kahan ho tum chalay aao mohabbat ka takaza hai 
Gham-e-duniya se ghabra kar tumhain dil ne pukaara hai

US ka husan ho , mera ishq ho


US ka husan ho , mera ishq ho 
To phir husan-o-ishq ki baat ho 
KAbhi main milon , kabhi woh milay 
KAbhi hum milein mulaqaat ho 
KAbhi woh ho chup
KAbhi main hoon chup
Kabhi dono hum chup chaap hon 
KAbhi gutagoo 
Kabhi tazkaray 
Koi zikar ho 
koi baat ho 
KAbhi wisal ho to din ko ho
Kabhi hijar ho to woh raat ho 
Kabhi ulfatein 
Kabhi nafratein 
Kabhi jeet ho 
Kabhi maat ho
Kabhi phool ho 
Kabhi dhool ho 
KAbhi yaad ho kabhi bhool ho 
Rehna muskuraatay pyaar main 
Khilein phool ban kay bahaar main 
Na zameen koi na falak koi 
Na wajood ho 
Na hi zaat ho 
Sirf
Tera husan ho , mera ishq ho 
Teri zaat main , meri zaat ho 

 

Kinara kar kay rishton se wafaein haar kay


Kinara kar kay rishton se wafaein haar kay 

Mohabbat ki haqeeqat ko woh ab samjhay to kya samjhay

Woh poochta hai ? Tum kiyon mohabbat ki baatein nahin kartay


Woh poochta hai ?
Tum kiyon mohabbat ki baatein nahin kartay 
MAin ne kaha 
Jo lafzon main biyaan ho jaye 
Sirf itni si mohabbat hum nahin kartay

Karna tanz hi hai to , hansanay ka takalluf kaisa


Karna tanz hi hai to , hansanay ka takalluf kaisa 

Kiyon zehar dy rahay ho ? mohabbat mila mila kar

Baat itni si thi keh tum achay lagay thay


Baat itni si thi keh tum achay lagay thay 

Baat itni barh gayi hai keh ab tum bin koi acha nahin lagta

Main ne kaha keh bhout pyaar aata hai tum par


Main ne kaha keh bhout pyaar aata hai tum par 

Woh muskura kay bolay aur tum ghreeb logon ko aata bhi kiya hai

Teri be'parda nigahon ka nishaana ban kay


Teri be'parda nigahon ka nishaana ban kay 
Khud se jhagra hoon bhout tera dewana ban kay 

Mujhay is tarah se na dekh teri nazron ki qasam 
Phir na reh paaon ga main tujh se be'gana ban kay 

Neend aankhon kay dareechay se to hai door magar 
Khwaab aatay hain phir sonay ka bahana ban kay

YEh talatum teri ulfat ka meray dil main to hai 
Khatam ho jaye na yeh qissa fasana ban kay 

Is qadar chahna us ko na raas aaya 
Woh meray paas se guzra hai be'gana ban kay

Tum se milnay ki tamana to kab se dil main thi



Tum se milnay ki tamana to kab se dil main thi 

Meri hasrat , teri fursat ki talab'gaar hi rahi

Hum bhula na sakay ik pur'khaloos aankh ki khoobsurti ko


Hum bhula na sakay ik pur'khaloos aankh ki khoobsurti ko 

Log jiger walay hain her roz naya mehboob bana letay hain

Kuch ajab rang se guzri hai zindagi apni


Kuch ajab rang se guzri hai zindagi apni 
Dilon pe raj kiya aur mohabbaton se mehroom rahya 

Hum wafa kar kay bhi ban gaye mujrim 
Aur woh dil tor kar bhi masoom rahya

Toot sa gaya hai meri chahaton ka wajood


Toot sa gaya hai meri chahaton ka wajood 

Ab koi acha bhi lagay to hum izhaar nahin kartay

Woh jis ki yaad main hum pal pal jee rahay hain


Woh jis ki yaad main hum pal pal jee rahay hain 

Hamein woh sochta bhi ho yeh zaroori to nahin

Mohabbat rooh main utra hua ik noor hai


Mohabbat rooh main utra hua ik noor hai 

Taa'luq kam bhi ho jaye , mohabbat kam nahin hoti

US ne kaha mujhay bhool jaao main ne tumhain dil se nikal diya hai


Uss ne kaha mujhay bhool jaao main ne tumhain dil se nikal diya hai 

Sakoon mila yeh sun kar keh kabhi to us kay dil main tha main

Itnay pyar se chaha jaye to pathar bhi apnay ho jatay hain


Itnay pyar se chaha jaye to pathar bhi apnay ho jatay hain 

Na janay yeh matti kay insaan itnay maghroor kiyon hotay hain

Chor do kisi ki wafa ki Aas


Chor do kisi ki wafa ki Aas

Jo rooth saktay hain woh bhool bhi saktay hain

Dhoonda karo gay ek roz hamari pagal si mohabbat ko


Dhoonda karo gay ek roz hamari pagal si mohabbat ko 

So jayein gay jab kisi roz hum safaid chahdar orh kar

Bad'naam kartay hain log hamein shaher main jis kay naam se


Bad'naam kartay hain log hamein shaher main jis kay naam se

Qasam se hum ne us ko kabhi ji bhar kay dekha bhi nahin

Abhi to hum aap kay liye kuch nahin


Abhi to hum aap kay liye kuch nahin 
Yeh din guzar jayein gay 
Yeh mousam badal jayein gay 
Waqat to guzar hi jata hai 
Aap ka bhi hamara bhi 
Lakin 
Aik din kisi lamhay aap ko hamari yaad aaye gi 
To aap be'ikhtiyaar do gay 
Log poochain gay kiya hua 
Aur aap kaho gay kuch nahin

Kaha us ne batao zara mohabbat hai kiya ?


Kaha us ne
Batao zara mohabbat hai kiya ?
KAha main ne 
Mohabbat zindagi hai 
Aur 
Zindagi tum ho 
Bas 
Us din se woh mujh se khafa hai 
Kehta hai zindagi to be'wafa hai

Woh aur hon gay jinhain teri zaat se hai gharz


Woh aur hon gay jinhain teri zaat se hai gharz

Hum to her mor main milein gay tujh se be'matlab ho kar

Zakham khareed laya hoon bazar-e-dard se


Zakham khareed laya hoon bazar-e-dard se 

Dil zid kar raha tha , mujhay pyaar chahiye

Hum matlabi nahin keh chahnay walon ko dhoka dain


Hum matlabi nahin keh chahnay walon ko dhoka dain 

Bas hamein samjhna thora mushkil hai anjan logon kay liye

Husan walay jab tortay hain dil kisi ka


Husan walay jab tortay hain dil kisi ka 

Bari saadgi se kehtay hain majboor hain hum

Kisi ko tum dil se chaho aur woh tumhari qadar na karay


Kisi ko tum dil se chaho aur woh tumhari qadar na karay 

To yeh us ki bad'naseebi hai tumhari nahin

Tum aayo kabhi dastak do dar-e-dil par


Tum aayo kabhi dastak do dar-e-dil par 

Mohabbat pehlay se kam ho to shikayat karna

Jaisay phir haath main khushboo kay khazanay aaye


Jaisay phir haath main khushboo kay khazanay aaye
Yaad phir se mujhay woh guzray zamanay aaye 

Meray apnay bhi mujhay bhoolay huwey hain shayed 
Aik muddat se nahin dil ko dukhanay aaye

Aur deleez pe aa jaati hain yaadein lakin 
Loat kay phir nahin bachpan kay zamanay aaye 

Ab kay mousam ne bhi ehsaan kiya hai mujh pe 
Yaad phir se mujhay woh dard puranay aaye 

Khoob rakha hai rafaqat ka bharam us ne bhi 
Kat chukay haath to phir haath milanay aaye

Ek baar suno kuch aisa hua


Ek baar suno kuch aisa hua
Woh mujh ko mila
Main us ko mila 
Izhaar hua 
Iqraar hua 
Woh dost bana 
Main yaar hua 
Ussay ishq bhout 
Mujhay pyaar bhout 
Hum dono main takraar bhout 
Phir kuch youn hua 
Woh chor gaya 
Main toot gaya 
Phir kuch youn milay 
Woh tanha tha 
MAin akela tha 
Bas hum do thay 
Aur koi na tha 
Woh ronay laga 
MAin be'bas raha 
NA pyar na hi izhaar raha 
Bas farq sirf itna sa raha 
Woh matti kay oper rota raha 
MAin matti kay andar sota raha 


Yaad rakhtay hain hum aaj bhi tumhain pehlay ki tarah


Yaad rakhtay hain hum aaj bhi tumhain pehlay ki tarah 

Kon kehta hai faaslay doston ki yaad mita detay hain

Tera wada bhi bara ajeeb tha keh zindagi bhar saath nibhaein gay


Tera wada bhi bara ajeeb tha keh zindagi bhar saath nibhaein gay 

Main ne yeh bhi nahin poocha keh teray saath ya yaadon kay saath

Wahan na phool khiltay hain na hi mousam badaltay hain


Wahan na phool khiltay hain na hi mousam badaltay hain 
Wahan to kuch nahin hota jahan par tum nahin hotay

Wahan waisay to her soghaat asaani se milti hai 
Par mera dil nahin lagta jahan par tum nahin hotay

Yahan to log sadiyon ko bhi lamhon main badaltay hain 
Mera ik pal nahin kat'ta jahan par tum nahin hotay 

Sabab ronay ka woh poochain to itna keh dena 
Mujhay hansna nahin aata jahan par tum nahin hotay

Zaroori nahin pyar ki manzil mil jaye


Zaroori nahin pyar ki manzil mil jaye 
Jissay hum chahtay hain woh hamein mil jaye 

Na milay to na kaho ussay be'wafa
Dua karo koi hum se bhi acha ussay mil jaye

Kisi ko kya hasil ho ga mujhay yaad karnay se


Kisi ko kya hasil ho ga mujhay yaad karnay se 

Main to aam sa insaan hoon yahan to sab ko khaas ki talaash hai

Anjaam ki khabar hoti to hum mohabbat hi na kartay


Anjaam ki khabar hoti to hum mohabbat hi na kartay 

Na unhon ne wafa ki na kisi ki wafa kay qabil chora

Baat baat par aur her baat par judai ki dhamki


Baat baat par aur her baat par judai ki dhamki 

Tum ne to mohabbat main bhi bad'maashi laga rakhi hai

Khushiyaan bhi tarasti hain mujh se milnay ko


Khushiyaan bhi tarasti hain mujh se milnay ko 

Aur gham to bas na poocho , jaisay ko jigri yaar ho mera

Teray ishq ne sarkari daftar bana diya dil ko


Teray ishq ne sarkari daftar bana diya dil ko 

Na koi kaam karta hai na koi baat sunta hai

Meray dil main mohabbat bhout thi


Meray dil main mohabbat bhout thi 
Magar phir bhi tum ko shikayat bhout thi 

Mera dard khulta bhi kiyon kisi par 
Mujhay muskuraanay ki aadat bhout thi 

Meri zindagi main woh lamhay bhi aaye 
Jab mujhay her qadam par tumhari zaroorat bhout thi

Mananay ka mujh main hunar hi nahin tha 
Aur tum ko rooth janay ki aadat bhout thi

Tum main heeray ki sift hai to andheron main milo


Tum main heeray ki sift hai to andheron main milo 

Dhoop main kaanch kay tukray bhi chamak saktay hain

Pani ki lakeeron pe harf-e-biyaan likhna chor do


Pani ki lakeeron pe harf-e-biyaan likhna chor do 
Saahil pe rait kay kachay makaan banana chor do 

Chaho to be'sabab chaho hamein warna 
Meri maano to chahat kay asbaab banana chor do 

Zamana naam hai mushkalon aur nafraton ka 
Meray liye zamana ya mujhay zamanay kay liye chor do 

Hosla to bhout deti ahi mohabbat bhi nafrat bhi 
Mujhay paanay ki koshish to karo chahye hasil kar kay chorr do
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...