Jul 11, 2016

Hijar ki aankhon se aankhein to milatay jaaiye


Hijar ki aankhon se aankhein to milatay jaaiye 
Hijar main karna hai kya yeh to bata'tay jaaiye 

Ban kay khushbu ki udasi rehna dil kay baagh main 
Door hotay jaaiye , nazdeek aatay jaaiye 

Jatay jatay aap itna kaam to keejiye mera 
Yaad ka sara sar-o-samaan jalatay jaaiye 

Reh gayi umeed to bar'baad ho jaon ga main 
Jaaiye to phir mujhay sach much bhulatay jaaiye 

Zindagi ki anjuman ka bas yahi dastoor hai 
Barh kat mil'iye aur mil kar door ho jaaiye 

Aakhri rishta to hum main ik khushi ik gham ka tha 
Muskuratay jaaiye aansu bahatay jaaiye 

Woh gali hai ik sharabi chasham-e-kaafir ki gali 
Us gali main jaaiye to larr'kharatay jaaiye 

Aap ko jab mujh se shikwa hi nahin koi to phir 
Aag hi dil main lagani hai lagatay jaaiye 

Kooch hai khawabon se tabeeron ki simaton main to phir 
Jaaiye par dam-ba-dam bar'baad jaatay jaaiye 

Aap ka mehmaan hoon main , aap meray mezbaan 
So mujhay zehar-e-murawat to pilatay jaaiye 

Hai sar-e-shab aur meray ghar main nahin koi chragh 
Aag to is ghar main jaana na lagatay jaaiye 

Tumhara hijar mana loon agar ijazat ho


Tumhara hijar mana loon agar ijazat ho 
Main dil kisi se laga loon agar ijazat ho 

Tumharay baad bhala kya hain wada-o-pai'maan 
Bas apna waqat ganwa loon agar ijazat ho 

Tumharay hijar ki shab haye car main jaana 
koi chragh jala loon agar ijazat ho 

Junoon wohi hai , wohi main , magar hai shaher naya 
Yahan bhi shor macha loon agar ijazat ho 

Kissay hai khawish-e-marham'gari  magar phir bhi 
Main apnay zakham dikha loon agar ijazat ho 

Tumhari yaad main jeenay ki aarzu abhi 
Kuch apna haal sambhalon agar ijazat ho  

Azab-e-hijar barha loon agar ijazat ho


Azab-e-hijar barha loon agar ijazat ho 
Ik aur zakham main khaa loon agar ijazat ho 

Tumharay aariz-o-lab ki judai kay din hain 
Main jaam munh se laga loon agar ijazat ho 

Tumhara husan , tumharay khayal ka chehra 
Shab'bahaton main chuppa loon agar ijazat ho 

Tum hi se hai meray her khawab-e-shouq ka rishta 
Ik aur khawab kama loon agar ijazat ho 

Thak'ka diya hai tumharay firaaq ne mujh ko 
Kahin main khud ko gira loon agar ijazat ho 

Bara-e-naam be'naam-e-shab-e-wisal yahan 
Shab-e-firaaq mana loon agar ijazat ho 

Kisi se koi khafa bhi nahin raha ab to


Kisi se koi khafa bhi nahin raha ab to 
Gila karo keh gila bhi nahin raha ab to 

Woh ka'hishein hain keh aish-e-junoon to kya yehni 
Gharoor-e-zehan-e-risa bhi nahin raha ab to 

Shakist-e-zaat ka iqraar aur kya ho ga 
Keh adaa-e-wafa bhi nahin raha ab to 

Chunnay huye hain labon pe teray hazar jawab 
Shikayaton ka maza bhi nahin raha ab to 

Hoon mubtala-e-yaqeen , meri mushkalein mat pooch 
Gumaan uqda kasha bhi nahin raha ab to 

Meray wajood ka ab kya sawal hai yehni 
Main apnay haq main bura bhi nahin raha ab to 

Yeh hi atiya subh-e-shab-e-wisaal hai kya 
Keh sehar-e-naz-o-adaa bhi nahin raha ab to 

Yaqeen kar jo teri aarzu main tha pehlay 
woh lutf teray siwa bhi nahin raha ab to 

Woh sukh wahan keh khuda ki hain bakh'shish'ein kya kya 
Yahan yeh dukh keh Khuda bhi nahin raha ab to  

Ae ku-e-yaar teray zamanay guzar gaye


Ae ku-e-yaar teray zamanay guzar gaye 
Jo apnay ghar se aaye thay woh apnay ghar gaye 

Ab kon zakham-o-zehar se rakhay ga sil'sala 
Jeenay ki ab hawas hai hamein hum to mar gaye 

Ab kya kahon keh sara mohal'la hai sharam'saar 
Main hoon azab main keh meray zakham bhar gaye 

Hum ne bhi zindagi ko tamasha bana diya 
Us se guzar gaye , kabhi khud se guzar gaye 

Tha run bhi zindagi ka ajab tarfa maajra 
Yehni uthay to paon magar "Jon" sar gaye  

Shaam thi aur barg-o-gul shall thay magar saba bhi thi


Shaam thi aur barg-o-gul shall thay magar saba bhi thi 
Aik ajeeb sakoot tha ik ajab sada bhi thi 

Aik malaal ka sa haal mehav tha apnay haal main 
Raqs-o-nawa thay be'taraf mehfil-e-shab bar'pa bhi thi 

Samiya sada-e-jaan be'sar-o-kaar tha , keh tha 
Aik gumaan ki daastan bar lab-e-neem'wa bhi thi 

Kya mah-o-saal-e-maajra , aik palak thi jo miyan 
Baat ki ibtidaa bhi thi , baat ki intihaa bhi thi 

Aik sarod-e-roshni neema-e-shab ka khawab tha 
Aik khamosh tai'ragi saniha aashna bhi thi 

Dil tera paisha-e-gala kaam kharab kar gaya 
Warna tu ik ranj ki halat-e-be'gala bhi thi 

Dil kay mo'amlay jo thay un main se aik yeh bhi hai 
Ik hawas thi dil main jo dil se gurez paa bhi thi 

Baal-o-par khayal ko ab nahin simt-o-su naseeb 
Pehlay thi ik ajab fiza aur jo pur'fiza bhi thi 

Khushk hai chashma-e-saaz-e-jaan zard hai sabza zaar-e-dil 
Ab to yeh sochiye keh yahan pehlay kabhi hawa bhi thi 

  
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...