May 27, 2014

pyaar ki raah main dar lagta hai


pyaar ki raah main dar lagta hai 
bara mushkil yeh safar lagta hai

yeh udasi ka fasoon hai shayed
pheeka pheeka sa qamar lagta hai

shab ka manzar hai teri zulfon main 
rukh pe ik rang-e-sehar lagta hai

bari khamosh hai us ghar ki fiza
koi asaib udhar lagta hai

tahir fikar ko az farsh ta arsh 
aik lamhay ka safar lagta hai

main woh insaan gazeeda hoon jissay 
apney saye se bhi dar lagta hai

roz kehta hoon ghazal main yawar 
mujhay piyara yeh hunar lagta hai

dar jata hoon


Awazon se bhar jata hoon , mar jata hoon 
Ik sargoshi kar jata hoon , dar jata hoon 

chamgadar ke bachay chat se gir jatay hain 
jab bhi apny ghar jata hoon , dar jata hoon

qatil zinda karney ka gur jaan gaya hai
haye jab main mar jata hoon , dar jata hoon

darwaze par dastak hoti hai thk thk thk
dar jata hoon ,dar jata hoon ,dar jata hoon

Tumhain mujh se mohabbat hai


Tumhain mujh se mohabbat hai 


Musalsal soch main rehna
kisi se kuch nahin kehna
kisi goshay main chup ke 
khud se mehv-e-guftagoo rehna
Achanak dil main koi meetha meetha dard uthna
be'sabab be'chain ho jana
akelay baith ke rona
kai ratain nahin sona
woh pehron baithay baithay 
janey kis manzar main kho jana
kisi aahat kisi bhi chaap se
phir chonk si parna
meray saye se bachna 
samney anay se katrana
suno ! pagal si ae larki 
kahi aur un'kahi ke darmiyaan 
sooli pe latki ho
tumhain maloom hai tum jaan kar
manzil se bhatki ho?
yeh mana tum bhout khud'daar ho
par yeh haqeeqat hai
ana aik had tak achi hai
magar is had ke agay
yeh mehaz ik khud faraibi hai
aziyat seh rahi ho aur chup ho 
kiya qayamat hai 
tum aakhir kyn nahin kehtien
tumhau mujh se mohabbat hai! 

Ik sitam aur meri jaan , abhi jaan baqi hai


Ik sitam aur meri jaan , abhi jaan baqi hai

dil main ab tak teri ulfat ka nishaan baqi hai

Ik sitam aur meri jaan , abhi jaan baqi hai

juram toheen-e-mohabbat ki saza de mujh ko

kuch to mehroom-e-ulfat ka sila de mujh ko

jisam se rooh ka rishta nahin toota hai abhi

haath se sabar ka daman nahin choota hai abhi

abhi jaltay huye khawabon ka dhuan baqi hai

ik sitam aur meri jaan abhi jaan baqi hai

apni nafrat se meray pyaar ka daman bhar de

dil-e-gustaakh ko mehroom-e-mohabbat kar de

dekh toota nahin chahat ka haseen taj mehal 

Aa keh bikhray nahin mehki yado'on ke kanwal

abhi deed ke gulshan main khizaan baqi hai

ik sitam aur meri jaan  abhi jaan baqi hai


Ajab apna haal hota , jo wisaal yaar hota !


Ajab apna haal hota , jo wisaal yaar hota !

KAbhi jaan sadqay hoti , kabhi dil nisaar hota !

jo tumhari tarah tum se koi jhootay waday karta

tum hi musafi keh do.... tumhain aitbaar hota

yeh maza tha dil lagi ka keh barabar aag lagti !

na tujhay qaraar hota , na mujhay qaraar hota

na maza hai dushmani main , na hai lutf dosti main

koi ghair ghair hota , koi yaar yaar hota

teray waday pe sitam gar abhi aur sabar karty

gar apni zindagi ka hamain aitbaar hota

tumhain naaz ho na kyn kar keh liya hai daagh ka dil

yeh raqam hath lagti , na yeh ikhtayaar hota

Meray dil se le kar teray sang-e-dil tak



Meray dil se le kar teray sang-e-dil tak

gumaan ki chitaan aur haqeeqat ki sail tak

jo aankhon se meri teray kalay til tak

buna tha mohabbat ki makri ne jala

zamaney ke hathon ne woh taar-e-ulfat

yahan se wahan tak sabhi noch dala

to dono hi dil ab riha ho chukay hain

chitaan aur woh sail bhi juda ho chukay hain

woh aankhain woh til bhi fana ho chukay hain

woh chahat na janey kidher ko gayi hai

woh makri bhi shyed kahin kho gayi hai


Meray dil se le kar teray sang-e-dil tak


Meray dil se le kar teray sang-e-dil tak

gumaan ki chitaan aur haqeeqat ki sail tak

jo aankhon se meri teray kalay til tak

buna tha mohabbat ki makri ne jala

zamaney ke hathon ne woh taar-e-ulfat

yahan se wahan tak sabhi noch dala

to dono hi dil ab riha ho chukay hain

chitaan aur woh sail bhi juda ho chukay hain

woh aankhain woh til bhi fana ho chukay hain

woh chahat na janey kidher ko gayi hai

woh makri bhi shyed kahin kho gayi hai


Koi dewaar rehnay do faqat izhar rehnay do


 Koi dewaar rehnay do
faqat izhaar rehney do
safar main sath chal kar bhi
hamain is paar rehnay do
na aankhon main samayo tum
na hum ko khaak honey do
na tarsain teri qurbat ko
hamain be'baak rehnay do
hamain ashaar main likho
magar na gun'gunao tum
kitabon main khain rakh ke 
hamain phir bhool jayo tum
Suno ! tum se yeh kehna hai 
safar main dhool honey tak
koi bhi bhool honey tak
mujhay tum  maang lena bas
dua maqbool honey tak

Dil main ik lehar si uthi hai abhi



Dil main ik lehar si uthi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi

shor barpa hai khana-e-dil main
koi dewaar si giri hai abhi

bhari duniya main jee nahin lagta
janey kis cheez ki kami hai abhi

tu shreek-e-sukhan nahin hai to kiya
hum sukhan teri kamshi hai abhi

yaad ke be'nishaan jazeeron se 
teri awaaz aa rahi hai abhi

shaher ki be'chraagh galiyon se 
zindagi tujh ko dhoondti hai abhi

so gaye log is havaili ke 
aik khirki magar khuli hai abhi 

tum to yaro abhi se uth baithay 
shaher main raat jagti hai abhi

kuch to nazuk mizaaj hain hum bhi
aur yeh choat bhi nai hai abhi

Is shaher sang-e-dil ko jala dena chahiye


Is shaher sang-e-dil ko jala dena chahiye
phir is ki khaak ko bhi ura dena chahiye

milti nahin pannah hamain jis zameen par
ik hashar us zameen pe utha dena chahiye

had se guzar gayi hai yahan rasm-e-qaheri
is dehar ko ab is ki saza dani chahiye

ik tez ra'ad jaisi sada her makaan main
logon ko in ke ghar main dara dena chahiye

gum ho chalay ho tum to bhout khud main ae munir
duniya ko kuch to apna pata dena chahiye

Poet : Munir Niazi
 

chupky chupky jal jatay hain log mohabbat karney walay

chupky chupky jal jatay hain 
log mohabbat karney walay 
purwa sang nikal jatay hain
log mohabbat karney walay
aankhon aankhon main chal jatay hain
taron ki qandeel liye 
chaand ke sath hi dhul jatay hain
log mohabbat karney walay
dil main phool khila detay hain
aag main raag jaga detay hain
pani beech batashay surat 
khud to ghul;ty rehtay hain
gham ko shahid bana detay hain
log mohabbat karney wale
titli titli lehratay hain phoolon ki umeed liye
ik din kushboo ban jatay hain 
log mohabbat karney wale

Poet : Amjad Islam Amjad

Tu jo bichra hai to mehsoos hua hai aksar


Tu jo bichra hai to mehsoos hua hai aksar

jaisay koi deta hai door se awaaz mujhay

Mukamal 2 hi dano pe yeh tasbeeh-e-mohabbat hai


Mukamal 2 hi dano pe yeh tasbeeh-e-mohabbat hai

jo aye teesra dana yeh doori toot jati hai

muqar'rar waqat hota hai mohabbat ki nimazon ka

adaa ji ki nikal jaye qaza bhi choot jati hai

Dilon ki maandagi pe kiya ta'ajub

 Dilon ki maandagi pe kiya ta'ajub 

keh suraj bhi to dhalna chahta hai

nasht-e-dard badli hai to ab dil

zara pehloo badalna chahta hai

Ab tuhain bhi shaher walon ki hansi dasney lagi


Ab tumhain bhi shaher walon ki hansi dasney lagi 

main na kehta tha mera dukh tum na apnaya karo

kal thakay haray parindon ne nasehat ki mujhay

shaam dhal jaye to Mohsin tum bhi ghar jaya karo

Bhool jana to sab ko ata hai


Bhool jana to sab ko ata hai

kuch to duniya se mufarid kar lo

Musalsal hon mulaqatein to dil'chasbi nahin rehti


Musalsal hon mulaqatein to dil'chasbi nahin rehti

yeh be'tarteeb yaraney baray rangeen hotay hain

Woh aa gaye to qalab ki taleef ho gayi


Woh aa gaye to qalab ki taleef ho gayi 

ruksat huye to phir wohi takleef ho gayi

mehshir main  aik sawal kiya tha kareem ne

hum se wahan bhi aap ki tareef ho gayi

Woh heela gar hain jo majboriyan shumaar karain


Woh heela gar hain jo majboriyan shumaar karain 

chragh hum ne jalaye , hawa ke hotay huye

Woh dushman-e-jaan , jaan se pyara bhi kabhi tha


Woh dushman-e-jaan , jaan se pyara bhi kabhi tha

ab kis se kahain , koi hamara bhi kabhi tha

titli ke ta'aqub main koi phool sa bacha 

aisa hi koi khwaab hamara bhi kabhi tha

Uth kar ab bazm-e-jahan ka aur hi andaaz hai


Uth kar ab bazm-e-jahan ka aur hi andaaz hai 

mashriq-o-maghrib main teray dour ka aaghaaz hai

Jab bhi chahein ik nai surat bana letay hain log


Jab bhi chahein ik nai surat bana letay hain log

aik chaheray pe kai chaheray  saja letay hain log 

mil bhi laitay hain galay woh apney matlab kay liye

Aa paray mushkil to nazrain bhi chura letay hain log

Her juram meri zaat se mansoob hai mohsin


Her juram meri zaat se mansoob hai mohsin

kiya meray siwa is shaher main masoom thay saray

na deed hai na sukhan na haraf hai na payam


na deed hai na sukhan na haraf hai na payam 

koi bhi heela-e-taskeen nahin aur aas bhout hai 

umeed-e-yaar , nazar ka mizaaj, dard ka rang

tum aaj kuch bhi n apoocho keh dil udaas bhout hai

Main woh dil hoon dabistaan alam ka


Main woh dil hoon dabistaan alam ka

jissay roye gi sadiyon shadmani 

nai duniya ke hangamon main nasir

dabi jati hain awazain purani

yahi suna hai sitara shanaas logon se


yahi suna hai sitara shanaas logon se

keh rait pe koi manzal sajaye baithay hain

guzista saal ke zakhamon ko bhoolney kay liye 

aainda saal pe nazrain lagaye baithay hain

Jo kaha hum ne woh mazmoon aur tha


Jo kaha hum ne woh mazmoon aur tha

tarjumaan ki tarjumani aur hai

naam-e-bar ko kuch bhi hum paighaam dain

dastaan us ne sunani aur hai

Yeh mas'sala ab ehal-e-mohabbat ka hai apna


Yeh mas'sala ab ehal-e-mohabbat ka hai apna

martay hain to kuch aap par ehsaan nahin kartay

Ab raftagaan ki baat nahin karwaan ki hai


Ab raftagaan ki baat nahin karwaan ki hai 

jis simat bhi ho gard safar jana chaeya

Qadam qadam pe saleebon ke jaal pahila do


Qadam qadam pe saleebon ke jaal pahila do 

keh sar kashon ko to adat hai sar uthaney ki

shreek-e-jurm na hotay to mukhbari kartay 

hamain khabar hai lutairon ke her thikaney ki

Achay Esa ho ! mareezon ka khyal acha hai


Achay Esa ho ! mareezon ka khyal acha hai
hum maray jatay hain tum kehtay ho haal acha hai

tujh se mangon main tujhi ko keh sabhi kuch mil jaye
so sawalon se yahi ik sawal acha hai

dekh le bulbul-o-parwane ki be'tabi ko 
hijar acha , na haseeno ka wisaal acha hai

aa gaya us ka tasawar , to pukara yeh shauq
dil main jam jaye elahi ! yeh khyal acha hai 

barq agar garmai raftaar main achi hai ameer
garmai-e-hussan main woh barq jamaal acha hai

Itney chup kyn ho rafeeqan-e-safar kuch to kaho


Itney chup kyn ho rafeeqan-e-safar kuch to kaho

dard se choor huye ho keh qaraar aya hai 

phir gaya hijar ka her zakham keh jee haar chalay

bujh gaya shauq keh paigham-e-nigaar aya hai

na'muradi ki thakan hai keh khumaar-e-shabe-e-wasal

jaan sulagti hai keh chaheron pe nikhaar aya hai

kitni ujri hui rut hai keh sukoon hai na junoon

itni be'faiz hui baad-e-bahari kaisay

na kahin nooha-e-jaan hai na kahin naghma-e-dil

kuch to bolo keh shab-e-dard guzari kaisay ?

sar bah-zano ho to kyn chaak girabaan walo !

Bazi raah-e-talab jeet ke hari kaisay ?

Poet : Ahmed Faraz

Laakh masmaar kiye jayein zamaney wale


Laakh masmaar kiye jayein zamaney wale
Aa hi jatay hain naya shaher basaney walay

us ki zid par woh kabhi khud bhi to aa saktay hain
yeh kahan jantay hain aag laganey walay

ab to sawan main bhi barood barasta hai 
ab woh mousam nahin barish main nahaney walay

sar se jata hi nahin wada-e-farwa ka junoon
mar gaye adal ki zanjeer hilaney walay

hum na kehtay thay tujhay waqat bhout zalam hai 
kiya huye ab woh teray naaz uthaney wale

saye main bithi hui nasal ko maloom nahin 
dhoop ki nazar huye pairr laganey walay

ghar main deewarain hain aur sehan main aankhain hain saleem
itney azaad nahin wada nibhaney walay

Woh khwaab tha bikhar gaya khyal tha mila nahin



Woh khwaab tha bikhar gaya khyal tha mila nahin

magar dil ko kiya hua yeh kyn bujha pata nahin

Majnoo ne shaher chora to sehra bhi chor de


Majnoo ne shaher chora to sehra bhi chor de
nizaray ki hawas ho to laila bhi chor de

wahzz ! kamaal tark se milti hai yan muraad
duniya jo chor di hai to aqba bhi chor de

sodagari nahin yeh ibadat khuda ki hai
ae be'khabar ! jaza ki tamana bhi chor de

acha hai dil ke paas rahay pasbaan-e-aqal
lakin kabhi kabhi ussay tanha bhi chor de

shoki si hai sawal-e-mukarar main ae kaleem
shart-e-raza hai keh taqaza bhi chor de

Wahzz ! saboot laye jo mae ke jawaz main
Iqbal ko zid hai keh peena bhi chor de

Poet Allama Iqbal

dosron kay liye jo zinda hon


dosron kay liye jo zinda hon 

un ke dukh be'hisaab hotay hain

Dil afsurda to hua dekh ke us ko lakin


Dil afsurda to hua dekh ke us ko lakin

umar bhar kon jawaan kon haseen rehta hai

koi gumaan koi wada talash karta hai


koi gumaan koi wada talash karta hai

woh wapsi ka irada talash karta hai

woh rair kar ke meri khbon ki zameeno ko 

meray wajood main dariya talash karta hai

Is shaher ki tabhai ka manzar ajeeb tha


Is shaher ki tabhai ka manzar ajeeb tha

ghar jal rahay thay aur samandar qareeb hai

Girnay walay ko bhala kon sahara deta


Girnay walay ko bhala kon sahara deta

shaam ka waqat tha her shaks ko gahr jana tha

Warq warq par teri ibadat , tera fasana , teri hikayat


Warq warq par teri ibadat , tera fasana , teri hikayat

Kitab-e-hasti jahan se kholi teri mohabbat ka baab nikla

Apni aankhon ko ba'wuzo rakhna


Apni aankhon ko ba'wuzo rakhna 

Jab bhi aaina roo baroo rakhna

Zinda rehna bhi ik ibadat hai

Zinda rehney ki aarzoo rakhna

Nikalta suraj roshni de aap ko


Nikalta suraj roshni de aap ko

Mehakta phool kushboo de aap ko

MAin kuch doon ya na doon

Zindagi denay wala zindagi de aap ko

Ana ke da'baiz pardon ko hata ke dekh ae zindagi


Ana ke da'baiz pardon ko hata ke dekh ae zindagi

mohabbat aaj bhi ja'widaan hai dil ke teh khano main

Woh jinhain suraj meri chokhat pe mila karta tha


Woh jinhain suraj meri chokhat pe mila karta tha 

Aaj woh khairaat main detay hain ujalay mujh ko

Tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam


Tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam

Tu kabhi yaad to kar bhoolney walay mujh ko

mujh se to poochney aya hai wafa ke mahni

yeh teri sada dili maar na dalay mujh ko

Tamam umar ki awargi pe bhari hai


Tamam umar ki awargi pe bhari hai

Woh ik shab jo teri yaad main guzari hai

Bhout khamosh logon se bhout uljha nahin kartay


Bhout khamosh logon se bhout uljha nahin kartay 

jo dil ko rog lag gaye woh phir suljha nahin kartay

Kal ke andeshon se apney dil azurda na kar


Kal ke andeshon se apney dil azurda na kar

dekh yeh hansta hua mousam yeh kushboo ka safar

zindagi ab teri raftaar se dar lagta hai




Apney balon ki safaidi se dar jata hoon

zindagi ab teri raftaar se dar lagta hai

mila karo hamain aksar keh jee nahin lagta tumharay bin


mila karo hamain aksar keh jee nahin lagta tumharay bin

tumharay rabtay se zindagi wajood main hai

Teri zaat ke roshan pehlu kyn mujh pe nahin khultay



Teri zaat ke roshan pehlu kyn mujh pe nahin khultay

chalo choro kisi ki talab main youn nahin rultay

woh wada tera aur eafa na karney ki aad'datein

khwabon, khwaishon ke jazeeray her kisi ko nahin miltay

Dil-e-nadaan ajab justagoo main hai


Dil-e-nadaan ajab justagoo main hai

tum se phir shouq-e-guftagoo main hai

juda khud se karoon to kaisay karoon

teri chahat to meri gardash-e-lahoo main hai

Ik pal ka jeen abhi qayamat tha nadeem


Ik pal ka jeen abhi qayamat tha nadeem

aur dua taveel umar ki milti rahi

sar-e-raah kuch bhi kaha nahin kabhi us ke ghar main gaya nahin


sar-e-raah kuch bhi kaha nahin kabhi us ke ghar main gaya nahin

main janam janam se usi ka hoon ussay aaj tak pata nahin
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...