Aug 22, 2014

Nahin jo dil main jaga to nazar main rehnay do

Meri hayat ko apnay asar main rehnay do 

Koi to khwaab meri raat ka muqadar ho 

Koi to aks meri chashm-e-tar main rehnay do 

Main apni soch ko teri gali main chor aya 

Tum apni yaad ko meray hunar main rehnay do 

Yeh manzilain to kisi aur ka naseeb hain 

Mujhay faqat apnay junoon kay safar main rehnay do 

Haqeeqatein to bhout talkh ho gayi hain Saghar

Meray wajood ko khwabon kay ghar main rehnay do

Meri hayat ko apnay asar main rehnay do

Nahin jo dil main jaga to nazar main rehnay do 

Meri hayat ko apnay asar main rehnay do 

Koi to khwaab meri raat ka muqadar ho 

Koi to aks meri chashm-e-tar main rehnay do 

Main apni soch ko teri gali main chor aya 

Tum apni yaad ko meray hunar main rehnay do 

Yeh manzilain to kisi aur ka naseeb hain 

Mujhay faqat apnay junoon kay safar main rehnay do 

Haqeeqatein to bhout talkh ho gayi hain "Saagir"

Meray wajood ko khwabon kay ghar main rehnay do

Zouq-e-deed main hai takleef sra'sar "Wasi"

Achay rehtay hain woh log jo mohabbat nahin kartay

Main ne kab dard kay zakhmon se shikayat ki hai

Haan mera juram hai keh main ne mohabbat ki hai 

Aaj phir dekha hai ussay mehfil main pathar ban kar 

Main ne aankhon se nahin dil se baghawat ki hai 

Us ko bhool janay ki ghalti bhi nahin kar saktay mohsin 

Toot kar ki hai to sirf ussi se mohabbat ki hai

mera juram hai keh main ne mohabbat ki hai

Main ne kab dard kay zakhmon se shikayat ki hai 

Haan mera juram hai keh main ne mohabbat ki hai 

Aaj phir dekha hai ussay mehfil main pathar ban kar 

Main ne aankhon se nahin dil se baghawat ki hai 

Us ko bhool janay ki ghalti bhi nahin kar saktay mohsin 

Toot kar ki hai to sirf ussi se mohabbat ki hai

Raah-e-wafa main sazaon ko kon dekhaye ga

Safar hai dhoop ka chaaon ko kon dekhaye ga 

Hum apni zid par aye to cheen lain gay tujhay 

Teray shaher ki oonchi dewaaron ko kon dekhaye ga 

Teri bazam kay hum woh chragh hain 

Keh jab jalay to hawaon ko kon dekhaye ga 

Bichar to jayein magar phir khyal aata hai 

Teri in dil'kash adaaon ko kon dekhaye ga 

Main ne dushman kay her ghroor ko tora hai

Main ne ranj-o-gham ki her zanjeer ko tora hai 

Paai khushi her baar main ne 

Jab jab koi faisala Allah pe chora hai

Aisay bhi mohabbat ki saza deti hai duniya

Mar jayein to jeenay ki dua deti hai duniya 

Hum kon se moman thay jo ilzaam na sehtay 

Pathar ko bhagwaan bana deti hai duniya 

Yeh zakham mohabbat ka hai dekhaana na kisi ko 

Laa kar sar-e-bazaar saja deti hai duniya 

Qismat pe karo naaz na itna bhi faqeero

Haathon ki lakeeron ko mitta deti hai duniya 

Marnay kay liye karti hai to yeh majboor lakin 

Jeenay kay tareeqay bhi sikha deti hai duniya 

Poochta hai jab koi keh duniya main mohabbat hai kahan

Muskuraa deta hoon main aur yaad aa jaati hai maa

Koi fariyaad teray dil main dabi ho jaisay

Tu ne aankhon se koi baat kahi ho jaisay 

Jaagtay jaagtay ik umar katti ho jaisay 
Jaan baaqi ho magar saans ruki ho jaisay 

Her mulaqaat pe yeh mehsoos hota hai 
Mujh se kuch teri nazar pooch rahi ho jaisay 

Raah chaltay huye aksar gumaan hota hai 
Woh nazar vhup kay mujhay daikh rahi ho jaisay 

Ik lamhay main simat aya hai sadiyon ka safar 
Zindagi tez bhout tez chali ho jaisay 

Is tarah pehron tujhay sochta rehta hoon main 
Meri her saans teray naam likhi ho jaisay

Kabhi jeet gaye , kabhi haar gaye

Kabhi jeet gaye , kabhi haar gaye
Kabhi apnay kabhi ghair hum ko maar gaye 

Kal jo khushiyon main shreek thay 
Aaj chor woh yaar gaye

Na mili mohabbat hamain kisi se 
Dhoondtay her gali baazar gaye

Qurbaan jaaon un ki ulfat pe 
Jo mohabbat kay gul'shan nikhaar gaye

Hamain mili aakhir be'rukhi, be'wafai
Sab qasmain , sab waaday be'kaar gaye 

Ae dost manzil mubaarak ho tumhain 
Tum jeet gaye , hum haar gaye

Tumharay chaand se chehray pe gham achay nahin lagtay

Hamain keh do chalay jayein jo hum achay nahin lagtay 

Hamain woh zakham do jo umar bhar na bhrain 

Bhout jaldi jo bhar jayein zakham achay nahin lagtay 

Tumhain hi ghazal main likhna mera dastoor hai 

Sar-e-mehfil tere char'chay achay nahin lagtay

Hum na samjhay teri nazron ka takaza kiya hai

Kabhi jalwa kabhi parda yeh tamasha kiya hai 

Mujh ko mad'hosh sa kar rakha hai teri aankhon ne 
Warna ae saaqi teray meh'khanay main kiya rakha hai 

Dekh laila teray majnoo ka kalaija kiya hai 
Khaak main mil kay bhi kehta hai keh abhi bigraa kiya hai 

Yeh suraahi sa badan le kay mere samnay na aa 
Main shraabi hoon , shraabi ka bhrosa kiya hai 

Apnay honton ko mere honton se choonay to de
Ik do ghoont se botal ka bigarta kiya hai 

Utraa tha chaand hamaray dil kay aangan main

Par falak kay sitaaron ko yeh gawara na hua 

Hum to sitaaron se bhi baghwat kar jaatay magar

Woh chaand hi dil se hamara na hua 

Khushboo ki tarah aap kay paas bikhar jayein gay

Sakoon ban kar aap kay dil main utar jayein gay 

Mehsoos karnay ki koshish to keejiye

Door rehtay huye bhi paas nazar ayein gay

Pyaas aisi keh pee jaaon aankhain us ki

Pyaas aisi keh pee jaaon aankhain us ki 

Naseeb aisa keh myussar zehar bhi nahin 

Be'loas wafaein koi hum se seekhay

Jissay toot kay chaha ussay khaber bhi nahin 
 
Khamosh palkon se jab aansoo bikhar jaatay hain

Aap kiya jaanain aap kitnay yaad atay hain 

Abhi bhi usi mor pe hum kharray hain 

Jahan aap ne kaha tha tehroo hum abhi aatay hain

Pathar tha magar baraf kay gaalon ki tarah tha

Ik shaks andheron main ujaalon ki tarah tha 

Khwabon ki tarah tha , Na khyalon ki tarah tha

Woh ilmj-e-riyazi kay sawalon ki tarah tha 

Uljha hua aisa keh kabhi hal ho nahin paya 

Suljha hua aisa keh misaalon ki tarah tha 

Woh mil to gaya tha magar apna yeh muqadar 

Shatranj ki uljhi hui chaalon ki tarah tha 

Woh rooh main khushboo ki tarah ho gaya tehleel 

Jo door bhout chaand kay haalon ki tarah tha

Is dil ka kaha maano

Is dil ka kaha maano 

Ik kaam karo

Ik be'naam si mohabbat mere naam karo

Meri zaat pe faqat 

Itna ehsaan karo 

Kisi subha ko milo 

Aur shaam kar do

Kitnay dost mile

Kitnay dost mile 
Hum'dard mile
Yaar mile
Sab ubhartay huye suraj kay 
Paristaar mile
Zindagi tu  mujhay 
bazaar main lay hi ayi 
Main to yousaf bhi nahin 
Keh koi kharidaar mile

Kitabon main rakh kay sulaa gaya hum ko

Kitabon main rakh kay sulaa gaya hum ko 

Aankh band ki aur bhulaa gaya hum ko 

Koi ajeeb musawar tha jo baarish kay mousam main 

Kachi dewaron pe bana gaya hum ko

Umar rishton kay taqazay hi nibhaatay guzri

Zindagi ne mujhay kabhi apna hone na dia

Sab se mehfooz maqaam gham-e-tanhai hai 

Fikar-e-duniya ne akela kabhi hone na dia 

Roz hum nashay main hote hain

Roz hum nashay main hote hain 

Aur shaam guzar jaati hai 

Kisi roz shaam nashay main ho gi 

Aur hum guzar jayein gay

Mujh ko tanha kar gaya

Mujh ko tanha kar gaya 

Munfarid rehnay ka shouq

Hum tere dil main rahain gay yaad ban kar

Tere labon pe khailain gay mukaan ban kar 

Kabhi hamain apnay se juda na samjhna 

Hum tere saath chalain gay asmaan ban kar 

Kisi ne poocha kon ho tum

Kisi ne poocha kon ho tum 

Main ne kaha hasrat teri 

Us ne poocha kiya dekhtay ho 

Main ne kaha surat teri

Us ne poocha keh kiya chehtay ho 

MAin ne kaha chahat teri 

Us ne kaha kiya maangtay ho 

Main ne kaha mohabbat teri 

Us ne kaha keh jal jaao gay 

MAin ne kaha qismat meri 

Kisi kamzor lamhay main

Kisi kamzor lamhay main 

Agar main tum se yeh keh doon 

Keh mujhay tum se mohabbat hai 

To tum is waqiye ko zeest ka unwaan na kar lena 

Bas yahi karna keh 

Apnay rukhsaron par 

Zara si muskurahat bikhraa kar 

Zara dheemay se lehjay main yeh keh dena 

Mujhay tum se mohabbat hai

Sard mousamon sa mizaaj rakhta hai

Sard mousamon sa mizaaj rakhta hai 

Zakham denay main kamaal rakhta hai 

Samait'ta hai meri chahtein magar 

Apni chahat ka hisaab rakhta hai 

Mansoob ho gaya , ho gaya kisi aur se magar 

Her kitaab ka mere naam intisaab rakhta hai 

Mere khloos ka talab gaar hai woh 

Jo apni baaton main azaab rakhta hai 

Muddat guzri ussay bichray huye haidar 

Yeh dil ab bhi aas rakhta hai

Nazrain mila kar jana nazrain churaya nahin kartay

Chragh-e-ishq jala kar youn bujhaya nahin kartay 

Maan li shakist hum ne go tum haseen ho 

Ghroor-e-husan main kisi ka dil dukhaya nahin kartay 

Woh ishq main ghair se mashwara maangtay hain 

inhain batao raaz-e-dil kisi ko bataya nahin kartay 

Daaman thaam saktay ho to thaam lo ae Imran

Warna duniya wale youn giray huon ko utahya nahin kartay

Dhalta suraj bhi azaab hai

Dhalta suraj bhi azaab hai 
Aaj to haseen shaam bhi parishaan hai

Her manzar tehar gaya hai chashm-e-tar main 
Aur dil k aaalam bhi biyabaan hai 

Khil'kilaata phirta tha zara zara si baat pe
Tere baghair woh shaks her pal veeran hai 

Shaam kay jaatay panchi bhi tehar gaye hain 
Socho! in ko bhi kitna khyaal hai 

Kis qadar andheri hai dukh ki raat 
Chaand kay baghair taaron ko bhi malaal hai

Jaanay kiyon woh mujh ko achi lagti hai

Jaanay kiyon woh mujh ko achi lagti hai 
Dekhon to aankhon ko bhalli lagti hai 

Dil to chahta hai keh baat karon 
Us ko dekhaye bin chain nahin aata hai mujhay 

Surat woh sanwali dil ko bhali lagti hai 
Unhain na dekhaye koi yeh to mere bas main nahin 

Unhain main dekhta hoon , yeh baat bhali lagti hai 
Magar apni khamosh mohabbat hi bhali lagti hai 

Samnay aye us se izhaar karon to kaisay
Tujh se khamosh mohabbat hi bhali lagti hai

Aankhon kay raastay se dil main utar jaana hai

O meri jaan-e-ada tere dil ki her raah se guzar jana hai

Teri in jhuki nigahon main kitni gehraai hai 
In hi gehraaiyon main hum ko andar jaana hai 

PAl do pal ki yeh gharri pal do pal ka saath hai 
Waqat kabhi rukta nahin par hum ko ruk jaana hai 

Kab ho ga tere mere pyaar ka milan 
O meri dil'ruba ab hum ko sudhar jana hai 

Yeh haseen mor zindagi main aya hai pehli baar 
Hum ko ab tu hi bata hum ko kidhar jana hai

Kaash main shaair hota to

Chaand ko chaand nahin tera chehra kehta
Phool ko phool nahin tera shabaab kehta 

Kaash main shaair hota to 

Tera meri taraf aik baar dekh kay muskurana 
Teri muskurahat ko muskurahat nahin tera andaaz-e-wafa kehta 
Mann mohni si masoon si kitni pyaari teri surat hai 
Tujh ko zameen ki zameen nahin jannat ki hoor kehta 
Teri mohabbat main wasal ka din na aya hai na aye ga 
Tero mohabbat ko mohabbat nahin ik adhoora khwaab kehta 
Sehnaai ho ya mehfil her waqat teri yaad main khoya rehta hoon 
Teri yaad ko yaad nahin apnay liye anmol tohfa kehta 

Meri daastan-e-hasrat woh suna suna kay roye

Mujhay azmaanay wale mujhay azmaa kay roye 

Koi aisa ehal-e-dil ho keh fasana-e-mohabbat 
Main ussay suna kay roo'on , woh mujhay suna kay roye

Meri aarzo'on ko duniya dil'na'tawaan ki hasrat 
Jissay kho kay shaad'maan thay ussay aaj paa kay roye 

Teri be'wafaiyon par , teri kaj'adaeyon par 
Kabhi sar jhuka kar roye, kabhi munh chuppa kay roye 

Jo sunai anjuman main shab-e-gham ki aap beeti 
Kai ro kay muskuraye , kai muskura kay roye

Jis gharri tujh ko tere rab ne banaya ho ga

Tera singhaar farishton se karaya ho ga 

Teri zulfon ko ghattaon main bighoya ho ga 

Teri aankhon ko shraabon main daboya ho ga 

Teray honton pe gulaabon ko nichora ho ga 

Chaand kay noor se is jism ko dhoya ho ga 

Saro hooron ne tujhay mil kay sajaya ho ga

Jis gharri tujh ko tere rab ne banaya ho ga 
Tera singhaar farishton se karaya ho ga 

Sari kaliyon ka tabasum tujhay baksha ho ga 

Us pe koyal ka taranum tujhay sompa ho ga 

Teri palkon pe sitaron ko saja kar rab ne 

Sari duniya se juda tujh ko bana kar rab ne 

Husan ka naam kitaabon se mitaya ho ga 

Jis gharri tujh ko tere rab ne banaya ho ga 
Tera singhaar farishton se karaya ho ga 

Hum jaison ko kab woh pyaar deta hai

Hum jaison ko kab woh pyaar deta hai 
Phool maangain to khaar deta hai 

Faqat nigahon ki bijliyaan giraye to kiya gham 
Woh iraadon ki be'pannah maar deta hai 

Hum hain keh hamari is pe ik nahin chalti 
Aur woh nainon kay teer dil main utaar deta hai 

Gar bhool kar jayein us ki gali main imran 
To woh junoon-e-josh main pathar maar deta hai 

ab tak dil-e-khush'feham ko tujh se hain ummiden

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa

Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa

kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-khush'feham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa

Meri aankhon kay samandar main jalan kaisi hai

Aaj phir dil ko tarapnay ki lagan kaisi hai 

Baraf kay roop main dhal jayein gay saray rishtay 
Mujh se poocho keh mohabbat ki agan kaisi hai 

Main teray wasal ki khwaish ko na marnay doon ga 
Mousam-e-hijar kay lamhay main thakhan kaisi hai 

Raah'guzaaron main jo banti rahi kaanton ki rida 
Us ki majboor si aankhon main kiran kaisi hai 

Mujhay masoom si larki pe taras aata hai 
Issay dekho to mohabbat main magan kaisi hai

Yaqeen nahin hai meri wafa pe tujhay

Yaqeen nahin hai meri wafa pe tujhay 
Jaan se barh kar chahti hoon tumhain 

Yaqeen na aye to azmaa kay dekh le mujhay 
Ik isharay pe jaan bhi de doon gi tujhay 

Meri saanson main basi hai khushboo teri 
Kaash main ne chanda dekha na hota tujhay 

Aankhain hain samnadar se bhi gehri teri 
Jeenay nahin deti jheel se gehri aankhain mujhay 

Jeeti hoon faqat tere ................. hi liye 
Kaash tu ne pyaar se dekha na hota mujhay

Her ik roop main khoob sajnay lagay ho

Her ik roop main khoob sajnay lagay ho 
Baharon ki rut main nikharnay lagay ho 

Irada na karna bicharnay ka ab tum !
Keh ab apnay apnay se lagnay lagay ho 

Wafaon ka iqraar kar hi liya to 
Zamanay se kiyon itna darnay lagay ho 

Kahin sada pan mera dhokha na khaye 
Her ik baat par tum jo hansanay lagay ho 

Her ik roop main hi khoob sajnay lagay ho 
Ab mujh ko khoob achay lagnay lagay ho 

Ab mujh ko khoob achay lagnay lagay ho

Her roop main khoob sajnay lagay ho 
Baharon ki rut main nikharnay lagay ho 

Irada na karna bicharnay ka ab tum !
Keh ab apnay apnay se lagnay lagay ho 

Wafaon ka iqraar kar hi liya to 
Zamanay se kiyon itna darnay lagay ho 

Kahin sada pan mera dhokha na khaye 
Her ik baat par tum jo hansanay lagay ho 

Her ik roop main hi khoob sajnay lagay ho 
Ab mujh ko khoob achay lagnay lagay ho 

Dil ki khawab gaahon main aahaton ka mousam hai

Waqat kay taqazon main chahaton ka mousam hai 

Sawano kay aanchal main khwaishain machalti hain 
Bheegi bheegi raaton main qurbaton ka mousam hai 

Dard phir mehaktay hain january ki raaton main 
Dil kay khwaab'gaahon main dharkano ka mousam hai 

Neelgon falak se phir kuch udaasiyan utrein 
Ghar kay in mundairon par rat'jagon ka mousam hai 

Shaakh shaakh phirtay hain barg zada awara 
Ab khizaan ki jholi main hasraton ka mousam hai 

Sabar ki gharri taalib ikhta'taam ko ponchi 
Mehnaton se kuch aagay raahaton ka mousam hai

Dil ki khwwab gaahon main aahaton ka mousam hai 

Naseeb aazmanay kay din aarahay hain

Naseeb aazmanay kay din aarahay hain 
Qareeb un kay aanay kay din aa rahay hain 

Jo dil se kaha tha keh jo dil se suna tha 
Sab un ko sunaanay kay din aa rahya hain 

Abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do
KEh lutnay lutanay kay din aa rahay hain 

Tapaknay lagi in nigahon se masti 
Nigahein churanay kay din aa rahay hain 

Saba phir hamain poochti phir rahi hai 
Chaman ko sajanay kay din aa rahay hain 
 
Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya

Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya 

Jo us kay paas tha woh mujhay daan kar gaya 

Bichara kuch is adaa se keh rut hi badal gayi 

Ik shakhs sare shaher ko verran kar gaya 

Dil'chasp waqiya hai keh kal aik aziz dost 

Apnay mufaad par mujhay qurbaan kar gaya 

Kitni sudhar gayi hai judai main zindagi 

Haan woh jafa se mujh par to ehsaan kar gaya 

Imran main baat baat pe kehta tha jis ko jaan 

Woh shakhs aakrish mujhay be'jaan kar gaya 

Woh to so gaye dekho jaga kar hamain

Woh to so gaye dekho jaga kar hamain 
Meri zindagi ko kaisi yeh saza de gaye 

MAin ne to bas youn hi ik nazar tha dekha ussay 
Mere dil ko kaisa yeh ehad-e-wafa de gaye 

Bhool na jana tum kahin door ja kar hamain 
Meri soch kay taghuyer ko aisi intihaa de gaya 

Aaj to chaand bhi kuch bhatkaa bhatkaa lagta hai 
Udaasi kay safar ki kaisi yeh ibtidaa de gaye

Meri aankhon main shayed kabhi koi khwaab na tha 
Tum musjuraye youn naveed keh jaisay wasal-e-dua de gaye

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...