May 15, 2014

Yaar ko hum ne ja-baja dekha


Yaar ko hum ne jaa bajaa dekha 
Kahin zaahir kahin chuppa dekha 

Kahin mumkin hua , kahin wajib 
Kahin fani kahin baqa dekha

Kahin woh badshah-e-takht'nasheen 
Kahin kaasa liye gada dekha  

Kar kay dawa kahin atal haq ka 
Bar sar-e-daar woh kheencha dekha 

KAhin woh dar-e-libaas-e-mashooqa 
Bar sar-e-niyaz-o-ada dekha 

KAhin aashiq niyaz ki surat 
Seena bariyan-o-dil jala dekha

Woh tha jo khawaab suhana ajeeb lagta hai




Woh tha jo khawaab suhana ajeeb lagta hai
Guzar gaya jo zamana ajeeb lagta hai

Sabab jo khud hai meri khan'maan khrabi ka
Usi ko haal sunana ajeeb lagta hai

Sitam hai markazi kirdar jo raha tha kabhi
Usi ko mera fasana ajeeb lagta hai

Woh janta hai ussay kiya bata'ein dil ka haal
Dua ko hath uthana ajeeb lagta hai

Woh jis ka hath sada hath main raha mohsin
Usi se hath milana ajeeb lagta hai

Poet : Mohsin Naqvi

Main ne is tour se chaha tujhay aksar jana




Main ne is tour se chaha tujhay aksar jana
Jaisay mehtaab ko be'ant samandar chahay
Jaisay suraj ki kiran seep ke dil main utray
Jaisay kushboo ko hawa rang se hat kar chahay

Jaisay pathar ke klajay se kiran phoot'ti hai
Jaisay gunchay khulay mousam se hina mangtay hain
Jaisay khawabon main khaylon ki kamaan tooti'ti hai
JAisay barish ki dua abla'pa mangtay hain

Mera her khawab meray sach ki gawahi de ga
das'at-e-deed ne tujh se teri khwaish ki hai
Meri sochon main dekh kabhi sarapa apna
Main duniya se alag teri par'istish ki hai

Khwaish-e-deed ka mousam kabhi dhundla jo hua
Noch dali hain zamanay ki niqabain main ne
Teri palkon pe utar'ti hui subha kay liye
Tor dalain hain sitaron ki tanabain main ne

MAin ne chaha teray husan ki gulnaar fiza
Mei ghazlon ki qataron se mehakti jaye
MAin chaha keh meray fun ki bahar
Teri ankhon kay gulabon mehakati jaye



Teh to yeh tha keh sajata rahay lafzon ke kanwal

Meray khamosh khayalon main takalum tera

Raqas karta rahay bharta rahay kushboo ka khumaar

Meri khawaish ke jazeeron main tabussam tera



Tu magar ajnabi mahol ki parwarda kiran

Meri bujhti hui raton ko sahar kar na saki

Teri sanson main mase'hai thi lakin tu bhi

Char-e-zakham ghame-e-deed tar kar na saki



Tujh ko maloom hi kab hai kisi ke dard ka daagh

Ankh se dil main utar jaye to kiya hota

Tu keh seemaab tabiyat hai tumhain kiya maloom

Mousam-e-hijar tehar jaye to kiya hota hai



Tu ne us mor pe tora hai talauq ke jahan

dekh sakta nahin koi bhi palat kar jana

Ab yeh alam hai keh ankhain kholaein ge apni

Yaad aye ga teri deed ka manzar jana



Mujh se mangay ga teray ahad-e-mohabbat ka hisaab

Teray hijraan ka dekh'ta hua mehshar jana

Youn meray dil ke barabar tera gham aya hai

Jaisay sheeshay ke muqabal koi pathar jana !



Main ne is tour se chaha tujhay aksar jana

Jaisay mehtaab ko be'ant samandar chahay

Jaisay suraj ki kiran seep ke dil main utray

Jaisay kushboo ko hawa rang se hat kar chahay





Ab koi chaand mera hai na sitara mohsin


Ab koi chaand mera hai na sitara mohsin
Ab kahan jayon ga main dard ka mara mohsin

Mujh ko toofan main rehnay ki bhout adat thi
Mujh ko le jayo na sahil pe khudara mohsin

Dard ki raah main tum roz chalo ge kab tak
Ab bhi kar saktay ho tum hum se kinara mohsin

Aag lag jati hai apno ke dilon main jis se
Kartay kyn ho wohi baat dobara mohsin

Raat andehray main meray ghar ko jalaya kis ne
Mujh ko yeh kaam bhi lagta hai tumhara mohsin

Poet : Mohsin Naqvi

Pehli pehli mohabbaton ka khumaar



Pehli pehli mohabbaton ka khumaar
Baton baton main raat dhal jaye

Ab keh dil main woh dard utra hai
Ghair mumkin hai aj kal jaye

Zindagi kush hai teray wadon par
Jisay bachay ka dil behal jaye

Hijar ki raat dhal gaye mohsin
Ab to dil se kaho sambhal jaye

Poet : Mohsin Naqvi

Tu mera naam na poocha kar


Tu mera naam na poocha kar
Main teri zaat ka hissa hoon

Main teri soch main shamil hoon
Main teri need ka qissa hoon

Main teray khwaab ka hasil hoon
Main teri yaad ka mehvar hoon

Main teri saans ka jhonka hoon
Tu manzar main pas'manzar hoon

Main lamha hoon main jazba hoon
Jazbay ka koi naam nahin

Tu mera naam na poocha kar

Poet : Mohsin Naqvi

Teray khayalon main kuch is tarah gum raha barson


Teray khayalon main kuch is tarah gum raha barson
Main apnay ap se bhi nahin mil saka barson

Kahin woh zaiqa tahleel hi na ho jaye
Main us se mil ke kisi se nahin mila barson

Kaha tha tum ne keh tum loat aye ge aik din
So main jahan tha wahin pe khara raha barson

Teray baghair meri umar raigaan guzari
Koi bhi kaam nahin thek hai hua barsoon

Tumharay hath ki dastak ki ass main mohsin
Main apnay ghar se kahin bhi nahin gaya barson

Poet : Mohsin Naqvi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...