Apr 22, 2016

Pehlay ik kompal si phooti


Mohabbat 

Pehlay ik kompal si phooti 
Phir ik poda sa lehraya 
Phir ik phool wahan muskaya 
Ab woh khushbu 
Meray lahu main 
Aik tan'awar pairr ki surat main rehti hai

Rasam-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo


Rasam-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo 
Dosti kay baab main dil ka kaha mana karo 

Aik dheema sa tabasum rasam hi si ban gaya 
Dosto ! apnay paraye ko to pehchana karo 

Roshni ka qehat hai par fikar-e-farda kis liye 
Khoon ki tanveer se roshan siyah khana karo 

Choti moti baat ho to jins-e-gham detay rahao 
Jurm ho sangeen to khushiyon ka jurmana karo 

Rasam-e- shabiri  dawam-e-zeest hai Rashak 
Zeest karni hai agar to sar'faro'shana karo

Pathar kay khuda , pathar kay sanam ! pathar kay hi insan paye hain


Pathar kay khuda , pathar kay sanam ! pathar kay hi insan paye hain 
Tum shaher-e-mohabbat kehtay ho hum jaan bacha kar aaye hain 

Butt-khana samjhtay ho jis ko poocho na wahan kya halat hai 
Hum log wahin se lotay hain bas shukar karo loat aaye hain 

Hum soch rahay hain muddat se ab umar guzarein bhi to kahan 
Sehra main khushi kay phool nahin shehron main ghamon kay saaiye hain 

Honton pe tabasum halka sa aankhon main nami si Ae Faakir
Hum ehal-e-mohabbat par aksar aisay bhi zamanay aaye hain 

Bhout asan hai khud ko mitana


Bhout asan hai khud ko mitana 
Bhout mushkil magar tujh ko bhulana 

Bicharna par gaya miltay hi hum ko 
Hamara hai bas itna sa fasana 

Hadein sabar-o-raza ki tor dalein 
Chalak hi jaye ga apna paymana 

Guzar ho us ki mehfil se kabhi to 
Ussay ghazlein meri ja kay sunana 

Bichar kar mujh se woh to khush hai lakin 
Mera kya haal hai us ko batana 

Agar tum ko youn hi hum yaad ayein 
Tumharay muntazir hain loat aana 
 

Kya kron ab koi bhi acha nahin lagta mujhay


Kya kron ab koi bhi acha nahin lagta mujhay 
Tu bhi pehlay ki tarah apna nahin lagta mujhay 

Ab teri baatein meray dil main utar'ti hi nahin 
Tu wohi hai par tera lehja nahin lagta mujhay 

Tu , to ab adhay badan se saath chalta hai meray 
Teray shano pe tera chehra nahin lagta mujhay 

Tu kabhi taqseem karta tha hawaein chaar su 
Ab teray bhi paas ik jhonka nahin lagta mujhay 

Ab lifafay se teri khushbu nahin aati mujhay 
Khat bhi teray haath ka likha nahin lagta mujhay

Shabnami raat sohani hai mujhay phone karo


Shabnami raat sohani hai mujhay phone karo 
Ik ghazal tum ko suna'ni hai mujhay phone karo 

Phir naya khawab dikhana hai sehar honay tak 
Phir nayi shamma jalani hai mujhay phone karo 

Da'imi wasal ka ehsaas dilana hai tumhein 
Raat chup chaap bitani hai mujhay phone karo 

Tez baarish hai , hawaein sard mousam hai 
Her taraf pani hi pani hai mujhay phone karo 

Main bhi behkay huye jazbat ki zad main hoon abhi 
Tum pe bhi dour-e-jawani hai mujhay phone karo 

Na main barbaad hoon na abhi ruswa tum 
Na'mukamal yeh kahani hai mujhay phone karo 

Tum se mil kar hi main bichron koi laazim to nahin 
Phir bhi ik rasam nibhani hai mujhay phone karo 

Teri chahat kisi mousam main bhi to kam nahin hoti


Teri chahat kisi mousam main bhi to kam nahin hoti 
Diye ki lo hawa main to kabhi madham nahin hoti 

Teray shanay pe sar rakhna nahin hai ab meray bas main 
Magar dil se meray kiyon kar yeh khawaish kam nahin hoti 

Jo hanstay hon yeh hansti hai jo rotay hon nahin roti 
Kisi kay gham main yeh duniya shareek-e-gham nahin hoti 

Dilon main laakh toofan hon na aankhon se ayan karna 
Keh yeh jageer saanjhi to meray hum'dam nahin hoti 

Kisi ko raaz mat dena tum apni zindgani main 
Keh yeh duniya kisi ki bhi kabhi mehram nahin hoti 

Poet : Dilshad Ahmed Faraz

Woh hum main youn samaein , hum un main youn samaein


Woh hum main youn samaein , hum un main youn samaein 
Woh hum ko bhool jayein , hum un ko bhool jayein 

Jati hain aasman tak furqat ki shab duaein 
Aagay mera muqadar , woh ayein ya na ayein 

Kiyon us wafa paraston par jaan na dain jafaein 
Kha kha kay dil pe chotein jo muskura'ey jayein 

Raatein hain khoob waqif  Ae bad'zan mohabbat 
Main ne tarap tarap kar di hain tujhay duaein 

Angraiyan na lay youn oso kay uthnay walay 
In mast ankhriyon kay saghar chalak na jayein 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...