Nov 28, 2014

Bheegi hui hai raat magar jal rahay hain hum


Bheegi hui hai raat magar jal rahay hain hum 
Honay lagi barsaat magar jal rahay hain hum 

Seenay main kaisa dard hai honton pe kaisi pyaas hai 
Kaisay batain hum tumhain anjaana ehsaas hai 

Tum ho hamaray saath magar jal rahay hain hum 
Honay lagi barsaat magar jal rahay hain hum 

Bheegi hui hai raat magar jal rahay hain hum 
Baithay to hain jaan-e-ada chahat kay saye talay 

Phir bhi hain kiyon be'chain yeh waqat kiyon na dhalay 
Hai shabnami mulaqaat magar jal rahay hain hum 

Honay lagai barsaat magar jal rahay hain hum 
Bheegi hui hai raat magar jal rahay hain hum

Bhout takleef deta hai kisi ko alwida kehna


Bhout takleef deta hai kisi ko alwida kehna 

Dikhaai kuch nahin deta 

Sunnai kuch nahin deta 

Faqat kuch kap'kapaatay lafaz 

Jo honton pae tehar jayein 

Ubharti doobti dharkan 

Ussay awaaz deti hai 

Koi apna keh jis ka naam apnay dil pe likha ho 

Keh jis kay wastay dil se duaien hi nikalti hon 

Bhout takleef deta hai ussi ko alwida kehna 


Dil to kehta hai zamanay se chura loon tujh ko


Dil to kehta hai zamanay se chura loon tujh ko 
Dil ki dharkan ki tarah dil main basa loon tujh ko 

Koi ehsaas judai ka na rehnay paye 
Is tarah khud main meri jaan chupa loon tujh ko 

Tu jo roothay mujh se meri zindagi kay maalik 
Sari duniya se khafa ho kar mana loon tujh ko 

Jab bhi main dekhon teray chahray pe udaasi ka samaa
Bas yeh chahon kisi tarah hansa loon tujh ko 

Qadam thak gaye hain door nikalna chor diya hai


Qadam thak gaye hain door nikalna chor diya hai 

Par aisa nahin hai keh main ne chalna chor diya hai 

Aaj bhi akelay hain duniya ki bheer main 

Par aisa nahin keh main ne zamana chor diya hai

Agar khush hai woh dekh kar ansoo meri aankhon main


Agar khush hai woh dekh kar ansoo meri aankhon main 

To khuda ki qasam hum muskuraana hi chor dain gay 

Taraptay rahain gay ussay dekhnay ko 

Magar us ki taraf palkain uthaana hi chor dain gay 

Woh manzil hi kiya meri jo dukh de us ko 

Khuda ki qasam us manzil pe hum jana hi chor dain gay

Tum se judai kay aansoo aankhon main rehtay hain


Tum se judai kay aansoo aankhon main rehtay hain 
Kisi kay samnay kahan , yeh to dil main behtay hain 

Zindagi ka saleeqa kahan hai hamain ab dagmagaatay hain qadam 
Tum ho zindagi meri hum to baar baar yahi kehtay hain 

Hai hasrat-e-dil keh koi bhi pal na teri yaad se ghafil 
Hum soye kahan hain bas jaagtay rehtay hain 

Itna chalay hain keh chal chal kay thak gaye hain 
Sitaaray to bhout hain par hum tumhain chaand kehtay hain 

Tum se judai kay aansoo aankhon main rehtay hain 
Kisi kay samnay kahaan yeh to dil main behtay hain

Ajnabi khouf fizaon main basa ho jaisay


Ajnabi khouf fizaon main basa ho jaisay 
Shaher ka shaher hi asaib zada ho jaisay 

Raat kay pichlay pehar aati hain awazain si 
Door sehra main koi cheekh raha ho jaisay 

Dar-o-dewaar pe chai hai udaasi aisi 
Aaj her ghar se janaza sa utha ho jaisay 

Muskuraata hoon pa-e-khatir-e-ehbaab magar 
Dukh to chehray ki lakeeron pe saja ho jaisay 

Ab agar doob gaya bhi to na maron ga "Kamal"
Behtay paani pe mera naam likha ho jaisay

Kuch khwaab sohanay toot gaye


Kuch khwaab sohanay  toot gaye 
Kuch yaar puranay rooth gaye 

Kuch zakham lagay thay chehray par 
Kuch andar se hum toot gaye 

Kuch hum thay tabiyat kay saaday 
Kuch log begaanay loot gaye 

Kuch apno ne badnaam kiya
Kuch ban afsaanay jhoot gaye 

Kuch apni shakista nao thi 
Kuch hum se kinaaray choot gaye

Aaj rootha hua ik dost bhout yaad aya


Aaj rootha hua ik dost bhout yaad aya 
Acha guzra hua kuch waqat bhout yaad aya 

Meri aankhon kay her ik ashk pe ronay wala 
Aaj jab yeh aankh roi to bhout yaad aya 

Jo meray dard ko seenay main chup leta tha 
Aaj jab dard hua mujh ko bhout yaad aya 

Jo meri aankh main kajal ki tarah rehta tha 
Aaj kajal jo lagaya to bhout yaad aya 

Jo meray dil kay tha qareeb faqat us ko hi 
Aaj jab dil ne bulaya to bhout yaad aya

Zara tham tham kar barsa kar


Zara tham tham kar barsa kar 
Abhi itna na rootha kar 

Abhi to door hai manzil 
Abhi khud ko na tanha kar 

Teri aankhain samnadar hain 
Samandar ko na sehra kar 

Mera dil doob jaata hai 
Mujhay aisay na dekha kar 

Hawa mujh se kahay pagal 
Na youn raston main baitha kar 

Woh ik din chor jaye ga 
Ussay itna na chah kar

Mili her qadam par rafaqat tumhari


Mili her qadam par rafaqat tumhari 
Kahan hum kahan yeh inayat tumhari 

Hamain chaiye bas taa'luq tumhara 
Mohabbat milay ya adawat tumhari 

Kisi se bhi milna ussay jeet lena 
Bari dil'nasheen hai yeh aadat tumhari 

Na dekha jahaan main koi aur tum sa
Bari munfarid hai tabiyat tumhari 

Mahain zindagi kay kai raaston par 
Hamesha rahay gi zaroorat tumhari 

Youn na mil mujh se khafa ho jaisay


Youn na mil mujh se khafa ho jaisay 
Saath chal moj-e-saba ho jaisay 

Log youn dekh kar hans detay hain 
Tu mujhay bhool gaya ho jaisay 

Ishq ko shirk ki had tak na barha 
Youn na mil hum se khuda ho jaisay 

Mout bhi ayi to is naaz kay saath 
Mujh pe ehsaan kiya ho jaisay 

Aisay anjaan banay baithay ho 
Tum ko kuch bhi na pata ho jaisay 

Hichkiyaan raat ko aati hi raheen 
Tu ne phir yaad kiya ho jaisay 

Zindagi beet rahi hai "Imran"
Ek be-jurm saza ho jaisay 


Is liye khamoshi se dosti kar li hai


Zindagi main baatain bhout kar lein 
Sun liya hai jawaab bhi 
KAbhi doston se , kabhi dushmano se 
Lafzon ki is bheer main ghutan si hoti hai ab to 
Mujhay snaatay chahiye
Is liye khamoshi se dosti kar li hai 
Baaton ki tishnagi bardaasht karnay ki taqat nahin rahi 
Veeranay main sar chupaanay ki jaga chahiye 
Alfaazon ka koi matlab hi nahin milta 
Is liye khamoshi se dosti kar li hai 
Rahain gay tamanai , tamana to rehti hai 
Par halaat yeh hain keh ab saray hosh hawaas kho chukay
Is barbaadi ko kab tak jhail sakta hai yeh dil-e-dimaagh 
Armaano se tang aa chukay hain hum bhi 
Is liye khamoshi se dosti kar li hai 
Muskuraahaton se roshan hoti rahay gi yeh duniya 
Mujhay roshniyon se dar lagnay laga hai 
Mujhay andhera chahiye
Is liye khamoshi se dosti kar li hai  

Do pyaasay dil aik huye hain aisay


Do pyaasay dil aik huye hain aisay 
Bichrain gay ab kaisay 
Tum pyaar mujhay kartay hi rehna 
Sari umar tum aisay 
Ek doojay main kho jaatay hain 
NAdiyaan sagar jaisay 
Tujh se hai yeh zindagi 
Tujh se hai jeewan kahaani 
Tujh se hai sanjh aur sewera

Saathi kabhi tu na roothay 
Rasmon ki dewaar tootay 
Tootay na baanhon ka ghaira 
Meray sanam teri qasam 
Tujh se hai wada yeh mera 
Aisay rahain gay 
Nain aur nindiya jaisay 

Qadmon talay her khushi hai 
Kitni haseen zindagi hai 
Jeewan youn hi beet jaye 

Aankhon kay tu ru-ba-ru hai 
Dekhon jidhar tu hi tu hai 
Tujh bin nazar kuch na aye 
Haye zindagi hamain kabhi 
Zamana juda kar na paye 
Aisay rahain gay 
Phool aur khushboo jaisay 
 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...