Dil kay ehsaas ko likhtay hi mitta detay hain
Hum to hanstay hain , yeh halaat rula detay hain
Kitnay nadaan hain duniya main hijaabon kay makeen
Apnay hi majnoo ko sooli pe charha detay hain
Haye be'dardi tujhay mujh se shikayat kya hai
Hum to zakhmon ko bhi seenay se laga letay hain
Dil kay ehsaas ko likhtay hi mitta detay hain
Hum to hanstay hain , yeh halaat rula detay hain
Roshni karti hai jo jal kay siyaah raaton main
Ubhray suraj to shamma woh bhi bujha detay hain
Ik dua maangi thi harf-e-dua yaad nahin
Ab to bas apnay hi qaatil ko dua detay hain
Dil kay ehsaas ko likhtay hi mitta detay hain
Hum to hanstay hain , yeh halaat rula detay hain
Apnay rishtay hain jo jeenay nahin detay hum ko
Un ki baaton main chupay tanz jala detay hain
Zinda insaan ki qadar nahin aaj "Naseem"
Qabar pe pyar se phoolon ko saja detay hain