Main maa hoon ilam hai mujh ko
Mera bacha
Mujhe kab , kiyon bulaata hai
Rulaati hai ussay kiya baat , kis pal muskuraat hai
Woh kab araam karta hai , woh kaisay khil'kilaata hai
Main maa hoon ilam hai mujh ko
Magar jab yeh bara ho ga
Mujhe yeh kuch bataye ga
Yeh kuch mujh se chup'paye ga
YEh samjhe ga keh maa ko kiya khabar is ki
Woh ghar baithay bhala kiya jaan paye gi
Woh ghar ta'kheer se aa kar bahaney jan banaye ga
MAin sab kuch jaa kar anjaan ban jaaon gi us lamhay
Keh yeh her maa ki fitrat hai
Mera bacha yeh kaisay jaan sakta hai
Keh us ki in ragon main ,maa lahoo ke sath chalti hai
Ussay kaanta bhi chubh jaye to maa ka dil tarapta hai
Woh jis jaga bhi chala jaye
Duaon ke ghannay hisaar main mehfooz hota hai
Woh maa ke dil main hota hai
Qadam jis pal utha'ta hai
Woh jis raste pe jata hai
To thandi chayon sa aanchal bhi us ke sath hota hai
MAin maa hoon ilam hai mujh ko