Jan 9, 2015

Kon poochta hai pinjray main band in panchiyon ko


Kon poochta hai pinjray main band in panchiyon ko 

Yaad woh hi aatay hain jo ujjar jatay  hain

Hum to jal gaye us ki mohabbat main mom ki tarah


Hum to jal gaye us ki mohabbat main mom ki tarah 

Agar phir bvhi woh hamain be'wafa kahay to us ki wafa ko salam

Meray aaib mujhay meray samnay hi ginwao


Meray aaib mujhay meray samnay hi ginwao

Bas jab kafan main chup jaaon to bura na kehna

Tera khayal darust hai keh woh khoobsurat hain magar


Tera khayal darust hai keh woh khoobsurat hain magar

Mujhay husan-e-yaar se nahin , mujhay apnay yaar se mohabbat hai

Kabhi kabhi to ro parti hain youn hi aankhain


Kabhi kabhi to ro parti hain youn hi aankhain 

Udaas honay ka koi sabab nahin hota 

Main apnay dil ko yeh baat kaisay samjhaon 

KEh kisi ko chahnay se koi apna nahin hota

Sil'sala-e-chahat to dono ka aur tha


Sil'sala-e-chahat to dono ka aur tha 

Woh meri jaan chahata tha aur main jaan se ziyada ussay

Bana kar log kehtay thay keh dosti main sirf ruswai hai


Bana kar log kehtay thay keh dosti main sirf ruswai hai 

Aakhir woh bhi chor gaya apna talabgaar bana kar 

Ab to her taraf se log mujhay loot rahay hain 

Koi dost koi yaar to koi pyaar bana kar 

Zindagi main mujhay mazaaq bana kar dil na bhara us ka 

Woh bhout kush hua meri qabar ko darbaar bana kar

Her muskuraanay walay ko kush'naseeb na samjho


Her muskuraanay walay ko kush'naseeb na samjho 

Kuch log muskuraatay hain gham chupanay kay liye

Bhout roka tha tujhay keh na kar itni mohabbat kisi se


Bhout roka tha tujhay keh na kar itni mohabbat kisi se

Ab dard saha nahin jaata to mout kiyon maangta hai

Ajab rang main guzri hai zindagi apni


Ajab rang main guzri hai zindagi apni 

Dilon pe raaj kiya phir bhi mohabbat ko tarsay

Chup hain woh kis wajah se hamain maloom nahin magar


Chup hain woh kis wajah se hamain maloom nahin magar 

Dil doob sa jaata hai jab woh yaad nahin kartay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...