Dec 3, 2014

Woh kehta tha meray dil ko mohabbat bojh lagti hai

KEh is ki band nagri se mujhay kuch khouf aata hai

Her aik lamha draata hai

Mujhay kuch aisa lagta hai

Keh is ki narm khamoshi

Meri saansain chura lay gi

Mujhay be'bas bana day gi

Mujhay azaad rehna hai

Faqat itna hi kehna hai

Sun kay us ki sab baatain

Main bas yeh bol parti thi

Mohabbat qaid rakhti hai

Magar is qaid main reh kar

Jo khushiyaan dil ko milti hain

Kahin se mil nahin saktein

Keh is ki narm zanjeerain

Kabhi ghayal nahin kartein

Mohabbat aisi manzil hai

Keh jis kay raaston pe

Wafa ka dars milta hai

Nibah ka dars milta hai

Dilon pe raaj karnay ki ada ka dars milta hai

Yeh her dil ki zaroorat hai

Mohabbat khoobsurat hai

Mohabbat khoobsurat hai

Mohabbat rog hoti hai

 Mohabbat rog hoti hai

Mohabbat rog hoti hai

Kaha bhi tha

Rula kay khud bhi roti hai

Kaha bhi tha

Ussay tum dil ki dharti ka pata na do

Yeh us main dard boti hai

KAha bhi tha

Kinaaray kay bhout nazdeek le ja kar

Yeh kashti ko daboti hai

Kaha bhi tha

Azal se is ki aadat hai

Zamanay ko jaga kar khud yeh soti hai

Kaha bhi tha

Ya sar se paaon tak raakh kar deti hai

Bhout be'dard hoti hai

Kaha bhi tha 

Mohabbaton main gar koi jadugari nahin hoti

Chakori chaand kay liye youn baa'nawari nahin hoti

Dil ki aahatain dil khud ba'khud hi sunta hai

Dil kay muamalaat main mukhbari nahin hoti

Ik nigaah main hi log rooh tak utartay hai

Nazar koi bhi pyaar main sar'sari nahin hoti

Seenchta hoon raat din aab-e-chasham se magar

Phir bhi shaakh-e-jaan meri kyn hari nahin hoti

Lay ja khud samait kar jo bhi meray paas hai

Ab mujh se teri yaadon ki dilbari nahin hoti

Tu ne jo bhula diya to kiyon karoon shikayatein

Khuda kay kis kaam main behtari nahin hoti

Ik chragh se yahan so chragh jaltay hain

Mohabbat koi jahaan main aakhri nahin hoti

Haan bhatak hi jaana tha teri raah main mujhay

Kisi kay naqsh-e-paa se jo raahbari nahin hoti

Teray baad bhi khwaab dekhta hai par

Ab kisi bhi khwaab main koi pari nahin hoti 

Yahan lehron ne saahil se judaa hona hi tha

Jis tarah hum ne chaha us tarah hona hi tha

Raiza raiza ho kar bikhra fiza'on main badan

Chandani ki chah main yeh hadsa hona hi tha

Haddon se guzar kar hum ne pooja tha jinhain

Un haseen logon ne aakhir devta hona hi tha

Umar bhar dil shaad rehta tark-e-ulfat pe mera

Ek baar to woh poochta agar be'wafa hona hi tha

Hain mundamil ab chahton kay woh zakham

Jal kay dil ki raakh nay aakhir dawa hona hi tha 

Juda honay kay mousam main juda hona zaroori hai

Na'jaanay kiyon kisi ka  be'wafa hona zaroori hai

Meray dil ne jo is ko poojnay ki intiha kar di

To phir us be'wafa ka khuda hona bhi zaroori tha

Kisi se na koi shikwa na koi shikayat hai

Jo meray saath cahhat main hua hona zaroori tha

Bhout nazdeek tha dil . is liye ab dooriyaan bhi hain

Dilon kay darmiyaan kuch faasla hona zaroori tha

Ussay bhi dard denay ka bhout hi shouq tha

HAmain bhi dard-o-gham se aashna hona zaroori tha

Tum mohabbat bhi mousam ki tarah nibhaatay ho

Kabhi barastay ho kabhi aik aik boond ko tarastay ho

Pal main kehtay ho zamanay main faqat teray hain

Pal main izhaar-e-mohabbat se mukar jaatay ho

Bharri mehfil main dushmano ki tarah miltay ho

Aur dua'on main mera naam liye jaatay ho

Diyaar-e-ghar main mujh ko talaash kartay ho

Milon to paas se chup chaap guzar jaatay ho

Laakh mousam ki tarah rang badaltay raho

Aaj bhi toot kay shiddat se hamain chahtay ho

Aasmaan kay rangon main hai rang sha'haabi sa

Dihaan main hai phir chehra ek mah'taabi sa

Phir haw chali shayed bhoolay bisray khwaabon ki

Dil main uth raha hai kuch shouq aztraabi sa

Tum ajeeb qatil ho , rooh qatal kartay ho

Daaghtay ho phir maatha chaand ki ra'kaabi sa

Harf pyaar kay saray aa gaye thay aankhon main

Jab liya tha haathon main chehra woh kitaabi sa

Kon keh gaya hai mout tootnay se aati hai

Phool ne bikhar kar baagh kar diya gulaabi sa

Manzaron ne kirno ka perahan jo pehna hai

Main ne us ka rakha hai naam aaf'taabi sa

Boond boond hoti hai rang-o-noor ki barkha

Jab se mousam aya hai nainon main shraabi sa

Aadhi raat kay sapnay shayed jhootay thay

YA phir pehli baar sitaaray tootay thay

Jis din shaher se bhaag kay shaher main ponchi thi

Bhaag bhari kay bhaag  usi din phootay thay

Mazhab ki buniyaad pe kiya taqseem hui

Hamsayon ne hamsaye hi lootay thay

Shokh nazar ki chutki ne nuqsaan kiya

Haathon se chaiy kay bartan tootay thay

Oorh kay phirti thi jo naina sari raat

Us resham ki shaal pe yaad kay bootay thay

Manzil bhi teri thi aur raasta bhi tera tha

Ek tera pyaar paa loon bas yahi sapna mera tha

Aik hum akelay reh gaye , aur poora sansaar tera tha

Saath saath rehnay ki soch bhi teri thi

Phir akelay chor jaanay ka khyal bhi tera tha

Haathon main haath lay kar mujhay hansaanay ki kasam bhi teri thi

Phir meri aankhon main aansoo'on ka sailaab bhi tera tha

Hum kiyon yahaan tanha reh gaye , Mera dil sawaal karta hai

Qismat teri thi par kiya khuda bhi tera tha

Khuda bola us pe aaitabaar karnay ki ghalti teri thi

Ussay dost bananay ka khyal bhi tera tha

Ussay chahnay ki ghalti bhi teri thi

Ussay apnaanay ka khyal bhi tera tha

Ussay kiyon gham ho teray jaanay ka ?

Kiya us ne kabhi kaha tha woh sirf tera tha

Ho chuka ab kisi ka woh

 Ho chuka ab kisi ka woh

Kabhi meri zindagi tha woh

Bhoolta hai kon mohabbat pehli

Meri to saari khushi tha woh

Phool ki tarah muskuraata tha

Meray honton ki hansi tha woh

Baad barson kay ussay dekha tha

Aaj bhi utna hi haseen tha woh

Zindagi naam jis kay kar di

Log kehtay hain ajnabi tha woh

Ab reh gayein kahaan woh puraani mohabbatain

Kar rahay hain woh bhi zubaani mohabbatain

Is raah pe chalo to tumhain yaad rahay

Hoti nahin hain asaan nibhaani mohabbatain

Her mor her qadam pe tumhain yaad aayon gi

Asaan nahin hain meri bhulaani mohabbatain

Dil ka na haal poochiye chehra hi dekhiye

Hum ko bhi aa gaye hain sajani mohabbatain

Palkon pe aansoo'on ko sajaya na ja saka

Us ko bhi dil ka haal bataya na ja saka

Zakhmon se choor choor tha yeh dil mera

Ik zakham bhi us ko dikhaya na ja saka

Jab teri yaad ayi to koshish kay ba'wajood

Aankhon main aansoo'on ko chupaya na ja saka

Kuch log zindagi main aisay bhi aye hain

Jin ko kisi bhi lamhay bhulaya na ja saka

Bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho

Hum se to ehal-e-gham bhi sunaya na ja saka

Woh muskuraya tha meray ru'ba'ru magar

Chehray ka rang us se chuppaya na ja saka

Tanhaiyon ki aag main hum jal gaye

magar faasla jo darmiyaan tha mitaya na ja saka

Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo

Jo raaz na rakh paye humraaz badal daalo

Tum ne bhi suni ho gi bara aam kahaawat hai

Anjaam ka jo ho khatra aaghaaz badal daalo

Pur soz dilon ko muskaan na day paye

Sur hi na milay jis main woh saaz badal daalo

Dushman kay iraadon ko hai zaahir agar karna

Tum khail wohi khailo andaaz badal daalo

Aye dost karo himmat kuch door sawera hai

Agar chahtay ho manzil to parwaaz badal daalo

Sab kitaabain jhooti niklein dastaan-e-wafa ki

Sab ghazlain be'mahni niklein unwaan-e-wafa ki

Kaisa iztaraab machal raha hai kisi khaana-e-dil main

Yeh kis ka payaam layi hain hawaein ehad-e-wafa ki

Kahaan se milta hai sira barson ki uljhanon ka

Shayed keh kuch karishma kar jayein zulfain be'wafa ki

Chalo zameen ki wusaton main talaash kartay hain

Koi to basti ho gi jahan mil jayein sooratain ehal-e-wafa ki

Hum to roz dil kay dasht main gulaab chunna kartay hain

Hum ne dekh rakhi hain sab kraamatain dard-e-wafa ki 

Aya na tujhay raas koi ghar bhi qafas bhi

Ab ae dil-e-kam'zarf , kisi shaher main  bas bhi 

Thukra jo aya hai samnadar ki sakhawat 
Ab dast-e-musaafat main ghatao'on ko taraash bhi 

Main pyaas ka sehra , keh guzar gaah hoon teri 
Tu abbar ki surat hai , kabhi mujh pe baras bhi 

Mohsin mujhay chairain gay bhout chaand , nadi phool 
Aya na mera yaar , agar ab kay baras bhi

Itna toota hua hoon keh choonay se bikhar jaaon ga

Ab agar aur azmaao gay to mar jaaon ga 

Ik aarzi musaafir hoon main teri kashti main 

Tu jahan mujh se kahay ga utar jaaon ga 

Haath pakro gay to saya ban kar saath rahoon ga 

Haath choro gay to hamesha kay liye bichar jaaon ga

Jis tarah hum ne chaha us tarah hona hi tha

Yahan lehron ne saahil se judaa hona hi tha
Jis tarah hum ne chaha us tarah hona hi tha 

Raiza raiza ho kar bikhra fiza'on main badan 
Chandani ki chah main yeh hadsa hona hi tha 

Haddon se guzar kar hum ne pooja tha jinhain 
Un haseen logon ne aakhir devta hona hi tha 

Umar bhar dil shaad rehta tark-e-ulfat pe mera 
Ek baar to woh poochta agar be'wafa hona hi tha 

Hain mundamil ab chahton kay woh zakham 
Jal kay dil ki raakh nay aakhir dawa hona hi tha 

Na'jaanay kiyon kisi ka be'wafa hona zaroori hai

Juda honay kay mousam main juda hona zaroori hai
Na'jaanay kiyon kisi ka  be'wafa hona zaroori hai

Meray dil ne jo is ko poojnay ki intiha kar di
To phir us be'wafa ka khuda hona bhi zaroori tha

Kisi se na koi shikwa na koi shikayat hai
Jo meray saath cahhat main hua hona zaroori tha

Bhout nazdeek tha dil . is liye ab dooriyaan bhi hain
Dilon kay darmiyaan kuch faasla hona zaroori tha

Ussay bhi dard denay ka bhout hi shouq tha
HAmain bhi dard-o-gham se aashna hona zaroori tha

Suno tum se zaroori baat karni hai

Suno tum se zaroori baat karni hai 

Samandar kay kinaaray par 

Chalay aao bahaanay se 

Mujhay tum par bharosa hai 

Mujhay tum se mohabbat hai 

Tumhain mujh se mohabbat hai 

Magar yeh bhi haqeeqat hai 

Hamaray darmiyaan jab bhi 

Milnay ki baat hoti hai 

Kabhi main taal deta hoon 

Kabhi tum rooth jaatay ho 

Hai aisa is liye shayed 

Tumhain main paa nahin sakta 

Mujhay tum kho nahin sakti 

Chalo phir aaj hum dono 

Samdar main utar jayein 

Mohabbat ki kahaani ko 

Ajal kay naam kay naam kar dain

Ussay baarish pasand thi

Ussay baarish pasand thi 

Mujhay baarish main woh 

Ussay hansana pasand tha 

Mujhay hasti hui woh 

Ussay bolna pasand tha 

Mujhay bolti hui woh 

Ussay sab kuch pasand hai 

Aur 

Mujhay bas woh

Suno tum rooth jaatay ho

Suno tum rooth jaatay ho 

Suno tum rooth jaatay ho 

To hum pe kiya guzarti hai 

Na dil main chain hota hai 

Na jeewan saath hota hai 

Na koi phool khilta hai 

Na hum se koi chaand milta hai 

Suno ! tum jab bhi miltay ho to 

Ajab sa chain milta hai 

Toofaan main , andhiyon main bhi 

Wafa ka deep jalta hai 

Bahaarain mehak uth'ti hain 

Khizaein raqs karti hain 

Suno

Tum miltay raha karo 

Mujhay kuch aas milti hai 

Khushiyon ki maala khilti hai 

Sabhi kuch mehak uth'ta hai 

Sakoon-e-qalb milta hai

Khaak mujh main koi kamaal rakha hai

Khaak mujh main koi kamaal rakha hai 

Meray rab sab tu ne sambhaal rakha hai 

Meray aaibon pe daal kay parda 

Mujh ko achon  main daal rakha hai 

Apnay daman se kar kay wabasta 

Her museebat ko taal rakha hai 

Main to kab ka hi mit gaya hota 

Meray maalik teri rehmat ne paal rakha hai 

IS dua kay saath keh aap sab 

Jahan rahain , khush rahain 

Abaad rahain , salamat arhain

Baaz aa jaao taghafal se warna ehal-e-dil aksar

Jissay bhool jaatay hain bas bhool jaatay hain

Kabhi barastay ho kabhi aik aik boond ko tarastay ho

Tum mohabbat bhi mousam ki tarah nibhaatay ho 
Kabhi barastay ho kabhi aik aik boond ko tarastay ho 

Pal main kehtay ho zamanay main faqat teray hain 
Pal main izhaar-e-mohabbat se mukar jaatay ho 

Bharri mehfil main dushmano ki tarah miltay ho 
Aur dua'on main mera naam liye jaatay ho 

Diyaar-e-ghar main mujh ko talaash kartay ho 
Milon to paas se chup chaap guzar jaatay ho 

Laakh mousam ki tarah rang badaltay raho
Aaj bhi toot kay shiddat se hamain chahtay ho 

Dihaan main hai phir chehra ek mah'taabi sa

Aasmaan kay rangon main hai rang sha'haabi sa 
Dihaan main hai phir chehra ek mah'taabi sa

Phir haw chali shayed bhoolay bisray khwaabon ki 
Dil main uth raha hai kuch shouq aztraabi sa

Tum ajeeb qatil ho , rooh qatal kartay ho 
Daaghtay ho phir maatha chaand ki ra'kaabi sa

Harf pyaar kay saray aa gaye thay aankhon main 
Jab liya tha haathon main chehra woh kitaabi sa

Kon keh gaya hai mout tootnay se aati hai 
Phool ne bikhar kar baagh kar diya gulaabi sa

Manzaron ne kirno ka perahan jo pehna hai 
Main ne us ka rakha hai naam aaf'taabi sa

Boond boond hoti hai rang-o-noor ki barkha 
Jab se mousam aya hai nainon main shraabi sa

Bhaag bhari kay bhaag usi din phootay thay

Aadhi raat kay sapnay shayed jhootay thay 

YA phir pehli baar sitaaray tootay thay 

Jis din shaher se bhaag kay shaher main ponchi thi 

Bhaag bhari kay bhaag  usi din phootay thay 

Mazhab ki buniyaad pe kiya taqseem hui 

Hamsayon ne hamsaye hi lootay thay 

Shokh nazar ki chutki ne nuqsaan kiya 

Haathon se chaiy kay bartan tootay thay 

Oorh kay phirti thi jo naina sari raat 

Us resham ki shaal pe yaad kay bootay thay

Baarishon kay mousam main

Baarishon kay mousam main 

Tum ko yaad karnay ki 

Aadatain puraani hain 

Ab kay baar socha hai 

Aadatain badal daalain 

Phir khyal aata hai 

Aadatain badalnay se 

Baarishain nahin ruktein

Yeh sab raastay kay saathi hain inhain aakhir bicharna hai

Chalo ab ghar chalain mohsin bhout awargi kar li 

Tanha udaas chaand ko samjh na be'khabar

Her baat sun raha hai magar bolta nahin

Kabhi samoya kabhi daboya kabhi nikaal baahir phainka

Samandar-e-ishq teri aadatain meray apno jaisi hain

Yeh jo dewanay se do chaar nazar aatay hain

In main kuch saahib-e-israar bhi nazar aatay hain 

Teri mehfil ka bharam rakhtay hain so jaatay hain 
Warna yeh log to be'daar nazar aatay hain 

Door tak koi sitaara hai na koi jugnoo 
Marg-e-umeed kay asaar nazar aatay hain 

Meray daman main shraaron kay siwa kuch bhi nahin 
Aap phoolon kay kharidaar nazar aatay hain 

Kal jissay choo nahin sakti thi farishton ki nazar 
Aaj woh ronq-e-bazaar nazar aatay hain 

Hashar main kon gawahi meri de ga sagar 
Sab tumhaaray hi taraf'daar nazar aatay hain 

Ek tera pyaar paa loon bas yahi sapna mera tha

Manzil bhi teri thi aur raasta bhi tera tha 
Ek tera pyaar paa loon bas yahi sapna mera tha 

Aik hum akelay reh gaye , aur poora sansaar tera tha 
Saath saath rehnay ki soch bhi teri thi 

Phir akelay chor jaanay ka khyal bhi tera tha 
Haathon main haath lay kar mujhay hansaanay ki kasam bhi teri thi 

Phir meri aankhon main aansoo'on ka sailaab bhi tera tha 
Hum kiyon yahaan tanha reh gaye , Mera dil sawaal karta hai 

Qismat teri thi par kiya khuda bhi tera tha 
Khuda bola us pe aaitabaar karnay ki ghalti teri thi 

Ussay dost bananay ka khyal bhi tera tha 
Ussay chahnay ki ghalti bhi teri thi 

Ussay apnaanay ka khyal bhi tera tha 
Ussay kiyon gham ho teray jaanay ka ?

Kiya us ne kabhi kaha tha woh sirf tera tha

Kabhi meri zindagi tha woh

Ho chuka ab kisi ka woh 
Kabhi meri zindagi tha woh 

Bhoolta hai kon mohabbat pehli 
Meri to saari khushi tha woh 

Phool ki tarah muskuraata tha 
Meray honton ki hansi tha woh 

Baad barson kay ussay dekha tha 
Aaj bhi utna hi haseen tha woh 

Zindagi naam jis kay kar di 
Log kehtay hain ajnabi tha woh

Kar rahay hain woh bhi zubaani mohabbatain

Ab reh gayein kahaan woh puraani mohabbatain 
Kar rahay hain woh bhi zubaani mohabbatain 

Is raah pe chalo to tumhain yaad rahay 
Hoti nahin hain asaan nibhaani mohabbatain 

Her mor her qadam pe tumhain yaad aayon gi 
Asaan nahin hain meri bhulaani mohabbatain 

Dil ka na haal poochiye chehra hi dekhiye
Hum ko bhi aa gaye hain sajani mohabbatain

Us ko bhi dil ka haal bataya na ja saka

Palkon pe aansoo'on ko sajaya na ja saka 
Us ko bhi dil ka haal bataya na ja saka 

Zakhmon se choor choor tha yeh dil mera 
Ik zakham bhi us ko dikhaya na ja saka 

Jab teri yaad ayi to koshish kay ba'wajood 
Aankhon main aansoo'on ko chupaya na ja saka 

Kuch log zindagi main aisay bhi aye hain 
Jin ko kisi bhi lamhay bhulaya na ja saka 

Bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho 
Hum se to ehal-e-gham bhi sunaya na ja saka 

Woh muskuraya tha meray ru'ba'ru magar 
Chehray ka rang us se chuppaya na ja saka 

Tanhaiyon ki aag main hum jal gaye 
magar faasla jo darmiyaan tha mitaya na ja saka

Jo raaz na rakh paye humraaz badal daalo

Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo 
Jo raaz na rakh paye humraaz badal daalo 

Tum ne bhi suni ho gi bara aam kahaawat hai 
Anjaam ka jo ho khatra aaghaaz badal daalo 

Pur soz dilon ko muskaan na day paye 
Sur hi na milay jis main woh saaz badal daalo 

Dushman kay iraadon ko hai zaahir agar karna 
Tum khail wohi khailo andaaz badal daalo 

Aye dost karo himmat kuch door sawera hai 
Agar chahtay ho manzil to parwaaz badal daalo

Main pee kay chup raha woh pila kay chup raha

Kiya gulaab tha jo murjha kay chup raha 

Halaat ne kar diya ussay itna sang'dil 

MAin sun kar ro para woh suna kay chup raha 

Shayed woh torna nahin chahta tha dil mera 

Is liye itna qareeb aa kay chup raha 

Woh door ho gaya main kuch bhi na kar saka 

Aankhon se faqat aansoo baha kay chup raha 

Sab ghazlain be'mahni niklein unwaan-e-wafa ki

Sab kitaabain jhooti niklein dastaan-e-wafa ki 
Sab ghazlain be'mahni niklein unwaan-e-wafa ki 

Kaisa iztaraab machal raha hai kisi khaana-e-dil main 
Yeh kis ka payaam layi hain hawaein ehad-e-wafa ki 

Kahaan se milta hai sira barson ki uljhanon ka 
Shayed keh kuch karishma kar jayein zulfain be'wafa ki 

Chalo zameen ki wusaton main talaash kartay hain 
Koi to basti ho gi jahan mil jayein sooratain ehal-e-wafa ki 

Hum to roz dil kay dasht main gulaab chunna kartay hain 
Hum ne dekh rakhi hain sab kraamatain dard-e-wafa ki 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...