May 22, 2014

Bari tabdeeliyan laye hain apnay aap main lakin


Bari tabdeeliyan laye hain apnay aap main lakin 

Tumhein bas yaad karnay ki woh aadat ab bhi baqi hai


Aalam-e-mohabbat main


Aalam-e-mohabbat main 
Ik kamal-e-wehshat main 
Be'sabab rafaqat main 
Dukh uthana parta hai 
Titliyan pakarnay ko 
Door jana parta hai

kiya mila mohabbat se


Kya mila mohabbat se 
Khawab ki musafat se 
Wasal ki tamazat se 
Roz-o-shab riyazat se 
Kya mila mohabbat se ??
Aik hijar ka sehra 
Aik shaam yaadon ki 
Ik thakka hua aansoo

her shakhs hi jaisay rukh-e-batal se mila ho


her shakhs hi jaisay rukh-e-batal se mila ho

Ik bhi nahin aisa jo hamein dil se mila ho 

Phir raah se , rehbar se , musafat se gila kya 

Jab hukam manzil se palat janay ka mila ho 

Andaz-e-mulaqaat bhi is baar juda tha 

Jaisay keh inhein waqat bhi mushkil se mila ho 

Gham hai to amanat hi magar yaad nahin hai 

Shayed keh hamein aap ki mehfil se mila ho

us se milne ko kabhi hum jo machal jatay hain


Us se milnay ko kabhi hum jo machal jatay hain 
To khayalon main bhout door nikal jatay hain 

Gar mohabbat main sadaqat bhi ho shiddat bhi 
Phir to ehsaas hai pathar bhi pighal jatay hain 

Us ki aankhon kay nashay main hoon jab se dooba
Lar'kharatay hain qadam sambhal jatay hain 

Be'wafa ka jab bhi mujhay khayal aata hai
Ashk aankhon se rukhsaar bhi pighal jatay hain 

Pyar main aik hi mousam hai baharon ka faraz
Log mousam ki tarah kaisay badal jatay hain

bhout farsooda lagtay hain mujhay ab yaar ky qissay




bhout farsooda lagtay hain mujhay ab yaar ky qissay

gul-o-gulzaar ki batein lab-o-ruksaar ky qissay

yahan sab ke muqadar main faqat zakhm-e-judai hai

sabhi jhootay fasanay hain wisaal-e-yaar ky qissay

bhala ishq-o-mohabbat se kisi ka pait bharta hai

suno tum ko sunata hoon main karobaar ky qissay

meray ehbaab kehtay hain yahi ek aib hai mujh main

sar-e-dewaar likhta hoon pas-e-dewaar ky qissay

main aksar is liye logon se ja kar khud nahin milta

wohi be'kaar ki batain wohi be'kaar ky qissay



Ajab din thay mohabbat kay ajab din thay rafaqat ke




Ajab din thay mohabbat ke
ajab din thay rafaqat ke
kabhi gar yaad a jayein to palkon pe sitaray jhil'milatay hain
kisi ki yaad main jagna aksar mamool tha apna
kabhi gar neend aa jati to hum yeh soch letay thay
abhi to woh hamaray wasty roya nahin ho ga
abhi soya nahin ho ga
abhi hum bhi nahin rotay
abhi hum bhi nahin sotay
 so phir hum jag'tay aur us ko yaad kartay thy
akelay baith kar veraan dil abad kartay thy
hamaray samne sitaron ki jhurmat main akela chaand hota tha
jo us ke husan ke agay bhi nhout hi maand hota tha
falak pe raqs kartay unginat roshan sitaron ko
jo hum tarteeb detay thay
to us ka naam banta tha
hum aglay roz jab miltay to guzri raat ki her be'kali ka zikar kartay thay
her ik qissa sunatay thay
kahan kis waqat kis tarah se dil dharka, bata'ty thay
main jab kehta keh 'janaa aj to main raat ko ik pal nahin soya
to woh khamosh rehti thi
par us ki neend main doobi hui 2 jheel si aankhain 
achanak bol uth'ti thin
main jab us ko bata'ta tha
keh 'main ne raat maon roshan sitaron main tumhara naam dekha hai '
to woh kehti
'Imran' tum jhoot kehtay ho
sitaray main ne dekhay hain
aur in main roshan sitaron main likha tha
lagta hai ab apnay sitaray mil hi ja'ein ge
magar us ko khabar kiya thi
kinaray mil nahin sakty
mohabbat ki kahani main
mohabbat karne walon ke s
sitaray mil nahin sakty


Ajab pagal si larki hai mujhay her khat main likhti hai




Ajab pagal si larki hai
mujhay her khat main likhti hai
mujhay tum yaad kartay ho?
tumhain main yaad ati hoon ?
meri batain sta'ti hain ?
meri neendain jaga'ti hain ?
meri ankhain rulati hain ?
december ki sunehri dhoop main..
ab bhi thel'tay ho ?
kisi khamosh rastay se..
koi awaz ati hai ?
that'tharti sard raton main
tum ab bhi chat pe jaty ho?
falak ke sab sitaron ko...
meri batain sunatay ho ?
kitabon se tumharay ishq main
koi kami aai ?
ya meri yaad ki shidat se...
aankhon main nami aai ?

ajab pagal si larki hai
mujhay her khat main likhti hai
jawabann main us ko likhta hoon...
meri masroofiat dekho !
sehar se shaam office main
chraagh-e-umar jalta hai
phir us ke baad duniya ki kai majburiyan
paon main bairry daal rakhti hain
mujhay be-fikar chahat se bharay
sapney nahin dekh'ty !
thehl'ney , jagney , roney ki...
fursat hi nahin milti
sitaron se milay arsa hua
naraaz hon shyed ..
kitabon se shaguff mera
abhi waisay hi qaiyam hai
bas ab itna hua hai
main inhain arsay main parhta hoon
tumhain kis ne kaha pagli
tumhain main yaad karta hoon ?
keh main khud ko bhulaney ki
musalsal justago main hoon
tumhain na yaad any ki
musalsal justago main hoon
magar yeh justagoo meri
bhout na'kaam rehti hai
meray din raat main ab bhi
tumhari shaam rehti hai
meray lafzon ki her mala
tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli
mujhay tum yaad ati ho ?
purani baat hai jo log aksar gun'gunatay hain
unhain hum yaad kartay hain
jinhain hum bhool jatay hain

ajab pagal si larki hai
meri masroofiat dekho
tumhain dil se bulaon to
tumhari yaad aye na
tumhain dil se bhulany ki
mujhay fursat nahin milti
aur is masroof jeevan main
tumharay khat ka ik jumla

'tumhain main yaad ati hoon'

meri chahat ki shid'dat main
kami honey nahin deta
bhout ratain jagata hai
mujhay soney nahin deta
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna

ajab pagal si larki hai
mujhay phir bhi yeh kehti hai
mujhay tum yaad kartay ho ?
tumhain main yaad ati hoon ?




ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko





ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

dard kiya hota hai tanhai kissy kehtay hain

chaar so goonjti ruswai kissay kehtay hain

ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

koi lamha ho teri yaad main kho jatay hain

ab to khud ko bhi muyassar nahin aa patay hain

raat ho din ho tere pyaar main hum bethay hain

ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

dard kiya hota hai tanhai kissy kehtay hain

woh jo gham aye ussay dil pe saha kartay thay

aik saath hum mil kar raha kartay thay

ab akelay hi zamaney ki sitam sehtay hain

ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

dard kiya hota hai tanhai kissy kehtay hain

hum ne khud apni rahon main bich'ye kaantay

ghar main phoolon ki jaga le kar saja'ye kaantay

zakham isi dil main basa'ye hwey khud rehtay hain

ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

dard kiya hota hai tanhai kissy kehtay hain

youn to duniya ki her cheez hassen hoti hai

pyar se magar kuch bhi nahin hoti

raasta rok ke her aik se yahi kehtay hain

ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

dard kiya hota hai tanhai kissy kehtay hain






kehney ko mohabbat hai lakin ab aisi mohabbat kiya karni





kehney ko mohabbat hai lakin

ab aisi mohabbat kiya karni

jo neend chura le ankhon se

jo khwaab dekha'ye phoolon ke

tabeer main kantay de jaye

jo gham ki kaali raaton main

her aas ka jugnoo le jaye

jo khwaab sajati aankhon ko

ansoo hi ansoo de jaye

jo mushkil kar de jeenay ko

jo marney ko asaan karay

woh dil jo pyar ka mandar ho

woh yaadon ko mahman karay

ab aisi mohabbat kiya karni

jo umar ki naqdi le jaye

aur phir bhi jholi khali ho

woh surat dil ka rog banay

jo surat dekhi bhali ho

jo qais bana de insaan ko

jo ranjha aur farhad karay

 ab aisi bohabbat kiya karni

jo kushiyon ko barbaad karay

dekho to mohabbat ke baray

her shakhs yehi kuch kehta hai

socho to mohabbat ke andar

ik dard hamesha rehta hai

phir bhi jo cheez mohabbat hai

kab in baton se darti hai

kab in ke baandhay rukti hai

jis dil main is ko basna ho

yeh chupkey se bas jati hai

ab aisi mohabbat kiya karni

jo neend chura le ankhon se

Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa




Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa

umar guzari tujhay dekhay huye tujhay behlaye huye

yaad hai hum tujhay dil mantay thay

apnay seeney main machal'ta hua zidi bacha

 teray her naaz ko ungli se pakar kar aksar

nit naye khwaab ke bazaar main le atay thay

teray her nakh'rey ki farma'esh par

ik jeevan ki tamana'on ki be'naei se

hum dekhtay thak'tay hi na thay

 sochtay thay ik chota sa naya ghar

mohabbat ki fiza hum dono

aur kisi baat pe taki'yon se laraei apni

phir lara'ei main kabhi hanstay huye ro parna

aur kabhi rotay huye hans parhna

 phir thak haar kar gir par'ney ka masoom kushi-baksh khyal

yaah hai

yaad hai hum tujhay sukh jantay thay

 raat hans par'ti thi be'sakhta darshan se teray

din teri doori se ro parr'ta tha

yad hai

yad hai

yaad hai hum tujhay jaan kaha kartay thay

teri khamoshi se mar jatay thay

teri awaz se jee uth'tay thay

tujh ko choo lenay se ik zindagi aa jati thi shar'yano main

thaam lenay se koi shaher sa ban jata tha veerano main

yaad hai

yaad hai

yaad hai hum tujhay milney kay liye

waqat se pehlay poonch jatay thay

aur mulaqaat ke baad

hum bhout der se ghar atay to kehtay

hamain kuch na kaho hum bhout door se ghar aye hain

is qadar door se ghar aye hain keh shayed hi koi aa paye

yaad hai

yaad hai ? hum tujhay bhagwaan samjhtay thay

 magar kufar se dar jatay thay

teray chin janay ka dar

theek se rakhta tha musalmaan hamain

yaad hai

yaad hai

Aa kisi shaam kisi yaad ki dahleez pe aa

 teray bhoolay huye rstay pe liye phirta hai emaan hamain

aur kehta hai keh pehchaan hamain

yaad hai

yaad hai ? hum tujhay emaan kaha kartay thay

emaan kaha kartay thay

Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa


kuch bhi to nahi waisa jaisa tujhay socha tha




kuch bhi to nahi waisa

jaisa tujhay socha tha

jitna tujhay chaha tha

socha tha teray lab par

kuch harf dua'on ke

kuch phool wafa'on ke

mehak'ein gey meri khatir

kuch bhi to nahin waisa

jaisa tujhay socha tha

mehsoos yeh hota hai

dukh jhailay thay jo ab tak

be'naam musafat main

likhney ki mohabbat main

parh'ney ki zaroorat main

 be'sood riayazat thi

be'faiz ibadat thi

jo khwaab bhi thay dekhay

in jag'ti ankhon main

sam khaam khyali thi

phir bhi tujhay paney ki

dil key kisi goshay main

khwaish to bacha li thi

lakin tujhay pa kar bhi

aur khud ko ganwa kar bhi

is habas ke mousam ki khirki se hawa aai

na phool se kushboo ki koi bhi sada aai

ab neend hai aankhon main

na dil main woh pehli si taza sukhan ara'ei

na lafaz meray niklay

na harf-o-mahni ki daanish meray kaam aai

na'deeda rafaqat main

jitni bhi aziyat thi

sab meray hi naam aai

kuch bhi to nahin waisa

jaisay tujhy socha tha

jaisay tujhy chaha tha.....!

woh shakhs mar gaya kal shab




Janti ho tum

jis ki aankh me nami si thi 
jis ka chehra malool rehta tha

woh jo be-tawajoei ke sabab
hamesha be'asool rehta tha

woh ek shakhs janto ho tum?

woh jissay neend bhout piyari thi
woh jo ik khwaab ke asar main tha

woh jo la-ilm raha manzil se
woh jo umar bhar safar main tha

 woh ek shakhs janto ho tum?

jis ne kushboo ki tam'mna  ki thi
aur ronday gulaab paye thay

jis ne  apni hi nekiyon ke awaiz
rafta rafta azaab paye thay

woh ek shakhs janto ho tum?

 woh jis ki soch bhi pareshaan thi 
woh jis ke lab par faqat dua'ein thein

wohi uljhi hui be'chain si baton wala
mohabbat se dar gaya kal shab

hijar ke dukh ko sehtay sehtay 
woh shakhs mar gaya kal shab

ayo ab laash uthao us ki
woh jo teray asar main rehta tha

Aao ab laash uthao us ki
woh jo suraj ko qamar kehta tha

mohabbat se dar gaya kal shab 
woh shakhs mar gaya kal shab

woh shakhs mar gaya kal shab


in udaas raahon par is akelay dil kay saath




in udaas raahon par 
is akelay dil ke sath
kar liya safar kitna 
aur kitna baqi hai

woh jo ik tara sa
door jhil'milata hai
raasta dekha'ta hai
aur doob jata hai 
tab akelay pan se dil 
yeh sawaal karta hai 

jugno'on ki khwaish main 
titliyon ki chahat main 
kar liye safar kitna 
aur kitna baqi hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...